Rang ulfat ka, wafaa ka pyaar ka kam ho gaya.

by Ghulam Haider on July 20, 2010, 09:29:24 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2087 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Ahl e bazm aadaab.
Aap aHbaab ke peesh e khidmat naye kalaam ke saath Haazir hoN. Ummeed karta hoN pasand farmaayeNge.

Apna mat'lab sab ki Haajat par muqaddam ho gaya.
Khud gharaz is daur meN har ibn e aadam ho gaya.
======================================

Nafsa nafsi har taraf hai kaam aaye kis ke kaon,
Har bashar ko apna dam or apna hi gham ho gaya.
======================================

Bughz ka, keene ka, nafrat ka diloN par zang hai,
Rang ulfat ka, wafaa ka pyaar ka kam ho gaya.
======================================

Kar liya sajdah khuda ko bhi jo dil meN aa gayi,
But jahaN aayaa nazar sar khud ba khud kham ho gaya.
======================================

Zakhm e dil ke dard ka iHsaas hota tha kabhi,
Dard e dil ab khud hi zakhm e dil ka marham ho gaya.
======================================

Aaj dil meN yaar ke kya Husn aaraayi ki thi,
Tha ghazab haTna nigaahoN ka wo barham ho gaya.
======================================

Girya e aHbaab meN ham hi na ho paaye shareek,
Tab huyi ham ko khabar jab ham pe maatam ho gsaya.
======================================

ChhoR do Haider khuda ke waaste ye shae'ri,
Bas tumhaari shae'ri se naak meN dam ho gaya.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Wafaa ke hai rang kai by Nino in Shayri-E-Dard
pyaar ke rang ***** by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq
~Aapke pyaar ke rang~ by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq
Janaza uth gaya ulfat ka by mazHur in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Pyaar Yu Hi Ho Bhi gaya aur kho bi gaya!!! by pawan16 in Shayri for Khumar -e- Ishq
nazar ghouri
Guest
«Reply #1 on: July 20, 2010, 09:38:27 PM »
Reply with quote
wah wah haider sb bahot khoob khass kar ...matla aur 5th shair kya kahein dil ke bahot qareeb raha.. bahot saari daad aapke iss kalaam par..
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #2 on: July 21, 2010, 12:00:48 AM »
Reply with quote
Ahl e bazm aadaab.
Aap aHbaab ke peesh e khidmat naye kalaam ke saath Haazir hoN. Ummeed karta hoN pasand farmaayeNge.

Apna mat'lab sab ki Haajat par muqaddam ho gaya.
Khud gharaz is daur meN har ibn e aadam ho gaya.
======================================

Nafsa nafsi har taraf hai kaam aaye kis ke kaon,
Har bashar ko apna dam or apna hi gham ho gaya.
======================================

Bughz ka, keene ka, nafrat ka diloN par zang hai,
Rang ulfat ka, wafaa ka pyaar ka kam ho gaya.
======================================

Kar liya sajdah khuda ko bhi jo dil meN aa gayi,
But jahaN aayaa nazar sar khud ba khud kham ho gaya.
======================================

Zakhm e dil ke dard ka iHsaas hota tha kabhi,
Dard e dil ab khud hi zakhm e dil ka marham ho gaya.
======================================

Aaj dil meN yaar ke kya Husn aaraayi ki thi,
Tha ghazab haTna nigaahoN ka wo barham ho gaya.
======================================

Girya e aHbaab meN ham hi na ho paaye shareek,
Tab huyi ham ko khabar jab ham pe maatam ho gsaya.
======================================

ChhoR do Haider khuda ke waaste ye shae'ri,
Bas tumhaari shae'ri se naak meN dam ho gaya.


Its Too Good .....Haider Sahab ! Very Impressive Creation...dil se daad !
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #3 on: July 21, 2010, 01:17:26 AM »
Reply with quote
BAHUT KHUB
Ahl e bazm aadaab.
Aap aHbaab ke peesh e khidmat naye kalaam ke saath Haazir hoN. Ummeed karta hoN pasand farmaayeNge.

Apna mat'lab sab ki Haajat par muqaddam ho gaya.
Khud gharaz is daur meN har ibn e aadam ho gaya.
======================================

Nafsa nafsi har taraf hai kaam aaye kis ke kaon,
Har bashar ko apna dam or apna hi gham ho gaya.
======================================

Bughz ka, keene ka, nafrat ka diloN par zang hai,
Rang ulfat ka, wafaa ka pyaar ka kam ho gaya.
======================================

Kar liya sajdah khuda ko bhi jo dil meN aa gayi,
But jahaN aayaa nazar sar khud ba khud kham ho gaya.
======================================

Zakhm e dil ke dard ka iHsaas hota tha kabhi,
Dard e dil ab khud hi zakhm e dil ka marham ho gaya.
======================================

Aaj dil meN yaar ke kya Husn aaraayi ki thi,
Tha ghazab haTna nigaahoN ka wo barham ho gaya.
======================================

Girya e aHbaab meN ham hi na ho paaye shareek,
Tab huyi ham ko khabar jab ham pe maatam ho gsaya.
======================================

ChhoR do Haider khuda ke waaste ye shae'ri,
Bas tumhaari shae'ri se naak meN dam ho gaya.

Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #4 on: July 21, 2010, 06:18:22 AM »
Reply with quote
DAM HAI BHAI BAHUT DAM HAI
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #5 on: July 21, 2010, 07:15:57 AM »
Reply with quote
wah wah haider sb bahot khoob khass kar ...matla aur 5th shair kya kahein dil ke bahot qareeb raha.. bahot saari daad aapke iss kalaam par..
Shukriya nazar ghouri ji. Aap ke intekhaab se aap ke zauq ka andazah huwa. daad o sitaaish ke liye be had shukriya
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #6 on: July 21, 2010, 07:26:31 AM »
Reply with quote
Bahot khoob ghazal kahi hai Haider Sahab. Aapka likhne ka andaaz bilkul hi alag hai jo aapki ek pahchaan hai. Daad hazir hai is khoobsurat takhleeq ke liye.
Logged
shabbir143
Guest
«Reply #7 on: July 21, 2010, 10:01:19 AM »
Reply with quote
Wah Haider Ji Kya Baat Hai
Bohat Hi Khoobsurat Peshkash
Bohat Achhey Janaab.

Allah pak Aapko hush Rakhe Ameen.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #8 on: July 21, 2010, 10:20:49 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut baddiya Haider ji.heart touching creation.excellent icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
vb
Guest
«Reply #9 on: July 21, 2010, 02:14:13 PM »
Reply with quote
buhat khoob Ghulam Haider jee... achha ilm rakhtay hain aap arooz ka...
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #10 on: July 23, 2010, 07:44:19 PM »
Reply with quote
Its Too Good .....Haider Sahab ! Very Impressive Creation...dil se daad !
Aap ki daad ke liye daaman e dil phaila hai. Bohot 2 shukriya.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #11 on: July 23, 2010, 07:45:33 PM »
Reply with quote
BAHUT KHUB
Pasand karne ke liye shukriya
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: July 23, 2010, 07:49:16 PM »
Reply with quote
DAM HAI BHAI BAHUT DAM HAI
HaN bhai aap ki pasand hai, dam to hoga hi. Aap ki daad se aur bhi dam paR gaya hai.....
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #13 on: July 23, 2010, 07:56:46 PM »
Reply with quote
Bahot khoob ghazal kahi hai Haider Sahab. Aapka likhne ka andaaz bilkul hi alag hai jo aapki ek pahchaan hai. Daad hazir hai is khoobsurat takhleeq ke liye.
Aap ki daad paa kar dil ko bohot khushi hui. Shauq do guna ho gaya. Bohot 2 shukriya Riyaz Sb. aap ki nawaazish o karam ke liye.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:50:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer