SAR JHUKA LIYA HOTA..........

by khwaish on October 20, 2007, 06:09:05 PM
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Author  (Read 4466 times)
Roja
Guest
«Reply #30 on: December 21, 2007, 01:59:16 AM »
Reply with quote
Sahi kaha hai Rajbir ji ne... Bahut hi gehrayi se aapka yeh likha mujhe bahut pasand aaya hai.

Quote
NA KARO WOH GUNAAH,
JO HUMEIN KHUDA SE DOOR LE JAAYE,
YEH KHUDA AUR INSAAN KE BEECH KI DEEWARE HAI...

KOI KISI KE LIYE,
KUCH NAHI KAR SAKTA IS JAHAAN MEIN,
"KHWAISH" HUM TO BAS KHUDA KE SAHARE HAI...

Keep flowing....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dil me basa liya hota by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Mast Nazron se dekh liya hota by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
Yuun na jhuka hota.... by SURESH SANGWAN in Shayri-E-Dard
Bas Ek Baar Hume Samjh Liya Hota. by vikkudon1990 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
sapnaa
Guest
«Reply #31 on: December 23, 2007, 04:48:07 AM »
Reply with quote
very nice lines khwaish..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #32 on: December 26, 2007, 07:44:01 PM »
Reply with quote
SURAJ KA SAFAR KHATAM HUA
PAR KABHI RAAT NA AAYI
HISSE MEIN MERE KABHI KHWAABO
KI SAUGAT NA AAYI..

ROTA RAHA MAIN ZINDAGI BHAR,
DIL MEIN EK UMEED KE SAATH,
KOI TO HOGA JO THAAM LEGA AANSU,
PAR KISI KE BHI MUH SE,
DIL KO RAAHAT DENE WALI BAAT NA AAI..

YUH UMEED KI DOR KO PAKADKAR
THEHRA RAHA UMAR BHAR
PAR EK BAAR JO CHUTI TO
PHIR HAATH NA AAYI

KISI NE SAATH NA DIYA "KHWAISH"
TO GILA KYA???
JAB MERI KHUD KI PARCHAI
MUSHKILO MEIN MERE SAATH NA AAYI
YEH SURAJ,YEH CHAND,YEH SITAARE HAI
WAQT KE GHULAM YEH SAARE HAI...

KARNE WALA ZAROOR KAREGA MUKAMBAL
HAR KHWAISH INSAAN KI,
JISNE KHUDA KE AAGE HAATH PASAARE HAI...

NA KARO WOH GUNAAH,
JO HUMEIN KHUDA SE DOOR LE JAAYE,
YEH KHUDA AUR INSAAN KE BEECH KI DEEWARE HAI...

KOI KISI KE LIYE,
KUCH NAHI KAR SAKTA IS JAHAAN MEIN,
"KHWAISH" HUM TO BAS KHUDA KE SAHARE HAI...

Khwaish bro

Kitni gehrai hai tumhari shayari mein...

Kasam se intezaar rehta hai ki kab tum aaoge aur kuch achcha padhne ko milega...

It's nice to have poets like you on Yoindia !
Keep sharing your thoughts !

THANX A LOT PAAJI FOR APPRECIATING..HUMEIN INTEZAAR REHTA HAI AAPKE REPLIES KA..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #33 on: March 22, 2008, 07:22:11 AM »
Reply with quote
KAHIN INSAAN AAJ APNI HI NAZRON ME NA GIIR JAAYE
DUA KARO,WOH HAR MUSHKIL RAAH SE GUZAR JAAYE...

JAHAN DEKHO HAR EK KE CHEHRE PE KHAUF SA NAZAR AATA HAI
KAHIN AANSU BAHA-BAHA KE INSAAN KI AAKNKH HI NA MAR JAAYE...

EK HALKI SI MUSKAAN CHEHRE PE LAANE KE LIYE,
AAJ KA INSAAN KITNI MUSHAKAT KARTA REHTA HAI
DUA KARTA HOON,HAR TARAF MUSKURATA HUA CHEHRA HI NAZAR AAYE...


JAANTA HOON,WAQT KE HAATHON MEIN HUM SAB SIRF KATPUTLIYAN HAI,
PAR SOCHTA HOON,INSAAN ITNA NA WAQT SE YUH DARR JAAYE...

ZINDAGI KI SACHAI TO YEH HAI KI TOOOFANO SE GUZAR JAANA,
HAR EK KE BAS MEIN NAHI HOTA "KHWAISH"..

PAR KUCH DER AUR CHAL KE DEKHE INSAAN,
AAGE SHAYAD KHUSHIYON KI DUNIYA NAZAR AAYE
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #34 on: March 22, 2008, 08:27:36 AM »
Reply with quote
Adaab khwaish sahab....mahfil-e-yaaraaN maiN Ek achhi peshkash se hameiN rubaroo hone ka avsar mila...aaj silsilewaar achhi achhi kavish padne ko mili toh dil bag bag hua...khwaish sahab ek guzaarish hai ki aap 'type' karte waqt 'caps lock' ko 'on' na kareN.....'small letters' ka hi istemaal kareN to paRhne meN bhii aasaani hogii....peshgii shukriyah ....Harash

Logged
sarthika
Guest
«Reply #35 on: March 23, 2008, 03:25:23 AM »
Reply with quote
khwaish apki her ek kavita is thread main beintihan achi lagi.. her ek ka ek ek shabd such hai.. bahoot hi sadharan shabdo mai apne her ek kavita mai bahoot gahra likha hai..
Logged
sarthika
Guest
«Reply #36 on: March 23, 2008, 03:37:20 AM »
Reply with quote
SURAJ KA SAFAR KHATAM HUA
PAR KABHI RAAT NA AAYI
HISSE MEIN MERE KABHI KHWAABO
KI SAUGAT NA AAYI..

ROTA RAHA MAIN ZINDAGI BHAR,
DIL MEIN EK UMEED KE SAATH,
KOI TO HOGA JO THAAM LEGA AANSU,
PAR KISI KE BHI MUH SE,
DIL KO RAAHAT DENE WALI BAAT NA AAI..

YUH UMEED KI DOR KO PAKADKAR
THEHRA RAHA UMAR BHAR
PAR EK BAAR JO CHUTI TO
PHIR HAATH NA AAYI

KISI NE SAATH NA DIYA "KHWAISH"
TO GILA KYA???
JAB MERI KHUD KI PARCHAI
MUSHKILO MEIN MERE SAATH NA AAYI

safar chalta rahta hai, waqat thum jaata hai
armaan is kadar bikhrte hai, her ek ahsaas mar jaata hai

ro ro kar bhi hasil kuch nahi hota ab to
dil ko kaha kabhi sabar atta hai

umeend per jinda rahti hai umeendein jeene ki
haqiqat samjh kar bhi insaan, kaha ruk paata hai

kisi ke sath ki na kar intzaar e-dost
waqat per her apna bhi yaha badal jaata hai!!
Logged
sarthika
Guest
«Reply #37 on: March 23, 2008, 03:38:19 AM »
Reply with quote
YEH SURAJ,YEH CHAND,YEH SITAARE HAI
WAQT KE GHULAM YEH SAARE HAI...

KARNE WALA ZAROOR KAREGA MUKAMBAL
HAR KHWAISH INSAAN KI,
JISNE KHUDA KE AAGE HAATH PASAARE HAI...

NA KARO WOH GUNAAH,
JO HUMEIN KHUDA SE DOOR LE JAAYE,
YEH KHUDA AUR INSAAN KE BEECH KI DEEWARE HAI...

KOI KISI KE LIYE,
KUCH NAHI KAR SAKTA IS JAHAAN MEIN,
"KHWAISH" HUM TO BAS KHUDA KE SAHARE HAI...

chand, taare, suraj se kaya kare shikayat
insaan ke pass, yahi man bahlane ke sahare hai

karne wala hi dikhata hai din gumo ke jab
phir kaise khiza ko kahe ki, bahare hai

hath pasar kar bhi hath atta nahi yaha
kuch insaan sirf, kismat ke maare hai

Gunah kahte hai kise yah hi na samjh ayya
najar ayye Sarthika ko, hamesha dorahe hai

khuda se ho gai jab shikayat yaha humko
kaise kahe phir sansar mai kis ke sahare hai!!!
Logged
sarthika
Guest
«Reply #38 on: March 23, 2008, 03:38:47 AM »
Reply with quote
KAHIN INSAAN AAJ APNI HI NAZRON ME NA GIIR JAAYE
DUA KARO,WOH HAR MUSHKIL RAAH SE GUZAR JAAYE...

JAHAN DEKHO HAR EK KE CHEHRE PE KHAUF SA NAZAR AATA HAI
KAHIN AANSU BAHA-BAHA KE INSAAN KI AAKNKH HI NA MAR JAAYE...

EK HALKI SI MUSKAAN CHEHRE PE LAANE KE LIYE,
AAJ KA INSAAN KITNI MUSHAKAT KARTA REHTA HAI
DUA KARTA HOON,HAR TARAF MUSKURATA HUA CHEHRA HI NAZAR AAYE...


JAANTA HOON,WAQT KE HAATHON MEIN HUM SAB SIRF KATPUTLIYAN HAI,
PAR SOCHTA HOON,INSAAN ITNA NA WAQT SE YUH DARR JAAYE...

ZINDAGI KI SACHAI TO YEH HAI KI TOOOFANO SE GUZAR JAANA,
HAR EK KE BAS MEIN NAHI HOTA "KHWAISH"..

PAR KUCH DER AUR CHAL KE DEKHE INSAAN,
AAGE SHAYAD KHUSHIYON KI DUNIYA NAZAR AAYE


Apni najar main gir kar insaan kaha jayega
dosto ke duao se yakinan, na gir payega

her taraf khuf ka manjar jab bhi najar ayega
yakin hai koi na koi farishta, use sambhal jayega

muskaan her jhuthi hai, soch kar karna yakin
her chehra ansuo se lipta hi najar ayega

kathputali hai insaan mana magar yah bhi such hai
karmo se he insaan her mushkil se gujar jayega

chalne ka naam hai zindagi, chalta to wo jayega
kabhi khushi-kabhi gum, issi dhoop chaw mai ek din khatam ho jayega!!!!!
Logged
sarthika
Guest
«Reply #39 on: March 23, 2008, 03:53:52 AM »
Reply with quote
HAR INAAM ZINDAGI MEIN PAA LIYA HOTA
GAR THODA SA SAR JHUKA LIYA HOTA..

YEH ANDHERE KAHAN BAS PAATE MERE AASHIYANE MEIN
 AGAR GHAR MERE BHI  DIYA HOTA..

MAIN JAANTA HOON,JO SAB KO ACHI LAGE
WOHI BAAT KEHNA  ZAROORI  HAI
KAASH MAN KI BAAT MAN MEIN HI RAKHAR
SAB SE SACH CHUPA LIYA HOTA..

LOG CHAAHTE THE MUJHSE,KE  MAIN YEH KAHOON...
"YEH MEHFIL BAHUT HI SUHAANI HAI"
"KHWAISH" KYA JAATA GAR JHOOTI MUSKAAN
HI CHEHRE PE LA LIYA HOTA..

SUNA HAI  MAUT KE BAAD FARISHTE BI LENE AATE HAI
SHART SIRF ITNI HAI,INSAAN BAN KAR AGAR JIYA HOTA..

WAQT,HALAAT AUR KISMAT APNE HAATH NAHI "KHWAISH"
PAR SUNA HAI KHUDA KI IBAADAT MEIN BAHUT  DUM HAI,
KAASH KHUDA KO SAHI MAAYNE MEIN APNA BANA LIYA HOTA..

HAR INAAM  ZINDAGI MEIN PAA LIYA HOTA
GAR THODA SA SAR JHUKA LIYA HOTA..
 :cry:

kuch aor soch kar likhna shuru kiya tha.. magar kuch ka kuch hi likha gaya... phir bhi post kar rahi hu..

jhukana pade jahan sir waha kabhi sath nahi hota
pathar dil logo ke pass kahin pyar nahi hota

meethi baato se bhi yah insaan kabhi apna nahi hota
jo de jaaye dhoka, wo kabhi apna hone ka haqdaar nahi hota

jhuthi muskaan se insaan behlata hai khud hi khud ko
ajj ki mehfil mai kisi ka kisi se koi sarokaar nahi hota

waqat, halat aor kismat maana nahi hai apne hatho mai khwaish
par chalte jaane ko hi apne zindagi maan liya hota

sir jhukana waha jahan dil kare apna
jo jhuke her jagah, aise sir ke khwab ko hi mita diya hota
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #40 on: March 23, 2008, 09:02:32 AM »
Reply with quote
Adaab khwaish sahab....mahfil-e-yaaraaN maiN Ek achhi peshkash se hameiN rubaroo hone ka avsar mila...aaj silsilewaar achhi achhi kavish padne ko mili toh dil bag bag hua...khwaish sahab ek guzaarish hai ki aap 'type' karte waqt 'caps lock' ko 'on' na kareN.....'small letters' ka hi istemaal kareN to paRhne meN bhii aasaani hogii....peshgii shukriyah ....Harash



Bahut Bahut shukriya harashji....
agli baar se aapki baat par zaroor gaur farmaunga...shukriya
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #41 on: March 23, 2008, 09:04:01 AM »
Reply with quote
khwaish apki her ek kavita is thread main beintihan achi lagi.. her ek ka ek ek shabd such hai.. bahoot hi sadharan shabdo mai apne her ek kavita mai bahoot gahra likha hai..

bahut bahut shukriya sarthikaji..bahut khushi hui jaankar ke aapko yeh likha pasand aaya..shukriya
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #42 on: March 23, 2008, 09:48:05 AM »
Reply with quote
SURAJ KA SAFAR KHATAM HUA
PAR KABHI RAAT NA AAYI
HISSE MEIN MERE KABHI KHWAABO
KI SAUGAT NA AAYI..

ROTA RAHA MAIN ZINDAGI BHAR,
DIL MEIN EK UMEED KE SAATH,
KOI TO HOGA JO THAAM LEGA AANSU,
PAR KISI KE BHI MUH SE,
DIL KO RAAHAT DENE WALI BAAT NA AAI..

YUH UMEED KI DOR KO PAKADKAR
THEHRA RAHA UMAR BHAR
PAR EK BAAR JO CHUTI TO
PHIR HAATH NA AAYI

KISI NE SAATH NA DIYA "KHWAISH"
TO GILA KYA???
JAB MERI KHUD KI PARCHAI
MUSHKILO MEIN MERE SAATH NA AAYI

safar chalta rahta hai, waqat thum jaata hai
armaan is kadar bikhrte hai, her ek ahsaas mar jaata hai

ro ro kar bhi hasil kuch nahi hota ab to
dil ko kaha kabhi sabar atta hai

umeend per jinda rahti hai umeendein jeene ki
haqiqat samjh kar bhi insaan, kaha ruk paata hai

kisi ke sath ki na kar intzaar e-dost
waqat per her apna bhi yaha badal jaata hai!!

Bahut Khooob sarthikaji...bahut acha likha hai aapne..

Safar to kal bhi chalta raha aur aaj bhi chalta jaayega
insaan ek musafir hai jiske haath mein kuch bhi na reh jaayega....

rone se kuch nahi haasil hota hai 'sarthika'
par sach to yeh hai ke bin roye bhi insaan nahi jee payega...

umeed ka chirag dil mein jalaye rakhna
varna waqt ki aandhiyon mein yeh bhi kahi bhuj jaayega....

jiske intezaar mein "khwaish" ki har saans chalti hai
usse khabar bhi na hogi
ke uske intezaar mein,
"khwaish" bhi ek din mar jaayega....



Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #43 on: March 23, 2008, 10:14:47 AM »
Reply with quote


chand, taare, suraj se kaya kare shikayat
insaan ke pass, yahi man bahlane ke sahare hai

karne wala hi dikhata hai din gumo ke jab
phir kaise khiza ko kahe ki, bahare hai

hath pasar kar bhi hath atta nahi yaha
kuch insaan sirf, kismat ke maare hai

Gunah kahte hai kise yah hi na samjh ayya
najar ayye Sarthika ko, hamesha dorahe hai

khuda se ho gai jab shikayat yaha humko
kaise kahe phir sansar mai kis ke sahare hai!!!


kya baat hai!!! bahut khooob...

chand,taare,suraj se zaroor man behal jaayega
par kya waqt aise hi guzar jaayega???

bahaare aakar chale jaati hai dost
umar bhar sirf zehan mein ek nishaan reh jaayega...

waqt se ladkar kuch nahi haasil hota hai "khwaish"
kismat ke haath mein insaan hamesha shikast khaata raha hai,
aur hamesha shikast khata hi reh jaayega...

jaha dekho waha ek dusre se gile-shikwe hi milte hai,
insaan sirf ek dusre se sirf shikayate hi karta reh jaayega...

kisi ki nahi par kabhi apni dil ki baat suun kar dekhna
shayad dil ki baat suunkar insaan jeena sikh jaayega..












Logged
sarthika
Guest
«Reply #44 on: March 23, 2008, 04:46:45 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai khwaish!!! bahoot ache jawab likhe hai apne!!!
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:09:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer