stop KILLING (Shihab)

by majid on August 15, 2012, 09:43:11 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3440 times)
majid
Guest
Reply with quote
Adab Aap Sabhi Arbab e Sukhan Ko Mera
Umeed Karta Hoon Aap Sab Khariyat Se Hongey ?
Aur Mafi Chahta Hun Is Baar Main Koi Shayari Likhne Nahi Aaaya, Bas Dil Ki Badhaas Likhne Aaya Hun, Jaisa Ki Bahut Se Kam Log Jaante Hongey Ki Burma Ke Muslimon Pe Kis Qadar Zulm o Sitam Ho Rahe Hain, Mahfil Ki Nazaakat Ne Rok Liya Hai Warna Zarur Video Aur Photo Share Karta Ki Usme Kis Qadar Zindon Ko Jalaaya Jaa Raha Hai Aur Kis Qadar Maa Behnon Ki Izzat Se Khela Ja Raha Hai
Yahan Tak Ki Masoom Bachchon Ko Bhi Nahi BaKsha Ja Raha, Ye Media Bhi Ajib Hai, Ek Bandar Goolaati  Maarta Hai To Usse Barha Charahkar Bade Maze Se Dikhate Hain, Aur Yahaan Insanon Ko Sabzi Se Bhi Badtar Haalat Mein Kaata Ja Raha Hai Aur Media Chup Hai, Kyon Media Walon Itni Berukhi Kyon, ? Kyon Ki Muslim Hai Is Liye? khair
Media To Gair Hai Yahan To Apne Muslim Hi Zara Sa Bhi Zikra Ya Fikra Nahi Karte Ki Kis Qadar Unpe Zulm Ho Raha Hai, Hazaaron Ki Tadaad Men Maar Diye Gaye, Laakhon Ko Keh Diya Gaya Ki Nikal Jaao Ye Tumhara Mulq Nahi,Jabki Wo Sadiyon Se Yahan Rehte Aaye Hain, Jab Hukumat Hi Aisa Kare To Awaam Kahan Jaaye? Burma Ki Hukumat Ke NAAM Kuch Lines, Isme Malta Mera Likha Nahi Ek Naat Se Liya Hua Hai, Baaki Ki Sabhi Lines Mere Dil Ki Bhadaas Hai, Gar Dil Tak Puhanche To Zarur Sath Dijiyega...shukariya


Magroor Na Ho Apne Muqaddar Pe -e- Naadan
ALLAH Ki Nazron Mein Baraabar Hai Har Insaan.

Itra Na Is Qadar Bhi Tu Apni Hukumato,n Pey
Mit Jayengi Pal Me Hi Teri Sari Taqaten Or Shan.

Bahake Khoon Mazloomon Ka Karke Beghar Unhe
Kya Milega Aakhir Tujhey Bataa Aey Shaitaan.

They Jo Tujhse Bhi Bade Zaalim Kya Hua Unka
Yaad Kar Tu Hashr-e-Firon, Karun, Aur Haaman.

Apne Har ZULM Ka Dena Parhega Tujhey Hisab
Khuda Ka Qanoon Badal Na Nahi Itna Aasaan,


                                    ~Shihab~


Aey ALLAH Burma Ke Muslimon Par Reham Farma
Aur Unhe Un Zaalimon Se Bachcha Aameen
Logged
CIC
Guest
«Reply #1 on: August 15, 2012, 10:17:55 PM »
Reply with quote
Inn chand lavzon main aapne ek sacchai layi hai. Sahi main wo nadaan hain, chanhen koi bhi mazhab ho, iss-tarah ki zulmo-sitam kabhi kubule nahi jaate .. Barma main Hukumat ke aage media bhi bebas hai, wahan andha raaj hai iss waqt.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #2 on: August 15, 2012, 11:15:55 PM »
Reply with quote
Adab Aap Sabhi Arbab e Sukhan Ko Mera
Umeed Karta Hoon Aap Sab Khariyat Se Hongey ?
Aur Mafi Chahta Hun Is Baar Main Koi Shayari Likhne Nahi Aaaya, Bas Dil Ki Badhaas Likhne Aaya Hun, Jaisa Ki Bahut Se Kam Log Jaante Hongey Ki Burma Ke Muslimon Pe Kis Qadar Zulm o Sitam Ho Rahe Hain, Mahfil Ki Nazaakat Ne Rok Liya Hai Warna Zarur Video Aur Photo Share Karta Ki Usme Kis Qadar Zindon Ko Jalaaya Jaa Raha Hai Aur Kis Qadar Maa Behnon Ki Izzat Se Khela Ja Raha Hai
Yahan Tak Ki Masoom Bachchon Ko Bhi Nahi BaKsha Ja Raha, Ye Media Bhi Ajib Hai, Ek Bandar Goolaati  Maarta Hai To Usse Barha Charahkar Bade Maze Se Dikhate Hain, Aur Yahaan Insanon Ko Sabzi Se Bhi Badtar Haalat Mein Kaata Ja Raha Hai Aur Media Chup Hai, Kyon Media Walon Itni Berukhi Kyon, ? Kyon Ki Muslim Hai Is Liye? khair
Media To Gair Hai Yahan To Apne Muslim Hi Zara Sa Bhi Zikra Ya Fikra Nahi Karte Ki Kis Qadar Unpe Zulm Ho Raha Hai, Hazaaron Ki Tadaad Men Maar Diye Gaye, Laakhon Ko Keh Diya Gaya Ki Nikal Jaao Ye Tumhara Mulq Nahi,Jabki Wo Sadiyon Se Yahan Rehte Aaye Hain, Jab Hukumat Hi Aisa Kare To Awaam Kahan Jaaye? Burma Ki Hukumat Ke NAAM Kuch Lines, Isme Malta Mera Likha Nahi Ek Naat Se Liya Hua Hai, Baaki Ki Sabhi Lines Mere Dil Ki Bhadaas Hai, Gar Dil Tak Puhanche To Zarur Sath Dijiyega...shukariya


Magroor Na Ho Apne Muqaddar Pe -e- Naadan
ALLAH Ki Nazron Mein Baraabar Hai Har Insaan.

Itra Na Is Qadar Bhi Tu Apni Hukumato,n Pey
Mit Jayengi Pal Me Hi Teri Sari Taqaten Or Shan.

Bahake Khoon Mazloomon Ka Karke Beghar Unhe
Kya Milega Aakhir Tujhey Bataa Aey Shaitaan.

They Jo Tujhse Bhi Bade Zaalim Kya Hua Unka
Yaad Kar Tu Hashr-e-Firon, Karun, Aur Haaman.

Apne Har ZULM Ka Dena Parhega Tujhey Hisab
Khuda Ka Qanoon Badal Na Nahi Itna Aasaan,


                                    ~Shihab~


Aey ALLAH Burma Ke Muslimon Par Reham Farma
Aur Unhe Un Zaalimon Se Bachcha Aameen


bahut khoob likha hai shihab sahab.............!


 tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed tearyeyed
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: August 16, 2012, 01:44:29 AM »
Reply with quote
shame shame so sad
Logged
mkv
Guest
«Reply #4 on: August 16, 2012, 02:24:58 AM »
Reply with quote
Shihab jee
Bahut maarmik chitran kiya hai. ham sabhee Media ke is behaviour ko condemn karte hai. kisi bhi julm kee aavaaj ko jyada der tak dabaaya nahi ja sakta hai. eke na ek din avaam jaag jaati hai.uske baad sabko pata hai kya hota hai.
jum o atyachaar kisi bhi dharm/majhab/insaan ke khilaaf ho nandneeya hai.
jaha chaah vaha raah..
Jisse jo ban sakta hai vo kare..bas yahi chahta hun.
Un sabhee peeediton ke liye duaaon ke saath.
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #5 on: August 16, 2012, 03:38:39 AM »
Reply with quote
shihabji.... ham bhi Allah se dua karte hain ki ye zulm o sitam band hon.... wo din jald aaye aye jab ham sirf insan kahla saken... kab tak hame jaat, mazhab...mard.. aurat... desh ke naam par marte maarte henge....

Aameen
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #6 on: August 16, 2012, 03:51:24 AM »
Reply with quote
Aaap ke zajbaat ka aur qalaam ko mai salam karta hun..

Sihaab ji bahut hi sharmnaak vakya hai ye aaj ke daur ke inssanoN ke liye.Jahaan me aman aur sukoon ke liye mai bhi duwa karta hun aur aise vahsiyaana harkat ke liye jimedaar logoN ko mukammal saaza ke liye uparwale se fariyaad karta hoon. 
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #7 on: August 16, 2012, 06:47:04 AM »
Reply with quote
Bahut marmik chitran kiya hai, aapke kalam aur bhavnao ki kadar karta hoon aur salam bhi, jalimo ko sharam anee chahiye aur uparwale sey darna chahiye
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #8 on: August 16, 2012, 09:56:41 AM »
Reply with quote
Adab Aap Sabhi Arbab e Sukhan Ko Mera
Umeed Karta Hoon Aap Sab Khariyat Se Hongey ?
Aur Mafi Chahta Hun Is Baar Main Koi Shayari Likhne Nahi Aaaya, Bas Dil Ki Badhaas Likhne Aaya Hun, Jaisa Ki Bahut Se Kam Log Jaante Hongey Ki Burma Ke Muslimon Pe Kis Qadar Zulm o Sitam Ho Rahe Hain, Mahfil Ki Nazaakat Ne Rok Liya Hai Warna Zarur Video Aur Photo Share Karta Ki Usme Kis Qadar Zindon Ko Jalaaya Jaa Raha Hai Aur Kis Qadar Maa Behnon Ki Izzat Se Khela Ja Raha Hai
Yahan Tak Ki Masoom Bachchon Ko Bhi Nahi BaKsha Ja Raha, Ye Media Bhi Ajib Hai, Ek Bandar Goolaati  Maarta Hai To Usse Barha Charahkar Bade Maze Se Dikhate Hain, Aur Yahaan Insanon Ko Sabzi Se Bhi Badtar Haalat Mein Kaata Ja Raha Hai Aur Media Chup Hai, Kyon Media Walon Itni Berukhi Kyon, ? Kyon Ki Muslim Hai Is Liye? khair
Media To Gair Hai Yahan To Apne Muslim Hi Zara Sa Bhi Zikra Ya Fikra Nahi Karte Ki Kis Qadar Unpe Zulm Ho Raha Hai, Hazaaron Ki Tadaad Men Maar Diye Gaye, Laakhon Ko Keh Diya Gaya Ki Nikal Jaao Ye Tumhara Mulq Nahi,Jabki Wo Sadiyon Se Yahan Rehte Aaye Hain, Jab Hukumat Hi Aisa Kare To Awaam Kahan Jaaye? Burma Ki Hukumat Ke NAAM Kuch Lines, Isme Malta Mera Likha Nahi Ek Naat Se Liya Hua Hai, Baaki Ki Sabhi Lines Mere Dil Ki Bhadaas Hai, Gar Dil Tak Puhanche To Zarur Sath Dijiyega...shukariya


Magroor Na Ho Apne Muqaddar Pe -e- Naadan
ALLAH Ki Nazron Mein Baraabar Hai Har Insaan.

Itra Na Is Qadar Bhi Tu Apni Hukumato,n Pey
Mit Jayengi Pal Me Hi Teri Sari Taqaten Or Shan.

Bahake Khoon Mazloomon Ka Karke Beghar Unhe
Kya Milega Aakhir Tujhey Bataa Aey Shaitaan.

They Jo Tujhse Bhi Bade Zaalim Kya Hua Unka
Yaad Kar Tu Hashr-e-Firon, Karun, Aur Haaman.

Apne Har ZULM Ka Dena Parhega Tujhey Hisab
Khuda Ka Qanoon Badal Na Nahi Itna Aasaan,


                                    ~Shihab~


Aey ALLAH Burma Ke Muslimon Par Reham Farma
Aur Unhe Un Zaalimon Se Bachcha Aameen



            soye huey jazbaat ko jagaayaa jaaye.!
            taqdeer khud apni abb banaayaa jaaye.!

            ghoot-ghoot ke marney se kahin acha.!
            sitam zaalim ka tah se mitayaa jaaye.!

           'shaitaan' kabhi apnaa ho nahin sakta.!
            khud ko iss naamuraad se bachayaa jaaye.!

            hai jo nafrat ki aandii khelaaf hamaare.!
            chalo mil kar ek toofaan laayaa jaaye.!

            qahqahey zulm ke kab tak saho ge khamosh.!
            inkii bhi muskuraahat ko mitaayaa jaaye.!
           



             

           
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: August 16, 2012, 11:34:52 AM »
Reply with quote
bahut kadwaa sach likha hai aapne Shihab ji.. aur K_A ji ne bahut achchi baat kahi hai...!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: August 16, 2012, 12:22:12 PM »
Reply with quote
Insaaniyat Ko Sharmshaar Kar Dene Wali haqeeqat bayaan Ki Hai Aapne majid Bhai..

Sharm Ki Baat Hai Ke Abhi Kuch Insaano Mein iss Kadar Shaitaan Bastaa Hai..

Bhai Humari Ardaas Humari Dauyen Har Uss Shaks Ke saath hai Jo Abhi iss waqt Uss Dard-naak daur Se Guzar Raha Hai..Aur Aakhir mein Gurbaani Kya Kehti Hai..Woh bataa Doon..

Awwal Allah Noor Upaaya Kudrat Ke Sab Bande
Ek Noor Te Sab Jag Upjaya, Kaun Bhale Ko Mande....
Logged
Aarish
Guest
«Reply #11 on: August 16, 2012, 02:11:34 PM »
Reply with quote
Shihab Ji Bilkul durust kaha hai , meri sabhi bhaiyon se darkhwast hai ki burma ke muslims ke liye dua kareN aur ....shayad kuch aur nahi keh paunga...............afsos , afsos, sad afsos,
Logged
CIC
Guest
«Reply #12 on: August 17, 2012, 02:51:17 PM »
Reply with quote


            soye huey jazbaat ko jagaayaa jaaye.!
            taqdeer khud apni abb banaayaa jaaye.!

            ghoot-ghoot ke marney se kahin acha.!
            sitam zaalim ka tah se mitayaa jaaye.!

           'shaitaan' kabhi apnaa ho nahin sakta.!
            khud ko iss naamuraad se bachayaa jaaye.!

            hai jo nafrat ki aandii khelaaf hamaare.!
            chalo mil kar ek toofaan laayaa jaaye.!

            qahqahey zulm ke kab tak saho ge khamosh.!
            inkii bhi muskuraahat ko mitaayaa jaaye.!
           

           

Bohot hi sahi farmaya aapne, kabile tareef !
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #13 on: August 18, 2012, 05:24:29 PM »
Reply with quote
Allah Burma Ke Muslimon Par Reham Kare Amin
Bohat Khoob Likha Hai Aapne Shihab Ji Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 04:15:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer