Ram Aur Krishna - My View - with Prayer .......................................................PWFS

by pankajwfs on March 30, 2012, 11:45:10 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2688 times)
pankajwfs
Guest
Reply with quote
Ram Aur Krishna

Priya Yoindia ke mitroN evam Sudhi janoN ko mera pyar aur Namaskaar. Aaj kuch baat aap se share karna chahta hun aur iske uprant isi se related ek rachna pesh kar raha hun aap ke comments ka aur pyar evam ashirvad ka akanshi rahunga.


Hum sab jis utsaah se Janmastmi ka parv manate hain wahin Ram navmi ke prati kuch udasheen rehte hai.  Bhagvaan Kirshna ko anusaran karne wale adhik jan hain Bhagvaan Ram ke kam.  Kyun ki krishna ki jeevan shailee logon ko jyada manmohak aur unke jeevan ke vividh ayojanoN ke nikat paratit hoti hai. Bhagvaan krishn me baal kaal se lekar yuva awastha tak hume kai prakar ke rang dekhne ko milte hain jinhe hum jeete hain athwa jeene ki kalpana karte hain.
Is ke viprit Bhagvaan sri Ram ke maryada purushottam swaroop ko ek aisi isthiti ya awastha maana jata hai jise anukran karne me hume kathinai prateet hoti hai. Is chavi ko hum ek adarsh stithi samajhte hain aur is prakaar ki jeevan shailee ko ye kah kar tyag dete hain ki is prakar jeevan bitaana keval Deviya ShaktiyoN dwara hi sambhav hai.
Aaj Ram navmi ke avashar par is baat ki charcha is liye kar raha hun ki aaj manusya me jo bhi bhowtikwadi prampra ke nirvahan ki prvatii badhi hai usi ke karan vash anekoN prakar ke kritya ya kukritya ki sankhya me badhotri hui hai. Vikash ki daud me hum ne apne jeevan mulyoN ko bhaut nukshan pahunchaya hai hum ne bhagwaan krishna ka anukaran to bahut kiya parntu ye bhul baithe hain ke Krishna manav roop me avashya aaye the par wo Iswariya shaktiyoN ke swami bhi the, Jis se jeevan ki bhowtiktawaadi rashiyon se wo pare the. sadharan Manushya ko is isthiti se bach niklna itna saral nahi hoga. Doosari taraf bhagwaan Raam ne jo jeevan prithvi par vyateet kiya usme ek sadharan jeevan shaili ki jhalak dhikti hai, Maryada aur tyaag ki jeevan shaili hi jeevan ke anekon dukhoN se door hone ka ek matra sadhan ban shakti Hai. Aayiye Isi baat ko dhyan me rak kar hum Aaj Bhagwan Ram ki stuti karte hain aur apne andar tyag aur maryaadit jeevan jine ki shakti ki kaamna karte hai....

Sadhanyavaad
Apka Apna
PankajWFS


Hey Jagat ke parampita sweekaaro Mera pranaam,
Jai Jai Govind Braj ke gwale jai ho Awadh ke Ram.

Naman KaruN mai Gokulwale Shri krishna Raadha ko,
Sadar pranam un margoN ko chale jinpe Siya Ram.  

Hey Jagat ke parampita sweekaaro Mera pranaam,..

Rijhya kiye Kaanha ji Bachpan ki Natkhat leela se
Charankamal wo vandaniya jinse ahilya pahuchi dham

Hey Jagat ke parampita sweekaaro Mera pranaam,..

Karun naman un murlidhar ko jinho ne jag ko nachaya,
Maryada aur tyag ki chavi Ram ki aae jagat ke kaam

Hey Jagat ke parampita sweekaaro Mera pranaam,..

Ban sarthi prasasth kiya marg jagat ka de geeta gyan
Ravaan rupi kaamna ka ant kar prbhu ne kiya visram.

Hey Jagat ke parampita sweekaaro Mera pranaam,..
Jai Jai Govind Braj ke gwale jai Awadh ke Ram.

(PWFS 30/03/2012)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
say a prayer by main_aisa_hi_hoon in Inspirational Stories and real life Incidences.
Prayer by Roja in English
PRAYER TIMETABLE by diya786 in Shayari-e-Parastish
I Said A Prayer For You Today by honeyrose in English
Peace Prayer by drpandey in English
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: March 30, 2012, 11:48:13 AM »
Reply with quote
bahut sunder chitran kiyaa hai badhaai ho pankaj
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #2 on: March 30, 2012, 11:50:14 AM »
Reply with quote
Thanks Saini Sir aapka Pyaar aur Ashirwaad ka hamesha se abhari hun Aur raunga Sir.
Logged
dolly
Guest
«Reply #3 on: March 30, 2012, 02:30:50 PM »
Reply with quote
bahut sundar bhav pankaj ji...Usual Smile..bahut sundar rachna..Usual Smile....aur apke vichar b kuch hadh tak sai hi hain....Usual Smile..Bhagwan Ram ki kripa sada bani rahe ap pr aur sabhi pr...Usual Smile

 bhagwaan Ram Ka jeevan anusarniya hai.....aur bhagwaan Krishna ki leela ka yashogaan krna hi hamara kartavya hai....Krishna ne jo kaha hai Bhagwad Geeta mein....uska anusaran bhagwaan Ram ke jeevan mei nazar aata hai.....aisa santon ka vichar hai...

Ram charit Manas ke anusaar....
'Chal kapat mohe chidra na bhava'.....mann ko nirmal krna ati avashyak hai tabi....Bhagwaan Ram ki anukampa hm pr hogi......Ram ka gaan saral,shant bhav mei ho tbi anand hai....
Logged
mkv
Guest
«Reply #4 on: March 30, 2012, 04:57:27 PM »
Reply with quote
Bhakti bhaavon se bhari is rachna ki jitni tareef kee jaye kam hai..
Applause
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #5 on: March 31, 2012, 02:46:19 AM »
Reply with quote
bahut sundar bhav pankaj ji...Usual Smile..bahut sundar rachna..Usual Smile....aur apke vichar b kuch hadh tak sai hi hain....Usual Smile..Bhagwan Ram ki kripa sada bani rahe ap pr aur sabhi pr...Usual Smile

 bhagwaan Ram Ka jeevan anusarniya hai.....aur bhagwaan Krishna ki leela ka yashogaan krna hi hamara kartavya hai....Krishna ne jo kaha hai Bhagwad Geeta mein....uska anusaran bhagwaan Ram ke jeevan mei nazar aata hai.....aisa santon ka vichar hai...

Ram charit Manas ke anusaar....
'Chal kapat mohe chidra na bhava'.....mann ko nirmal krna ati avashyak hai tabi....Bhagwaan Ram ki anukampa hm pr hogi......Ram ka gaan saral,shant bhav mei ho tbi anand hai....


Thanks dolly ji is lekh pe apna vichar vyakt karne ke liye aur Rachna  ko pasan karne ke liye apka abhaar vyakt karta hun.
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #6 on: March 31, 2012, 09:33:09 AM »
Reply with quote
Bhakti bhaavon se bhari is rachna ki jitni tareef kee jaye kam hai..
Applause

THANKS MUKESH JI RACHNA KO APNA KIMATI SAMAY AUR PASAND KARNE KE LIYE.
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #7 on: April 01, 2012, 05:23:41 AM »
Reply with quote
Bahut bahut sunder Vichaar Hain Bhai.. Aapki In bhaawnaaon ki jitni taareef Ki jaaye Kam Hai.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #8 on: April 02, 2012, 08:55:03 AM »
Reply with quote
Bahut bahut sunder Vichaar Hain Bhai.. Aapki In bhaawnaaon ki jitni taareef Ki jaaye Kam Hai.. Applause Applause



**~** Mann **~**
thanks mann ji aap logo ka pyar sir ankhon par
Logged
Ram Krishan Rastogi
Umda Shayar
*

Rau: 69
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
30 days, 21 hours and 9 minutes.

Posts: 4988
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #9 on: July 08, 2016, 08:55:43 AM »
Reply with quote
अति सुंदर रचना,राम और कृष्ण के साथ आप को भी कोटि कोटि प्रणाम मेरा पूरा नाम राम कृष्ण रस्तोगी
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #10 on: July 09, 2016, 04:18:56 AM »
Reply with quote
bahut umdah rachhnaa hai Janaab dheron daad.
 notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:27:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer