samandar mein samaaya hota!

by Prateek Mardia on March 15, 2010, 08:21:57 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2326 times)
Prateek Mardia
Guest
Reply with quote
Duniyaadari ne jo is tarah humko na gale lagaaya hota
Kasam se kehta hu mein chehre pe rung kuch aur hi aaya hota!!


Nadi mein doob jaane ka isliye aksar hota hein malaal
Seep ka moti hu mein samandar mein samaaya hota!!


 Aur Kaun se nayaab kaam kar liye is tarah sharton pe jeete –jeete
 Zidon ki zud jo tatoli hoti to kuch sukoon to paaya hota!!


Kosna kismaton ko maana nishaani buzdilon ki hogi magar
 aman ke chahne waalon to tumne ladna to sikhaaya hota!!


tere shehar ki chaka chondh se bus into si shikaayat hein
mere aangan mein jaltey diye ko aise na bujhaaya hota!!

                                     ---Prateek Mardia



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dil mein samandar rakhna... by sharmaarunkumar in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Meri Aankhon Ke Samandar Mein.... by Aryaan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 7 8 »
Agar Mein Mein na hota by bohra_ajay in The forum only for "Forum Gaming" « 1 2 3 4 5 »
Meri ankhon ke samandar mein jalan kaisi hai by Titanic26 in Pain in Love : Punjabi poetry
Khawabo ke samandar mein moti usko milti hai by livingbytheday in Ghazals
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: March 15, 2010, 09:45:54 PM »
Reply with quote
Bahut hi khoob Prateek ji,really heart touching lines.great creation. Thumbs UP Applause Applause Applause Applause Hats off to you!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: March 16, 2010, 07:42:45 AM »
Reply with quote
Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you!

Bahut Bahut Khoob Prateekji..Kya Kahoon Iss Lekhni Par,bahut gehre Jazbaat  Liye,Har lafz Gehrai mein Jaisa Dooba Hua.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Ache Prateekji Thumbs UP

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: March 16, 2010, 08:26:21 AM »
Reply with quote
Prateekji,Kuch likhne Ki Gusaatki kar raha Hoon..

Duniyadaari Ne Iss Tarah Na Usse Gale lagaya Hota
Aaj Sochta Hoon,Kaash Woh bhi Kabhi Khul Ke Muskuraya Hota...

Aaj Daud Raha Hai Woh Bahut Tez Raftaar mein
Kabhi To usne bhi Araam farmaya hota..

Ab Dil mein malaal paalne se kya Haasil!!!!
Jab Waqt tha,Tab Apne Aapko inn Baaton Se Uljhaya Hota....

Kostha raha Main Apni Hi Taqdeer Ko,
Sochta Hoon, Roothi hui meri Taqdeer Ko aakhir kisi ne to Manaya Hota..

Main Woh Sipahi Hoon Jisne Apni Dhaal Khud Hi Dushmano ke haath de di
Par Phir Bhi Log kehte hai ke
"Khwiash Kabhi To, Apna Sar Bhi Jhuakaya Hota"..

"Khwaish" Nadaan hai, Nahi samaj paayega Duniyadaari Kya Hai??
Be-fikr Ho kar,Kabhi Khud Ko Inn Jhooti Baaton Se Lubhaaya Hota...

Phir Bhi Shukar Hai!! Mujhe Iss Duniya ke rasmo-riwaazo ko Nibhaana Naa Aaya..
Varna Gile-Shikwe,Shikayaton mein
 Apni Tamam Umar Ko Humne Yuhi Bitaya Hota....

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: March 16, 2010, 09:56:06 AM »
Reply with quote
Wah Khwaish ji aapne bi kya khoob likha,abi abi main api taqdeer ko kosh kar aayi,aur aapke ye kavita padne ko mila.dil ko chu gayee aapke lines. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft great creation
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: March 16, 2010, 02:12:35 PM »
Reply with quote
Wah Khwaish ji aapne bi kya khoob likha,abi abi main api taqdeer ko kosh kar aayi,aur aapke ye kavita padne ko mila.dil ko chu gayee aapke lines. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft great creation

Thankyou Soooooooooooooooo Much Dear madhu..

Thanks For Always Reading And Appreciating!!!! Usual Smile
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #6 on: March 16, 2010, 02:42:29 PM »
Reply with quote
WAH KHWAISHJI WAAH!
 Applause Applause Applause Applause Applause
KHWAISH JI ,EK GUSTAAKHI HUM BHI KAR HI DETE HAIN.

GHAM HI SIKHAATE HAIN KHUSHIYON KA MATLAB.
NA MILTE GHAM TO KHUSHIYON KA MATLAB SAMAJH NA AAYA HOTA.

SAATH SAATH HAIN TO SHIKWE GILON SE KAT JAATA HAI WAQT.
VERNA YE ZINDAGI KE SAFAR MEIN AKELE HI NIBHAYA HOTA.

ISS ROZ ROZ KE FASAADON MEIN KOI ITNAA KAREEB AA JATA HAI.
ROOH SE ROOH KA MILAN KA MAZAA MUJHKO NA AAYA HOTA.

Prateekji,Kuch likhne Ki Gusaatki kar raha Hoon..

Duniyadaari Ne Iss Tarah Na Usse Gale lagaya Hota
Aaj Sochta Hoon,Kaash Woh bhi Kabhi Khul Ke Muskuraya Hota...

Aaj Daud Raha Hai Woh Bahut Tez Raftaar mein
Kabhi To usne bhi Araam farmaya hota..

Ab Dil mein malaal paalne se kya Haasil!!!!
Jab Waqt tha,Tab Apne Aapko inn Baaton Se Uljhaya Hota....

Kostha raha Main Apni Hi Taqdeer Ko,
Sochta Hoon, Roothi hui meri Taqdeer Ko aakhir kisi ne to Manaya Hota..

Main Woh Sipahi Hoon Jisne Apni Dhaal Khud Hi Dushmano ke haath de di
Par Phir Bhi Log kehte hai ke
"Khwiash Kabhi To, Apna Sar Bhi Jhuakaya Hota"..

"Khwaish" Nadaan hai, Nahi samaj paayega Duniyadaari Kya Hai??
Be-fikr Ho kar,Kabhi Khud Ko Inn Jhooti Baaton Se Lubhaaya Hota...

Phir Bhi Shukar Hai!! Mujhe Iss Duniya ke rasmo-riwaazo ko Nibhaana Naa Aaya..
Varna Gile-Shikwe,Shikayaton mein
 Apni Tamam Umar Ko Humne Yuhi Bitaya Hota....


Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #7 on: March 16, 2010, 06:03:44 PM »
Reply with quote
Bahut hi khoob Prateek ji,really heart touching lines.great creation. Thumbs UP Applause Applause Applause Applause Hats off to you!

aapki saraahna ka dil se shukrguzaar hu madhu ji.Aabhar.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #8 on: March 16, 2010, 06:07:26 PM »
Reply with quote
Hats off to you! Hats off to you! Hats off to you!

Bahut Bahut Khoob Prateekji..Kya Kahoon Iss Lekhni Par,bahut gehre Jazbaat  Liye,Har lafz Gehrai mein Jaisa Dooba Hua.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Ache Prateekji Thumbs UP



khwaish bhai, aapki thupthahat mil jaati hain to saadharan panktiyaan bhee khud ko kavita samajhne lagti hein.Aapne unmukt hriday se jo manobal badhaaya hai uskey liye aapka atyant shukrguzaar hu. dhnyawaad.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #9 on: March 16, 2010, 06:18:11 PM »
Reply with quote
Prateekji,Kuch likhne Ki Gusaatki kar raha Hoon..

Duniyadaari Ne Iss Tarah Na Usse Gale lagaya Hota
Aaj Sochta Hoon,Kaash Woh bhi Kabhi Khul Ke Muskuraya Hota...

Aaj Daud Raha Hai Woh Bahut Tez Raftaar mein
Kabhi To usne bhi Araam farmaya hota..

Ab Dil mein malaal paalne se kya Haasil!!!!
Jab Waqt tha,Tab Apne Aapko inn Baaton Se Uljhaya Hota....

Kostha raha Main Apni Hi Taqdeer Ko,
Sochta Hoon, Roothi hui meri Taqdeer Ko aakhir kisi ne to Manaya Hota..

Main Woh Sipahi Hoon Jisne Apni Dhaal Khud Hi Dushmano ke haath de di
Par Phir Bhi Log kehte hai ke
"Khwiash Kabhi To, Apna Sar Bhi Jhuakaya Hota"..

"Khwaish" Nadaan hai, Nahi samaj paayega Duniyadaari Kya Hai??
Be-fikr Ho kar,Kabhi Khud Ko Inn Jhooti Baaton Se Lubhaaya Hota...

Phir Bhi Shukar Hai!! Mujhe Iss Duniya ke rasmo-riwaazo ko Nibhaana Naa Aaya..
Varna Gile-Shikwe,Shikayaton mein
 Apni Tamam Umar Ko Humne Yuhi Bitaya Hota....



 Applause Applause Applause

Khwaish bhai, aapki rachna se is panne ka aakarshan budh gaya hai. aapki aashawaadi soch aur sakaratmak ravayya sada hi aapki kavitaayon mein jhalakta hai. aap nirantar accha likhtey rahe aur sub ko aanandit karte rahe yahi kaamna hai.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #10 on: March 16, 2010, 06:19:02 PM »
Reply with quote
WAH KHWAISHJI WAAH!
 Applause Applause Applause Applause Applause
KHWAISH JI ,EK GUSTAAKHI HUM BHI KAR HI DETE HAIN.

GHAM HI SIKHAATE HAIN KHUSHIYON KA MATLAB.
NA MILTE GHAM TO KHUSHIYON KA MATLAB SAMAJH NA AAYA HOTA.

SAATH SAATH HAIN TO SHIKWE GILON SE KAT JAATA HAI WAQT.
VERNA YE ZINDAGI KE SAFAR MEIN AKELE HI NIBHAYA HOTA.

ISS ROZ ROZ KE FASAADON MEIN KOI ITNAA KAREEB AA JATA HAI.
ROOH SE ROOH KA MILAN KA MAZAA MUJHKO NA AAYA HOTA.


bahut khoob suresh jee.
Logged
drpandey
Guest
«Reply #11 on: March 16, 2010, 07:28:18 PM »
Reply with quote
Duniyaadari ne jo is tarah humko na gale lagaaya hota
Kasam se kehta hu mein chehre pe rung kuch aur hi aaya hota!!


Nadi mein doob jaane ka isliye aksar hota hein malaal
Seep ka moti hu mein samandar mein samaaya hota!!


 Aur Kaun se nayaab kaam kar liye is tarah sharton pe jeete –jeete
 Zidon ki zud jo tatoli hoti to kuch sukoon to paaya hota!!


Kosna kismaton ko maana nishaani buzdilon ki hogi magar
 aman ke chahne waalon to tumne ladna to sikhaaya hota!!


tere shehar ki chaka chondh se bus into si shikaayat hein
mere aangan mein jaltey diye ko aise na bujhaaya hota!!

                                     ---Prateek Mardia

Achchhi rachna hai Prateek bhai..keep on writing....

                  Kar di tamam umr jab bejaan tumhare saath,
                  Ab khaar si lage hai tumko meri har baat,
                  Kismat badi azeeb hai insaan ki 'Adab'
                  Aaye to mutthi band thi jayenge khali haath..

Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #12 on: March 16, 2010, 07:30:53 PM »
Reply with quote
Duniyaadari ne jo is tarah humko na gale lagaaya hota
Kasam se kehta hu mein chehre pe rung kuch aur hi aaya hota!!


Nadi mein doob jaane ka isliye aksar hota hein malaal
Seep ka moti hu mein samandar mein samaaya hota!!


 Aur Kaun se nayaab kaam kar liye is tarah sharton pe jeete –jeete
 Zidon ki zud jo tatoli hoti to kuch sukoon to paaya hota!!


Kosna kismaton ko maana nishaani buzdilon ki hogi magar
 aman ke chahne waalon to tumne ladna to sikhaaya hota!!


tere shehar ki chaka chondh se bus into si shikaayat hein
mere aangan mein jaltey diye ko aise na bujhaaya hota!!

                                     ---Prateek Mardia





Bahub Prateek Ji.... Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #13 on: March 17, 2010, 02:35:33 PM »
Reply with quote
Prateek Ji kya hi shandaar aur khoobsurat poem likhi hai aapne. Jab ek bar padhi to phir kain baar padhi. Naye khayal nai soch, bahut purkashish. Bas itna hi kahta hun - Wah Kya Baat Hai.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: March 18, 2010, 01:39:51 PM »
Reply with quote
Wah Khwaish ji aapne bi kya khoob likha,abi abi main api taqdeer ko kosh kar aayi,aur aapke ye kavita padne ko mila.dil ko chu gayee aapke lines. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft great creation

Thankyou Soooooooo Much Dear Madhu.. Usual Smile

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:10:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer