-----/// Na ji na, ab main pyaar nahi karta /// -----

by ~Hriday~ on October 21, 2010, 09:10:50 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2162 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote

aadat thi meri kisi ke ankhon me doob jaane ki,
aadat thi meri kisi ki baaton me kho jane ki,
kuch is tarah se kharab ki thi maine apni aadatein,
ki kehne lage log ki kahin tujhe pyaar to nahi,
na ji na, sach kehta hoon, ab main pyaar nahi karta,
nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hoti hai,

khoya khoya rehta tha har pal kisi ki yaadon me,
tanhaayi me kabhi khud se baatein kiya karta tha main,
poochha karte the mujhe ki bata na kya hua tujhe,
aur tab bas kuch bahaane bana liya karta tha main,
nahi samajhta tha main ki wo kya ho raha tha mujhe,
nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hoti hai,

kisi se na milo to kuch khaane ka mann nahi karta tha,
chehra na dekho kisi ka to aankhon me neend nahi aati thi,
takra jaata tha sadak pe chalte chalte logon se,
kehte the log ki kahin tu paagal to nahi hai,
na ji na, ye mujhe maaloom na tha ki aisa kyun hota hai,
nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hoti hai,

aadaat thi meri ki dosti ko main pyaar samajhta tha,
kisi se milke use main hamesha ke liye apna maan chuka tha,
maloom na tha ki jise aap chaho jaruri nahi wo bhi chaahe aapko,
main kisi ko apna jeewaan bhar ka saathi bana baitha tha,
par ab samajh aaya ki wo pyaar nahi kuch aur tha,
nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hoti hai,

ab koi hai mere kareeb, mere bahut kareeb hai wo,
mujhe apni zindagi apna sab kuch samajhti hai wo,
kaise maan lun ki jo ab hai use mujhse wo pyaar hai,
main jisa karta tha kisi se kuch kuch waisa karti hai wo,
na ji na, sach kehta hoon, ab main pyaar nahi karta,
nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hoti hai...


*****HRIDAY*****
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: October 21, 2010, 09:22:57 AM »
Reply with quote
hmmmmmmmmmm..........

 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: October 21, 2010, 09:33:25 AM »
Reply with quote
Ye kya tha samajh nahi aaya.. comment ya compliment... Usual Smile
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #3 on: October 21, 2010, 09:41:58 AM »
Reply with quote
both....samjhne k liye dimag chahiye ... tongue3
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: October 21, 2010, 09:42:23 AM »
Reply with quote
Usual Smile
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #5 on: October 21, 2010, 12:03:42 PM »
Reply with quote
agar ise pyar nahi kahte to kya kahte hai hriday ji.. icon_scratch
 i luv d way u expressed ur feelings...
great work... Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: October 21, 2010, 06:37:09 PM »
Reply with quote
ye to mujhe bhi nahi pata Manzil ji ki isko kya kehte hain... but thanks a lot for loving my poem... thanks a lot...!!!
Logged
Intezar
Guest
«Reply #7 on: October 21, 2010, 08:31:24 PM »
Reply with quote
achha hai jo kehna hai Kapil bhai wo to samajh hi jaayega jiske liye specially aapne likha hai...!

Na pyaar raha na aitbaar raha...
phir na jaane kiska Intezar raha... !

Intezar !
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: October 22, 2010, 09:25:06 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya bhai... waise ye maine kisi special ke liye nahi likha hai.. yunhi bas likh diya ... bas ek soch hai aur kuch nahi... Usual Smile
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #9 on: October 22, 2010, 09:33:25 AM »
Reply with quote
Bahut khoob likha hai kapil ji...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: October 22, 2010, 09:37:42 AM »
Reply with quote
main aapka tahe dil se shukriya adaa karta hoon Geet ji.. bahut bahut shukriya...!!!
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #11 on: October 22, 2010, 09:43:10 AM »
Reply with quote
Hey Kapil ye kya kab se......ye rog tumko laga reeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee


aadat thi meri kisi ke ankhon me doob jaane ki,
aadat thi meri kisi ki baaton me kho jane ki,
kuch is tarah se kharab ki thi maine apni aadatein,
ki kehne lage log ki kahin tujhe pyaar to nahi,
na ji na, sach kehta hoon, ab main pyaar nahi karta,
nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hoti hai,

khoya khoya rehta tha har pal kisi ki yaadon me,
tanhaayi me kabhi khud se baatein kiya karta tha main,
poochha karte the mujhe ki bata na kya hua tujhe,
aur tab bas kuch bahaane bana liya karta tha main,
nahi samajhta tha main ki wo kya ho raha tha mujhe,
nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hoti hai,

kisi se na milo to kuch khaane ka mann nahi karta tha,
chehra na dekho kisi ka to aankhon me neend nahi aati thi,
takra jaata tha sadak pe chalte chalte logon se,
kehte the log ki kahin tu paagal to nahi hai,
na ji na, ye mujhe maaloom na tha ki aisa kyun hota hai,
nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hoti hai,

aadaat thi meri ki dosti ko main pyaar samajhta tha,
kisi se milke use main hamesha ke liye apna maan chuka tha,
maloom na tha ki jise aap chaho jaruri nahi wo bhi chaahe aapko,
main kisi ko apna jeewaan bhar ka saathi bana baitha tha,
par ab samajh aaya ki wo pyaar nahi kuch aur tha,
nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hoti hai,

ab koi hai mere kareeb, mere bahut kareeb hai wo,
mujhe apni zindagi apna sab kuch samajhti hai wo,
kaise maan lun ki jo ab hai use mujhse wo pyaar hai,
main jisa karta tha kisi se kuch kuch waisa karti hai wo,
na ji na, sach kehta hoon, ab main pyaar nahi karta,
nahi samajhta main ki pyaar kya cheez hoti hai...


*****HRIDAY*****
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #12 on: October 22, 2010, 09:47:13 AM »
Reply with quote
kapil jiiii lagta he pyaar ka keeda lag gaya apkoooo....achhe se...

de dana goal ki tarah romantic poems likh rahe ho aap or wo bhi itni achhi ..wah jiiii..dheer saari daad~
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: October 22, 2010, 09:48:23 AM »
Reply with quote
na ji na Koyal, sach kehta hoon, mujhe koi aisa rog nahi lagaa... sab ek dum mast hai....!!!

Hey Kapil ye kya kab se......ye rog tumko laga reeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: October 22, 2010, 09:49:26 AM »
Reply with quote
heheheheh.... nahi sarkaar aisa koi keeda nahi laga mujhe... waise bahut bahut shukriya meri rachna pasand karne ke liye...!!!

kapil jiiii lagta he pyaar ka keeda lag gaya apkoooo....achhe se...

de dana goal ki tarah romantic poems likh rahe ho aap or wo bhi itni achhi ..wah jiiii..dheer saari daad~
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:29:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer