sajid_ghayel
Guest
|
Unke dekhe se jo aajaati hai moonh par raunaq Woh samajhte hai bimaar ka haal achha hai
-Ghalib-
------------------------------------------------------------
Aiye Chashm-e-tar na ashq baha unke samne Moti mila ke khak mein be aabroo na ho - 'Qawi Amrohwi'

Aaise Jeene se to hai doob ke marna behtar Aabroo jis ki na ho woh koi insaan hi nahin

Aah nikli hi thi honton se ke woh aa pahonche Dekh li meri duaon ne asar ki soorat - 'Zakir Dehlvi'
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
sajid_ghayel
Guest
|
|
«Reply #1 on: March 20, 2009, 12:03:15 PM » |
|
Na Dekhna kabhi aaina bhool kar dekho Tumhaare husn ka paida jawaab kardega - 'Bekhud Dehlvi'
------------------------------------------------------------
Andaaz apna dekhte hain aaine mein woh Aur yeh bhi dekhte hain ke koi dekhta na ho - 'Nizam Raampuri'

Mujhko aashiq kahke uske roo baroo mat kijiyo Dostaan ! Gar dost ho to yeh kabho mat kijiyo - 'Meer Hasan'

Aashiq ki bekasi ka aalam na poochhiye Majnu pe jo guzar gayee sahraa gawah hai - 'Hafiz Jaunpuri'
-----------------------------------------------------------
Teri is bewafai par fida hoti hai jaan apni khuda jaane agar tujhmein wafa hoti to kya hota - 'Zafar'
-----------------------------------------------------------
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sajid_ghayel
Guest
|
|
«Reply #2 on: March 20, 2009, 12:11:46 PM » |
|
Huyiee muddat ke chaman chhoot gaya Ab hamein kya jo bahaar aayiee hai - 'Zalil Manikpuri'
-------------------------------------------------------------
Yahi hai zindagi apni yahi hai bandagi apni Ke unka naam aaya aur gardan jhuk gayiee apni - 'Maahirul Qaadri'

Banda parwar ! Main woh banda hoon ke bahr-e-bandagi Jis ke aage sar jhuka doonga khuda ho jaayega - 'Azad Ansaari' --------------------------------------------------------------
Na but khaane ko jaate hain na ka'abe mein bhatak-te hain Jahan tum paaon rakhte ho wahan hum sar patakte hain - 'Ashq Azeemabadi'
--------------------------------------------------------------
Waqt do mujh par kathin guzre hain saari u'mr mein Ek tere aane se pehle ek tere jaane ke ba'ad - 'Daag'

Hum ko unse wafa ki hai ummeed Jo nahi jaante wafa kya hai - 'Ghalib'

Kal tak to aashna the magar aaj ghair ho Do din mein yeh mizaaj hai aage to khair ho - 'Daag'
--------------------------------------------------------------
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sajid_ghayel
Guest
|
|
«Reply #3 on: March 20, 2009, 12:34:39 PM » |
|
Hamein to kaatni hai sham-e-gham mein zindagi apni Jahan woh hain wahin aiye chaand le jaa chaandni apni - 'Shairi Bhopali'
---------------------------------------------------------------
Deedaar ki talab ke tareeqon se be khabar Deedaar ki talab hai to pahle nigah maang - 'Azad Ansari'

Laakhon mein intekhaab ke qaabil bana diya Jis dil ko tumne dekh liya dil bana diya - 'Jigar'

Doston se is qadar sadme uthaey jaan par Dil se dushman ki 'adawat ka gilah jaata raha - 'Aatish' ----------------------------------------------------------------
Tum apne baam se faryaad ki ijaazat do Yahan se to nahin sunta hai aasmaan meri - 'Riyaz Khairabadi'
-----------------------------------------------------------------
Tadapkar shaan-e-karimi ne le liya bosa Kaha jo sar ko jhukakar gunaah gaar hoon main - 'Allamah Iqbal'
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sajid_ghayel
Guest
|
|
«Reply #4 on: March 20, 2009, 12:49:26 PM » |
|
Mere gunaah zyaada hain ya teri rahmat Kareem tu hi bataa de hisaab kar ke mujhe - 'Muztar Khairabadi'
-----------------------------------------------------------------
Haan aap ko dekha tha mohabbat se hami ne Ji saare zamaane ke gunaahgaar hami the - 'Ahsaan Daanish'

Us marz ko marz-e-ishq kaha karte hain Na dawa hoti hai jis ki na dua hoti hai - 'Shafaq Rizvi'

Kya jaaniye kya hai tere bimaar ki haalat Isa bhi yeh kehte hain ke hai waqt dua ka - 'Amir Meenai'
---------------------------------------------------------------
Be ma'ni hai woh ishq ke jis mein kashish na ho Dilchasp ho na husn to soorat haraam hai - 'Aatish'

Aye abr-e-bahaar aaj zara tham ke barasna Aa jaaye mera yaar to phir jam ke barasna - 'Qateel Shifaai' --------------------------------------------------------------
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
Rau: 166
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:272 days, 6 hours and 11 minutes.
Posts: 11814 Member Since: Sep 2006
|
|
«Reply #5 on: March 20, 2009, 12:53:39 PM » |
|
Bahut Bahut khoob...Ek Se Ek Sher Share Kar rahe hai aap Sajid Bhai..Great Work
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sajid_ghayel
Guest
|
|
«Reply #6 on: March 29, 2009, 02:26:21 PM » |
|
Hum jiss pe mar rahen hain woh hai bat hi kuch aur aalam mein tujh se lakh sahi, tu magar kahan
-Khwaja Altaaf Hussein Haali -
--------------------------------------------------------
Li hosh mein aane ki jo saki se izaazat farmaya khabardaar ke nazuk hai zamana
-Khwaja Altaaf Hussein Haali-

Darya ko apni mauj ki tughyaniyon se kaam, kashti kisi ki paar ho, ya darmiyan rahe

Jo dil pe guzarti hai kya tujh ko khabar naseeh kuch hum se suna hota, fir tu ne kaha hota

Talat
Guest
|
|
«Reply #7 on: March 31, 2009, 10:58:38 AM » |
|
Unke dekhe se jo aajaati hai moonh par raunaq Woh samajhte hai bimaar ka haal achha hai
-Ghalib-
------------------------------------------------------------
Aiye Chashm-e-tar na ashq baha unke samne Moti mila ke khak mein be aabroo na ho - 'Qawi Amrohwi'
------------------------------------------------------------
Aaise Jeene se to hai doob ke marna behtar Aabroo jis ki na ho woh koi insaan hi nahin
------------------------------------------------------------
Aah nikli hi thi honton se ke woh aa pahonche Dekh li meri duaon ne asar ki soorat - 'Zakir Dehlvi'
Bohot Khoob.... !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #8 on: March 31, 2009, 10:59:17 AM » |
|
Na Dekhna kabhi aaina bhool kar dekho Tumhaare husn ka paida jawaab kardega - 'Bekhud Dehlvi'
------------------------------------------------------------
Andaaz apna dekhte hain aaine mein woh Aur yeh bhi dekhte hain ke koi dekhta na ho - 'Nizam Raampuri'
------------------------------------------------------------
Mujhko aashiq kahke uske roo baroo mat kijiyo Dostaan ! Gar dost ho to yeh kabho mat kijiyo - 'Meer Hasan'
------------------------------------------------------------
Aashiq ki bekasi ka aalam na poochhiye Majnu pe jo guzar gayee sahraa gawah hai - 'Hafiz Jaunpuri'
-----------------------------------------------------------
Teri is bewafai par fida hoti hai jaan apni khuda jaane agar tujhmein wafa hoti to kya hota - 'Zafar'
-----------------------------------------------------------
Ye bhi pasand aaye !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #9 on: March 31, 2009, 11:00:03 AM » |
|
Huyiee muddat ke chaman chhoot gaya Ab hamein kya jo bahaar aayiee hai - 'Zalil Manikpuri'
-------------------------------------------------------------
Yahi hai zindagi apni yahi hai bandagi apni Ke unka naam aaya aur gardan jhuk gayiee apni - 'Maahirul Qaadri'
-------------------------------------------------------------
Banda parwar ! Main woh banda hoon ke bahr-e-bandagi Jis ke aage sar jhuka doonga khuda ho jaayega - 'Azad Ansaari' --------------------------------------------------------------
Na but khaane ko jaate hain na ka'abe mein bhatak-te hain Jahan tum paaon rakhte ho wahan hum sar patakte hain - 'Ashq Azeemabadi'
--------------------------------------------------------------
Waqt do mujh par kathin guzre hain saari u'mr mein Ek tere aane se pehle ek tere jaane ke ba'ad - 'Daag'
--------------------------------------------------------------
Hum ko unse wafa ki hai ummeed Jo nahi jaante wafa kya hai - 'Ghalib'
--------------------------------------------------------------
Kal tak to aashna the magar aaj ghair ho Do din mein yeh mizaaj hai aage to khair ho - 'Daag'
--------------------------------------------------------------
Waah....bohot achche !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #10 on: March 31, 2009, 11:00:52 AM » |
|
Hamein to kaatni hai sham-e-gham mein zindagi apni Jahan woh hain wahin aiye chaand le jaa chaandni apni - 'Shairi Bhopali'
---------------------------------------------------------------
Deedaar ki talab ke tareeqon se be khabar Deedaar ki talab hai to pahle nigah maang - 'Azad Ansari'
---------------------------------------------------------------
Laakhon mein intekhaab ke qaabil bana diya Jis dil ko tumne dekh liya dil bana diya - 'Jigar'
---------------------------------------------------------------
Doston se is qadar sadme uthaey jaan par Dil se dushman ki 'adawat ka gilah jaata raha - 'Aatish' ----------------------------------------------------------------
Tum apne baam se faryaad ki ijaazat do Yahan se to nahin sunta hai aasmaan meri - 'Riyaz Khairabadi'
-----------------------------------------------------------------
Tadapkar shaan-e-karimi ne le liya bosa Kaha jo sar ko jhukakar gunaah gaar hoon main - 'Allamah Iqbal'
Really nice ones.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #11 on: March 31, 2009, 11:01:35 AM » |
|
Mere gunaah zyaada hain ya teri rahmat Kareem tu hi bataa de hisaab kar ke mujhe - 'Muztar Khairabadi'
-----------------------------------------------------------------
Haan aap ko dekha tha mohabbat se hami ne Ji saare zamaane ke gunaahgaar hami the - 'Ahsaan Daanish'
-----------------------------------------------------------------
Us marz ko marz-e-ishq kaha karte hain Na dawa hoti hai jis ki na dua hoti hai - 'Shafaq Rizvi'
-----------------------------------------------------------------
Kya jaaniye kya hai tere bimaar ki haalat Isa bhi yeh kehte hain ke hai waqt dua ka - 'Amir Meenai'
---------------------------------------------------------------
Be ma'ni hai woh ishq ke jis mein kashish na ho Dilchasp ho na husn to soorat haraam hai - 'Aatish'
---------------------------------------------------------------
Aye abr-e-bahaar aaj zara tham ke barasna Aa jaaye mera yaar to phir jam ke barasna - 'Qateel Shifaai' --------------------------------------------------------------
Bohot Khoob !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #12 on: March 31, 2009, 11:02:38 AM » |
|
Hum jiss pe mar rahen hain woh hai bat hi kuch aur aalam mein tujh se lakh sahi, tu magar kahan
-Khwaja Altaaf Hussein Haali -
--------------------------------------------------------
Li hosh mein aane ki jo saki se izaazat farmaya khabardaar ke nazuk hai zamana
-Khwaja Altaaf Hussein Haali-
--------------------------------------------------------
Darya ko apni mauj ki tughyaniyon se kaam, kashti kisi ki paar ho, ya darmiyan rahe
-Khwaja Altaaf Hussein Haali -
--------------------------------------------------------
Jo dil pe guzarti hai kya tujh ko khabar naseeh kuch hum se suna hota, fir tu ne kaha hota
-Khwaja Altaaf Hussein Haali-
--------------------------------------------------------
Beautiful !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #13 on: March 31, 2009, 11:03:14 AM » |
|
Sajid Ji, bohot achch laga aapka ye thread...... Bohot Khoob !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sajid_ghayel
Guest
|
|
«Reply #14 on: April 04, 2009, 03:39:03 AM » |
|
Sholaa-e-aah ko bijli ki tarah chamakaauu Par mujhe Dar hai, ki vo dekh kar Dar jaayege
'Zauq' jo madarase ke bigde hue hain mullaah Unko maiKhaane me le aao savar jaayege
-Ibrahim Zauq-
----------------------------------------------------------------
Zaahid sharaab pine se kaafir huaa main kyu kyaa DeDh chulluu pani me imaan beh gayaa
-Ibrahim Zauq-
-----------------------------------------------------------------
Laa_ii hayaat aaye qazaa le chali chale Na apni Khushii aaye na apanii khushii chale
-Ibrahim Zauq-
-----------------------------------------------------------------
Jo dil ne kahi lab pe kaha aa_ii hai dekho Ab mehfil-e-yaaraa.N me bhi tanhaa_ii hai dekho
Gam apne hii ashko ka Khariidaar huaa hai Dil apnii hi haalet kaa tamaashaa_ii hai dekho
-Zahra Nigaah-
----------------------------------------------------------------
Haath meraa ai merii parachhaa_ii.n tuu hii thaam le Ek muddat se mujhe to suujhataa kuchh bhii nahii.n
Vo bhii shaayad ro pa.De viiraan kaaGaz dekh kar Maine us ko aaKhirii Khat me.n likhaa kuchh bhii nahii.n
-Zahoor Nazar-
-----------------------------------------------------------------
Madad kii tum se tavaqqo to Khair kyaa hogii Gariib-e-shahar-e-sitam huu.N meraa pataa rakhanaa
[madad=help; tavaqqo=expectation]
Mare.nge aur hamaare sivaa bhii tum pe bahut Ye jurm hai to phir is jurm kii sazaa rakhanaa
Naye safar pe ravaanaa huaa hai az-sar-e-nau Jab aa_uu.Ngaa to meraa naam bhii nayaa rakhanaa
[az-sar-e-nau=a fresh start]
-Zafar Iqbal-
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|