Poems.......Kaash

by @Kaash on July 18, 2013, 01:59:25 PM
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Author  (Read 3281 times)
@Kaash
Guest
«Reply #30 on: July 25, 2013, 02:30:20 AM »
Reply with quote
Frienddhip is a truth which never blames

friendship is a ship which never drowns
friendship is a truth which never blames

the purpose of friendship is often unpurposeful
friendship does nt require anything it means full

friendship doesnt mean to meet or to talk
it is never done with prsnalities but to thoughts

22.06.11
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ghazal: kaaSh dunyaa meiN ye "kaaSh" na hotaa..! by DhavalRami in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
poems by inderjit nandan in Love Poetry in Punjabi
My poems by khumaar in Miscellaneous Shayri
Aye Kaash is tarah saveraa ho jaaye.............Kaash by @Kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
Lafz-e-kaash shayari ki duniya ka aadaab sa hai...........Kaash by @Kaash in Shairi - E - Zindagi
@Kaash
Guest
«Reply #31 on: July 25, 2013, 02:31:13 AM »
Reply with quote
bahut khoob..

shukriya aapka!
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #32 on: July 25, 2013, 02:39:59 AM »
Reply with quote
ye aisa manzar hai jo har dil ke kareeb hai
ye aisi shay hai ehsaas jiske
jo ehsaason ke nazdeek hai
jis dil me bhi pyaar basa hai
Taj mahal ka wahan saaya sa hai
goonjti hain khamoshiyaan jahan
mehki hui har sada ki sada
thirakti hui dhadkan ki zubaa
machalti hui ishk ki aab-o-hawa
barasta barasta sa koi khwaab hai
bheena bheena jahan par mehtaab hai
khumaari har shay se numaaya ho rahi
bekaraari jahan ek sukoo.n de rahi
khwaab ki taabeer hakeekat ban rahi
khyaaalon ki vaadi me chaandni chhitak rahi
husn hai betaab
ishq hai madhosh
ishq hai betaab to
husn hai madhosh
kisi khamosh jheel ke paani me chaand ki parchhaayi ho
jaise us jheel ka paani haule se ga raha nagma,rubaai ho
palak bhar ko bhi sama jahan beet.ta nahi
ehsaas-e-ishq ke siwaa kuchh hosh hota nahi
jo har roz naya naya sa lagta hai
jo har pal ishq se nahaya hua hai
jahan mohabbat ki baat ki nahi jaati hai
jahan mohabbat ki baat ho hi jaati hai
jahan mohabbat ki baat sochi nahi jaati
jahan mohabbat hi mohabbat nazar aati
jo hai jaise koi unkahi ghazal
jaise hai kaayam,hai jabse azal
ye hai Taj Mahal
ye hai Taj Mahal
Taj Mahal
[/color][/size]

azal- that which does not have a beginning.







5.6.2013
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #33 on: July 26, 2013, 03:20:03 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Shukriya aapka!
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #34 on: July 26, 2013, 03:23:54 AM »
Reply with quote






Khush hun ki nigaahon me chhupe hain aasun

Khush hun ki nigaahon me chhupe hain aasun
warna  raaton ki deewaron pe saje hain aasun


Aadmi hai khilauna apne hi jee ka yaaron
hasrat ki aandhiyon se jale hain aasun




Gham shay hai koi aisi jo lagti nahi paraayi
babul se jab bichhadtii chubhe hain aasun




Ulfat ke daayre sabhi ishq nahi hote
maa ke dabe aanchal me dabe hain aasun




Bhooli hui kitaaben ,bikhre hue se panne
kuch harf hain adhoore,kahte hain aasun


Logged
@Kaash
Guest
«Reply #35 on: July 26, 2013, 03:27:40 AM »
Reply with quote


Jinhe sambhaalte the unhi se sambhal rahe
yun unwaan-e-zindagi ke panne badal rahe

Gareeb ki chat kya dhahii zindagi hui veeraan
E khuda aisi baarish na aaj aur na kal rahe

Mujhse poochho na tum unke aazmaane ki had
aur bhi armaan kai unke seene me pal rahe

zamaana kah rah hai ek zamana hua safar ka
raahi ye kah raha manzilon se meri azal rahe

fursat me sunne sunaane ka saleeka kho gaya
shahar-e-bazaar me rudaad lie wo tahal rahe

khaamosh hothon pe kaun se chhupe hain takallum
chhipaate chhipaate bhi wo kahke hi nikal rahe

‘Kaash’ kise samjhayen zindagi haar jeet ka khel nahi
Bayaabaan ke chiraag bujhaane se hi jal rahe




Logged
@Kaash
Guest
«Reply #36 on: July 26, 2013, 03:30:30 AM »
Reply with quote
mehka mehka sama tha wahan
kitni khushbuen
meethe ehsaas
suhaane jazbaat
bholi baaten
kitni saari
muskurahat
sachhi saari
har jazbaat aise
jaise dua
khwaab ki khumaari thi
subah pata chala


dil hans dia
bola aazmayishon ke daur me
jazbaat ki boli utni lagti hai
jitni numaayish hoti hai
tu apne khwaabon se ishq kar
mohabbat se ishq kar
wahan na aazamyish hai
na koi imtehaan


main kahna to bahut kuch chahta tha dil se

lekin ye kya kaafi tha ki udaas hone se bach gaya

phir se mohabbat ki oor mud gaya
aankh band kar usi dunia ka kuch ehsaas liya
unki dooriyon se unki nazdeekiyon ko awaaz dia
thoda sa aage badhke
unhe gale lagaya
aakhon hi aakhon me
maine kuch samjhaaya
aur dheeme se kaano me bola
kaash mohabbat me aazmayish na hoti


Logged
@Kaash
Guest
«Reply #37 on: July 26, 2013, 03:32:43 AM »
Reply with quote



Zindagi me tab hamesha muskuraana aa jayega
patjhad me bhi gar bahaar dekhna aa jayega


zindagi me mohabbat ke ilaawa bhi mohabbat hi
baat jo jaan len hum hasna hasaana aa jayega


aadmi sab kuch dekhta par khud se chook jaata
khud ko agar dekha,sabko dekhna aa jayegaa


waqt ki baat waqt par hi,bewaqt kabhi nahi
waqt ko waqt samjha,waqt ko samajhna aa jayega


hauslon se badhkar jiwan me kuch nahi hota
aazmaaya isko gar khud ko aazmaana aa jayega
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #38 on: July 27, 2013, 02:12:06 AM »
Reply with quote





Aakhon ke paimaane choom raha hun
hothon ke do pyaale choom raha hun



ranj-o-gham ko itni door chhod aaya
khumaari ke ye saaye choom raha hun



dunia ko kabhi bhi ishq me nahi laata
azaadi ke taraane choom raha hun



raat khwaab me wo baahon me rahe
subah se ye afsaane choom raha hun
 


naazuki ada hai ya rawayat ishq ki
dono hain apnaaye choom raha hun


tauheen-e-ishq hai had se zyaada haya
duniya ko ye batlaaye choom raha hun



jin lafzon me kiya ‘Kaash’ usne ikraar
alfaaz dil me basaaye choom raha hun



Logged
@Kaash
Guest
«Reply #39 on: July 30, 2013, 01:16:29 AM »
Reply with quote



Khwaab-o-khyaal ki duniya isliye basaata hun
Is zariye zehen ki khushbu ka pata paata hun




Ishq ke liye kisi sahaare ki zooroorat nahi hoti
Jis janib bhi dekhun mohabbat hi ko paata hun




Wo koi shakhs nahi jise chhoo sakun ya miloon
ehsaas-e-ishq se hi kahin kho jaata hun




Chehra purnashi husn dilnashi aakhen shabnami
Roz aate hain wo, roz khwaab sajaata hun




Khumaari ka ehsaas tab jaake hai milta
Duniyadaari ko jab kahin chhod aata hun




Unki aakhon ka kajal jaise sada-e-khamoshi
Baaton ki kashish se bahut bharmaata hun




Kaisi ye aashiki jo roz nayi si lagti mujhe
apne hi likhe khat ko pal pal gungunaata hun

Logged
@Kaash
Guest
«Reply #40 on: July 30, 2013, 01:18:54 AM »
Reply with quote



Na pane ki hasrat na khone ka dar
haan bus! yehi to hai ishq! ishq kar


Mulayam se mulayam lahje ki baat hai ishq
Bin bole jo sab samajh jaaye wo khyalaat hai ishq!


Kisi se kuch na chaho sab kuch de do phir bhi beshart
Kisi ki  ankh ka aasun aakhon se nikal jaaye hai ishq!


kahin badal jo jhuma sa,kabhi aakhon ke kajal sa
Kabhi dil me chahakta sa kisi bulbul ke kooche sa
Bahut bhaata hai jab aata hai khyaal-e-ishq!
Hamare paas se to kabhi bhi nahi jaata khyaal-e-ishq
Ghazab si ik kashish thahri
Ghazab si bekhyaali hai
Kisi zulfon ke saaye ne
Madhoshi si badhai hai
Mujhe achha nahi lagta
Thodi si  sharm aati hai
Ehsaas-e-ishq kaise samjhaaun
Mujhe jab khud hi nahi maloom



Bekhudi had se badh jaaye to hai ishq!
Saara aalam mehek jaaye to hai ishq!
kahin shor barpa ho,poshida khamoshi bhi rahti
Bus usi khamoshi me jo kho jaayen to hai ishq!
Mohabbat cheez hai aisi jise sirf itni khabar rahti
Wo ek gaib ke peechhe khud ko hi bekhabar rakhe


wafa jahan feeki pad jaaye wahan hai ishq!
Shay-e-bewafaai mit hi jaaye wahan hai ishq!

Darakhton ke saaye me kabhi patton ko chhoote hue
Kabhi chanchal kabhi thami si, sada ki awaaz hai ishq!


Logged
@Kaash
Guest
«Reply #41 on: July 31, 2013, 02:40:56 AM »
Reply with quote







































Logged
@Kaash
Guest
«Reply #42 on: October 06, 2013, 01:47:00 AM »
Reply with quote


Maaya ke andhiyaare me ho ku-ba-ku Shrikrishna
Ilm ko sajayen zehen me hum chaarsu Shrikrishna



Deen-o-duniya ki baaten samjhen hum is tarah
jiwan me rahke karen teri justaju Shrikrishna



maksad-e-zeest daulat-o-shohrat kamaana hi nahi
adhura hai jiwan gar na ho teri aarzu Shrikrishna



hawas se,vahshat se upar uthke hum dekh paate nahi
brahmcharya khud hoye wahan se shuru Shrikrishna



kahti hai Geeta baat Kuraan-o-Bible Gurugranth ki hi
nirakaar sakaar hai Eeshwar,hai sadguru Shrikrishna



hasrat auron me sukh dhundhne ki bilkul bemaani hai
kahte hain karne ko apne aap se guftagu Shrikrishna



hai sabse badi ghulaami khud ko jism jaanna 'Kaash'
rooh hain hum mahsoos karaane waala ek tu Shrikrishna

Logged
@Kaash
Guest
«Reply #43 on: October 06, 2013, 01:47:56 AM »
Reply with quote

Bhay,krodh,lalach,ego,waasna insaan me iske ilaawa hai kya
jeewan bhar fansa rahta hai isme, nahi jaan paata hai kya

doosron me dhoondhta hua sukh,doosron par thopta hua dukh
apni beshumaar ichhaaon ke bhaar tale ise kuchh soojhta hai kya

lakshya apne hi aas-paas ke logon ke lakshya se aage nikalna
daldal me khud gira,nahi soch paata aasmaan me neela hai kya

baraat me naachne ko kaho to daaru pee pee kar naachega
roz dekhta shamshaan ko jaati arthi,par nahi sochta hai kya

'Kaash' tilsam hai yahi jise todkar hi insaan Khuda ko paata
Eeshwaratv ko gar paaya nahi phir jeewan me paaya hai kya
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #44 on: October 06, 2013, 01:48:54 AM »
Reply with quote
Raam naam satya hai marne se pehle jaano
Raam naam ki mahima ko na kal par taalo

jala diye jaayenge ya dafna diye jayenge
jis maya me jiwan ganwaaya use bhi chhod jayenge

prabhu sumiran hi saath jaayega ye maano

Raam naam satya hai marne se pehle jaano

kaam,krodh waasna me hi na ye jiwan guzaar do
prabhu ke charitra ko thoda sa jiwan me utaar lo


pratidin prabhu ko yaad karenge ye thhaano


Raam naam satya hai marne se pehle jaano
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 06:48:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer