NaFarmaa'N Betay Ka Nohah....................mazHur

by mazHur on November 05, 2014, 06:44:53 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 937 times)
mazHur
Guest
Reply with quote

BeAdab Gustakh jab Aulad ho jaye
Chain Sukh Maa'n Baap ka Barbaad ho jaye


Cheen le Budbakht jo Walid ka Sarmaya
Jeete Jee kion Baap na Barbad ho jaye


Aasteen ka Saamp tha, Beta nhi tha woh
Maut aye usko woh Barbad ho jaye

Baap kee jo he Raza Allah kee bhi wohi
Aashkaar is Qaul se Aulad ho jaye


Maa'n ke hee Pairoan talay Jannat He mere Lal
Rah se Bhatka jo too Barbaad ho jaye


Sin Raseeda Baap ke Farzand hein Bazoo
Jo na samjhay Baat ye  barbaad ho jaye


Nek o Taabaydar ho Aulad to Wallah
Walideen ka Dil khushi se shaad ho jaye


Kia karein woh Waladeen jab Nakhalaf Beta
Mayel e Jaur o Situm Eejaad ho jaye


Qibla o Ka'aba se kuch Kumtar nhi Maa'n Baap
Kaash Hurmat aashna Aulaad ho jaye


Deen o Dunya Chhin gayee NaKhalf Betay Kee
Baap per jo Mayel e Bedaad ho jaye


Tu ne mera Dil dukhaya to he mere Lal
Hashr tak tu Unsuni Faryaad ho jaye


Kion na ho jaye Pidar phir zinda dar-goara'n
Jab Pisar Badbakht hee Sayyad ho jaye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
betay dinoo ki jaab yaad ati hay by Arifa in Shayeri for Dard -e- Bewafai
December (mazHur) by mazHur in Occassion Specific Poetry
Ho Jaye! (mazHur) by mazHur in Ghazals
Eid 2014 (mazHur) by mazHur in Ghazals
Udaas he dil...(mazHur) by mazHur in Miscellaneous Shayri
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #1 on: November 05, 2014, 09:06:20 PM »
Reply with quote
mazHur Sahib, Aapne bahut achhee poem likhee hai Janaab, lekin kuchh fundamental issue hai jis se main raazee nahin hoon. Jee aulaad khraab nikal saktee hai, uss mein main maataa zyaadaa pitaa ko dosh doon gaa. Bete yaa betee ko parents kabhi bhi bad duaa nahin dete hain. Iss kaa yeh matlab nahin hai ke main aapko daad nahin de rahaa hoon.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
mazHur
Guest
«Reply #2 on: November 05, 2014, 09:23:41 PM »
Reply with quote
mazHur Sahib, Aapne bahut achhee poem likhee hai Janaab, lekin kuchh fundamental issue hai jis se main raazee nahin hoon. Jee aulaad khraab nikal saktee hai, uss mein main maataa zyaadaa pitaa ko dosh doon gaa. Bete yaa betee ko parents kabhi bhi bad duaa nahin dete hain. Iss kaa yeh matlab nahin hai ke main aapko daad nahin de rahaa hoon.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


Surindarn sahib ,,,apke tajziyay ka bahut bahut shukriya...
aur daad ke bhi

Baat simple see he ....

WALI KE GHAR SHAITAN BHI PAIDA HO JATAY HEIN,,,
therefore it is not correct to blame parents...as no parent wants his child to turn wicked,,,and on top of it do some ugly act which harms the parents themselves.
I have seen this happening in real life and have experienced myself ..
what to do other than cuss such an Aulaad...
Is se acha he ke woh paida hote hee mar gaya hota!!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: November 06, 2014, 01:10:10 AM »
Reply with quote
ek rau ke saath is kaduwee sachhaai ke liye
Logged
poetmazhur
Guest
«Reply #4 on: November 06, 2014, 01:43:09 AM »
Reply with quote
ek rau ke saath is kaduwee sachhaai ke liye
                                                                                                                                                                   Dear sksain4 sahib, sachayee kee talkh haqeeqat ko qubool krne ka dili shukriya ada krta hn,.........rau ka tohfa dene ka bhi thanks,....,dua he k aulad ho to nek aur farmanbardar ho warna yehi aulad jaean ho kr sun raseeda maata pita ke leay narkh ban jaati he,,,,,,
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #5 on: November 06, 2014, 02:38:30 PM »
Reply with quote
waaaaaaaaaaaaah behad umda kalaam Mazhur saheb, dheroN daad aur Rau bhi.
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #6 on: November 06, 2014, 06:06:16 PM »
Reply with quote
 Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! sach belkul sach likha hai jnaab bhoot umda
Logged
mazHur
Guest
«Reply #7 on: November 07, 2014, 03:46:48 AM »
Reply with quote
waaaaaaaaaaaaah behad umda kalaam Mazhur saheb, dheroN daad aur Rau bhi.

thank you, Iftikhar bhai. Nazm apko pasand aee dil khush hua ke aap aisay kohna mashq shayer ne sharaf e qubiat baksha..
Rau ka tohfa ata karne per mazeed dili shukriya..
Sada Khush rehye.....
Logged
mazHur
Guest
«Reply #8 on: November 07, 2014, 03:50:25 AM »
Reply with quote
Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you! sach belkul sach likha hai jnaab bhoot umda


apko nazam pasand ayee,,bahut bahut shukriya,,apke comment ka bhi shukria ..aur mazeed shukriya apka aur sab dostoan ka ke unhoan ne apna qeemati waqt de kar meri nazm ko parha aur saraha...

hamesha khush rehye muskurayeee
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #9 on: November 08, 2014, 09:23:40 AM »
Reply with quote
bahut acha likha hai mazhurji.....

sachchai bahut kadwi hai..... par sach to akhir ko sach hi hai..... jis par beeti aur jisne jhela wo hi jan sakta hai....
insan sachai se darta hai aur aankhe band kar leta hai..... aur kahta ki aisa nahin ho sakta......

khub.........
Logged
mazHur
Guest
«Reply #10 on: November 08, 2014, 11:18:21 AM »
Reply with quote
bahut acha likha hai mazhurji.....

sachchai bahut kadwi hai..... par sach to akhir ko sach hi hai..... jis par beeti aur jisne jhela wo hi jan sakta hai....
insan sachai se darta hai aur aankhe band kar leta hai..... aur kahta ki aisa nahin ho sakta......

khub.........


dear mann.mann, aapke tabsaray aur pasandeedagi ka bahut bahut shukriya .....ummeed he k aap ayenda bhi isi tarah hosla afzai karte rehein ge
dhanebad!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:15:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer