Sant Kabeer ji ke Dohe.....

by punam on June 04, 2008, 01:24:35 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 10
ReplyPrint
Author  (Read 116551 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: June 05, 2008, 08:58:46 PM »
Reply with quote
Matti bole kumbhar se, kahe rondhe mohe,
Ek din aisa ayega main rondhugi tohe.


CHINTA EISE DAKINI, KAAT KALEJA KHAYE
VAIDH BECHARA KYA KARE, KAHA TAK DAVA LAGAYE


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Sabarmati Ke sant Tuney kar diya kamaal......! by sharmaarunkumar in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Ye mn q sant nhi h.. by Aru1992 in Shayri-E-Dard
Sant Kabirdaas ji ke dohe by @Kaash in Share:Devotional Poetry « 1 2 3  All »
Sant Kabirdaas ji ki rachnaayen by @Kaash in Share:Devotional Poetry « 1 2  All »
SANT KE BHES MEN DARINDA HAI....////.................////....IFTAKHAR by Iftakhar Ahmad in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2 3  All »
Pooja
Guest
«Reply #16 on: June 05, 2008, 08:59:36 PM »
Reply with quote
Rangi Ko Narangi Kahe, Bane Doodh Ko Khoya
Chalti Ko Gadi Kahe. Dekh Kabira Roya


Kabir Das Ji Is Not Comfortable, Looking At The Illogical Ways Of People. Narangi (Orange) Is Colourful, But It Is Named As Narangi (Without Colour), Khoya, A Delicious Conversion Of Milk (Creation) But Its Meaning Is Khoya (Lost), Gadi I.E Train Is Moving Machine / Vehicle But Meaning Of Gadi Is Buried / Standstill.

This Is World You Can Expect So Many Things / Behaviour Not Logical But You Have To Live With It / Cope With It.


Nindak Neare Rakhiye Angan Kuti Chhaway
Bin Pani Sabun Bina Nirmal Kare Subhay


Keep Critic Close To You / Be Always In Touch With Him, It Will Decorate / Improve / Guide / Comfort Your Life

It Will Clean Your Defective Mind / Character Without Much Efforts.

But Most Important Is Taking Criticism, You Have To Take Calmly, Understand It, Think Over It With Open Mind, Throw Unwanted One And Grasp / Apply Useful One.
Logged
punam
Guest
«Reply #17 on: June 06, 2008, 09:19:18 AM »
Reply with quote
Thanx pooja di...acha lag raha aap bhi kuch likh rahe ...
Logged
punam
Guest
«Reply #18 on: June 06, 2008, 09:21:58 AM »
Reply with quote
12- कबीरा सोया क्या करे,उठी न भजे भगवान ।
    जम जब घर ले जायेंगे,पड़ी रहेगी म्यान ॥


Kabeera soya kya kare,uthi na bhaje bhagvan
jam jab ghar le jayenge,padi rahegi myan..

kabeer das ji kahate hain ki he prani!tu sota rahta hai (apni chetna ko jaga)uth kar bhagvan ko bhaj kyun ki jis waqt yam doot tujhe pakad kar le jayenge to tera yeh sareer myan ki tarah pada raha jayega....

13- शीलवन्त सबसे बड़ा,सब रतनन की ख़ान ।
    तीन लोक की सम्पदा,रही शील में आन ॥

sheelavant sabse bada,sab rtnan ki khan
tin lok ki sampada,rahi sheel men aan...


jo sheel swabhav ka hota hai maanowo sab rtno ki khan hai.kyun ki teeno lokon ki maya sadachari (sheelvant) vyakti men hi aakar basti hai...

14- माया मरी न मन मरा, मर-मर गए शरीर ।
    आशा तृष्णा न मरी, कह गए दास कबीर ॥

Maaya mari na man mara,mar mar gaye shareer
aasha trushna na mari,kaha gaye das kabeer...


kabeer das ji kahate hain ki manusya ka man tatha usme ghusi huyi maya ka naash nahi hota aur uski aasha tatha echayen bhi nasta nahi hotin.keval dikhne vala shareer hi marta hai.eshi karan wah dukh roopi samudra me sada gote khaya karta hai..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #19 on: June 06, 2008, 12:57:49 PM »
Reply with quote
punam..aapne bahut acha thread shuroo kiya.. Applause Applause Applause

 pooja, sonia, honey...aap sab ne bhi bahut acha contribute kiya....


KABEER JHANK NA JHANKIYE,
TUMRO KAHIYO NA HOYE,
KARAM KAREEM JO KAR RAHE,
MET NA SAKE KOE...

BHAGAT KABEERJI YAHAN KEHTE HAI KI...EH KABEER, KHUDA SE YUH SHIKAYATEN NAA KIYA KAR..KHUDA JO KARTA WOH USKI MAUJ HAI..AUR JO KHUDA KARTA HAI USSE PHIR KOI MITA NAHI SAKTA..ISLIYE TERE KEHNE SE KUCH NAHI HOTA...
Logged
punam
Guest
«Reply #20 on: June 07, 2008, 09:03:08 AM »
Reply with quote
Thanx khwaish ji...aap yehan aaye aur kuch share kiye...
Logged
punam
Guest
«Reply #21 on: June 07, 2008, 09:19:19 AM »
Reply with quote
15- माटी कहे कुम्हार से, तु क्या रौंदे मोय ।
    एक दिन ऐसा आएगा, मैं रौंदूगी तोय ॥


Maati kahe kumhar se,tu kya rounde moy
ek din aisa aayega,main roundungi toy..


mitti kumhar se kahati hai ki tu mujhe kya roundta hai.ek din aisa aayega ki main tujhe roundungi.arthat manusya ke marne ke baad uska shareer mitti ho jata hai...

16- रात गंवाई सोय के, दिवस गंवाया खाय ।
    हीरा जन्म अमोल था, कोड़ी बदले जाय ॥


Raat ganvaai soy ke,divas ganvaaya khay
heera janm aamol tha,kodi badle jay..


Raat ko sokar ganva di aur din kha pikar ganva diya.yeh heere jaisa anmol manusya shareer koudiyan mein badla ja raha hai...

17- जो तोको काँटा बुवै ताहि बोव तू फूल ।
    तोहि फूल को फूल है वाको है त्रिशूल ॥


Jo to ko kanta buve taahi buve ti phool
tohe phool ko phool hai vaako hai trishul...


jo tere liye kanta boye tu uske liye phool bo.tujhe phool ke phool milenge aur usse trishul manind tej kante milenge.is dohe mein kabeer das ji ne yeha sikhya di hai ki he manusya!tu sabke liye bhala kar jo tere liye bura karte hain wah swayam apne dushkarmon ka fhal payenge...

18- दुर्लभ मनुस्या जीवन है,देह न बरम्बार ।
    तरुवर ज्यों पत्ती झड़े,बहुरि न लागे डार ॥


durlabh manusya jeevan hai,deh na barmbar
taruvar jyon patti jhade,bahri na laage dar...

yeh manusya janm bahot muskil se milta hai aur yeh deha baar baar nahi milti.jis tarah ped se patta jhad jaane ke baad phir daal mein nahi lag sakta hai..
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #22 on: June 07, 2008, 10:51:01 AM »
Reply with quote
wah wah khwahish ji, paaoja ji aur punam bahoot achche.....
ek ek doha anmol hai....
Logged
punam
Guest
«Reply #23 on: June 10, 2008, 10:17:23 AM »
Reply with quote
Thanx Sanjeev bhaiya....
Logged
punam
Guest
«Reply #24 on: June 10, 2008, 10:19:42 AM »
Reply with quote
19- आए हैं सो जाएँगे,राजा रंक फकीर ।
      एक सिंहासन चढ़ी चले,एक बँधे जात जंजीर ॥


aaye hain so jayenge,raja rank phakir
ek sinhasan chadhi chale,ek bandhe jat janjeer....


jo aaya hai wo duniya se jaroor jayega wah chahe Raja ho ya kangaal,phakir ho.lekin ek to sinhasan par jayega aur ek janjeeron se bandha hua.arthat jo bhale kaam karne wale hain ve sinhasan par aur jo khote kaam karenge ve janjeeron men bandhkar jayenge...

20- काल करे सो आज कर, आज करे सो अब ।
       पल में प्रलय होएगी,बहुरि करेगा कब ॥


kal kare so aaj kar,aaj kare so ab
pal men pralay hoyegi,bahuri karega kab...


jo kal karna hai usse aaj kar aur jo aaj karna hai woh abhi kar.pal bhar men agar pralay ho gai toh phir kab karega...

21- माँगन मरण समान है, मति माँगो कोई भीख ।
      माँगन ते मारना भला, यह सतगुरु की सीख ॥


maangan maran saman hai, mati mango koi bhikh
maangan te marna bhala, yeh satguru ki sikh..


maangna marne ke barabar hai,isliye kisi se bhikh mat maango.sat guru kahate hain ki maangne se mar jana behtar hai.arthat hey manusya,purusharth se pratyek vastu swayam prapt karne ke liye sakhyam ban...
Logged
Mast_Malang_Munda
Guest
«Reply #25 on: June 13, 2008, 10:33:40 AM »
Reply with quote
Khushi ji Bhot hi chun chunke post ki hai apne
I LOVE YOINDIA
n YOINDIANZ too

Everything is gr8 here
Logged
syednaami
Guest
«Reply #26 on: June 17, 2008, 10:30:04 AM »
Reply with quote

Sant Bhagat Kabir Das ek adhbut praani jinhon ne anek aashapuravak, saral aur paathh bhare Dohe likhe hain jo pure khand men aaj bhi ussi mahiman se sune aur gungunaye jaate hain jaise unke yug men sarahe jaate the.
       
          Kuchh ithaas ke pannon men likha hai ki Sant Kabir ka janam ek Brahmin parivaar se hua jo unhen Banaaras men chhod gaye, pashchaat veh ek Niru naami Muslim Julaahe ke haan pale badhe aur kapde bun-ne ki vidya praapt ki.

    Banaaras men rah kar unhon ne apna prithak sthan banaya. Prem, sneh, shaanti, bhakti aur sufism ka gyan baant-te rahe, jis par unhen us samay anek kathhnaiyon aur vedanaa ko sahan karna pada. Log ko unki saahas sampurna baaten jab man ko lageen to unke sahaaya aur sevak ban-ne lage.
    Waise unhen Hindu ya Muslim ki tolna men rakhna kathhin hai, kintu unko shudh Sufism aur sanyaasee ke sadrsh jaana gaya hai.
Sant Kabir Das ke tarkavidya ke anusaar veh sirf Eeshvar ki ekta men vishvaas rakhte the aur apne bhakton ko sirf ek Eeshvar ki poojan ka prachaar jeevan bhar karte rahe.

        Veh sada jaativaad ke virudh rahe, veh saare manushya ko ek samaan maante aur jaat paat ke bhed bhao ke prati gyan sambhodith karte rahte.

      Yeh to theen Sant Kabir ki kuchh jeevan bodhak aur unki gurutaa ke aalaap jo maine yahan prastut kiye. Adhik unke kuchh dohe uphaar kar raha hun.


*)  Akath Kahani Prem Ki, Kuchh Kahi Na Jaye
     Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae

*) Jaise Til Men Tel Hai, Jyon Chakmak Men Aag
    Tera Saeen Tujh Men Hai, Tu Jaag Sake To Jaag

*) Kabira Garab Na Kijiye, Kaal Gahe Kar Kes
    Na jano Kit Marihai, kya Ghar Kya Pardes


Dhanyavaad

Syed Naami
Logged
punam
Guest
«Reply #27 on: June 25, 2008, 09:57:05 AM »
Reply with quote
Mast_Malang_Munda ji thanx...

syed ji thanx...bahot kuch bataye aap Kabeer das ji ke bare me...aur yehan aaye aap bhi kuch share kiye bahot acha laga..


22- जहाँ आपा तहाँ आपदा, जहाँ संशय तहाँ रोग ।
    कह कबीर यह क्यों मिटे, चारों धीरज रोग ॥


jahan aapa tahan aapda, jahan sanshay tahan rog
kah kabeer yeh kyon mite, charon dheeraj rog....


jahan manusya men ghamand ho jata hai uss par aapttiyan aane lag jati hain.aur     jahan sandeh hota hai wahan ranj aur chinta ho jati hai..kabeer das ji kahate hain ki ye charo rog kaise mit sakt hain..?arthat dhairya s sab kaam banege..

23- माया छाया एक सी, बिरला जाने कोय ।
    भगता के पीछे लगे, सम्मुख भागे सोय ॥


maaya chaya ek si, birla jane koy
Bhagata ke piche lage, sammukh bhage soy...


Maaya aur chaya ek jaisi hai.isse koi koi hi jaanta hai.ye bhagne walon ke piche hi bhagti hai.aur jo sammukh khada ho kar saamna karta hai toh wo swayam hi bhag jaati hai...

24-आया था किस काम को, तू सोया चादर तान ।
   सूरत सम्भाल ये गाफील, अपना आप पहचान ॥


aaya tha kis kaam ko, tu soya chadar tan
surat sambhal ye gaafil, apna aap pehchan...


kabeer das ji kahate hain ki ye gaafil! tu chadar tan kar so raha hai,apne hosh theek kar aur apne ko pehchan,tu kis kaam ke liye aaya tha aur tu koun hai..? swayam ko pehchan aur satkarmo me lag ja..
Logged
syednaami
Guest
«Reply #28 on: June 25, 2008, 04:04:26 PM »
Reply with quote
Shrimati Punam,,, thodi si jaankaari thi prastut ki... Aap ka hardik dhanyavaad...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: June 25, 2008, 04:37:14 PM »
Reply with quote
good sharing Punam and Sami!!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:44:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer