Phir ek adhuri Kahani...............Nikhaar

by Nikhaar on November 12, 2010, 06:31:27 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 5403 times)
Nikhaar
Guest
Reply with quote
Doston..aaj kaafi waqt baad khuch likha hai....kya likha hai.....khud ko bhi nahi pta....bas dil mein jo aaya likh diya...isliye misc. section mein post kar rahi hai......aapke comments ka intzaar rahega.....


Thaama hai kalam ko inn ungliyon ne ye sochkar aaj
Zindagi k panno mein likhi jaayegi phir se ek kahani aaj

Raaton ki tanhayi  hogi, dhundhali  yaadon ki parchhayi  hogi
Aur mil kar likhenge dono koi naya geet aaj

Dil ko chot pahuchane k raaste par badhe chale ja rahe hai kadam
Dil ki haar ka wo manjar likhenge khuch iss tarah,
K uss pal par bhi haamein hoga naaz

Chand kadamon ka hi faasla tha manzil se,k kadam raahon par mud gaye
Khuch naya talashne ki khwaish mein
Aankhon mein chubh gaye kaanch

Zindagi kya hai...shayari hi toh hai
Likhte khuch hai aur ye likh jaati khuch hai
Taal par iski jhumna hi theek,
Na jaane kab kaunsa ye nachaye naach

Thaama tha kalam ko ye sochkar k ek nayi kahani likhenge aaj
Par phir se ek adhuri kahani likh gaye aaj
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: November 12, 2010, 07:18:08 PM »
Reply with quote
Wah bahut hi khoob Nikhaar sis,lajawab peshkash,hats off icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #2 on: November 12, 2010, 07:29:42 PM »
Reply with quote
...Jajbaaton ki aandhi mai.......jab likha jaata hai....jeevan ki sachai ko.....sach ki aanch se
Kavita nikhaar jaati hai...haan Nikaarji such me.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Aapke apne shabdo mein...."..kya likha hai.....khud ko bhi nahi pta....bas dil mein jo aaya likh diya..."

ji haan aapki tarah mujhe bhi nahi pata....bas dil mein jo aaya likh diya tha....bina soche samjhe......ussiki xshma yaachna



Doston..aaj kaafi waqt baad khuch likha hai....kya likha hai.....khud ko bhi nahi pta....bas dil mein jo aaya likh diya...isliye misc. section mein post kar rahi hai......aapke comments ka intzaar rahega.....


Thaama hai kalam ko inn ungliyon ne ye sochkar aaj
Zindagi k panno mein likhi jaayegi phir se ek kahani aaj

Raaton ki tanhayi  hogi, dhundhali  yaadon ki parchhayi  hogi
Aur mil kar likhenge dono koi naya geet aaj

Dil ko chot pahuchane k raaste par badhe chale ja rahe hai kadam
Dil ki haar ka wo manjar likhenge khuch iss tarah,
K uss pal par bhi haamein hoga naaz

Chand kadamon ka hi faasla tha manzil se,k kadam raahon par mud gaye
Khuch naya talashne ki khwaish mein
Aankhon mein chubh gaye kaanch

Zindagi kya hai...shayari hi toh hai
Likhte khuch hai aur ye likh jaati khuch hai
Taal par iski jhumna hi theek,
Na jaane kab kaunsa ye nachaye naach

Thaama tha kalam ko ye sochkar k ek nayi kahani likhenge aaj
Par phir se ek adhuri kahani likh gaye aaj



Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: November 12, 2010, 09:05:15 PM »
Reply with quote
Nikhaar di,
Bahaut bahaut khoob..
Mujhe bahaut achi lagi yeh peshkash apki..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #4 on: November 13, 2010, 05:43:37 AM »
Reply with quote
hmm nikhar ji.........
apki post read ki.ek nahi sahyad bht baar chuka hu last 1 hour me.........well muje nahi pata ki kisi ko ye kya samaj aayi ya nahi ayi......but ha muje ye bahot bahot aachi lagi......

ek dard........ek ghutan......kuch past me jo kho chuke uska dard.....agey jo khone ja rahe he aur esa hone se rok bhi nahi sakte uska dar aur dard........pyar karna aur pyar ka tutna.....dono hi apne ek line me kah diya (4th paragraph)ye muje sabse aacha laga........hmm kya kahu bht kuch feelings aa rahi he .....shayd anadr bhi kuch esa hi he jo apne likha he .khud ko feel kar raha hu......

bas bht likh chuka aur kya likhu......i think it is one ur best poetry u wrote and one of my best poetry i read till now.....

keep going and be in touch
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: November 13, 2010, 07:58:51 AM »
Reply with quote
Doston..aaj kaafi waqt baad khuch likha hai....kya likha hai.....khud ko bhi nahi pta....bas dil mein jo aaya likh diya...isliye misc. section mein post kar rahi hai......aapke comments ka intzaar rahega.....


Thaama hai kalam ko inn ungliyon ne ye sochkar aaj
Zindagi k panno mein likhi jaayegi phir se ek kahani aaj

Raaton ki tanhayi  hogi, dhundhali  yaadon ki parchhayi  hogi
Aur mil kar likhenge dono koi naya geet aaj

Dil ko chot pahuchane k raaste par badhe chale ja rahe hai kadam
Dil ki haar ka wo manjar likhenge khuch iss tarah,
K uss pal par bhi haamein hoga naaz

Chand kadamon ka hi faasla tha manzil se,k kadam raahon par mud gaye
Khuch naya talashne ki khwaish mein
Aankhon mein chubh mein gaye kaanch

Zindagi kya hai...shayari hi toh hai
Likhte khuch hai aur ye likh jaati khuch hai
Taal par iski jhumna hi theek,
Na jaane kab kaunsa ye nachaye naach

Thaama tha kalam ko ye sochkar k ek nayi kahani likhenge aaj
Par phir se ek adhuri kahani likh gaye aaj


Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Bahut Bahut Khoob pooja..Sach mein Gehre Lafz,Padhkar Yeh Mehsoos Hota hai Ke Aapne Dil Se Likha Hai Aur Ek Hi baar mein Aap Yeh Likh gaye..Bas Ek baar 4rth Sher Ko Kuch Edit Zaroor karna..

Just Tooooooooooooo Gooooooooooood! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: November 13, 2010, 08:05:36 AM »
Reply with quote
Maaf kariyega kuchh pale nahi pad raha hai......
bhav aapke bahak gaye hain......
lines bikhar gayee hain.....
shabd bhi control main nahi lag rahe.....
mast khichdi ban gayee hai....
par kadhi k bina sach mai adhuri lag rahi hai.....
Chat-pati chatni he de deti tou kuchh taste aa jaata....
Kavita nikhaar jaati...haan Nikaarji such me.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Giggle Giggle Giggle Giggle Giggle Giggle

Anaam Ji Aapne Yeh Kya Comment Diya Hai Yeh Aap hi jaane,Par Agar Aap Ko yeh poetry kichdi Dikhti hai To Aap meharbaani Karke Comments Naa Dijiye,Aap Yuhi padhkar jaa Sakte The,Mujhe Aapke Yeh comments Bilkul Bhi JUSTIFIED Nahi Dikhe..yeh Likhi poetry kisi ke kuch Jazbaat hai Waha Par yeh kehna Ke,

"Chat-Pati Chatni Hi de Dete To kuch Taste Aa jaata Tha" Yeh Sab kya Hai??

Aaenda Plz Khayal Rakhiye....
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #7 on: November 13, 2010, 08:24:08 AM »
Reply with quote
Nikhar ji dil ko kagaz pe rakh dena agar ek hunar hai to mai kahunga ki aap ek jaheen ustaad hain is hunar ki....koshish karunga ki aaj hi balki abhi hi kuch likh paun jawab me.....likhte rahen   Applause Applause
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #8 on: November 13, 2010, 08:26:38 AM »
Reply with quote
@ anaam ji,
asanyamit prtikriya kisi ke jajbaaton ko thes panhucha sakti hai umeed hai aage dhyan rkhenge
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #9 on: November 13, 2010, 08:40:47 AM »
Reply with quote
Doston..aaj kaafi waqt baad khuch likha hai....kya likha hai.....khud ko bhi nahi pta....bas dil mein jo aaya likh diya...isliye misc. section mein post kar rahi hai......aapke comments ka intzaar rahega.....


Thaama hai kalam ko inn ungliyon ne ye sochkar aaj
Zindagi k panno mein likhi jaayegi phir se ek kahani aaj

Raaton ki tanhayi  hogi, dhundhali  yaadon ki parchhayi  hogi
Aur mil kar likhenge dono koi naya geet aaj

Dil ko chot pahuchane k raaste par badhe chale ja rahe hai kadam
Dil ki haar ka wo manjar likhenge khuch iss tarah,
K uss pal par bhi haamein hoga naaz

Chand kadamon ka hi faasla tha manzil se,k kadam raahon par mud gaye
Khuch naya talashne ki khwaish mein
Aankhon mein chubh mein gaye kaanch

Zindagi kya hai...shayari hi toh hai
Likhte khuch hai aur ye likh jaati khuch hai
Taal par iski jhumna hi theek,
Na jaane kab kaunsa ye nachaye naach

Thaama tha kalam ko ye sochkar k ek nayi kahani likhenge aaj
Par phir se ek adhuri kahani likh gaye aaj


Chand kadamon ka hi faasla tha manzil se,k kadam raahon par mud gaye
Aapki kavita ki ek line jisne mere dil ko choo liya usi ko aadhar bana kar chaar line aapki najar


nai rahon pe chal diye, magar manjil wahi purani rakhkhi
usi taraf uth gaye kadam jis raah pe teri nishani rakkhi,

har us shakhs ka ho gaya mai jisme teri adayen dekhi,
Har kali ko chooa maine, taasir magar ruhaani rakkhi,

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: November 13, 2010, 08:43:41 AM »
Reply with quote
Chand kadamon ka hi faasla tha manzil se,k kadam raahon par mud gaye
Aapki kavita ki ek line jisne mere dil ko choo liya usi ko aadhar bana kar chaar line aapki najar


nai rahon pe chal diye, magar manjil wahi purani rakhkhi
usi taraf uth gaye kadam jis raah pe teri nishani rakkhi,

har us shakhs ka ho gaya mai jisme teri adayen dekhi,
Har kali ko chooa maine, taasir magar ruhaani rakkhi,



Bahut Bahut Khoob Sanjeev Bro..

Aapka To Sach mein Koi jawaab nahi Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #11 on: November 13, 2010, 08:46:35 AM »
Reply with quote
shukriya khawish bro..are bhai jab aa hi gaye ho to fir aaj likho yaar is thread pe kuch..........
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #12 on: November 13, 2010, 08:55:06 AM »
Reply with quote
Anaam Ji Aapne Yeh Kya Comment Diya Hai Yeh Aap hi jaane,Par Agar Aap Ko yeh poetry kichdi Dikhti hai To Aap meharbaani Karke Comments Naa Dijiye,Aap Yuhi padhkar jaa Sakte The,Mujhe Aapke Yeh comments Bilkul Bhi JUSTIFIED Nahi Dikhe..yeh Likhi poetry kisi ke kuch Jazbaat hai Waha Par yeh kehna Ke,

"Chat-Pati Chatni Hi de Dete To kuch Taste Aa jaata Tha" Yeh Sab kya Hai??

Aaenda Plz Khayal Rakhiye....


i also want to say same thing to anam ji which khwaish ji told......"agar kisi ko appriciate nahi kar sako to koi baat nahi but kisi ki feelings ko majak me nahi lena chahiye" its humble request to all members from me.....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: November 13, 2010, 09:03:30 AM »
Reply with quote
Sanjeev bro..
Aap Ka Hukum Sar Aankhon par... icon_salut icon_salut

Jis Kahani Mein Milne Se pehle Bichadna Likha Ho
Hasne Se Pehle Rona Likha Ho
Paane Se Pehle Khona Likha Ho

Kuch Ankahe Jazbaton ko Lafzon Mein Utaarenge Aaj!!!
Zindagi Ke Panho Mein Likhenge Phir Ek Kahani Aaaj!!!

Jis Kahani Mein Manzil To kareeb Thi
Par Kadam Ladkada Gaye
Kuch Tasveere Bahut Hi Haseen Thi
Par Waqt Ki Tez Aandhi Mein
Tasveere Dhoondhla Gaye
Jeet Naa Tha Jis Baazi Ko
Woh Baazi Hi Haar Gaye

Roti Hui kalam Se Kuch Dil Ki Baatein Kahenge Aaj!!!
Zindagi Ke Panho mein Likhenge Phir Se Ek kahani Aaj!!!

Apni majbooriyon Se Darr kar Zindagi Ghabra Gayi!!!
Buland Hauslo Ko bhi Jaise Maut Aa Gayi!!!
Kuch Faisle Zindagi ke Aise The jo Sunna Nahi chaahte The
Par Zindagi Khud Humein Woh Faisle Suuna Gayi
"Khwaish" Aaj Phir Mohabbat Hi Kyon Maat Kha Gayi

Bhooli-Bisri Dastaan Ko Phir se Dohraayenge Aaj!!!
Zindagi Ke Panho Mein Likhenge Phir Se Ek Kahaani Aaj!!!!
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #14 on: November 13, 2010, 02:56:37 PM »
Reply with quote
Wah bahut hi khoob Nikhaar sis,lajawab peshkash,hats off icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
shukriya madhu di........aapne hamesha saath diya hai
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:59:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer