Na-jaanay kis khuda (by vb)

by vb on April 12, 2014, 10:22:43 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1286 times)
vb
Guest
Reply with quote


Kuch ashq jo noha kanaaN thay, pee liyay men ne
Khauf-e-fasaad-e-khalq say lab, see liyay men ne


*-------------------------------------*



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MUJHE JAANAY DO AB KHANBABA by MAHAM*KHAN in Miscellaneous Shayri
na jaanay kab... by isha_verma7 in Shayri-E-Dard
Jaanay k Baad by sufi007 in Shayri for Dard -e- Judai
Na-jaanay kya kharaabi hay? (by vb) by vb in Miscellaneous Shayri
Khuda jaanay (by vb) by vb in Ghazals
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #1 on: April 13, 2014, 04:21:57 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
wah wah bohut hi umda waaaahhhhhhhhhhh
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: April 13, 2014, 08:23:11 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #3 on: April 13, 2014, 10:14:17 AM »
Reply with quote
wah Applause Applause Applause
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #4 on: April 13, 2014, 12:53:23 PM »
Reply with quote
Waah-waah,,,,,,,
Logged
laaiba
Guest
«Reply #5 on: April 13, 2014, 06:14:14 PM »
Reply with quote

Na-jaanay kis khuda ki baat karti ho? meri JaanaN!

Khudaara naam mat lena, tum us ka saamnay meray
Tumhara he khuda hay wo, tum apnay paas he rakho
Haqeeqat ki sittam aaraai  say moom more kar apna
Hamesha us k jhootay aasron par aas he rakho

Tumhara us say kya lena hay tum he jaanti ho par
Hazoor-e-ghaib men, main ne bhi to ik iltejaa ki thi
Dua ki thi k meray baazoovon ko tum sahaaraa do
Tumhaari chashm-e-tar k ashk chunenay ki dua ki thi

Hamaary paas rehnay ki zaroorat hi usay kya hay?
Agar wo dil ki nanhi iltejaain sun nahi sakta
Meri mad-hoshe baanhon kay sahaaray ab bhe veeraaN hen
Tumhaari chashm-e-tar kay nanhay aansoo chun nahi sakta

Wo jo maasoom jazbay khud ata karta hay seenon ko
Usay kya dil ki duniya lootnay men chain aata hay?
Na-jaanay naaz ku kar hay usay apni khudaai par
Hamesha chaahaton say dushmani ku kar nibhaata hay?

Tumhen bhe pyar hota mujh say tu tum khul k keh deti
Nahi kuch jhoot ki oqaat chaahat ki shareeyat men
Javaani thi tu dil ko aasraa bhe thaa khudaai ka
Mera tu uth gaya hay us say ab eemaaN haqeeqat men

Meri in talkh baton ki haqeeqat hay tu itni hay
Main us kay shukr kay jhootay taraanay gaa nahi sakta
Mujhay is jhoot ki duniya say nafrat hay, tu nafrat hay
Buhat phela chukka hoon daaman ab phela nahi sakta


*-------------------------------------*



achi takhleeq hy, khudaa ko samjha nhi kabhee aap ne vb jee,
well aap ne apna point of view sacha byan kiya hai, bohat c daad
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #6 on: April 14, 2014, 12:39:51 PM »
Reply with quote
वाह....वाह....वाह.....
Logged
vb
Guest
«Reply #7 on: April 14, 2014, 05:35:37 PM »
Reply with quote
shukriya aap sub ka ...

mohtarma laibaa sahiba! hum waqai nahi samjhay. wo khaaliq ho kar hamen nahi samjha tu hum makhlooq ho kar kaisay or kyun samjhen? ... aur agar wo hamen samajhta hay tu phir hamari ye baten us k liyay expected hon ge ...

khair.. shukriya aap ka k daad di aap nay...

dua go

ahqar-vb jee
Logged
laaiba
Guest
«Reply #8 on: April 14, 2014, 05:40:50 PM »
Reply with quote
salam vb g
khaaliq apni takhleeq ko samjhta hai
bilkul aise jese aapko apni nazm takhleeq kerte waqt ye pta tha ke iss men beher ki kitni ghalatiyan hen , Usual Smile
jo rab ko na samjhe woh khud ko kia samjhe ga
ye meri soch hai hai is se kisi ka mutafiq hona zaroori nhiN
Logged
vb
Guest
«Reply #9 on: April 14, 2014, 06:38:40 PM »
Reply with quote
salam vb g
khaaliq apni takhleeq ko samjhta hai
bilkul aise jese aapko apni nazm takhleeq kerte waqt ye pta tha ke iss men beher ki kitni ghalatiyan hen , Usual Smile
jo rab ko na samjhe woh khud ko kia samjhe ga
ye meri soch hai hai is se kisi ka mutafiq hona zaroori nhiN

Mohtarma laaiba sahiba! w/salam

hum nazm likhtay hen to usay ghaltiyoN say saaf rakhnay ki koshish kartay hen, jaisay k ye nazm hay. aap ko ghaltiaN nazar aa rahi hen to batain, hum isay theek karny ki koshish karen gay.. aur agar hum say ghaltian reh jaati hen ya kuch jaan boojh kar kartay hen, tu us k zimadar bhi hum khud hotay hen, bechari nazm ko is par qasoorvaar nahi thehraatay...

ghalatiyoN ki nishan-dahi ki darkhwast hay...

dua-go
Logged
aqsh
Guest
«Reply #10 on: April 14, 2014, 07:42:39 PM »
Reply with quote
shukriya aap sub ka ...

mohtarma laibaa sahiba! hum waqai nahi samjhay. wo khaaliq ho kar hamen nahi samjha tu hum makhlooq ho kar kaisay or kyun samjhen? ... aur agar wo hamen samajhta hay tu phir hamari ye baten us k liyay expected hon ge ...

khair.. shukriya aap ka k daad di aap nay...

dua go

ahqar-vb jee
Naoozbillah Min Zaalik...
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #11 on: April 14, 2014, 09:14:07 PM »
Reply with quote
VB I don't appreciate such poetries.
Logged
laaiba
Guest
«Reply #12 on: April 14, 2014, 09:43:27 PM »
Reply with quote
Naoozbillah Min Zaalik...
bohat mazrat ke sath aqsh g vb g ne yahan shirk ka irtikab nhi kiyaa,to naaoozbillah q,
Logged
laaiba
Guest
«Reply #13 on: April 14, 2014, 09:50:54 PM »
Reply with quote
Mohtarma laaiba sahiba! w/salam

hum nazm likhtay hen to usay ghaltiyoN say saaf rakhnay ki koshish kartay hen, jaisay k ye nazm hay. aap ko ghaltiaN nazar aa rahi hen to batain, hum isay theek karny ki koshish karen gay.. aur agar hum say ghaltian reh jaati hen ya kuch jaan boojh kar kartay hen, tu us k zimadar bhi hum khud hotay hen, bechari nazm ko is par qasoorvaar nahi thehraatay...

ghalatiyoN ki nishan-dahi ki darkhwast hay...

dua-go

vb g aapne reply ko padhiye gaa iss mein jawab ke khaliq ko apni takhleeq per b naaz hota hai ,
yahan maine aapki aik purani nazm jis per aapka reply tha ke iss men beshumar beher ki ghalatiyan hen ka hawala dia thaa,
Logged
vb
Guest
«Reply #14 on: April 14, 2014, 10:05:04 PM »
Reply with quote
vb g aapne reply ko padhiye gaa iss mein jawab ke khaliq ko apni takhleeq per b naaz hota hai ,
yahan maine aapki aik purani nazm jis per aapka reply tha ke iss men beshumar beher ki ghalatiyan hen ka hawala dia thaa,



or jisay apni takhleeq par naaz ho, wo apni takhleeq kay sath kya he khoob salook karta hay...

bohat mazrat ke sath aqsh g vb g ne yahan shirk ka irtikab nhi kiyaa,to naaoozbillah q,

nazm hata di hay hum ne.... shukriya...

ahqar-vb jee
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:04:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer