SAMAJH.....(updated)

by riyaz106 on March 20, 2010, 07:15:51 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2656 times)
riyaz106
Guest
«Reply #15 on: March 21, 2010, 07:28:08 AM »
Reply with quote
Behad behad shukriya, Adil sahab ke aapko mere ye ashaar pasand aaye. Main aapka tah-e-dil se mashkoor hun.
kyaa baat hai riyaz sahab....bahut khoob
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
soch samajh kar by go_kool in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
Samajh by Raj in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
SAMAJH....(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri
SAMAJH KAR by danish007 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
samajh by sumir in Miscellaneous Poetry in Punjabi
madhuwesh
Guest
«Reply #16 on: March 21, 2010, 07:50:12 AM »
Reply with quote
Wah Riyaz bhai aur bhi khoobsurat ho gayi aapke ye kavita,great creation.bahut achi lagi. Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #17 on: March 21, 2010, 09:36:46 AM »
Reply with quote
WAAH RIYAZ JI WAAH BAHUT ACHHA ,SUNDER LAFZON MEIN PIROYA HAI APNI KALPANAAON KO. icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower Applause Applause Applause Applause
DARWAJE PE JAB LAG JAATE HAIN TAALE.
KAMRE KA SAANS LENA KHIDKIYAAN SAMAJHTI HAIN.
MANZIL KE RAASTE JAB THAKAANE LAGEN
JALDI PAHUNCHA DENA PAGDANDIYAN SAMAJHTI HAIN.
FAT JAATA AASMAN KA SEENA JAB BIJLIYAAN KADAKTI HAIN.
DARD KAHAAN  HOTA HAI YE BADLIYAAN SAMAJHTI HAIN.


SAMAJH
Dardo-gham gulon ke sab, titliyan samajhti hain
Zulfein kaise suljhengi, ungliyan samajhti hain

Majhi ka to maqsad hai, bas pahunchna saahil tak
Lahron ke thapedon ko, kashtiyan samajhti hain

Aql wale to hain hum  ghaur kuchh  nahi karte
Pani kisko kahte hain, machhliyan samajhti hain
-----
Abbu se to kahne mein, unko dar sa lagta hai
Betiyon ki uljhan ko, ammiyan samajhti hain


Riyaz 'Ashna'
Logged
drpandey
Guest
«Reply #18 on: March 21, 2010, 10:24:36 AM »
Reply with quote
SAMAJH

Dardo-gham gulon ke sab, titliyan samajhti hain
Zulfein kaise suljhengi, ungliyan samajhti hain

Majhi ka to maqsad hai, bas pahunchna saahil tak
Lahron ke thapedon ko, kashtiyan samajhti hain

Aql wale to hain hum  ghaur kuchh  nahi karte
Pani kisko kahte hain, machhliyan samajhti hain
-----
Abbu se to kahne mein, unko dar sa lagta hai
Betiyon ki uljhan ko, ammiyan samajhti hain


Riyaz 'Ashna'
Bahut khoob update kiya Riyaz Sahab..
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #19 on: March 21, 2010, 10:29:16 AM »
Reply with quote
Bahoot Bahoot Khoob Riyaaz ji .. Good work Suresh ji !
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #20 on: March 21, 2010, 01:58:35 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Kameeney ji.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #21 on: March 21, 2010, 02:48:12 PM »
Reply with quote
Bahot bahot SHUKRIYA Pandey ji. Main mashkoor hun aapka.Aapne bhi bahot khoobsurat likha hai
Bahut bahut umda Riyaz Sahab, kya andaze-bayaan hai.."Aql wale to hain hum  ghaur kuchh  nahi karte, Pani kisko kahte hain, machhliyan samajhti hain" ye sher bahut hi achchha laga...
 

Har baat kahi baa-hunar, bharpoor karishmaai,
Andaazo-sukhan adab ki baarikiyan samajhti hain..

Bahut khoob update kiya Riyaz Sahab..
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #22 on: March 21, 2010, 05:28:48 PM »
Reply with quote
Aapko meri ye creation achhi lagi bahut bahut shukriya Madhu didi.
Wah Riyaz bhai aur bhi khoobsurat ho gayi aapke ye kavita,great creation.bahut achi lagi. Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #23 on: March 21, 2010, 06:13:19 PM »
Reply with quote
[ahut bahut shukriya Suresh ji. Aapne jo hausla afazaai ki hai uske liye bhi main aapka abhaari hun. Aapne bhi jawaban bahut achhi poem likhi hai.
WAAH RIYAZ JI WAAH BAHUT ACHHA ,SUNDER LAFZON MEIN PIROYA HAI APNI KALPANAAON KO. icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower Applause Applause Applause Applause
DARWAJE PE JAB LAG JAATE HAIN TAALE.
KAMRE KA SAANS LENA KHIDKIYAAN SAMAJHTI HAIN.
MANZIL KE RAASTE JAB THAKAANE LAGEN
JALDI PAHUNCHA DENA PAGDANDIYAN SAMAJHTI HAIN.
FAT JAATA AASMAN KA SEENA JAB BIJLIYAAN KADAKTI HAIN.
DARD KAHAAN  HOTA HAI YE BADLIYAAN SAMAJHTI HAIN.


Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #24 on: March 21, 2010, 06:24:36 PM »
Reply with quote
SAMAJH

Dardo-gham gulon ke sab, titliyan samajhti hain
Zulfein kaise suljhengi, ungliyan samajhti hain

Majhi ka to maqsad hai, bas pahunchna saahil tak
Lahron ke thapedon ko, kashtiyan samajhti hain

Aql wale to hain hum  ghaur kuchh  nahi karte
Pani kisko kahte hain, machhliyan samajhti hain
-----
Abbu se to kahne mein, unko dar sa lagta hai
Betiyon ki uljhan ko, ammiyan samajhti hain


Riyaz 'Ashna'


Hur Sher aapne aap mein ek sampoorn kahaani,ek lajawaab ehsaas.Aap ne jin baarikiyon ka zikr kiya hai woh dil tuk pahuchti hai.Shaandaar likha hai aapne janaab. Applause Applause Applause
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #25 on: March 21, 2010, 09:58:34 PM »
Reply with quote
SAMAJH
Dardo-gham gulon ke sab, titliyan samajhti hain
Zulfein kaise suljhengi, ungliyan samajhti hain

Majhi ka to maqsad hai, bas pahunchna saahil tak
Lahron ke thapedon ko, kashtiyan samajhti hain

Aql wale to hain hum  ghaur kuchh  nahi karte
Pani kisko kahte hain, machhliyan samajhti hain
-----
Abbu se to kahne mein, unko dar sa lagta hai
Betiyon ki uljhan ko, ammiyan samajhti hain


Riyaz 'Ashna'

Wah Wah Riyaz Bhai Kya Kehne
Badi Hi Sadgi Aur Khoobsurti Se
Aapne Bahut Hi Badi Badi Baaten Likhin Hain
Har Ashaar Ek Apne Men Ek Soch Liye Hue Hai
Ek Behatreen Kalaam Aapne Nazar Kiya Hai
Bahut Bahut Hi Badiya Janaab... Applause Applause Applause Applause Applause

Dil Se Nikli Da'd Kabul Farmaaye...!

ALLAH Pak Aapko Khush Rahe...Aeem

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #26 on: March 22, 2010, 04:39:18 AM »
Reply with quote
Aapka bahut bahut shukria Sophi ji. Karam nawazish
Bahoot Bahoot Khoob Riyaaz ji .. Good work Suresh ji !
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #27 on: March 22, 2010, 11:05:08 AM »
Reply with quote
Prateek sahab aapka tahe-dil se shukriya ke aapko mere ye ashaar achhe lage aur aapne badi tawajjo se padha. Karam, nawazish, shukriya.

Hur Sher aapne aap mein ek sampoorn kahaani,ek lajawaab ehsaas.Aap ne jin baarikiyon ka zikr kiya hai woh dil tuk pahuchti hai.Shaandaar likha hai aapne janaab. Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #28 on: March 22, 2010, 12:23:53 PM »
Reply with quote
HUM_DUM ji main tahe-dil se aapka shukriya adaa karta hun ke aapne mere ye ashaar padhe pasand kiye aur hausla afazaai ki. Allah aapko bhi bahut khush rakhe.
Wah Wah Riyaz Bhai Kya Kehne
Badi Hi Sadgi Aur Khoobsurti Se
Aapne Bahut Hi Badi Badi Baaten Likhin Hain
Har Ashaar Ek Apne Men Ek Soch Liye Hue Hai
Ek Behatreen Kalaam Aapne Nazar Kiya Hai
Bahut Bahut Hi Badiya Janaab... Applause Applause Applause Applause Applause

Dil Se Nikli Da'd Kabul Farmaaye...!

ALLAH Pak Aapko Khush Rahe...Aeem


Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: March 22, 2010, 01:48:19 PM »
Reply with quote
SAMAJH

Dardo-gham gulon ke sab, titliyan samajhti hain
Zulfein kaise suljhengi, ungliyan samajhti hain

Majhi ka to maqsad hai, bas pahunchna saahil tak
Lahron ke thapedon ko, kashtiyan samajhti hain

Aql wale to hain hum  ghaur kuchh  nahi karte
Pani kisko kahte hain, machhliyan samajhti hain
-----
Abbu se to kahne mein, unko dar sa lagta hai
Betiyon ki uljhan ko, ammiyan samajhti hain


Riyaz 'Ashna'

Bohot khoobsurat ghazal, Riyaz Ji
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 06:07:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer