SAR JHUKA LIYA HOTA..........

by khwaish on October 20, 2007, 06:09:05 PM
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Author  (Read 4465 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #45 on: March 23, 2008, 04:59:35 PM »
Reply with quote
Aise hijr ke mausam bahut kam aate hai
jinhe hum yaad karte hai woh jaane kyon,
humse aur door chale jaate hai...

khuli aankhon se bhi kabhi duniya ko dekh le "khwaish"
khwaabo mein to har shaks tujhe lubhaate hai...

ab hamari awaaz mein woh dard nahi baaki,
varna hum pukaare to woh jab-tab aate hai...

kaash zakhmo ki koi zubaan hoti yaa rab
"khwaish" kuch nahi kehta,isliye woh bhi muskuraate hai...

badi asaani se har koi kisi se bichad kar jee leta hai
sochta hoon ek dusre se bichad kar kaise koi reh paate hai??

kashti kaagaz ki hoti hai par samundar paar,
karne ke hausle dil mein hota hai,
jaane kya-kya kartab yahan har shaks ko aate hai??

ek "khwaish" hai jo ghamo se darr ke apne ghar mein chupa baitha hai
aur ek yeh log hai jo har gham mein bhi muskuraate hai.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dil me basa liya hota by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
Mast Nazron se dekh liya hota by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
Yuun na jhuka hota.... by SURESH SANGWAN in Shayri-E-Dard
Bas Ek Baar Hume Samjh Liya Hota. by vikkudon1990 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
sarthika
Guest
«Reply #46 on: March 23, 2008, 05:12:20 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai khwaish !! dil ki baato ko kitni asaani se app shabdo ka roop de kar yah kavitaye likhte hai... bahoot hi acha likha hai apne...

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #47 on: March 23, 2008, 05:15:18 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai khwaish !! dil ki baato ko kitni asaani se app shabdo ka roop de kar yah kavitaye likhte hai... bahoot hi acha likha hai apne...

bahut bahut shukriya sarthikaji...aapne uss gehrai se padha jis gehrai se woh likha gaya tha,yeh jaankar bahut khushi hui par aapse kuch jawaa ki umeed si hai!!! shukriya..
Logged
sarthika
Guest
«Reply #48 on: March 23, 2008, 05:35:15 PM »
Reply with quote
kai baar pass hokar bhi najar nahi ate hai
insaan ke gum, usse is kadar gumsum kar jaate hai

khuli ankh se ho ya ho band ankhon ke khwab
khwab liye bina kabhi insaan koi manjil bana nahi paate hai

pukar mai dard se hota nahi kabhi bhi kuch e-dost
kitna hai dard, uske dil main, bas wo hi ahsaas sab karate hai

dard ko kaise bhi laker jiyo, kuch nahi hota
tanhaai mai yah dard her baar laut atte hai

kai baar pass hokar bhi najar nahi ate hai
insaan ke gum, usse is kadar gumsum kar jaate hai…..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #49 on: March 23, 2008, 05:48:54 PM »

Bahut Bahut khoob sarthikaji... Applause
Logged
sarthika
Guest
«Reply #50 on: March 23, 2008, 05:55:50 PM »
Reply with quote
shukaria khwaish !!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #51 on: March 23, 2008, 05:56:14 PM »
Reply with quote
Thehra hua paani bhi kabhi na kabhi behta hai
har pehar ke saath waqt guzarta hai...

jisme ho hunar kuch kar dikhlaane ka
woh iss jahan mein hamesha chup sa rehta hai
woh khamoshi se bhari zubaan se bhi yeh kehta hai
ke har pehar ke saath waqt guzarta hai...

jisne tujhe chot di hai kabhi woh hi tujhe izzat se bulayega
teri maujoodgi ko woh apni shaan batlaayega
gham na kar,bas yeh yaad rakh,
tehra hua paani bhi kabhi na kabhi behta hai
har pehar ke saath waqt guzarta hai...

kya hua jo toofano ne bikhra diya teri hasti ko
tere khwaabo ki bhari basti ko,
pareshaan na ho,himaat rakh
naye khwaab tu zaroor bunega,
usme haqeeqat ka rang bharega,
kyonki,tehra hua paani bhi kabhi na kabhi behta hai
har pehar ke saath waqt guzarta hai...

"khwaish" dil men umeed ka chirag aaj bhi jalakar rakhta hai
har mushkil raah mein sirf apne khuda ko yaad karta hai
apne zakhmo ko khud hi bharta hai
kyonki woh jaanta hai..
har pehar ke saath waqt guzarta hai....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #52 on: March 25, 2008, 02:23:07 PM »
Reply with quote
Such kahu to apki yah kavita shayad main us tarah se nahi samjh saki, jin artho ke sath apne likhi hai!! Phir bhi jawab mai kuch likhne ki koshish kar rahi hu!!!

Thehra hua paani sukh jaata hai
Pata bhi nahi chalta, kaha gayab ho jaata hai
Chalati rahe zindagi, to chalti hi jayegi
Ruki zindagi main na wo baat ban payegi

Hunar hai jo wo khud hi bol jayega
Bolne wala bas ek din dekhta rah jayega
Hai nahi koi awaz us khuda ki lathi main
Per chot dene wala, ek din khud chot khayega

Tufaan aa jaaye kitne bhi, bikhrta nahi honslla
Umeend per hi sahi, ek din wo khud kuch ban jayega
Rukna nahi jeevan mai kabhi bhi kuch soch kar
Phir dekh ek din tu apni manjil per pahunch jayega!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #53 on: May 12, 2008, 07:47:13 PM »
Reply with quote
Such kahu to apki yah kavita shayad main us tarah se nahi samjh saki, jin artho ke sath apne likhi hai!! Phir bhi jawab mai kuch likhne ki koshish kar rahi hu!!!

Thehra hua paani sukh jaata hai
Pata bhi nahi chalta, kaha gayab ho jaata hai
Chalati rahe zindagi, to chalti hi jayegi
Ruki zindagi main na wo baat ban payegi

Hunar hai jo wo khud hi bol jayega
Bolne wala bas ek din dekhta rah jayega
Hai nahi koi awaz us khuda ki lathi main
Per chot dene wala, ek din khud chot khayega

Tufaan aa jaaye kitne bhi, bikhrta nahi honslla
Umeend per hi sahi, ek din wo khud kuch ban jayega
Rukna nahi jeevan mai kabhi bhi kuch soch kar
Phir dekh ek din tu apni manjil per pahunch jayega!!

bahut khoob pooja..bahut acha likha hai..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #54 on: May 12, 2008, 08:43:30 PM »
Reply with quote
shukaria Khwaish ji
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:08:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer