Na Mil Payegi Manzil

by riyaz106 on March 10, 2010, 12:14:45 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2376 times)
riyaz106
Guest
Reply with quote
GHAZAL

Ghayal hue hum bhi wo kaha.n dekh raha hai
Bas apne hi zakhmon ke nisha.n dekh raha hai

Us shakhs ko ulfat mein na mil payegi manzil
Is raah mein jo sood-o-ziya.n dekh raha hai            Sood-o-ziyan = Profit & Loss

Khushiyon ne diye dokhe use itne ke wo ab
Har simt fazaaon mein khizaa.n dekh raha hai

Afsos hai too apne usoolon ko bhulaa kar
Ghairon ke tareeqon mein amaa.n dekh raha hai     Amaan = Safety

Ladte hue firqon mein sulah usne karaai                  Firqon  = Groups
Ab jaltaa hua apna makaa.n dekh raha hai

Riyaz “Ashna”

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Manzil by Talat in Shairi - E - Zindagi « 1 2 ... 7 8 »
Manzil by yasir_sensitive in Shairi - E - Zindagi
manzil.... by Harleyboy1 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Manzil by Khushboo in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Kat Payegi Kaise Ye Meri BeHunar Zindagi by Rajnish.raaj in Shairi - E - Zindagi
Talat
Guest
«Reply #1 on: March 10, 2010, 12:18:13 PM »
Reply with quote
Bohot bohot khoob Riyaz Ji..behad khoobsurat ghazal..  Applause Applause Applause
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #2 on: March 10, 2010, 12:19:44 PM »
Reply with quote
KAMAAL KA LIKHA  HAI            
KALAM TOD KE LIKHA HAI.

RIYAZ JI. Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: March 10, 2010, 12:23:20 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Talat ji ke aapko meri ghazal pasand aai.
Bohot bohot khoob Riyaz Ji..behad khoobsurat ghazal..  Applause Applause Applause

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: March 10, 2010, 12:28:42 PM »
Reply with quote
Suresh ji aapka behad shukriya hausla afzai aur ghazal pasand karne ke liye.
KAMAAL KA LIKHA  HAI             
KALAM TOD KE LIKHA HAI.

RIYAZ JI. Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
khushi_M
Guest
«Reply #5 on: March 11, 2010, 09:00:24 AM »
Reply with quote
Good
Logged
Riyaz Khan
Guest
«Reply #6 on: March 11, 2010, 10:18:54 AM »
Reply with quote
Subhaan Allah

achcha likha hai,,, Applause Applause Applause Applause

Mere dil ko choliya hai Is kalam ne,
Aapko Kushnodi mile har maqaam me,,
 icon_salut
Logged
drpandey
Guest
«Reply #7 on: March 11, 2010, 10:45:49 AM »
Reply with quote
GHAZAL

Ghayal hue hum bhi wo kaha.n dekh raha hai
Bas apne hi zakhmon ke nisha.n dekh raha hai

Us shakhs ko ulfat mein na mil payegi manzil
Is raah mein jo sood-o-ziya.n dekh raha hai            Sood-o-ziyan = Profit & Loss

Khushiyon ne diye dokhe use itne ke wo ab
Har simt fazaaon mein khizaa.n dekh raha hai

Afsos hai too apne usoolon ko bhulaa kar
Ghairon ke tareeqon mein amaa.n dekh raha hai     Amaan = Safety

Ladte hue firqon mein sulah usne karaai                  Firqon  = Groups
Ab jaltaa hua apna makaa.n dekh raha hai

Riyaz “Ashna”


Riyaz sahab aapki ghazal itni khubshurat hai ki kuchh kahne ko man ho raha hai. Aap ke is kalam ke naam ek sher arz karrta hun jo aap ki ghazal dekhne ke baad jehan mein aaya hai..

Sabnam hai pankhudi ka ye kaale gulab ke,
Maathe se jo tapka hai shab-e-mahtaab ke.

 
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: March 11, 2010, 12:20:14 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Riyaz Bhai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aakhri Sher To bahut Hi khoobsurat Hai Thumbs UP!!!
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #9 on: March 11, 2010, 02:45:16 PM »
Reply with quote
Dear guest Khushi ji aur mere humnaam Riyaz ji, aapka bahut bahut shukriya ghazal pasand farmane ke liye.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #10 on: March 12, 2010, 03:29:49 AM »
Reply with quote
Pandey sahab aapka dher sara shukria. Karam nawazish. Aapne bada hi khoobsurat sher ataa kiya hai.
Riyaz sahab aapki ghazal itni khubshurat hai ki kuchh kahne ko man ho raha hai. Aap ke is kalam ke naam ek sher arz karrta hun jo aap ki ghazal dekhne ke baad jehan mein aaya hai..

Sabnam hai pankhudi ka ye kaale gulab ke,
Maathe se jo tapka hai shab-e-mahtaab ke.

 
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #11 on: March 12, 2010, 05:15:02 AM »
Reply with quote
Shihab Bhai aapka bahut bahut shukriya ke aapne ye ghazal pasand farmai aur muhabbat se nawaza. Aage bhi aapki nazre inayat ki ummeed ragegi.
Bahut Umda Ghazal Hai Riyaz Bhai
Par Yeh Sher Bahut Achhey Lage Mujhey
Bahut Khub.....


Khush Rahiye....


~Shihab~

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #12 on: March 12, 2010, 06:56:04 AM »
Reply with quote
Khwaish ji aapka dil se behad shukriya ke aapko meri ye ghazal pasand aai.
Bahut Bahut Khoob Riyaz Bhai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aakhri Sher To bahut Hi khoobsurat Hai Thumbs UP!!!

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #13 on: March 12, 2010, 07:06:50 AM »
Reply with quote
Bahut Sundar Ghazal hai Riyaz Ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #14 on: March 12, 2010, 07:19:26 AM »
Reply with quote
Rajesh ji ye aapki zarranawazi. Aapka behad shukriya ke ye ghazal aapko pasand aai
Bahut Sundar Ghazal hai Riyaz Ji
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:02:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer