pankajwfs
Guest
|
|
|
Yaad hai tumhe.. Jab hum mile the.. Us roz... Tumhara haath tham ke.. Kaha tha maine ki... Tum ek nadi ho.. Jo behti hai mere... Antarman me.. Jaane kitne unche niche.. RaastoN se behtee huee.. pahunchi ho meree.. Pyaas bujhane ke liye.. Mere man ke darpan me.. Jami hui Mittee ko .. baha kar tumne.. Mujhe ek naya.. Maqaam diya hai.. Naye mayne diye hain.. Meri zindagee ko.. Tumhari nav umang se .. Bhari dharaoN.. Ko maine samaa liya tha.. Apne Tan mann me.. Jaise Atmasaat kiya .. Tha Shiv ne apne.. Andar Garal..ko.. . . . Aaj barsoN baad.. Mujhe us garal ka.. Ehsaas ho raha hai.. Jo ahista ahista .. Mere ander ke.. Sabhi armaano aur prem.. Ko khatm karta ja raha hai.. har pal.. pal pal Aur tum to nadi..ho.. Haan EK nadi.. Jo behti ja rahi ho.. Apne anjaan gantavya ki oar.. Tum ne aur majbooti .. Se apni dharaoN ko bandh liya hai .. Jaane kis saagar ki talash hai.. Tumhe .... O nadi... . . Mai koi bhagirath to nahi.. Na hi mai Shiv hun.. Meri kalpna se upji.. Tum ek Nadi thi..meri nadi.. O nadi.. anant yatra... ki subhkamana.. ke siwa.. Mere paas kuch bhi.. Nahi..kuch bhi nahi.. Kuch bhi nahi...
(PWFS 28/08/2012)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #1 on: August 28, 2012, 03:38:36 AM » |
|
Bahot pyari nazm hai Pankaj jee dil khol ke rakh diya..shayd itna kahna hi kaafi hai taaref meN. jab koi is tarah likhta hai..mujhe bahut accha lagta hai..aisa lagta hai ki bahut saare log hai duniya me jo choti -2 baareekiyon ko tawajjo dete hai..saral hriday ka prateek. par ek hidaayat bhi..jaldi tadap uthta hai aisa dil..ek kharonch pe cheetkaar kar uthta hai..par muh nahi kholta..isliye sambhaliyega khud ko.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #2 on: August 28, 2012, 04:10:40 AM » |
|
bahut sunder kawita haih pankaj ji hardik saadhuwaad
|
|
|
Logged
|
|
|
|
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
Rau: 115
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:101 days, 3 hours and 51 minutes.
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.
Posts: 16243 Member Since: Feb 2010
|
|
«Reply #3 on: August 28, 2012, 05:21:25 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
nandbahu
Mashhur Shayar
Rau: 122
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553 Member Since: Sep 2011
|
|
«Reply #5 on: August 28, 2012, 08:08:32 AM » |
|
bahut umda, dhero dad pankaj ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khamosh_aawaaz
Guest
|
|
«Reply #6 on: August 28, 2012, 08:17:15 AM » |
|
Yaad hai tumhe.. Jab hum mile the.. Us roz... Tumhara haath tham ke.. Kaha tha maine ki... Tum ek nadi ho.. Jo behti hai mere... Antarman me.. Jaane kitne unche niche.. RaastoN se behtee huee.. pahunchi ho meree.. Pyaas bujhane ke liye.. Mere man ke darpan me.. Jami hui Mittee ko .. baha kar tumne.. Mujhe ek naya.. Maqaam diya hai.. Naye mayne diye hain.. Meri zindagee ko.. Tumhari nav umang se .. Bhari dharaoN.. Ko maine samaa liya tha.. Apne Tan mann me.. Jaise Atmasaat kiya .. Tha Shiv ne apne.. Andar Garal..ko.. . . . Aaj barsoN baad.. Mujhe us garal ka.. Ehsaas ho raha hai.. Jo ahista ahista .. Mere ander ke.. Sabhi armaano aur prem.. Ko khatm karta ja raha hai.. har pal.. pal pal Aur tum to nadi..ho.. Haan EK nadi.. Jo behti ja rahi ho.. Apne anjaan gantavya ki oar.. Tum ne aur majbooti .. Se apni dharaoN ko bandh liya hai .. Jaane kis saagar ki talash hai.. Tumhe .... O nadi... . . Mai koi bhagirath to nahi.. Na hi mai Shiv hun.. Meri kalpna se upji.. Tum ek Nadi thi..meri nadi.. O nadi.. anant yatra... ki subhkamana.. ke siwa.. Mere paas kuch bhi.. Nahi..kuch bhi nahi.. Kuch bhi nahi...
(PWFS 28/08/2012)
veriiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii naaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaice
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Iftakhar Ahmad
Guest
|
|
«Reply #7 on: August 28, 2012, 09:01:01 PM » |
|
Waah waah waah waah Pankaj jee, kya khoob likha hai aapne. Dil jhoom utha padh ke. Bahut bahut mubarakbaad aur ek Rau meri taraf se.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pankajwfs
Guest
|
|
«Reply #8 on: August 29, 2012, 03:42:07 AM » |
|
Bahot pyari nazm hai Pankaj jee dil khol ke rakh diya..shayd itna kahna hi kaafi hai taaref meN. jab koi is tarah likhta hai..mujhe bahut accha lagta hai..aisa lagta hai ki bahut saare log hai duniya me jo choti -2 baareekiyon ko tawajjo dete hai..saral hriday ka prateek. par ek hidaayat bhi..jaldi tadap uthta hai aisa dil..ek kharonch pe cheetkaar kar uthta hai..par muh nahi kholta..isliye sambhaliyega khud ko.
Mukesh ji bahut bahut sukriya is nazm ko itne tafseel se padhne aur ehsaas karne ke liye....... Aab jo fitrat ban gai hai apni isi tarah se jeene ki ...phir bhi koshis rehti hai ki in khayalon ko apne upar jyada haawi na hone duN... Ek baar phir apka bahut bahut sukriya.................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pankajwfs
Guest
|
|
«Reply #9 on: August 29, 2012, 05:55:47 AM » |
|
bahut sunder kawita haih pankaj ji hardik saadhuwaad
Saini Sir bahut bahut sukriya apka is rachna ko pasand karne ke liye......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
vimmi singh
Guest
|
|
«Reply #10 on: August 29, 2012, 06:04:33 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
suman59
Guest
|
|
«Reply #11 on: August 29, 2012, 06:19:02 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pankajwfs
Guest
|
|
«Reply #12 on: August 30, 2012, 03:06:24 AM » |
|
Hriday ji bahut bahut sukriya...............
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
pankajwfs
Guest
|
|
«Reply #14 on: August 31, 2012, 05:48:11 AM » |
|
bahut umda, dhero dad pankaj ji
Nand jee bahut bahut sukriya. .....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|