Sab Jaanti hoon...........magar phir bhi !!!!!

by Talat on June 07, 2005, 11:40:34 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Author  (Read 8795 times)
Talat
Guest
Reply with quote
Khabar hai ki tum mere kabhi ho nahin sakte
Yeh baat magar main dil ko samjhoon bhi kaise
 
Khabar hai ki maine chaand ki tamanna ki hai
Zameen ka ek zarra hoon, nazar aaungi kaise

Khabar hai mujhe ki tum mera naseeb nahin ho
Aur jiska ho tum naseeb usse churaaun bhi kaise  

Khabar hai ki zindagi me sab kuch nahin mila karta
Yeh baat bata do ki tumhe bhulaaoon bhi kaise !!!
Logged
Suhas
Guest
«Reply #1 on: June 07, 2005, 11:54:04 AM »
Reply with quote
Very nice Talat ji............................. Usual Smile  Usual Smile  Usual Smile  Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: June 07, 2005, 12:09:57 PM »
Reply with quote
Thanks !! Suhas.......................................!!!!!!!!!
Logged
sarikasaxena
Guest
«Reply #3 on: June 07, 2005, 03:40:55 PM »
Reply with quote
bhut hI khoobsoorat nazm hai!!!!!!
keep it up
sarika
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: June 07, 2005, 03:46:47 PM »
Reply with quote
Bohot bohot shukriya!! Sarika..........hausla afzaai ka !!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #5 on: June 07, 2005, 03:53:28 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Khabar hai ki tum mere kabhi ho nahin sakte
Yeh baat magar main dil ko samjhoon bhi kaise
 
Khabar hai ki maine chaand ki tamanna ki hai
Zameen ka ek zarra hoon, nazar aaungi kaise

Khabar hai mujhe ki tum mera naseeb nahin ho
Aur jiska ho tum naseeb usse churaaun bhi kaise  

Khabar hai ki zindagi me sab kuch nahin mila karta
Yeh baat bata do ki tumhe bhulaaoon bhi kaise !!!


wah!!!!!!!!  bahot  khoob  talat.......................  do  line mein  main bhi  kuch  kah  doon  aap  ke liye......

khusboo  ki  tarah  tere  harsoo  bikhar  jaonga  "Talat"
apne  ehsaas  ke  andaaz  ek  baar  badal ke  dekh..........
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: June 07, 2005, 03:58:58 PM »
Reply with quote
Shukriya Waheed...............aur bohot achcha likha hai!!!

Khabar hai ki aur bhi chaahne waale mil jaayenge mujhe
Mohabbat to maine karli, kisi aur se dil lagaaoon bhi kaise!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: June 07, 2005, 04:24:34 PM »
Reply with quote
ur  welcome  talat..........  very  nice  reply.........

hum  apni  kahani  kaise  sunaye  ask bah jaayega
lab  khamosh  ho jaayenge dard  badh jaayega
ek shaks hai jo teri dahleez per sadiyon se khada hai
gar  use  teri  mohabbat na mili  to kidhar jaayega..
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: June 07, 2005, 04:34:37 PM »
Reply with quote
Thanks Waheed..............n nice one again..........

Humne to mohabbat ki hai ibaadat ki tarah
Aur ibaadat to ki jaati hai bas ek Khuda ki
Zindagi bhar chahe tanhaaiyan mile humko
Kisi aur se mohabbat ab nahin ho paayegi!!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #9 on: June 07, 2005, 11:54:54 PM »
Reply with quote
inn nazron ne jo dekha, khwab tumhara hei
inn labbo ne jo kaha, naam tumhara hei

dil ke darwaze tak, band lifafei mei aaya
aur ish dil ko chu gaya, pegaam tumhara hei

andhero se nikaala, ujaalo mein jo le aaya
ek pal mein jisne badla, pyaar tumhaara hei
Logged
Meena
Guest
«Reply #10 on: June 08, 2005, 03:44:08 PM »
Reply with quote
wah wah talat!!!!!!!! its simply beautiful!!!!!!! waheed ne bih bohot acha likha hai! tum dono ka muqabla kar nahin sakhti isslyie bas chota sa kuch likha hai!

Hume bhi arzoo thi tere sang jeevan bitane ki,
Par saath tera humne paya bhi to nahin...

Yuh to zindagi me bohot gum hote hai ansoon bahane ke liye,
Par tere jaise pehle kisi ne rulaya bhi to nahin...

Aisa nahin ke tere ane se pehle hum kabhi muskurate na te,
Par tere jane ke baad phir waisa kisi ne hasaya bhi to nahin...

Badakte rahe is duniya me humsafar ki talash me,
Par tujh jaisa yaar phir doobara mila bhi to nahin....

Tere yaadon ki peredari mere ashk dete hai aye dost,
Koi aur inke peredari ke kabil bhi to nahin…
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #11 on: June 08, 2005, 04:57:16 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Khabar hai ki tum mere kabhi ho nahin sakte
Yeh baat magar main dil ko samjhoon bhi kaise
 
Khabar hai ki maine chaand ki tamanna ki hai
Zameen ka ek zarra hoon, nazar aaungi kaise

Khabar hai mujhe ki tum mera naseeb nahin ho
Aur jiska ho tum naseeb usse churaaun bhi kaise  

Khabar hai ki zindagi me sab kuch nahin mila karta
Yeh baat bata do ki tumhe bhulaaoon bhi kaise !!!


wah Talat,such a beautiful work.Ek ek lafz me dard hai.jitni tareef ki jaaye kam hai,its so nice.
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: June 08, 2005, 06:40:33 PM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
wah wah talat!!!!!!!! its simply beautiful!!!!!!! waheed ne bih bohot acha likha hai! tum dono ka muqabla kar nahin sakhti isslyie bas chota sa kuch likha hai!

Hume bhi arzoo thi tere sang jeevan bitane ki,
Par saath tera humne paya bhi to nahin...

Yuh to zindagi me bohot gum hote hai ansoon bahane ke liye,
Par tere jaise pehle kisi ne rulaya bhi to nahin...

Aisa nahin ke tere ane se pehle hum kabhi muskurate na te,
Par tere jane ke baad phir waisa kisi ne hasaya bhi to nahin...

Badakte rahe is duniya me humsafar ki talash me,
Par tujh jaisa yaar phir doobara mila bhi to nahin....

Tere yaadon ki peredari mere ashk dete hai aye dost,
Koi aur inke peredari ke kabil bhi to nahin…


Thank Meena.....taaref ke liye....aur bohot hi khoobsurat likha hai..very touching....i can feel the pain of the emotions !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: June 08, 2005, 06:44:26 PM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "Talat"
Khabar hai ki tum mere kabhi ho nahin sakte
Yeh baat magar main dil ko samjhoon bhi kaise
 
Khabar hai ki maine chaand ki tamanna ki hai
Zameen ka ek zarra hoon, nazar aaungi kaise

Khabar hai mujhe ki tum mera naseeb nahin ho
Aur jiska ho tum naseeb usse churaaun bhi kaise  

Khabar hai ki zindagi me sab kuch nahin mila karta
Yeh baat bata do ki tumhe bhulaaoon bhi kaise !!!


wah Talat,such a beautiful work.Ek ek lafz me dard hai.jitni tareef ki jaaye kam hai,its so nice.


Thanks a lot Nidhi....thank you so much....... !!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #14 on: June 08, 2005, 06:46:12 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Khabar hai ki tum mere kabhi ho nahin sakte
Yeh baat magar main dil ko samjhoon bhi kaise
 
Khabar hai ki maine chaand ki tamanna ki hai
Zameen ka ek zarra hoon, nazar aaungi kaise

Khabar hai mujhe ki tum mera naseeb nahin ho
Aur jiska ho tum naseeb usse churaaun bhi kaise  

Khabar hai ki zindagi me sab kuch nahin mila karta
Yeh baat bata do ki tumhe bhulaaoon bhi kaise !!!


abb main kya kahun....lagta hai kisi ne meri emotions ko apne shabdon mein dhaal diya hai.....TOOOOO GOOD, YEH TARIKHA-E-DARD-E-BAYAN...BAHUT KHOOB, BAHUT KHOOB....
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:03:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer