**Samaj nahin ata hai** by Rahim

by dead heart on February 19, 2010, 08:31:00 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1355 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Main kuch dinn pehle ek bahaut khas aur mera matlab bahaut hiiiiiii khas shaks se dhoor tha aur tab yeh kalam likha tha...Yeh kalam uss khas shaks ko dedicated hai kyun ke ussi ki yaad main yaad likha tha...

Yaadein teri mujhe pal pal rulati hai,
Who adaein teri mujhe yaad aa kar khoob satati hai,
Meri baahein har lamha teri baahon ko bulati hai,
Tu dhoor baith kar bhi mujhe apni yaad dilati hai,
Tu kareeb rehte dhoor hai ya dhoor rehkar kareeb,
Samaj nahin ata hai…

Yeh fizaein mujhe teri awaaz sunati hai,
Chupke se who lamhein yaad dilati hai,
Aur tujhe sirf ‘Rahim’ ka batati hai,
Tu milon dhoor baithe paas hone ka ehsas dilati hai,
Tu kareeb rehte dhoor hai ya dhoor rehkar kareeb,
Samaj nahin ata hai…

Meri ankhon main tu ked nazar ata hai,
Meri har sans main mahek ki tarha tu samata hai,
Tere muskurane se mera ghum toot jata hai,
Par kyun tu mujse milon dhoor hi nazar ata hai,
Tu kareeb rehte dhoor hai ya dhoor rehkar kareeb,
Samaj nahin ata hai…


~Rahim~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**samaj nahin ayi** by dead heart in Miscellaneous Shayri
**Tamanaein nahin hoti** by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
**Mehboob mila nahin hai** by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
**Aitbaar nahin** by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
**Meri jaan tu nahin toh 'Rahim' nahin**by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
malli
Guest
«Reply #1 on: February 20, 2010, 02:07:48 AM »
Reply with quote
Main kuch dinn pehle ek bahaut khas aur mera matlab bahaut hiiiiiii khas shaks se dhoor tha aur tab yeh kalam likha tha...Yeh kalam uss khas shaks ko dedicated hai kyun ke ussi ki yaad main yaad likha tha...

Yaadein teri mujhe pal pal rulati hai,
Who adaein teri mujhe yaad aa kar khoob satati hai,
Meri baahein har lamha teri baahon ko bulati hai,
Tu dhoor baith kar bhi mujhe apni yaad dilati hai,
Tu kareeb rehte dhoor hai ya dhoor rehkar kareeb,
Samaj nahin ata hai…

Yeh fizaein mujhe teri awaaz sunati hai,
Chupke se who lamhein yaad dilati hai,
Aur tujhe sirf ‘Rahim’ ka batati hai,
Tu milon dhoor baithe paas hone ka ehsas dilati hai,
Tu kareeb rehte dhoor hai ya dhoor rehkar kareeb,
Samaj nahin ata hai…

Meri ankhon main tu ked nazar ata hai,
Meri har sans main mahek ki tarha tu samata hai,
Tere muskurane se mera ghum toot jata hai,
Par kyun tu mujse milon dhoor hi nazar ata hai,
Tu kareeb rehte dhoor hai ya dhoor rehkar kareeb,
Samaj nahin ata hai…


~Rahim~


Bahut accha likha hai aapne dear Rahim..... Thumbs UP (kahi wo bahut bahut khaas mai to nahi?  tongue3 )
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: February 20, 2010, 04:52:20 AM »
Reply with quote
Bahoot Bahoot Khoob Rahim Bro.. Bahoot Khoobsoorati se tumne ehsaas ko lafzo mea piroya hai .. Bahoot khoob!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: February 20, 2010, 12:56:16 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut shukriya Malli jee aur Divya di..

Haan Malli jee woh bahaut zada khaas hai...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 03:23:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer