*****silsila*****

by kaushikbhawna008 on July 08, 2008, 06:51:16 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1020 times)
kaushikbhawna008
Guest
Reply with quote
yu zindgi ki raah mei ek din
un se mulaakat hui thi
aisa laga dekhkar unhe jaise
kismat hampar meharbaan hui thi

dekh unhe yu hi sapne ham pirone lage
khwabon khayalon mei hi sang jeene aur marne lage
fir wo milkar juda hua to dil mei ek chot si lagi
wo pehli mulakaat jaane kyu aakhiri si lagi

fir ek din achanak usi raah par wo hamko mil gaya
dekhkar unhe mera chehra fulon sa khil gaya
dil mei halchal ho rahi thi aur dhadkan ki thi tez raftaar
lab the khamosh aur nigahein kar rahi thi baat

jab tak kuch mei usse kehti achanak ek dheemi si awaaj sunai di
usne liya mera naam aur fir baaton ki shuruat ki
aisa lag raha tha jaise ham janmon k saathi ho
wo hamari pehli nahi janmo pehle ki mulakat thi

fir hua shuru dheere dheere muhobbat ka silsila
wo sabse dur hokar khwabon khayalon ka silsila
dheere dheere hamari mulakaatein badhi
mere dil mei pyaar ki aur bhi gehraaiyan badhi

be-khauf har anjaam se mei use chahti rahi
apni har khushi uspar haskar lutati rahi
ek din har khwaab mera tamashabeen bana
mera hamdard hi mera har dard ka kaaran bana

ek ek karke uske chehre par se nakaab uthne laga
mera dil har baar zaar zaar rone lage
soch rahi thi tab kyu usse meine mulakaat ki
kyu uski har baat meine dil se swikaar ki

chot khayi hai aisi mohobbat mei doston
ki ab yakin kisi par hota nahi
har mandir, mazid mei jise dwaon mei tha maanga
chot aisi khayi ki ab duaon k liye haath uthta hi nahi

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chahaton ka silsila ---shabd by Nedura! in Songs & Lyrics
tassalsul (silsila) by tabassum shakeel in Shayri for Khumar -e- Ishq
yeh Dard ka silsila.... by Manav Mehra in Shayri-E-Dard
silsila by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
ye wo silsila nahi by bekarar in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 »
Muhammed
Guest
«Reply #1 on: July 08, 2008, 09:00:03 AM »
Reply with quote
Bahot Hi La-Jawaab kalam likhte Ho aap Harr Baar,

be-khauf har anjaam se mei use chahti rahi
apni har khushi uspar haskar lutati rahi
ek din har khwaab mera tamashabeen bana
mera hamdard hi mera har dard ka kaaran bana


Bahot Khoob

chot khayi hai aisi mohobbat mei doston
ki ab yakin kisi par hota nahi
har mandir, mazid mei jise dwaon mei tha maanga
chot aisi khayi ki ab duaon k liye haath uthta hi nahi


Puri Nazm Ke Ash'aar Dil Ko Chhu Gaye.




Logged
Rajbir
Guest
«Reply #2 on: July 08, 2008, 09:06:01 AM »
Reply with quote
Bhawna

Full of love, pain, separation, sorrow, hurt...sab tarah ki feelings dekhne ko mili is kalam mein !

Keep it up Thumbs UP
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #3 on: July 08, 2008, 09:06:32 AM »
Reply with quote
shukriya muhammed ji

wo mehaz raat ka ek khwab tha
jo din hote hi kahin kho gaya
sach to ye hai ki haqeekat ki teh par
yu khwabon k aashiyaane bana nahi karte


Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #4 on: July 08, 2008, 09:07:40 AM »
Reply with quote
shukriya rajbir ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:55:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer