shaadi mubarak

by gulzargul on August 12, 2008, 02:40:27 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 11633 times)
Muhammed
Guest
«Reply #15 on: August 23, 2008, 04:36:01 AM »
Reply with quote
Jee Bhai syed...

Is Thread par to aana nahi chahta tha lekin last me aapko dekha to kuch kehta hun yahaa ki,,

ye Sabhi ash'aar on the spot gulzaar bhai k ashaar ko dekh kar maine likh diye

Is Me koi aaise alfaaz nahi ki Jis par Gulzaar bhai aur sajid bhai Hasi Mazaak udaae ya aur gulzaar bhai ne yahaan tak kahaa ki mera mood kharab tha aur sajid ki comment pe mazaak aur hasaane waala mila

Main Kehta Hoon aap dekh kar comment kariye ki Isme ek bhi lafz aise nahi jo shariyat k khilaaf ho agar Main chaahun to ek ek lafz pe Ahadis Mubaaraqa se saabit kar sakta hun..

Muje Is Liye Bura laga Ki Yahaan Huzer-e-Paak S**** allahu alaiyhe was sallam  Ka Naam bhi Shaamil hai

aur Gulaaman-e-shah-e-di Matalb Ki Wo Firiste Jo Kabra Me " Munkeer Nakeer " aaye hua hai

sehra ka matalab " Kafan " ya " Chaadar " Khusboo k Maa'ni Ki " Kapoor "ya "Musk"

Shor-o-gul matlab ki jub koi Momin Insaan Jo nek parhez gar ho to aasmaan me bhi firiste use aane ki khusi manaate hai
har 'semt' yaani 'dishae' har aalam

Hadis-e-Mustafa Hai Ki " Momin ki Maut Par har aalaam aansoo bahata hai "
aur baarati yaane " Shariq-e-janazaa "
Masti Dhoom Is Liye Ki kisi k lub pe koi sikwaa-gila na ho marne waale insaan ki taraf
kyonki aashiq pe pura aalam fida hota hai

Mukhtasar fir kabhi
aur

kisine yahaan mazaak waali comment di

Main To Kehta Hun aapne kya Rasool-e-paak k Naam Ko Nahi dekha is Manqabat Me
Isharatan Munkeer va nakir Jo Firiste Hai Khuda k Usko nahi dekha

Bas Yoonhi Hasne waali comment de di

Muje Isliye bura Laga Ki kisine Ye Paak Naam Ko bhi Na dekha aur na Maqsad dekha na isme koi Ahaadis k Matan va Maa'ne Ko dekha

Na'oozu billaahe Min zaaliq.
astagfir-ool-llahe Rabbi Min Qulle Zambiyu'nv va'atubu ielaiyhe

Fir Maine Gulazaar Bhai aur unko hasaane waale dost k kisi bhi post ko reply dena bandh kar diya

allahu aa'lumu bis sawaab
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Shaadi ke pehle - Shaadi ke baad by Suhas in SMS , mobile & JOKES
Shaadi Mubarak Ho...!!!! by Friend_4uall in The forum only for "Forum Gaming" « 1 2 ... 9 10 »
Shaadi mubarak Samnoj - 14th May 2008 by Rajbir in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3  All »
Shaadi Mubarak Deepsikha (Pyarikudi) --> 18th Jan. 2009 by Rajbir in The Wishes and Celebrations « 1 2  All »
syednaami
Guest
«Reply #16 on: August 23, 2008, 07:13:56 AM »
Reply with quote
Raza bhai,

Dukh ki baat hai par har koi aap ki tarah ilmi daanishmandi se sarshaar nahin hota.
Main ne bhi padha so ziyada nahin likha, garchi main javaab likhne men diqqat mahsoos nahin karta.

Yeh sab shayiri seekh rahe  hain aor ziyada tar sabhi log shayiri ka asal mafhoom jaane baghair hi wah wah kar chale jaate hain.

Aap se guzaarish hai ki aap apna thread khol kar wahan par maozoo ke mutaabiq likhiye.
Dusri baat jitni shayiri mushkil alfaaz se bari hogi utna usko padhne samajhne waale kam milenge. Jaise main ne pahle kaha har koi saahib-e-urdu nahin yahan par.

Aap ne jo kuchh bhi byaan kia hai, us ki baad men aap ne khud wazaahat to ki hi khair se, par main kahunga, jab bhi aise alfaaz kalaam men aa jayen to neeche un ki tafseel na likhen mukhtasiran maani hi likh denge to padne waale bakhoobi samajh lenge.

Duaagu

SN**
Logged
Roja
Guest
«Reply #17 on: August 24, 2008, 08:28:01 AM »

I agree with you syed ji..
Logged
gulzargul
Guest
«Reply #18 on: August 24, 2008, 12:24:32 PM »
Reply with quote
ASSALAAMUALIEKUM Ashraf bahi and every body,

Ashraf bahi buht afsos howa Aap jesyi shakhsiyat aor dosron ko samjhny waly insaan aaj mujh jesy bewooqoof ko hi na samajh sake aap ny apni reply main likha ke main ny gulzar ki commit dena band ker diya aaj aap ko bataata hoon ke mera is net per aany ka maqasd kiya hy mera maqsad apny dil ki baaten logon tak pohnchaana hy na ke kisi sy daad ya commit leny ka laalach apni baaton aor shaaeri sey logon tak achi soch aor hqiqat puhnchaana hy mager afsos aap ny ye nhi samjha ke jis commite per aap ny aitraaz kiya wo aap ki likhi howi nazam
jisko main hezart ahmad raza khan brelwi ki naat shreef samjh raha tha issley
main koi aap ke liye na keh saka, derasl wo mery likhy howy sher jo main ny aaj sy 18 saal pehly likha tha wo kis larki ke ishq main kaha tha uss ka uss ny mazaak banya tha jis per mujhy koi aitraaz nhi howa, uss ny naoozbillah nabi
ki naat ke bary main jo aap ny likhi loi mazaq nhi uraya, jab sy aap ny mujhy comiite dena band ker diya tab sy main shaaeri likhna band ker di islye nhi ke aap ny mujhy daad nhi di isslye ke jab samjhny waaly bhi mujhy nhi samajh saky tao doosry kesy samjhein gen shayed main samjhdaaron main bewooqoof hoon isslye

ghlti ho gaai sab muaaf ker dena

gul
Logged
syednaami
Guest
«Reply #19 on: August 24, 2008, 01:50:23 PM »
Reply with quote
Gulzar Miyan, aap likhiye aor khoob likhiye, yahan in baaton ka maqsad kisi ki dil aazaari ya tauheen karna nahin.
Shayiri sirf dil se nahin par dimaagh bhi saath dega to sahih simt men hoti hai. Raza bhai ek daanishmand insaan hain aor unki salaahiyat hum se bahut aala hai, main khud unke alfaaz par atak jata hoon jab woh khalis Urdu ka istaamaal karte hain.

Bas mazeed yeh ki hamen bahis kam aor umda shayiri ko ziyada likhna chaahiye.

Duaago

SN**

I agree with you syed ji..

I admire your agreement with me, no words to say thanks.
Logged
gulzargul
Guest
«Reply #20 on: August 25, 2008, 12:34:26 PM »
Reply with quote
u r right but i m waiting for raza bhi s reply,

gul
Logged
syednaami
Guest
«Reply #21 on: August 25, 2008, 04:00:07 PM »
Reply with quote
As you like dear Gulzar Saahib. Par woh aajkal kahan ghayin hain.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #22 on: August 26, 2008, 05:25:11 AM »
Reply with quote
Wa-alaikum as-salaam bhai Gulzaar

Jee Main Hi Galat Hun jo aap k ash'aar ko samaz na saka
aur
Uske saam ne Maine kuch ash'aar likh diye bina soche samaze To
Bara-e-Qaram Maaf Karna
aur aap Mahir-e-Fann-e-Shayri Ho
Muje Shayri Likna ya samazna aati nahi Tabhi To Shayad muj se bhul ho gayee.
Aur aap Shayri Likhte Rahiye,,
kuch mere jaise Jaheel log aap ko comment na bhi de to koi Farq nahi padne waala
aapko ya aap k kalaam ko.
va'ma Taufiqu illah billaahe

Logged
syednaami
Guest
«Reply #23 on: August 26, 2008, 06:42:00 AM »
Reply with quote
Gulzar Miyan aur Raza bhai, aap bhaiyon se iltaja hai ki  taameeri guftagoo honi chaahiye, yahaan aisa kuchh nahin jis par bahis karke maqsad ko bala-e-taaq rakh den.
Baraah-e-karam dono dost phir se shayirana mahol banaayen aor likhte rahen dil ki baaten.

Duagu

SN**
Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: August 27, 2008, 11:17:17 AM »
Reply with quote
Raza bhai,

Dukh ki baat hai par har koi aap ki tarah ilmi daanishmandi se sarshaar nahin hota.
Main ne bhi padha so ziyada nahin likha, garchi main javaab likhne men diqqat mahsoos nahin karta.

Yeh sab shayiri seekh rahe  hain aor ziyada tar sabhi log shayiri ka asal mafhoom jaane baghair hi wah wah kar chale jaate hain.

Aap se guzaarish hai ki aap apna thread khol kar wahan par maozoo ke mutaabiq likhiye.
Dusri baat jitni shayiri mushkil alfaaz se bari hogi utna usko padhne samajhne waale kam milenge. Jaise main ne pahle kaha har koi saahib-e-urdu nahin yahan par.

Aap ne jo kuchh bhi byaan kia hai, us ki baad men aap ne khud wazaahat to ki hi khair se, par main kahunga, jab bhi aise alfaaz kalaam men aa jayen to neeche un ki tafseel na likhen mukhtasiran maani hi likh denge to padne waale bakhoobi samajh lenge.

Duaagu

SN**

Well said S. Naami
Logged
Talat
Guest
«Reply #25 on: August 27, 2008, 11:18:39 AM »
Reply with quote
ASSALAAMUALIEKUM Ashraf bahi and every body,

Ashraf bahi buht afsos howa Aap jesyi shakhsiyat aor dosron ko samjhny waly insaan aaj mujh jesy bewooqoof ko hi na samajh sake aap ny apni reply main likha ke main ny gulzar ki commit dena band ker diya aaj aap ko bataata hoon ke mera is net per aany ka maqasd kiya hy mera maqsad apny dil ki baaten logon tak pohnchaana hy na ke kisi sy daad ya commit leny ka laalach apni baaton aor shaaeri sey logon tak achi soch aor hqiqat puhnchaana hy mager afsos aap ny ye nhi samjha ke jis commite per aap ny aitraaz kiya wo aap ki likhi howi nazam
jisko main hezart ahmad raza khan brelwi ki naat shreef samjh raha tha issley
main koi aap ke liye na keh saka, derasl wo mery likhy howy sher jo main ny aaj sy 18 saal pehly likha tha wo kis larki ke ishq main kaha tha uss ka uss ny mazaak banya tha jis per mujhy koi aitraaz nhi howa, uss ny naoozbillah nabi
ki naat ke bary main jo aap ny likhi loi mazaq nhi uraya, jab sy aap ny mujhy comiite dena band ker diya tab sy main shaaeri likhna band ker di islye nhi ke aap ny mujhy daad nhi di isslye ke jab samjhny waaly bhi mujhy nhi samajh saky tao doosry kesy samjhein gen shayed main samjhdaaron main bewooqoof hoon isslye

ghlti ho gaai sab muaaf ker dena

gul

Aap se guzarish hai ki in baaton ko bhool kar phir se likhna shuru karen...ummeed hai aap mayoos nahin karenge !
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:18:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer