****Nahi chahti mai****

by jannatjahan on May 06, 2009, 09:26:43 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1701 times)
jannatjahan
Guest
Reply with quote
Nahi chahti mai ki mashoor ho jaun
Tammana bas itni si ki kuch der ke liye sahikhusi me chur ho jaun

Nahi chahti mai chuna AAsmaan ki bulandi ko
Tammana bas itni ki kisi ke aankhon ka noor ban jaun

Nahi chahti mai banana kisi ke dard ka sabab
Tamanna bas itni ki dard dene walon ke liye..
kabhi na sukhne wala nasoor ban jaun
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
LaDkiYaN Kia ChahTi Hai by asgher in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Sona Chahti hu***** by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4  All »
Main Kya chahti hun? by deepika_divya in Miscellaneous Shayri
Zindgi ko azmana chahti hu... by brokenbyluv in Shairi - E - Zindagi « 1 2 3 4 »
Paakar Khona Nahi Chahti by nishi gahlaut in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
diya786
Guest
«Reply #1 on: May 06, 2009, 09:41:51 AM »
Reply with quote
bahut khob Jannat ji Applause Applause
ek choti si koshish meri bhi hai kabool farmaaiyega...

kahan chaha tha maine ki mujhe bhi mohabbat ho jaaye
khwaish choti si thi ki uhnein kisi se pyar ho jaaye

kahan chaha tha maine ki dard mein unki aankhein nam ho jaaye
khwaish choti si thi ki nighahon mein bas khushi bhar jaaye

kahan chaha tha maine ki zindagi ek baar phir unse muh mood jaaye
khwaish choti si thi ki unki har dua kabool ho jaaye
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #2 on: May 06, 2009, 09:55:11 AM »
Reply with quote
Hey Thanks Dear Diya Usual Smile

Bahut achha reply kiya hai..Too gud Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: May 06, 2009, 09:58:52 AM »
Reply with quote
Nahi chahti mai ki mashoor ho jaun
Tammana bas itni si ki kuch der ke liye sahikhusi me chur ho jaun

Nahi chahti mai chuna AAsmaan ki bulandi ko
Tammana bas itni ki kisi ke aankhon ka noor ban jaun

Nahi chahti mai banana kisi ke dard ka sabab
Tamanna bas itni ki dard dene walon ke liye..
kabhi na sukhne wala nasoor ban jaun



wooh kya andaaz-e-bayaan hai

mere dard ko samjhe koi mein yeh nahin chahta
dekhna mujhko yeh hai kii woh kitna dard dega
Logged
diya786
Guest
«Reply #4 on: May 06, 2009, 10:00:42 AM »
Reply with quote
Hey Thanks Dear Diya Usual Smile

Bahut achha reply kiya hai..Too gud Clapping Smiley Clapping Smiley

Shukriya Jannat dear jo aapne saraha... notworthy



wooh kya andaaz-e-bayaan hai

mere dard ko samjhe koi mein yeh nahin chahta
dekhna mujhko yeh hai kii woh kitna dard dega

nice lines Salil ji Applause Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: May 06, 2009, 10:07:19 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Jannat Ji
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #6 on: May 06, 2009, 03:19:45 PM »
Reply with quote
Very good Jannat Ji
SARVESH RASTOGI
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: May 06, 2009, 05:51:04 PM »
Reply with quote
Nahi chahti mai ki mashoor ho jaun
Tammana bas itni si ki kuch der ke liye sahikhusi me chur ho jaun

Nahi chahti mai chuna AAsmaan ki bulandi ko
Tammana bas itni ki kisi ke aankhon ka noor ban jaun

Nahi chahti mai banana kisi ke dard ka sabab
Tamanna bas itni ki dard dene walon ke liye..
kabhi na sukhne wala nasoor ban jaun


Bohot Khoob Jannat
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: May 06, 2009, 05:51:33 PM »
Reply with quote
bahut khob Jannat ji Applause Applause
ek choti si koshish meri bhi hai kabool farmaaiyega...

kahan chaha tha maine ki mujhe bhi mohabbat ho jaaye
khwaish choti si thi ki uhnein kisi se pyar ho jaaye

kahan chaha tha maine ki dard mein unki aankhein nam ho jaaye
khwaish choti si thi ki nighahon mein bas khushi bhar jaaye

kahan chaha tha maine ki zindagi ek baar phir unse muh mood jaaye
khwaish choti si thi ki unki har dua kabool ho jaaye


Very nice reply Kashish
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: May 06, 2009, 05:52:11 PM »
Reply with quote


wooh kya andaaz-e-bayaan hai

mere dard ko samjhe koi mein yeh nahin chahta
dekhna mujhko yeh hai kii woh kitna dard dega

Nice one Salil
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #10 on: May 07, 2009, 10:10:40 AM »
Reply with quote


wooh kya andaaz-e-bayaan hai

mere dard ko samjhe koi mein yeh nahin chahta
dekhna mujhko yeh hai kii woh kitna dard dega
Hmmmm Lagta hai kuch jyada pasand aa gaya

Jo nahi hai dard seene me dard ki baat kyun karta hai
lagta hai tu bhi kisi ke pyaar me hai..isliye AAhein bharta hai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #11 on: May 07, 2009, 10:13:45 AM »
Reply with quote
haan aisa hi hai kucchh samajh lo

na dard hai mujhme na mein dard kii baat karta hoon
zazbaaton ka samandar hai mere bheetar,ashqon k moti nikal rakhta hoon
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #12 on: May 07, 2009, 10:25:31 AM »
Reply with quote
haan aisa hi hai kucchh samajh lo

na dard hai mujhme na mein dard kii baat karta hoon
zazbaaton ka samandar hai mere bheetar,ashqon k moti nikal rakhta hoon
Apne zazbaaton ko byan kar ke dekh
mohabbat se tere ashqon ko tham na lun to kehna
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #13 on: May 07, 2009, 10:37:01 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Jannat
Thanks Dear celmira Usual Smile
Logged
syednaami
Guest
«Reply #14 on: May 11, 2009, 03:36:20 PM »
Reply with quote
JJ,
Wah jee wah, kya ashaar likhe hain, ek tez dhar shayiri... Bahut achhee...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:25:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer