nahin biktey

by sana Afroz on November 12, 2014, 04:34:46 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1029 times)
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
Reply with quote
qurbatein bikti hain,jazbe nahin biktey aye dost !!
lafz to bikte hain, lahjey nahin biktey aye dost !!

bikne ko  bikti hai  har cheez  zamaane mein magar,
rooh parwar bhi hon lamhey nahin biktey aye dost !!
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #1 on: November 12, 2014, 05:31:53 PM »
Reply with quote
Bohat khub sana wlcm to yoindia family
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: November 12, 2014, 07:00:55 PM »
Reply with quote
Good one.
Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #3 on: November 12, 2014, 07:24:56 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya aap hazraat ka.
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #4 on: November 12, 2014, 09:43:04 PM »
Reply with quote
bahut khoobsurat sher hai, dheron daad. welcome to yoindia family.
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #5 on: November 13, 2014, 12:01:16 AM »
Reply with quote
Shukriya Surindran ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: November 13, 2014, 01:10:23 AM »
Reply with quote
Yunhi Likhte Rahein Mehfil Sajaate Rahein,.
Logged
vb
Guest
«Reply #7 on: November 13, 2014, 07:55:09 AM »
Reply with quote
qurbatein bikti hain,jazbe nahin biktey aye dost !!
lafz to bikte hain, lahjey nahin biktey aye dost !!

bikne ko  bikti hai  har cheez  is zamaane mein,
rooh parwar bhi hon lamhey nahin biktey aye dost !!

Mohtarma sana Afroz sahiba! salam

buhat khoobsurat qata inayat farmaya aap ne... daad qabool kejay..

teesray misra wazan men nahi hay... agar aap chahen tu isay esay bhi keh sakti hen..

"bikne ko  bikti hai  har cheez  zamaane mein magar"

baaki aap behter samajhti hen...

ek cheez poochhna chahen gay k kia aap beher waghera ka ilm rakhti hen? agar rakhti hen tu kis qadar? poochnay ki waja sirf ye hay, k isi beher men ek aur ghazal bhi aap ne pesh ki hay, us men bhi sirf ek misra men wazan ka masla hay aur baaki tamam durust...

dua-go

Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #8 on: November 13, 2014, 08:06:55 AM »
Reply with quote
Shukriya vb  shb ....
mujhey fun e shayri ka koi ilm nahin hai wo to main shauqiya likhti hoo. Darasl mai chemistry teacher hoon ..is liye bahut radeef qafiya nahin mila paati hoon bus thora mashq kar leti hoon ...agar aap meri islaah karte rahe to main bhi qamyaab shayra ban sakti hoon kynk lagta hai k aap is fun ka achcha khada ilm rakhtey hain....
 duaon Mein yaad rakhiyega ....
.  ALLAH HAFIZ..
Logged
vb
Guest
«Reply #9 on: November 13, 2014, 09:51:02 AM »
Reply with quote
Mohtarma sana Afroz Sahiba! salam

ye jaan ker khushi hui, k hum ek suljhay huay insaan se bat kr rahay hen..

pehli derkhawast tu ye kerna chahen gay k hamari raayay, hatami nahi hoti... zahir hay k hum khud shagird hen aur seekhtay rehtay hen... so zaroori nahi k aap hamari her baat se itefaaq karen ku k hum khud ghalat bhi ho saktay hen.. albata, hum ye yaqeen-dahaani kerva saktay hen, k hum jo bhe mashwara den gay, khaloos-e-niyat se den gay..

aap ne "kaamyaab shayra" banena hay, or hamen yaqeen hay k inshallah ek din esa zaroor ho ga ku k aap "fitri shayara" hen... albata, ek baat jo hum ne note ki hay wo ye k "kaamyab shayar" do (2) tarah k hotay hen...

ek wo jo hamaari tarah boorha damaagh rakhtay hen, aur ilm-e-arooz (yaani shayari k ilm) ki paabandi laazmi samajhtay hen.. wo sher bhe kehtay hen, tu buhat napa-tula aur mayaari hota hay.. is qisim k shayar, aam taur pr kaamyaab shayar tu hotay hen, magar mashehoor shayar nahi hotay

doosray wo shayar hotay hen, jo behter likh letay hen.. qavaaneen ki pabandi nahi kertay, jadeed shayari kertay hen... ye log mash-hoor honay ky liyay kitaben bhi khoob print kerva letay hen.. aur mash-hoor bhe ho jatay hen..

so "kaamyaab shayara" se aap ki kia muraad hay, ye tu hum nahi jantay, lekin hamen umeed hay k jald hum aap ko kisi muqaam per dekhen gay... aap ki shayari jazbaat rakhti hay.. so zaroor logon k dil per asar keray ge...

hamaari duaain aap k sath hen..

dua-go
Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #10 on: November 13, 2014, 09:59:38 AM »
Reply with quote
Shukriya vb shb ..
mujhey shohrat dene wali nahin dil o dimagh ko choo lene wali shayri karni hai . Meri sabse bari kaamyabi tab hogi jab merey jazbey logon k zahnon aur dilon Mein jazb kar jayein.
duago
sana afroz...
Logged
vb
Guest
«Reply #11 on: November 13, 2014, 12:07:54 PM »
Reply with quote

...............
Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #12 on: November 13, 2014, 01:04:46 PM »
Reply with quote
bahut khoob  vb shb MASHALLAH!!!!
Bahut khoobsoorat ijhar tha khayalat ka , ye qalam ka hi jadoo hai k ham kuch na kahtey huye bhi bahut kuch kah jate hain ...
aap zamane se kafi mayus lagtey hain.
ye to sach hai baharhal k yahan fuqdaan hai sukhan sanashon ka.


ANJAM US K HATH HAI ,
    AGHAZ KAR K DEKH..
BHEEGE HUYE PARON SE HI,
   PARWAZ KAR K DEKH..(unknown)
Logged
Asif samani jaunpuri
Guest
«Reply #13 on: November 13, 2014, 03:32:22 PM »
Reply with quote
Bahut:clapping: khoob 

murde  bhi bik jate hai bazaro me....

Afsos sang dil koi nhi milta jaan bhi lutane pe

   ......~m.a~.....
Logged
Asif samani jaunpuri
Guest
«Reply #14 on: November 13, 2014, 03:33:41 PM »
Reply with quote
Bahut:clapping: khoob 

murde  bhi bik jate hai bazaro me....

Afsos sang dil koi nhi milta jaan bhi lutane pe

   ......~m.a~.....
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 23, 2024, 11:37:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer