*Pattar Ko Pigalana Seekh*

by Roja on April 27, 2008, 12:47:38 PM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2740 times)
syednaami
Guest
«Reply #30 on: May 13, 2008, 06:00:07 PM »
Reply with quote
Hum hai mast apni rahon men, -
Chhed kar hum ko shastra na mar, -
Ghulmil kar sab se rahte hain, -
Koi shikwa nahin jitne bhi pathhar mar. -


(Syed Naami)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
- Pattar - by Meena is back in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Judaai Ko Gale Lagaakar Jeena Seekh Liye,.. by Azeem Azaad in Shayri for Dard -e- Judai
Pattar...................masoom by masoom shahjada in Shayri-E-Dard
Maine peena seekh liya_Maine jeena seekh liya...cara by cara in Shairi - E - Zindagi
Roja
Guest
«Reply #31 on: May 14, 2008, 11:30:50 AM »
Reply with quote
Hum hai mast apni rahon men, -
Chhed kar hum ko shastra na mar, -
Ghulmil kar sab se rahte hain, -
Koi shikwa nahin jitne bhi pathhar mar. -


(Syed Naami)

Khamosh nazar se dekhna tera mujhko diwana banata hai
Seene main teri tasvir banane dil milne ka bahana banata hai

Dhar haqikat mujhe tum pyar karo aitbar mera aitbar karo
Zamane ke gamon ko bhula do sanam dunia mein naya sansar karo
Dhadkan mein liye saason ki mehek gulzar suhana banata hai

Khilwat mein hai pinha hasti meri pehlu mein ishare machalte rahe
Amawas mein Chand ka tera perchayi mein rang badalte rahe
Zanzir mein lipatne daman ke tere, ek fasana banata hai

God Bless
Logged
syednaami
Guest
«Reply #32 on: May 14, 2008, 03:13:02 PM »
Reply with quote
Hum kahen Thoda aur woh qissa sunaden, -
Matlab kam aur baaten khwah makhwah sunaden, -
Baat inti si bas humen aap samjhaden, -
Bahane yeh aapne kaise banaye, itna sikhaaden. -


(Syed Naami)
Logged
Roja
Guest
«Reply #33 on: May 14, 2008, 03:31:09 PM »
Reply with quote
Hum kahen Thoda aur woh qissa sunaden, -
Matlab kam aur baaten khwah makhwah sunaden, -
Baat inti si bas humen aap samjhaden, -
Bahane yeh aapne kaise banaye, itna sikhaaden. -


(Syed Naami)


Hua hai katl meri pyar
Aur kya kya kissa tumhe sunaye

Be-dilli se mujhe mara
Kissa purana kya ab tumhe sunaye

Bahana sa lagta hai tumhe dard mera
Apni haalat tumhe khulkar kaise sunaye..

Dil ke darwaze maine rakhe hai khulle
Taki gam koyi baher khada na rahe

Inayat "Roja" pe itna karo tum
Dard wo na poocho jiska sahara zinda hai hum..


Logged
syednaami
Guest
«Reply #34 on: May 14, 2008, 03:50:55 PM »
Reply with quote
Kons kar khud ko, dard ka naam badnaam na kar, -
Khud ki aankhon men hi kuchh apna maqaam paida kar, -
Har baat ko ranj kahkar, aas ko sangsaar na kar, -
Umeed nahin kisise to devaron par hi raaz afshaan kar. -


(Syed Naami)
Logged
Roja
Guest
«Reply #35 on: May 14, 2008, 03:59:37 PM »
Reply with quote
Kons kar khud ko, dard ka naam badnaam na kar, -
Khud ki aankhon men hi kuchh apna maqaam paida kar, -
Har baat ko ranj kahkar, aas ko sangsaar na kar, -
Umeed nahin kisise to devaron par hi raaz afshaan kar. -


(Syed Naami)

Sara zindagi koshish ki
Magar dard se dhur bhaagna nahi seekha

Dosti hai gamon se meri isliye
In gamon se dhur jaana nahi seekha

Rehta koyi nahi saat mere apne
Apni daastan zamane ko sunana nahi seekha

Agar jalna hi taqdeer main ho likha
Is taqdeer ko badlana nahi seekha

Logged
syednaami
Guest
«Reply #36 on: May 16, 2008, 09:04:56 PM »
Reply with quote
Nice creation Roja jee, good reply...
Logged
Roja
Guest
«Reply #37 on: May 18, 2008, 03:06:43 PM »
Reply with quote
Shukhriya Syed ji
=======================

Jab sukh ke din tal jate hai
Mann ko samjana padta hai
Jab dukh ke din ghir aate hai
Mann ko samjhana padta hai

Joh jaan se pyare hote hai
Joh aankhon ke taare hote hai
Jab ve hi vair (वैर) nibate hai
Mann ko samjhana padta hai

Jin per hota vishwas hame
Jin per hoti hai aas hame
Jab unse dhoka khate hai
Mann ko samjana padta hai

Jab aansoo kaam na aate hai
Jab aahein kaam na aati hai
Jab saye bhi taj(तज) jate hai
Mann ko samjhana padta hai

Anjaan parayon ko chodo
Unse kya lena dena hai, "Roja"
Jab apne hi aankh dikhate hai
Mann ko samjhana padta hai.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #38 on: May 30, 2008, 10:17:22 AM »
Reply with quote
Buhat hi gahra likha hai, buhat maani-khaiz bayaan diya hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #39 on: May 30, 2008, 02:52:45 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoob Roja and Sami..... GOOD GOING..
Logged
syednaami
Guest
«Reply #40 on: October 11, 2008, 04:00:36 PM »
Reply with quote
Bahut shukriya pooja saahiba. -
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:05:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.166 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer