Logon ko aksar mujse yeh shikayat hoti hai ke Rahim apni zindagi ke bare main bahaut kam batata hai...Log kehte hai, Rahim ek bandd kitab hai...Mujhe pata nahin ke bandd kitab hona acha hai ya bura, mager jaisa bhi hai, Rahim hai!
Main apni nazmon main khud ki zindagi ke bare main batana chahta hoon...Bachpan se leke aj tak, inn 18 saalon main kya dekha hai, kya mehsoos kiya hai, kya paya hai, kya khoya hai...Yeh iss series ki pehli nazm hai...Umeed hai pasand ayegi!
~Meri Zindagi~
Bachpan se musafir ghareebi main palta gaya,
Apni khwahishon ki kurbani musafir deta gaya,
Baap ki dant aur marr se musafir naye sabak seekhte gaya,
Bas yunhi musafir zindagi jeeta gaya…
Doston ke saath school main shararat karta tha,
Padayi se zada cricket pe dhyan lagaya karta tha,
Imtehan main phas jave toh nakal marlia karta tha,
Apni marzi se zindagi ko ek nayi disha musafir deta gaya,
Bas yunhi musafir zindagi jeeta gaya…
Panch saal ki umar se haway janhaz se pyaar hogaya,
Asmaan choone ka junoon zindagi ka maqsad sa ban gaya,
Phir yehi sapna dekte hue main agey badta gaya,
Mager har morr par musafir ek nayi chunoti pata gaya,
Bas yunhi musafir zindagi jeeta gaya…
Pardes main yeh musafir bada hua hai,
Bahaut alag zindagi guzarne ke liye jana jata hai,
Khud pe aur Allah pe sabse zada bharosa karta hai,
Akela hi musafir zindagi ki raahon par chalta gaya,
Bas yunhi musafir zindagi jeeta gaya…
Lautna parra desh apne jab dadi bimar hui,
Intakal hua dadi ka toh zindagi behaal hui,
Thama ghum ne yun ke khushian mujse anjaan hui,
Bikhri umeedon ke saath musafir agey ka sochta gaya,
Bas yunhi musafir zindagi jeeta gaya…
~Rahim~