Tab...aur ab.... !!!

by Talat on April 03, 2008, 02:44:41 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 7943 times)
Shikha12
Guest
«Reply #30 on: April 05, 2008, 04:41:28 AM »
Reply with quote
Celmira..Pooja....tum kya ho yaar!!!

Magicians hai... Apna Jaadu har kisi par chhodh jaati hai...  drunken_smilie  NaNaNa
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #31 on: April 05, 2008, 05:14:48 PM »
Reply with quote
Shukriya Mahiya...
Or bohot achchha likha he aapne bhi.
Logged
Talat
Guest
«Reply #32 on: April 06, 2008, 12:56:03 PM »
Reply with quote
Celmira..Pooja....tum kya ho yaar!!!.....kya kya yaad dila diya aapne....our beh nikle sayyid Roja our prateek bhi....aaj maloom hua ke kitne mazboor haiN hum log ek articficial zindagi jeene maiN...haqeekat kitni suhaani thi....celmira ne kitna sach kaha...ki usey bhi sachhaayii likhne maiN kitni hitchkichahat thi....par sach bahoot achha kiya......kya-kya yaad nahiN dila diya....Woh saare dard ek hi jagah ikathhe ker diye aaj tumne ....Main aaj Ek ghazal leker aya tha...badi hi machalti hui...per sab demaag se rafoo hoo gayi....man gamgeen puraani yadoN maiN hi kho gaya....iss mehfil ko khwaabgaah banane ke liye Celmira maiN aapko salaam kerta hooN...kaafi kutchh toh aapne keh diya.....jo kutchh bacha hai so shabdo maiN dhaalne ki ek koshish...kutchh dil ke ahsaasoN ke puraane tukRhe dil se phhoot raheiN haiN ..... Meri iss site ke rehnumaaoN se Guzaarish/Iltiza ke In Qaid lamhoN ko kahiN der-bader na ker deiN...in yaadoN ko hamare saath hi rehne deiN....

Woh manzer bahaane hum nahiN bhoole
Woh Guzre zamaane hum nahi bhoole.

PehroN kerte jahaN be-baat ki bateiN
Woh saare thhikaane hum nahiN bhoole.

Chhat ki munder woh galioN ka nukkad
Uske  khat puraane hum nahiN bhoole.

mummi ki chillahat Papa ka woh khouff
woh pataNgo ke bahaane hum nahiN bhoole.

Vyapaar ki gotiaaN woh GuddiyaN-patole
Woh sawan ke jhoole hum nahiN bhoole.....

____________________________________kya kya nahiN yaad....


Harash

Bohot bohot shukriya Harash..aap bhi is sailab main shamil hue Usual Smile

Bohot khoob..dil chu lene wale asha'ar hain apke Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #33 on: April 06, 2008, 12:59:06 PM »
Reply with quote
"Socha tha, kuch roz hum na likheinge..
Mehfilon mein ab kahin hum na dikheinge...
Magar yeh post humein phir kheench laayi,
Bachpan ki baatein, sach.. bahut yaad aayi!!!"

You know Celmira... This is one of the most praise-worthy work by you..
It left me speechless...
Har ek ki post ko kai kai baar padha maine, aur sach khud ko rok nahin paayi...
Kitni saari baatein hai kahi-ankahi si... Aur sab ne kitne dil khol kar likha hai yahan.. Padhne ke baad laga, ki abhi aur bhi bahut kuch hai kehne aur sun.ne ko.. (So Keep Writing  icon_salut)

I really feel good reading all the posts of this thread..

Very Very Nice Posts Celmira, Pooja di, Rajbir ji, Sayyid, Prateek, Roja and Harsh... Applause



Thanks Mahiya, I am thankful that you penned down after a while..thanks for honouring me  notworthy Thanks so much dear Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #34 on: April 06, 2008, 01:00:31 PM »
Reply with quote
Celmira..Pooja....tum kya ho yaar!!!

Magicians hai... Apna Jaadu har kisi par chhodh jaati hai...  drunken_smilie  NaNaNa

hahhaa...YOIndia to khud ek jadunagri hai....ek se badh ke ek jadugar yahan majood hai Usual Smile
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #35 on: April 06, 2008, 03:18:21 PM »
Reply with quote
Celmira..Pooja....tum kya ho yaar!!!.....kya kya yaad dila diya aapne....our beh nikle sayyid Roja our prateek bhi....aaj maloom hua ke kitne mazboor haiN hum log ek articficial zindagi jeene maiN...haqeekat kitni suhaani thi....celmira ne kitna sach kaha...ki usey bhi sachhaayii likhne maiN kitni hitchkichahat thi....par sach bahoot achha kiya......kya-kya yaad nahiN dila diya....Woh saare dard ek hi jagah ikathhe ker diye aaj tumne ....Main aaj Ek ghazal leker aya tha...badi hi machalti hui...per sab demaag se rafoo hoo gayi....man gamgeen puraani yadoN maiN hi kho gaya....iss mehfil ko khwaabgaah banane ke liye Celmira maiN aapko salaam kerta hooN...kaafi kutchh toh aapne keh diya.....jo kutchh bacha hai so shabdo maiN dhaalne ki ek koshish...kutchh dil ke ahsaasoN ke puraane tukRhe dil se phhoot raheiN haiN ..... Meri iss site ke rehnumaaoN se Guzaarish/Iltiza ke In Qaid lamhoN ko kahiN der-bader na ker deiN...in yaadoN ko hamare saath hi rehne deiN....

Woh manzer bahaane hum nahiN bhoole
Woh Guzre zamaane hum nahi bhoole.

PehroN kerte jahaN be-baat ki bateiN
Woh saare thhikaane hum nahiN bhoole.

Chhat ki munder woh galioN ka nukkad
Uske  khat puraane hum nahiN bhoole.

mummi ki chillahat Papa ka woh khouff
woh pataNgo ke bahaane hum nahiN bhoole.

Vyapaar ki gotiaaN woh GuddiyaN-patole
Woh sawan ke jhoole hum nahiN bhoole.....

____________________________________kya kya nahiN yaad....


Harash

Bohot bohot shukriya Harash..aap bhi is sailab main shamil hue Usual Smile

Bohot khoob..dil chu lene wale asha'ar hain apke Applause

Ek baar Phir Shukriyaa^h talat....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #36 on: April 08, 2008, 04:05:52 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Bahut Khoob...Main Iss Thread Ki Jitni Tareef Karoon Woh Kam Hai...Celmira aapne sach mein,beete hue pal ko aankhon ke saamne laakar khada kar diya..har ek insaan apne bachpan ki meethi yaadon se juuda hota hai..celmira,pooja,prateek,sayyid randheri,rajbir paaji,harashji,mahiya,roja..aap sab ne bahut hi acha aur sacha likha hai..yehi zindagi hai,naa chaah kar bhi hum sab ko zindagi mein aage badhna hota hai,bas peeche mud kar,apne guzre hue meethe palo ko yaad karke hum sirf apne chehre pe muskaan saja sakte hai aur apni aankhon ko nam kar sakte hai..sorry itna lamba likh gaya par mujhse raha na gaya..aaj kisi ke paas waqt nahi hai apne beete hue palon ko yaad kar muskuraane ka..sab zindagi ke iss race mein bas daude jaa rahe hai...iss thread ne bahut kuch yaad dilaya..iss topic par ek poetry likhne zaroor aaunga..teh dil se aap sab ka shukriya..
 Hats off to you!
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #37 on: April 08, 2008, 05:23:45 PM »
Reply with quote
shukriya khwaish ji hosla afzai ka or apne jazbaat pesh karne ka, aap ki nazm ka intezaar rahega.
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #38 on: June 02, 2008, 02:54:07 AM »
Reply with quote
sabse pahle to mai Mahiya ji ka shukr-guzar hun jinhone is post ko recommend kiya aur mujhe apne bachpan ki anokhi duniya ki sair karai aur aaj ki meri duniya ke khalipan ka ehsas dilaya....

aais-paais,uunch-neech, kho-kho, chor-sipahi

ohhhhh...ye sare mere pasndeeda khel hua karte the...shayad ab to ye bhi TIGER ki tarah lupt ho chuke hain.....
talat ji ne sahi kaha..
Bisri yaadain, wo guzra waqt yaad aaya
Baat nikli jo jaane kya kya yaad aaya

randeri ji do lines me hi sab kah gaye......

Kisi ko dor-e-hazir me sukoon-e-dil nahi milta
Taraqqi ke samandar ko kabhi sahil nahi milta

pooja ji ne bhi dil ke taaeon kuch is tarah ched diya...

choti choti si khushio se milati thi jo khilkhilahat
ab badi badi khushio main bhi, ek muskaan kahan....

prateek ji ne bhi aaina kuch yun dikhaya

hur roz mukhote padte chote
mein to thuk gaya dhote dhote
pehan inhe ye haal mera to
bud se budtur ho gaya
mera apna chehra na jaane
kahan kho gaya!
 aur Rajvir ji ki baat pe mujhe mere collage ke ek senior ki baat yaad aa gai jo kahte the...yaar sanjeev, ladkiyon ke mamale me to hamari kismat bahoot hi kharab rahi.....
jaise hi jawani me kadam rakha TV bhi shuru ho gaya tha aur ladkiyan tv pe krshidarshan tak dekhati thi, ghar se bahar nikale to kuch baat bane...phir poore jawan hue to cable ne mamla kharab kar diya.........

harsh ji ne bhi bach-pan ko shabdon ka zama pahnane me koi kasar nahi utha rakhi...
   Vyapaar ki gotiaaN woh GuddiyaN-patole
Woh sawan ke jhoole hum nahiN bhoole.....

aur mahiya ji ka shukriya to mai pahle ada kar chuka hun

khwahish ji ki ne jo likha samjhen mai bhi wo sab hubhu kahna chahta hun...
agli baar mai is thred me kuch likhun ye koshish karunga.....

aap log aate rahiya yahann par........


Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #39 on: June 02, 2008, 05:55:19 PM »
Reply with quote
Himmat afzai ka shukriya bekarar ji...

Shayad ye thread kabhi purana nahi hoga, aaj ise dobara shuru se padha, rooh tar hogai, ABHI is thread ka haq ada nahi huwa he, abhi or likhaai ki gunjaish he yahan or zarurat bhi, istarha dil ki baat likh kar dil halka hota he, or purani yaaden ahbaab se baatna mazedaar bhi hota he or sukoon bakhsh bhi, Celmira, Pooja, Roja, Mahiya, Rajbir, Khwaish, jese qalam ke sikandaron ki abhi zarurat he yahan.

 
 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: June 02, 2008, 06:22:55 PM »
Reply with quote
pooja ji ne bhi dil ke taaeon kuch is tarah ched diya...

choti choti si khushio se milati thi jo khilkhilahat
ab badi badi khushio main bhi, ek muskaan kahan....

agli baar mai is thred me kuch likhun ye koshish karunga.....

aap log aate rahiya yahann par........

Apki post ka intzaar rahega Bekrar ji. Shukaria apko meri likhi yah lines pasand aai!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #41 on: June 02, 2008, 06:40:41 PM »
Reply with quote

aais-paais,uunch-neech, kho-kho, chor-sipahi

ohhhhh...ye sare mere pasndeeda khel hua karte the...shayad ab to ye bhi TIGER ki tarah lupt ho chuke hain.....
talat ji ne sahi kaha..

Bisri yaadain, wo guzra waqt yaad aaya
Baat nikli jo jaane kya kya yaad aaya


Behad shukrguzar hoon Bekarar...!! Wo sab baatain ab sirf yaadon main hai..naye daur main naye khilaune, naye andaaz hain...wo baat kahan !! Usual Smile

Logged
Talat
Guest
«Reply #42 on: June 02, 2008, 06:42:22 PM »
Reply with quote
Himmat afzai ka shukriya bekarar ji...

Shayad ye thread kabhi purana nahi hoga, aaj ise dobara shuru se padha, rooh tar hogai, ABHI is thread ka haq ada nahi huwa he, abhi or likhaai ki gunjaish he yahan or zarurat bhi, istarha dil ki baat likh kar dil halka hota he, or purani yaaden ahbaab se baatna mazedaar bhi hota he or sukoon bakhsh bhi, Celmira, Pooja, Roja, Mahiya, Rajbir, Khwaish, jese qalam ke sikandaron ki abhi zarurat he yahan.

 
 


Bilkul sahi farmaya aapne....yahan abhi bohot gunjaaish hai...yaadain aur baatain itni hain ki khatam nahin hongi.....yaqeenan koshish hogi ki yahan kuch naya jald likhen.
Logged
Talat
Guest
«Reply #43 on: July 17, 2008, 08:48:12 PM »
Reply with quote
Wo bachpan wo khilaune, wo gudiya ki shaadi
Armaan poore karte the jab dada aur daadi

Wo raaton main jama hona, wo sunna kahani
Bachchon ke ghere main pariyon si ek nani

Wo mausam baarish ka wo kaghaz ki nayya
Ghoom jaata hai kaise ye waqt ka pahiya

Wo yaadain reh gayin, wo baatain reh gayi hain
Khushbu thaame yaadon ki saansan reh gayi hain
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #44 on: July 18, 2008, 07:25:34 PM »
Reply with quote
Wo bachpan wo khilaune, wo gudiya ki shaadi
Armaan poore karte the jab dada aur daadi

Wo raaton main jama hona, wo sunna kahani
Bachchon ke ghere main pariyon si ek nani

Wo mausam baarish ka wo kaghaz ki nayya
Ghoom jaata hai kaise ye waqt ka pahiya

Wo yaadain reh gayin, wo baatain reh gayi hain
Khushbu thaame yaadon ki saansan reh gayi hain

Kya baat he bohut khoob.
Apni or sabhi ki maasoom yaadon ke sunehre motiyoN ko bade hi khubsurat andaaz mein piroya he aapne.
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:28:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer