riyaz106
Guest
|
Dil ke is dard mein ek raaz chhupa hai shayad Aankhon mein bas ke koi door hua hai shayad Ek aatish hai jo bujhti nahi jalti bhi nahi Dil lagaane se hi ye haal hua hai shayad Hai to wo door magar phir bhi nazar aata hai Jo mere paas hai wo mujhse juda hai shayad Mujhko maloom hai paana use mumkin hi nahi Aas ka dil mein diya phir bhi jalaa hai shayad
Ae tabeebo main samajhta hun ke kyon ho khamosh Mera marna hi mere gham ki dawaa hai shayad
Riyaz 'Ashna'
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
Rau: 19
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle
Posts: 5603 Member Since: Jun 2010
|
|
«Reply #1 on: August 05, 2010, 01:04:34 PM » |
|
beautiful poem Riyaz ji....
likhne pe majbur karde wo kalam hai aapki itni safai itni kashish hai kalam me aapki nahin socha tha k iske jawab me kuch kaur kahungi ungliyan na thami padhke ye nazm aapki...!!!
haan yehi dil k saudagiri ka inaam hota hai labon pe muskaan aankhon me ashk hota hai nahin de sakte hum dawa ya dua kisko har pal bas uski judai me dil aashna hota hai...!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
ParwaaZ
Guest
|
|
«Reply #3 on: August 05, 2010, 04:49:36 PM » |
|
Nice creation.........
KoyiN behad kareeb hai, Usko pehchaan gaya huN Chand roz ka mehmaan huN, Itna jaan gaya huN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
jasbirsingh
Guest
|
|
«Reply #4 on: August 05, 2010, 05:05:56 PM » |
|
wah riyaz ji bahut khoob jasbir singh hira_company@yahoo.com
|
|
|
Logged
|
|
|
|
jasbirsingh
Guest
|
|
«Reply #5 on: August 05, 2010, 05:07:35 PM » |
|
wah wah wah kasak ji.. aap ney bhi bahut hi khoob likha hai ...
jasbir singh
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #6 on: August 06, 2010, 06:25:06 AM » |
|
Aapka tah-e-dil se shukriya Kasak ji ke aapne meri is koshish ko pasand kiya. Aapki poetry bhi lajawab hai. Bahot achha likha hai aapne. beautiful poem Riyaz ji....
likhne pe majbur karde wo kalam hai aapki itni safai itni kashish hai kalam me aapki nahin socha tha k iske jawab me kuch kaur kahungi ungliyan na thami padhke ye nazm aapki...!!!
haan yehi dil k saudagiri ka inaam hota hai labon pe muskaan aankhon me ashk hota hai nahin de sakte hum dawa ya dua kisko har pal bas uski judai me dil aashna hota hai...!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #8 on: August 06, 2010, 04:57:22 PM » |
|
Parwaaz sahab aapka tah e dil se shukria ke aapne meri kawish ko pasand farmaya. Nice creation.........
KoyiN behad kareeb hai, Usko pehchaan gaya huN Chand roz ka mehmaan huN, Itna jaan gaya huN
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #9 on: August 07, 2010, 03:47:07 AM » |
|
Jasbir sahab aapka behad shukriya ke aapne meri creation ko pasand kiya.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nazar ghouri
Guest
|
|
«Reply #10 on: August 07, 2010, 09:53:33 AM » |
|
jnaab riyaaz saheb bahoot khoobsurat "ghazal" bazm ko ata ki hai hr sher umda raha ,ek behetreen kalaam pe dil se hazaro daad.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khamosh_aawaaz
Guest
|
|
«Reply #11 on: August 07, 2010, 11:34:16 AM » |
|
Dil ke is dard mein ek raaz chhupa hai shayad Aankhon mein bas ke koi door hua hai shayad Ek aatish hai jo bujhti nahi jalti bhi nahi Dil lagaane se hi ye haal hua hai shayad Hai to wo door magar phir bhi nazar aata hai Jo mere paas hai wo mujhse juda hai shayad Mujhko maloom hai paana use mumkin hi nahi Aas ka dil mein diya phir bhi jalaa hai shayad
Riyaz 'Ashna'
bahut khoob reyaz sb
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #12 on: August 09, 2010, 04:54:17 AM » |
|
Nazar sahab zarranawazi ka shukriya. Aapko ghazal pasand aai ye jaankar khushi hui. Aainda bhi aapse hausla afazaai ki ummeed rahegi.jnaab riyaaz saheb bahoot khoobsurat "ghazal" bazm ko ata ki hai hr sher umda raha ,ek behetreen kalaam pe dil se hazaro daad.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #13 on: August 09, 2010, 05:51:11 AM » |
|
KA ji aapka tah e dil se shukriya ke aapne meri kawish ko pasand farmaya. Aapse aainda bhi hausla afazaai ki ummeed rakhunga. bahut khoob reyaz sb
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|