Paigaam... (Shikha)

by Shikha12 on September 14, 2007, 06:45:13 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4922 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: September 21, 2007, 04:32:36 PM »
Reply with quote
Just a try Shikha....on the same theme as yours..........but still nowhere of your creation ! That was just amazing ! Usual Smile

Ye daur hai kaisa, har chehre par chaaya hai khauf,
Dolta hua dilon main ab imaan nazar aata hai......

Tukde bikhre jismon ke, khoon main ranga hai shehar,
Dooba kaale dhuain main aasmaan nazar aata hai...

Ek cheekh sun kar khidkiyaan, darwaaze sab band ho gaye,
Ek ablaa ko logon se bhara biyaabaan nazar aata hai.....

Jism par hain cheethrhe, gard main lipte hain paanv,
Aankhon se kuch bolta, ek bezubaan nazar aata hai

Uth ke chal diya ladke ka baap, na dikha jo usko maal,
Ladki ki sisakti maa, majboor baap kahan nazar ataa hai

Hawa main lehraata jhanda, azaadi ke ho gaye saath(60) saal
Aaj hum ko yeh desh kitna mahaan nazar aata hai !!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
paiGaam by qakhs in Shayari -e- Husn
Pyaar ka paigaam ! by Rishi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Paigaam" by manu1979 in Shayri for Khumar -e- Ishq
ek paigaam by kohinoor_ in Shayari-e-Parastish
Dil ka paigaam by aqsh in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shikha12
Guest
«Reply #16 on: September 25, 2007, 04:49:21 AM »
Reply with quote
Wow.... This is just Amazing Talat.... =D> =D>
Very Nice Work... I Loved each and every sher...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #17 on: September 28, 2007, 06:49:45 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"

Uthhta hua maut ka, toofan nazar aata hai,
Lahu mein dooba hua, Insaan nazar aata hai...

Sehma hua dil liye, phirte hai kamre kamre,
Apno ke sir pe baitha, Shaitaan nazar aata hai...

Laftejigar karta hai chaak, Apni Maa ke jigar ko,
Mamta mein bhi usko, Ehsaan nazar aata hai...

Ajanami hui kali phir, masli gayi garabh mein,
Kitna Bebas sa hua, Bhagwaan nazar aata hai...

Beech Chowk ek laash, koi phek ke chal diya,
Sheher Sheher kaisa, Shamshaan nazar aata hai...

Jism par lapeta Kas kar, chadar ka kona humne,
Kyon Ishq mein hawas ka, Haiwaan nazar aata hai...

Talasha dil ka har kona, na dhadkan mili na rooh,
Dekho ek aks aaine mein, Bejaan nazar aata hai...

Milta hai sukoon kuch likh kar, koi jab yeh kehta hai,
Tumhari nazm mein "Shikha", Paigaam nazar aata hai...
[/b]


WOW....going high with PEN......oscar me nominations ke layak hai...!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: September 28, 2007, 08:20:41 PM »
Reply with quote
sahi kaha badnaam ji.....

again good work Shikha!!!

Nice one Talat!!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #19 on: September 28, 2007, 09:38:39 PM »
Reply with quote
Shikha di amazing ... bahut hi accha likha hai aap ne ... beautiful ... as ever!!

Talat aap ne bhi bahut khoob sher kahe hai Usual Smile
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #20 on: October 08, 2007, 10:06:49 AM »
Reply with quote


WOW....going high with PEN......oscar me nominations ke layak hai...!!!

lolzzzz... Jyada ho gaya...  DOH Lapet lo ab..  Laughing hard



Thanks a lot... Gaurav Usual Smile Pooja di and Tosha..
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: October 11, 2007, 09:00:14 AM »
Reply with quote
Thanks Shikha, Pooja and Tosha for appreciation.
Logged
Rajiv'sshayri
Guest
«Reply #22 on: October 17, 2007, 07:50:18 AM »
Reply with quote
Shikha bahut hi sundar paigam diya hai realy good.
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #23 on: July 20, 2008, 06:43:28 AM »
Reply with quote

Uthhta hua maut ka, toofan nazar aata hai,
Lahu mein dooba hua, Insaan nazar aata hai...

Sehma hua dil liye, phirte hai kamre kamre,
Apno ke sir pe baitha, Shaitaan nazar aata hai...

Laftejigar karta hai chaak, Apni Maa ke jigar ko,
Mamta mein bhi usko, Ehsaan nazar aata hai...

Ajanami hui kali phir, masli gayi garabh mein,
Kitna Bebas sa hua, Bhagwaan nazar aata hai...

Beech Chowk ek laash, koi phek ke chal diya,
Sheher Sheher kaisa, Shamshaan nazar aata hai...

Jism par lapeta Kas kar, chadar ka kona humne,
Kyon Ishq mein hawas ka, Haiwaan nazar aata hai...

Talasha dil ka har kona, na dhadkan mili na rooh,
Dekho ek aks aaine mein, Bejaan nazar aata hai...

Milta hai sukoon kuch likh kar, koi jab yeh kehta hai,
Tumhari nazm mein "Shikha", Paigaam nazar aata hai...


Continued... Usual Smile


Ek CheerHaran ko aaj phir, dekha kiye tamashaayi,
Phir Daanv par laga, ek bezubaan nazar aata hai..

Har Darakht ro ke bola, “Boodhe Bargadd ko na kaato”,
Ghar bujargo ki dua bin, bada Viraan nazar aata hai…

Ghughroo ki awaaz mein, dab ke reh gayi siskiyaan,
Matlabi Bazaaron jaisa, yeh jahaan nazar aata hai…


shikha...
is ghazal ka har sher dus dus baar padha.....ye tay karna mere liye mushkil hai ki kounsa sher behtar hai...har sher bheetar tak jhinjhod deta hai wazud ko.....ek ke baad ek chot karta hai seedhe dil par.......
......ye yakeenan behtreen peshkashon me se ek hai...jinhe yo par mai bahoot pasand karta hun.
mere shabdon ka bhandaar khali ho jayega...par mai iski prashansa nahi kar paungaa.......
ek behad umda...............rachna hai.........
kamal likha gaya hai sab kuch.........ek ek shabd tarasha hua aur poori tarah lay-baddh ye rachna....beshak aapko....yo ka sirmour bana deti hai.........
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #24 on: July 20, 2008, 08:36:25 AM »
Reply with quote
mahiya ji,

aaj shukruguzaar hu mein sabse pehle waqt ka--kyonki sami samay pur yahan vicharan kur raha thaa tabhee pahuch saka itni sashakt kavita se rubaru hone.
shabdon ka sahi chayan aur hakeeqat ke kitni kareeb he yeh kavita!aap daad kabool farmaye...is behtareen kavita ke liye.

celmira ji,

aapne bhee khoob saath diya he.aapka prayas aur peshkush pukhta he,isey nazarandaaz nahi kar sakta koi bhee.dhnyawaad.

Prateek
Logged
sarthika
Guest
«Reply #25 on: July 20, 2008, 02:28:04 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

bahoot khoob Mahiya and Celmira....bahoot he acha likha hai... Mahiya apki pahli kavita.. jaise shabd he khatam ho gaye hai ki app ki is kavita ki parshansa main kaya kahu... bahoot acha likhati hai app.. aise he likjte rahe..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #26 on: July 20, 2008, 04:29:42 PM »
Reply with quote

Uthhta hua maut ka, toofan nazar aata hai,
Lahu mein dooba hua, Insaan nazar aata hai...

Sehma hua dil liye, phirte hai kamre kamre,
Apno ke sir pe baitha, Shaitaan nazar aata hai...

Laftejigar karta hai chaak, Apni Maa ke jigar ko,
Mamta mein bhi usko, Ehsaan nazar aata hai...

Ajanami hui kali phir, masli gayi garabh mein,
Kitna Bebas sa hua, Bhagwaan nazar aata hai...

Beech Chowk ek laash, koi phek ke chal diya,
Sheher Sheher kaisa, Shamshaan nazar aata hai...

Jism par lapeta Kas kar, chadar ka kona humne,
Kyon Ishq mein hawas ka, Haiwaan nazar aata hai...

Talasha dil ka har kona, na dhadkan mili na rooh,
Dekho ek aks aaine mein, Bejaan nazar aata hai...

Milta hai sukoon kuch likh kar, koi jab yeh kehta hai,
Tumhari nazm mein "Shikha", Paigaam nazar aata hai...


Continued... Usual Smile


Ek CheerHaran ko aaj phir, dekha kiye tamashaayi,
Phir Daanv par laga, ek bezubaan nazar aata hai..

Har Darakht ro ke bola, “Boodhe Bargadd ko na kaato”,
Ghar bujargo ki dua bin, bada Viraan nazar aata hai…

Ghughroo ki awaaz mein, dab ke reh gayi siskiyaan,
Matlabi Bazaaron jaisa, yeh jahaan nazar aata hai…


Bahut Bahut Khoob!!! har ek line, har ek shabd kuch keh raha hai..aapne bahut hi khoobsurat kavita likhi hai mahiya..
iss kavita ki Main  kitni bhi tareef karoon, kam pad jaayegi..
bahut hi khoobsurat paigam diya hai aapne..Great work!!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #27 on: July 20, 2008, 04:31:12 PM »
Reply with quote
Just a try Shikha....on the same theme as yours..........but still nowhere of your creation ! That was just amazing ! Usual Smile

Ye daur hai kaisa, har chehre par chaaya hai khauf,
Dolta hua dilon main ab imaan nazar aata hai......

Tukde bikhre jismon ke, khoon main ranga hai shehar,
Dooba kaale dhuain main aasmaan nazar aata hai...

Ek cheekh sun kar khidkiyaan, darwaaze sab band ho gaye,
Ek ablaa ko logon se bhara biyaabaan nazar aata hai.....

Jism par hain cheethrhe, gard main lipte hain paanv,
Aankhon se kuch bolta, ek bezubaan nazar aata hai

Uth ke chal diya ladke ka baap, na dikha jo usko maal,
Ladki ki sisakti maa, majboor baap kahan nazar ataa hai

Hawa main lehraata jhanda, azaadi ke ho gaye saath(60) saal
Aaj hum ko yeh desh kitna mahaan nazar aata hai !!!


Bahut Bahut khoob talat!! aapne bhi bahut khoobsurat likha hai..bahut ache Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #28 on: July 21, 2008, 10:22:45 AM »
Reply with quote
celmira ji,

aapne bhee khoob saath diya he.aapka prayas aur peshkush pukhta he,isey nazarandaaz nahi kar sakta koi bhee.dhnyawaad.

Prateek

Aabhari hoon Prateek aapki, meri choti si koshish thi Mahiya ka sath nibhane ki..aapki nazar main aayi..hauslaafzai ke liye shukrguzar hoon.

Applause Applause Applause

bahoot khoob Mahiya and Celmira....bahoot he acha likha hai... M

Shukriya Sarhtika...

Bahut Bahut khoob talat!! aapne bhi bahut khoobsurat likha hai..bahut ache Applause Applause

Bohot bohot shukriya Khwaish, aapko pasand aaya
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #29 on: July 22, 2008, 06:03:49 AM »
Reply with quote
Just a try Shikha....on the same theme as yours..........but still nowhere of your creation ! That was just amazing ! Usual Smile

Ye daur hai kaisa, har chehre par chaaya hai khauf,
Dolta hua dilon main ab imaan nazar aata hai......

Tukde bikhre jismon ke, khoon main ranga hai shehar,
Dooba kaale dhuain main aasmaan nazar aata hai...

Ek cheekh sun kar khidkiyaan, darwaaze sab band ho gaye,
Ek ablaa ko logon se bhara biyaabaan nazar aata hai.....

Jism par hain cheethrhe, gard main lipte hain paanv,
Aankhon se kuch bolta, ek bezubaan nazar aata hai

Uth ke chal diya ladke ka baap, na dikha jo usko maal,
Ladki ki sisakti maa, majboor baap kahan nazar ataa hai

Hawa main lehraata jhanda, azaadi ke ho gaye saath(60) saal
Aaj hum ko yeh desh kitna mahaan nazar aata hai !!!


maaf kijiyega celmira ji......maine aapki ye lines nahi padhi thi.....mahiya ki kavita padhi uske baad kuch aur padh hi nahi paaya is thread me aur reply dene baith gaya......
aaj fir se padh raha tha aur aapki ye lines nazron ke saamne aai....
behtreen likha hai aapne bhi....
aur in do lines ne to mujhe bahoot der tak aankhen band  kar ke sochne par mazboor kar diya...

Jism par hain cheethrhe, gard main lipte hain paanv,
Aankhon se kuch bolta, ek bezubaan nazar aata hai

Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:54:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer