"Sajid Ghayel" Ki Yaad me !!

by junaidqadir on June 03, 2009, 11:48:34 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1122 times)
junaidqadir
Guest
Reply with quote
Sajid Sahab Assalamwalekum !! Ghayel Sahab Kahan ho yaar aaj kal nazar hi nahi ate yoindia ki raunaq ho tum yaar apke kalamoo ko padne ka mann bahoth karr raha hai magar afsoos ap nazar hi nahi ate apki eak nazam jo mere dil ke behad qarib hai usse apki yaad me post kar raha hon taa ke yoindia ko laage sajid ghayel yoindia ke saath hai !! allah tumhe jahan bhi rakhe khush o khurram rakhe !! apke ahle qana aur tamam afrad ko sahet ata farma-a- Ameen !!Apka Aziz dost aur bhai ,, Qadeer Toopchi !!

Aur Ahle yoindia se guzarish hai ke jab tak sajid ghayel sahab na ayen is thread ko taaza rakhe !!balke yun kaho ke jub koi yoindia ka acha shayar waqath na de sake to uske nayab kalamath logon tak pahonchane ka zimma hame lena hoga !! Apka Bhai Qadeer toopchi !!

Koi taman_nao ki chader lapate soya hain
To koi do waqt ki roti ke tasav_ur me khoya hain
Yeh woh ghar hain yaro jaha aaj har shaks bhookha soya hain

Kisi ko gam hain apni bebasi ka
To kisi ko matam hain is zindagi ka
Raat ke kisi na kisi pehlu me, har aadmi roya hain

Arey zara mehsoos karo un bach_cho ki tadap, jab bhookh se neend khul jati hain
Kya guzarti hogi us ma pe jo jhoothe vaade karke bach_cho ko sulati hain
Kismat ne aakhir inhe yeh kis dal_dal me duboya hain

Um_meed ki koi kiran nahi, phir bhi subah ka sabko intezaaar hain
Is ghar me daulat nahi khane ko roti nahi, agar kuch hain to sirf pyaar hain
Har kisi ne bade pyaar se apne khwabo ko sanjoya hain

Shayed takdir ke hatho ladte ladte yeh sab ek din har jayege
Yeh masoom bhookhe bach_che aawara ya gunde kehlayge
Is ghar ki betiyaan kisi nukkad par badan ka vyapaar karegi
Budhi ma ka kya hain chup chap apni maut ka intezaar karegi
Aakhir kaun hain gunhe_gaar inki is halet ka, kisne is samaj me gareebi ka beej boya hain

Written Bye "Sajid Ghayel Sahab "
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008

View Profile
«Reply #1 on: June 03, 2009, 11:53:40 AM »
Reply with quote
wat a nice initiative, Qadeer Bahi, so sweet of you!

and Sajid Bhaiyya, very nice insipirational words yaar
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #2 on: June 03, 2009, 12:03:26 PM »
Reply with quote
Shukriya Sidraah Bahen Chalo Apne qadar ki is jazbe ki !! Allah yoindia me qaloos paida kare ameen !! Aur sajid ke iss nazam ki jitni tareef ki jaye kamm hi hogi !!Allah Gahyel sahab ko izzath de Ameen !!

Qadeer
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: June 03, 2009, 12:57:52 PM »
Reply with quote
bahut achche junaid bhai aapne sajid bhai ko hamaare sath itne khoobsurat tareeqe se joda hai kii kya kahe.......
maine bhi bhai jaan ko pm kara tha magar koi jawaab nahin aaya .......bhai jaan jahan bhi ho jaldi aa jao .yo bahut soona sa ho gaya hai aapki shayarion k bina
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #4 on: June 04, 2009, 07:17:11 AM »
Reply with quote
bahut achche junaid bhai aapne sajid bhai ko hamaare sath itne khoobsurat tareeqe se joda hai kii kya kahe.......
maine bhi bhai jaan ko pm kara tha magar koi jawaab nahin aaya .......bhai jaan jahan bhi ho jaldi aa jao .yo bahut soona sa ho gaya hai aapki shayarion k bina

shukriya salil , we always miss Ghayel ,, allah unhe khush rakhe !!

Qadeertoopchi

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: June 04, 2009, 07:27:11 AM »
Reply with quote
So sweet of you Qadeer ji,bahut dil se aapne Sajid ji ko pukara,
jaldi aaa jayenge,
I miss you too sajid ji.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #6 on: June 05, 2009, 05:29:56 AM »
Reply with quote
Bohat chcha Kalaam Hai Ye, Mere Bhi Dil ke Bohat Kareeb Hai, Thank U Qadeer Bhai, For Sharing This,.

May llah Bless YOu Too,.
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #7 on: June 05, 2009, 06:28:05 AM »
Reply with quote
So sweet of you Qadeer ji,bahut dil se aapne Sajid ji ko pukara,
jaldi aaa jayenge,
I miss you too sajid ji.

thanks a lot madhuwesh ji !!

Qadeer
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #8 on: June 14, 2009, 11:30:07 AM »
Reply with quote
Bohat chcha Kalaam Hai Ye, Mere Bhi Dil ke Bohat Kareeb Hai, Thank U Qadeer Bhai, For Sharing This,.

May llah Bless YOu Too,.

Shukriya azeem !!

Qadeer
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #9 on: June 15, 2009, 06:17:51 AM »
Reply with quote
Sajid Sahab Assalamwalekum !! Ghayel Sahab Kahan ho yaar aaj kal nazar hi nahi ate yoindia ki raunaq ho tum yaar apke kalamoo ko padne ka mann bahoth karr raha hai magar afsoos ap nazar hi nahi ate apki eak nazam jo mere dil ke behad qarib hai usse apki yaad me post kar raha hon taa ke yoindia ko laage sajid ghayel yoindia ke saath hai !! allah tumhe jahan bhi rakhe khush o khurram rakhe !! apke ahle qana aur tamam afrad ko sahet ata farma-a- Ameen !!Apka Aziz dost aur bhai ,, Qadeer Toopchi !!

Aur Ahle yoindia se guzarish hai ke jab tak sajid ghayel sahab na ayen is thread ko taaza rakhe !!balke yun kaho ke jub koi yoindia ka acha shayar waqath na de sake to uske nayab kalamath logon tak pahonchane ka zimma hame lena hoga !! Apka Bhai Qadeer toopchi !!

Koi taman_nao ki chader lapate soya hain
To koi do waqt ki roti ke tasav_ur me khoya hain
Yeh woh ghar hain yaro jaha aaj har shaks bhookha soya hain

Kisi ko gam hain apni bebasi ka
To kisi ko matam hain is zindagi ka
Raat ke kisi na kisi pehlu me, har aadmi roya hain

Yeh woh ghar hain yaro jaha aaj har shaks bhookha soya hain

Arey zara mehsoos karo un bach_cho ki tadap, jab bhookh se neend khul jati hain
Kya guzarti hogi us ma pe jo jhoothe vaade karke bach_cho ko sulati hain
Kismat ne aakhir inhe yeh kis dal_dal me duboya hain

Yeh woh ghar hain yaro jaha aaj har shaks bhookha soya hain

Um_meed ki koi kiran nahi, phir bhi subah ka sabko intezaaar hain
Is ghar me daulat nahi khane ko roti nahi, agar kuch hain to sirf pyaar hain
Har kisi ne bade pyaar se apne khwabo ko sanjoya hain

Yeh woh ghar hain yaro jaha aaj har shaks bhookha soya hain

Shayed takdir ke hatho ladte ladte yeh sab ek din har jayege
Yeh masoom bhookhe bach_che aawara ya gunde kehlayge
Is ghar ki betiyaan kisi nukkad par badan ka vyapaar karegi
Budhi ma ka kya hain chup chap apni maut ka intezaar karegi
Aakhir kaun hain gunhe_gaar inki is halet ka, kisne is samaj me gareebi ka beej boya hain

Yeh woh ghar hain yaro jaha aaj har shaks bhookha soya hain

Written Bye "Sajid Ghayel Sahab "

MIND BLOWING...SHARING QADIR BHAI...MAIN BHI SAJID GHAYAL KAA FAN HOON...!!!
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #10 on: April 27, 2011, 12:10:18 AM »
Reply with quote
Kisi ne sach kaha hai ke yeh yaadein hi hai jo Insaan ko zinda rakhti hai.........yeh Yoindia Parivaar ki mohabbat hi hai jo aaj main thoda bohat toota phoota likh leta hu.

May God bless this beautiful site and its members. AAMEEN.

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:27:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer