Sant Kabeer ji ke Dohe.....

by punam on June 04, 2008, 01:24:35 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 10
ReplyPrint
Author  (Read 116454 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #30 on: June 25, 2008, 05:33:35 PM »
Reply with quote

Sant Bhagat Kabir Das ek adhbut praani jinhon ne anek aashapuravak, saral aur paathh bhare Dohe likhe hain jo pure khand men aaj bhi ussi mahiman se sune aur gungunaye jaate hain jaise unke yug men sarahe jaate the.
      
          Kuchh ithaas ke pannon men likha hai ki Sant Kabir ka janam ek Brahmin parivaar se hua jo unhen Banaaras men chhod gaye, pashchaat veh ek Niru naami Muslim Julaahe ke haan pale badhe aur kapde bun-ne ki vidya praapt ki.

    Banaaras men rah kar unhon ne apna prithak sthan banaya. Prem, sneh, shaanti, bhakti aur sufism ka gyan baant-te rahe, jis par unhen us samay anek kathhnaiyon aur vedanaa ko sahan karna pada. Log ko unki saahas sampurna baaten jab man ko lageen to unke sahaaya aur sevak ban-ne lage.
    Waise unhen Hindu ya Muslim ki tolna men rakhna kathhin hai, kintu unko shudh Sufism aur sanyaasee ke sadrsh jaana gaya hai.
Sant Kabir Das ke tarkavidya ke anusaar veh sirf Eeshvar ki ekta men vishvaas rakhte the aur apne bhakton ko sirf ek Eeshvar ki poojan ka prachaar jeevan bhar karte rahe.

        Veh sada jaativaad ke virudh rahe, veh saare manushya ko ek samaan maante aur jaat paat ke bhed bhao ke prati gyan sambhodith karte rahte.

      Yeh to theen Sant Kabir ki kuchh jeevan bodhak aur unki gurutaa ke aalaap jo maine yahan prastut kiye. Adhik unke kuchh dohe uphaar kar raha hun.


*)  Akath Kahani Prem Ki, Kuchh Kahi Na Jaye
     Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae

*) Jaise Til Men Tel Hai, Jyon Chakmak Men Aag
    Tera Saeen Tujh Men Hai, Tu Jaag Sake To Jaag

*) Kabira Garab Na Kijiye, Kaal Gahe Kar Kes
    Na jano Kit Marihai, kya Ghar Kya Pardes


Dhanyavaad

Syed Naami

sami mujhe garv hai ki tumne mujhe bada bhai kaha......
bahoot achche..............
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Sabarmati Ke sant Tuney kar diya kamaal......! by sharmaarunkumar in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Ye mn q sant nhi h.. by Aru1992 in Shayri-E-Dard
Sant Kabirdaas ji ke dohe by @Kaash in Share:Devotional Poetry « 1 2 3  All »
Sant Kabirdaas ji ki rachnaayen by @Kaash in Share:Devotional Poetry « 1 2  All »
SANT KE BHES MEN DARINDA HAI....////.................////....IFTAKHAR by Iftakhar Ahmad in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2 3  All »
syednaami
Guest
«Reply #31 on: June 25, 2008, 08:12:44 PM »
Reply with quote
good sharing Punam and Sami!!

Pooja jee... Aap ka Param aabhaari hun...

sami mujhe garv hai ki tumne mujhe bada bhai kaha......
bahoot achche..............

Aap se bhratra ki jo dakshana mili,,, mere liye ek anmol nidhi hai...
Logged
punam
Guest
«Reply #32 on: July 07, 2008, 05:22:32 AM »
Reply with quote
25- क्या भरोसा देह का, बिनस जात छिन मांह ।
    साँस साँस सुमिरन करो और यतन कुछ नाह ॥


kya bharosa deh ka, binas jat chin maanh
saans saans sumiran karo aur yatan kuch naah...


is shareer ka kya vishwas hai yeh toh pal pal mein mita hi ja raha hai.isliye apne har saans par hari ka sumiran karo aur koi upay nahi hai...

26- गारी ही सों ऊपजे ,कलह, कष्ट और मींच ।
    हरी चले सो साधु है, लागी चले तो नीच ॥

gari hi son Upaje ,kalah, kasht aur meench
hari chale so sadhu hai, lagi chale toh neech...


gali(durvachan) se hi kalah aur dukh tatha mrutyu paida hoti hai.jo gali sunkar har mankar chala jaye vahi sadhu  jano.yani sajjan purush aur jo gali dene ke badle men gali dene lag jate hai wah neech prakruti ka hai....

27- दुर्बल को ना सताइए, जाकी मोटी हाय ।
    बिना जिब की साँस सों, लोह भस्म हो जाय ॥


durbal ko na sataaie, jaaki moti haay
bina jib ki saans son, loh bhasm ho jaay...

kamzor ko kabhi nahi satana chahiye.jiski hay bahut badi hoti hai.jaisa aapne dekha hoga bina jeev ki dhoukani ki saans se loha bhi bhasm ho jata hai...

28- दान दिए धन ना घटे, नदी ना घटे नीर ।
    अपनी आँखों देख लो, यों क्या कहे कबीर ॥


dan diye dhan na ghate, nadi na ghate neer
apni aankhon dekh lo, yon kya kahe kabeer...


kabeer ji kahate hain ki tum dhayan se dekho ki nadi ka pani peene se kam nahi hota aur dan dene se dhan nahi ghat.ta....
Logged
syednaami
Guest
«Reply #33 on: July 07, 2008, 10:58:06 AM »
Reply with quote
Ati sundar reeti se dohon ka arth saral banaya...
Dhanyavaad... Adhik likhiye aur hamen Sant Kabir ke dohon se pathh dete rahiye... Dhanyavaad
Logged
punam
Guest
«Reply #34 on: July 11, 2008, 08:23:41 AM »
Reply with quote
Sukriya syed ji..bahot acha laga dekh ke aap post kiye huye dohe pad rahe ..
aur hume proschahit kar rahe ..aap ko hruday purvak dhanyavaad..



29- दस द्वारे का पिंजरा, तामे पंछी का कौन ।
    रहे को अचरज है, गए अचम्मा कौन ॥


das dware ka pinjara, tame panchi ka koun
rahe ko acharaj hai, gae achamma koun...

yeh shareer das darwajon ka pinjara hai.is men(aatma) hawa naam ka panchi hai.hame is ke pinjare men rahne se achambha hota hai.yadi yeh is shareer se nikal jave to achambha kyun hi..?yani manusya ki mrutyu koi achambhe ki baat nahi...

30- एसी वाणी बोलिए, मन का आपा खोय ।
    औरान को शीतल करे, आपहु शीतल होय ॥


esi vani boliye, man ka aapa khoy
auran ko sheetal kare, aapahu sheetal hoy...

Man se ghamand ko bisaar kar aisi vaani boleni chahiye jo dusron ko sheetal kare.arthat sabko sukh kar lage aur manusya aap bhi shant ho jaye...

31- हीरा वहाँ ना खोलिये, जहाँ कुजड़ों की हाट ।
    बांधो चुप की पॉटरी, लागहू अपनी बाट ॥


hira wahan na kholiye, jahan kujdon ki hat
bandho chup ki potari, laagahu apni bat...


apni hiron ko kunjdon ko bazar men kyun kholete ho woh bhala iska kya mulya jaane,bas isi men bhalayi hai ki chupke se apni potali bandh kar apne marg par chal do.yani apni sikhya laparwahon ko dekar apna samay kyun ganvate ho.jab tum kadradan nahi pate ho apni bahumulya sikh ganth men bandho aur apna karya karo...
Logged
syednaami
Guest
«Reply #35 on: July 11, 2008, 07:20:35 PM »
Reply with quote
Quote from: Punam
esi vani boliye, man ka aapa khoy
auran ko sheetal kare, aapahu sheetal hoy...

Yahi sab se bada bhaichaare ka paathh hai... jo Sant Kabir ne is dohe men samaa diya... is ka yadi arth samjha jaaye to buhat vishaal aur saarthak hai...

Aap yunhi apne maadhiyam se bas post karte rahiye aur laabh dete rahiye...
Logged
punam
Guest
«Reply #36 on: July 14, 2008, 09:06:35 AM »
Reply with quote
Sukriya syed ji...

32- कुटिल वचन सबसे बुरा, जारी कर तन हार ।
     साधु वचन जल रूप, बरसे अमृत धार ॥

 
kutil vachan sabse bura, jari kar tan haar
sadhu vachan jal roop, barse amrut dhar...


Kthor sabd tan ko jala kar raakh kar deta hai isliye bahut bura hai..aur nahi kahna chahiye..sadhu ki baat paani ki bhranti hai is se amrut dhar barasti hai..jisse dusron ko labh pahanchta hai..

33- जग में बैरी कोई नही, जो मन सीतल होय ।
     यह आपा तो डाल दे, दया करे सब कोय ॥


jag mein bairi koi nahi, jo man seetal hoy
yeh aapa to daal de, daya kare sab koy...


yadi tumhare man me santi hai to sansaar mein koi bairi nahi..yadi tum ghamand karna chod doge to sab tumare upar daya karenge....


34- मैं रोऊँ जब जगत को, मोको रोव न कोय ।
     मोको रोव सोचना, जो सब्द बोय की होय ॥


main roun jab jagat ko, moko rove n koy
moko rove sochna, jo sabd boy ki hoy...


kabir ji kahate hain ki main to sab ko rota hun parantu mera dard kisi ko nahi..mera dard wahi dekh sakta hai jo mera sabd ko samjhta hai...

35- सोवा साधु जगाइए, करे नाम का जाप ।
     यह तीनों सोते भले, सकित सिंह और साँप ॥


sova sadhu jgaie, kare naam ka jap
yeh teenon sote bhale, sakit sinh aur sanp....


yadi sadhu sota hai to use jagana chahiye..taki bhajan kare. lekin adharmi,sinh aur sanp ko nahi jagana chahiye..kyun ki woh uthte hi logon ko kasht dete hain...

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #37 on: July 20, 2008, 03:56:18 PM »
Reply with quote
Bachpan Mein Padhaa Tha Humne Kabir Ji Ke Dohon Ko,.
Ab Jaake Phir Dekhne Ko Mila,.
Thanks For Sharing,.
Logged
punam
Guest
«Reply #38 on: July 25, 2008, 04:42:56 AM »
Reply with quote
Thanx azeem bhaiya...
Logged
punam
Guest
«Reply #39 on: July 25, 2008, 04:46:23 AM »
Reply with quote
36- कबीरा अपना काठ की, क्या दिखलावे मोय ।
    हृदय नाम न जपेगा, यह जपनी क्या होय ॥



kabeera apna kath ki, kya dikhlave moy
hruday naam n japega, yeh japni kya hoy...


kabeer ji kahte hain ki is lakdi ki mala se kya hota hai..yeh kya asar dikha sakti hai..agar kuch lena aur dekhna hai toh mann se Hari sumiran karo..bina mann lage jap vyarth hai....


37- पतिव्रता मैली,काली कुचल कुरूप ।
    पतिव्रता के रूप पर, वारो कोटि सरूप ॥


pativrata maili,kali kuchal kuroop
pativrata ke roop par, vaaro koti saroop....


kabeer das ji kahte hain ki pativrata shtree chahe maili-kuchaili aur ku roopi ho ..lekin aisi shtree ki is visheshata par sari sundartayen nichavar ho jati hai....

38- वैध मुआ रोगी मुआ, मुआ सकल संसार ।
    एक कबीरा ना मुआ, जेहि के राम अधार ॥


vaidh mua rogi mua, mua sakal sansaar
ek kabeera na mua, jehi ke ram adhar....


kabeer ji kahte hain ki bimar mar gaya aur jis vaidh ka use sahara tha wo bhi mar gaya yehan tak ki kul sansaar mar gaya..lekin woh nahi mara jise Ram ka aasra tha..arthat ram naam japne wala hi amar hai...
Logged
Talat
Guest
«Reply #40 on: March 28, 2009, 03:28:56 PM »
Reply with quote
Very nice posts Punam
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #41 on: March 28, 2009, 03:32:17 PM »
Reply with quote
Great JOb Ji,.
Logged
Roja
Guest
«Reply #42 on: March 28, 2009, 03:36:17 PM »
Reply with quote
Nice post... (Kider ho dear aajkal?)
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #43 on: March 29, 2009, 03:05:00 PM »
Reply with quote
waah poonam ji.aapki jitni tarif kari jaye utni kam h.
very nice dear.
Logged
Bharat
Guest
«Reply #44 on: April 22, 2009, 03:31:07 AM »
Reply with quote
Hello Punam,

This is a very very beautiful thread.
Kudos to you Punam for opening this thread !!!

Very nice job by everybody who participated in this thread.

According to me Sant Kabeer was not a human being. He was a part of the all mighty God.

कबीर तेरी झोपडी गलकत्तो के पास
जैसी करनी वैसी भरनी तू क्यूं हुवा उदास


Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:59:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer