Poems.......Kaash

by @Kaash on July 18, 2013, 01:59:25 PM
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Author  (Read 3256 times)
@Kaash
Guest
«Reply #45 on: October 06, 2013, 01:55:04 AM »
Reply with quote

Allah ko aarti,Eeshwar ko sajda kar aaya hun
Ibadat ke isi dhang me main masti pa paya hun


aadmi umr bhar khud se nahi milta Eeshwaar kya
parmaatma kahta,dhyaan me hamesha chhaaya hun


apni ibadat ki taul doosre ki ibadat se nahi hoti
hindu-muslim ki bheed se taubaa baja laaya hun


vrat-upwaas tan se nahi man se hain kiye jaate
sant kahta main krodh,kaam ko hi khaaya hun


duniya me rahke maya ki anubhuti atyant kathin
prabhu sumiran na kia, pal yahi kahega zaaya hun
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ghazal: kaaSh dunyaa meiN ye "kaaSh" na hotaa..! by DhavalRami in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
poems by inderjit nandan in Love Poetry in Punjabi
My poems by khumaar in Miscellaneous Shayri
Aye Kaash is tarah saveraa ho jaaye.............Kaash by @Kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
Lafz-e-kaash shayari ki duniya ka aadaab sa hai...........Kaash by @Kaash in Shairi - E - Zindagi
@Kaash
Guest
«Reply #46 on: October 06, 2013, 01:55:49 AM »
Reply with quote

Achhi baaton se parhez karta aadmi buri baaton se zara bhi nahi
Ye kaisi dunia jahan insaan insaan hone ke liye bolta bhi nahi

Chiraagh-e-insaaniyat bujhaakar dekhiye insaan kya hai kahta
Bataao maine insaaniyat ke liye kya kuchh kiyaa bhi nahi

Tukdon me jee raha hai aadmi khud ke liye jeene ki vajah se
Doosron ko rulaane me khud ke liye hans paata bhi nahi

Pakde hai waqt ko aise ki khudgarzi hi bani sabkuchh hai
Marne ke baad to rahta yaaron mahal-o-makaa bhi nahi

Khuda ke paas jaakar to hisaab hona hai sach aur jhuth ka
Khuda ka khauf magar ‘Kaash’ insaan me rahaa bhi nahi
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #47 on: October 06, 2013, 01:56:40 AM »
Reply with quote
Kuchh dino ka basera hai sabkuchh chala jayega
Eeshwar ko na bhaja to khali haath jayega

Ye dunia ye ghar rishte naate sabhi jisne diye
Wo Khuda hai insaan kab tu jaan paayega

Apne hi vicharon ki waasna me hai mar raha
Doosron me sukh dhundhke dukh hi bus  paayega
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #48 on: October 06, 2013, 01:57:44 AM »
Reply with quote

Bachhe hain hum sab kal boodhe ho jayenge
Ya to jala diye jaayenge ya dafnaaye jaayenge

Mitti se bana ye jism phir mitti me mil jayega
guzre waqt ka kya insaan ka naam-o-nishaan mit jayega

Isliye zaruri hai maksad-e-zindagi samjhen hum
Har shakhs hai rooh khud ko jism na maane hum

Aatma hain agar to faqat lafz tak hi na simat jaayen
Roohaniyat ko mahsus kar khyaalon se pare jaayen
Zehen jo bhi bole use bus bolta hua dekhte rahen
Dheere dheere dimaagh ki hadon se upar uthte rahen
Sukh dukh sabhi kuchh aata jaata dekhte rahen
Har ehsaas ko khaamoshi se aata jaata dekhte rahen
Kyunki rooh man aur buddhi se bhi aage ki zaat hai
Kyunki rooh hi to Allah-o-Eeshwar ki zaat hai
Roohaniyat ke aalam me har ehsaas bilkul juda sa hai
Sukoon-e-aasma-o-ranj-e-zami me fark bada sa hai
Ye safar aisa hai jo har safar se zaruri hai
Is safar ke bina zindagi bilkul bemaksad hi hai
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #49 on: October 06, 2013, 01:59:06 AM »
Reply with quote
raaste musaafir se nikalte hain
raaste faqat raaston tak hi nahi jaate
musafir raaston par nikalte hain
musaafir sabhi manzil to nahi paate
manzilon ki wabastagi yun to raaston se
manzilen bekaar nahi jinme raaste bhi nahi
duniyaawi baaten hain ye faqat aur kuch nahi
hakeekat aisi hai jise samajhne ke liye waisa hona hoga
hakeekat kahne se taseer bahut kum ho jaati hai
magar phir bhi sachhayi se asarangez koi shay nahi
khud hi raahi khud hi raasta khud hi manzil hai har shakhs
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #50 on: October 06, 2013, 02:10:36 AM »
Reply with quote
Jap le prabhu ka naam diwas pal sam beeta jaye
kar poora uddeshya jevan ka prani ye phir na aaye

maya moh me ghire hain hum sab
chhal kapat me bandhe hain hum sab
sukh dukh hani labh ke hum khilaune
kabhi khush to kabhi lagte hain rone
chhod zamane ke prapanch isse koi paar pa paye
jap le prabhu ka naam diwas pal sam beeta jaye

kye leke aaye hum kuchh bhi na le ja payenge
prabhu ko bhaje bina to us lok bhi khali jayenge
prabhu to deen hitkaari,prabhu anayaar hi kripa karte
pa sake to pa prabhu ki kripa hey prani prabhu tujhme rahte
bhawsagar ki patwaar prabhu ko de nischint hoke gaye
jap le prabhu ka naam diwas pal sam beeta jaye

01.11.2010
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #51 on: October 07, 2013, 12:19:26 AM »
Reply with quote

Jis taraf se guzra hai udhar hi thahar gaya
aadmi ke zehen ka wahin raat dopahar gaya


chuankega tu roz-e-hashr me apni abaadiyon ko
karne aaya tha tu kya aur ye kya kar gaya


sahara khud ko koi khud hi de sakta hai
raat aati hai jaise waise hi to sahar gaya

waqt ek hi lahje me aadmi se baat ye kahta
makaan-e-gham ko bachaaoge,khushi ka shahar gaya


gham ko zururi maanne waale ye bhi kabhi ginna
udaasi tale hansi ka kitna pal guzar gaya


Khuda hai gaibiyaana,Khudaai ki nazren rakhta
saya-e-vahshat me hi aadmi ka har pahar gaya


duniya to sochon ko pabandiyan hi deti 'Kaash'
khule aasmaan me parinda wo azaad basar gaya
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #52 on: October 07, 2013, 12:25:43 AM »
Reply with quote
Zindagi me tab hamesha muskuraana aa jayega
patjhad me bhi gar bahaar dekhna aa jayega


zindagi me mohabbat ke ilaawa bhi mohabbat hi
baat jo jaan len hum hasna hasaana aa jayega


aadmi sab kuch dekhta par khud se chook jaata
khud ko agar dekha,sabko dekhna aa jayegaa


waqt ki baat waqt par hi,bewaqt kabhi nahi
waqt ko waqt samjha,waqt ko samajhna aa jayega


hauslon se badhkar jiwan me kuch nahi hota
aazmaaya isko gar khud ko aazmaana aa jayega

   
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #53 on: October 22, 2013, 01:43:57 AM »
Reply with quote
ye kaisi dunia hai
kaisa iska dastoor hai
kahin pe khamoshi hai
kahin baaten benoor hai

ye kaisi dunia
jahan pyaase ko paani na mile
jahan paani mile use
jise pyaas hi na lage
jahan pyaase aur paani ki udhedbun me
pyaas ka paani bepyaasa rahe


ye kaisi dunia
jahan dardmandon ke liye jagah hai
jahan dard me mitne waalon ke liye jagah hai
par jahan khushi baatne waale
chaahkar bhi na apna dard kah saken


ye kaisi dunia hai jahan
har taraf ujaala hai
lekin ujaale ke saaye me saaya nahi hota
aise ujaalon se jo darkinaar hai

ye kaisi dunia hai

05.04.2013
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #54 on: March 20, 2015, 09:32:46 PM »
Reply with quote

Sawalaat jab na honge jawaab bhi na honge
Sudhrenge rishte aise ki kharaab bhi na honge

Jo jaano ki rishta tumse sabse pehle tumhara hai
Taskeen-e-dil bhi hoga aur azaab bhi na honge

Bepardagi hamaari fitrat me hai dost warna
saamne rahenge aur benakaab bhi na honge

ilm ho jaaye gar ki gham ka vajood hai nazariya
sukh milta hai itna jiske hisaab bhi na honge

hai niha khushnumaai lamhon ke un lamhon me ‘Kaash’
jo talabgaar bhi no honge,betaab bhi na honge
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #55 on: April 09, 2015, 07:40:05 PM »
Reply with quote
riwaaz kahen ya kahen ise taanashaahi adab-e-shayari-e-jahaan ki yaaron
ki alfaaz bhi daad se mahroom hote hain yahan khushamad ke vaaste
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:49:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.087 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer