Paana use mumkin hi nahi

by riyaz106 on August 05, 2010, 12:55:01 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3315 times)
riyaz106
Guest
«Reply #15 on: August 09, 2010, 06:59:17 AM »
Reply with quote
Khwaish Bhai aapka tah-e-dil se shukriya ke aapne meri is koshish ko pasand farmaya. Aapka ye hausla afzaai ka jazba bhi tareef ke qabil hai. Phir se shukriya.

Dar asl shuru ke do sher maine ek Yoindian(Kasak Dil ki) ki poem se mutassir hokar likhe the aur reply mein post kiye the. Phir isme do sher aur add kar diye aur nai thread mein puri poem post kar di. Aapne mera wo reply parha hoga isliye aapko aisa laga.
Bahut Bahut Khoob Riyaz Ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Shayad Aapne Yeh ghazal Ko Dobara Post Kiya  Usual Smile

Bahut Ache.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mumkin nahi.... by Manav Mehra in Shayri for Dard -e- Judai
*****unhe bhool paana hamare bas mai nahi***** by baadal102 in Shayri for Khumar -e- Ishq
YEH MUMKIN NAHI by ANKIT RAO in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mumkin nahi! by salma786 in Shayri-E-Dard
ab mumkin nahi... by neersingh in Shayri for Dard -e- Judai
madhuwesh
Guest
«Reply #16 on: August 09, 2010, 10:44:49 AM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Riyaz bhai,bahut gaherai aur khoobsurti se likha aapne,wonderful lines by Kasak ji ad Parwaaz ji.keep it up. icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #17 on: August 09, 2010, 12:44:27 PM »
Reply with quote
Shihab Bhai aapka tah e dil se shukriya ke aapne meri is kawish ko psand kiya. Allah aapko bhi khush rakhe.
Bhai Riyaz Aadab...
Umeed Karta Hun Aap Khairiyat Se Honge...!
Aur Bhai Maafi Chahta Hun Meri Kamzor Nazron Ne
Itne Derr Se Dekha....
Bahut Hi Achchi Peshkash Hai Bhai Humesha Ki Tarah.

ALLAH Pak Aapko Humesha Khush Rakhe Ameen.


~Shihab~

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #18 on: August 09, 2010, 01:34:30 PM »
Reply with quote
Madhu-di aapka behad behad shukrguzar hun ke aapne meri koshish ko saraha.
Wah bahut khoob Riyaz bhai,bahut gaherai aur khoobsurti se likha aapne,wonderful lines by Kasak ji ad Parwaaz ji.keep it up. icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #19 on: August 09, 2010, 01:43:18 PM »
Reply with quote
RIYAZ JEE BAHUT KHOOB!BAS EK OR SHER KEE KAMEE MAHSOOS HO RAHEE HAI.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #20 on: August 10, 2010, 02:50:05 AM »
Reply with quote
Mamta ji aapka behad shukriya. Aapki baat sahi hai ke ek sher ki kami hai. Kabhi sher bante chale jate hain aur kabhi chahkar bhi nahi. Aapki tajveez ke baad sochta raha aur ek sher ho gaya--

Ae tabeebo main samajhta hun ke kyon ho khamosh
Mera marna hi mere gham ki dawaa hai shayad
RIYAZ JEE BAHUT KHOOB!BAS EK OR SHER KEE KAMEE MAHSOOS HO RAHEE HAI.
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #21 on: August 10, 2010, 04:16:55 AM »
Reply with quote
RIYAZ JEE BAHUT BAHUT SHUKRIYA!AAPNE MERI BAAT PAR GOUR KARKE APNI TAKHLEEK KO GAZAL HONE KA HAQ ADAA KIYA.AAP KA YE SHER BHI DIL PAR APNA ASAR CHOD GAYA.......BAHUT KHOOB!
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #22 on: August 10, 2010, 11:10:29 AM »
Reply with quote
Behad shukriya Mamta ji.
RIYAZ JEE BAHUT BAHUT SHUKRIYA!AAPNE MERI BAAT PAR GOUR KARKE APNI TAKHLEEK KO GAZAL HONE KA HAQ ADAA KIYA.AAP KA YE SHER BHI DIL PAR APNA ASAR CHOD GAYA.......BAHUT KHOOB!
Logged
Qadeer.Toopchi
Guest
«Reply #23 on: August 13, 2010, 10:19:14 PM »
Reply with quote
Riyaz sahab aadab ,,

Takhir ke liye mazrath ,, Apki Tareef me kya kaha jaye sahab ..wah wah ..Eak nahi balke hazarah dad apki Is Rawan dawan ghazal pe .. Allah apko hamesha khush rakhe ..


Dua go

Qadeertoopchi
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #24 on: August 14, 2010, 12:00:00 AM »
Reply with quote
Dil ke is dard mein ek raaz chhupa hai shayad
Aankhon mein bas ke koi door hua hai shayad
Ek aatish hai jo bujhti nahi jalti bhi nahi
Dil lagaane se hi ye haal hua hai shayad
Hai to wo door magar phir bhi nazar aata hai
Jo mere paas hai wo mujhse juda hai shayad
Mujhko maloom hai paana use mumkin hi nahi
Aas ka dil mein diya phir bhi jalaa hai shayad

Ae tabeebo main samajhta hun ke kyon ho khamosh
Mera marna hi mere gham ki dawaa hai shayad


Riyaz 'Ashna'

Bahut umda lekhni hai Riyaz Ji
Yun hi likhte rahiye
Logged
drpandey
Guest
«Reply #25 on: August 17, 2010, 07:18:26 PM »
Reply with quote
Dil ke is dard mein ek raaz chhupa hai shayad
Aankhon mein bas ke koi door hua hai shayad
Ek aatish hai jo bujhti nahi jalti bhi nahi
Dil lagaane se hi ye haal hua hai shayad
Hai to wo door magar phir bhi nazar aata hai
Jo mere paas hai wo mujhse juda hai shayad
Mujhko maloom hai paana use mumkin hi nahi
Aas ka dil mein diya phir bhi jalaa hai shayad

Ae tabeebo main samajhta hun ke kyon ho khamosh
Mera marna hi mere gham ki dawaa hai shayad


Riyaz 'Ashna'
Bahut khoob Riyaz Sahab, Behad umda peshkash, shaandaar Ghazal.....
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #26 on: August 17, 2010, 07:45:39 PM »
Reply with quote
Wah Riyaaz Sahaab behad khoob peshkash .....
Dilfareb ahsaas aur umda bayani....
Dil ko chu gaye aapke ashaar...
Dil se daad hazir hai......

Khush rahiye...
Khuda Hafez.....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #27 on: August 17, 2010, 07:50:37 PM »
Reply with quote
Waah Bohat Achchi Ghazal Hai Riyaz Bhai,.
Very touching
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #28 on: August 18, 2010, 10:16:13 AM »
Reply with quote
Abdul Qadeer sahab aapka behad behad shukriya ke aapne meri ghaza ko pasand farmaya.
Riyaz sahab aadab ,,

Takhir ke liye mazrath ,, Apki Tareef me kya kaha jaye sahab ..wah wah ..Eak nahi balke hazarah dad apki Is Rawan dawan ghazal pe .. Allah apko hamesha khush rakhe ..


Dua go

Qadeertoopchi
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #29 on: August 18, 2010, 10:17:59 AM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Rajesh ji ghazal ko pasand farmaya aapne. Zarra nawazi hai aapki.
Bahut umda lekhni hai Riyaz Ji
Yun hi likhte rahiye
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:50:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.16 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer