Tab...aur ab.... !!!

by Talat on April 03, 2008, 02:44:41 PM
Pages: 1 2 3 4 [5]
ReplyPrint
Author  (Read 7941 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #60 on: May 10, 2009, 02:27:47 AM »
Reply with quote
yeh thread maine aaj phir padhi..sach kahoon to aankhein Nam ho gayi..Sabse Pehle Teh Dil se Shukriya Talat,aapka Jo Aapne Iss Kavita Ke Zariye Mujhe Mauka Diya Ke main Woh pal Ko Phir Yaad Kar Sakoon..Sach mein,kabhi sochta hoon ke Kaash Main Woh Bachpan ke Palo Phir Se Jee Jaata ..
Ek Bhare Hue Dil Ke Saath Kuch Likh Raha Hoon...Yeh Kuch Jazbaat Hai Mere Jinhe Main Alfaazo Mein Dhaal Raha Hoon..

Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye..

Woh Kadi Dhoop Mein Jaakar Maidaano Mein Khelna,
Jo Dil Mein Hai,Woh Har Ek Baat Ka Kehna,
Papa Ke Naa Padhne Par, Woh Daant Ka Sehna,
Doston Ke Ghar Ki Galiyon Mein Woh Saari-Saari  Raat Ka Rehna...

Roke Kabhi nahi Rukhte Yeh pal Jo Beet Jaaye,
Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye....

Aaj Sochta Hoon to Muskura Jaata Hoon,
Doston Ke Saath Woh Katti-Batti ke khel Ko Yaad Karte Reh Jaata Hoon,
Aaj Gile-Shikwo Ko Dil mein paalta Hoon,
Chaah Kar Bhi Mere Yaar Se Baat Kar ke Dil Saaf Naa Rakh Paata Hoon,

Bhai-Behan Ke Saath Choti-Choti Baaton par Ladna-Jhagdna,
Cricket Mein Out Hote Hi BAT Lekar Seedha Ghar Ko Chalna..

Aaj Bhi Car Ke Aaene Se Dekhta Hoon,
Bacho Ko Saath Mein Khelte Jhagadte Hue,
Sochta Hoon,"Khwaish" Aakhir Hum Hi Kyon??
Iss Duniya Ke Mele Mein Itne Akele Hue!!!!

Kaash Woh Bachpan Ke Din Main Phir Se Jee Jaau,
Iss Mashrufiyat Ki Zindagi Mein Vaapas Naa Aau,

Yeh Woh Yaadein Hai Jo Dil Se Kabhi Naa Mit Paaye,
Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye....

Aaj Ke Daur Mein Humein Kuch Bhi Mil Jaaye,
Hum Khush Nahi Hote,
Duniyadari Aur Zimmedari Ke Jhamelo Mein Hai,
Hum Apne Aap Ko Hai Khote,
Pehle Fursat Ki Neend Thi,
Aaj Khuli Aankhon se Bhi Hai Hum Sote,
Kabhi To Dil Hi Dil Mein Hai Hum Rote,

Kabhi To Unn Bhoole-Bhichde Hue Doston Se Meri Baat Ho Jaaye,
Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye...

            ~~~~~Khwaish~~~~~~~
Logged
Talat
Guest
«Reply #61 on: May 11, 2009, 09:51:19 AM »
Reply with quote

BAHUT ACHCHEY LAGEY.....YAHI HAQEEQT HAI...!! AAJ SAB KUCH HAI MAGAR WOH KHUSHI NAHIN HAI.....MOHALLEY MAIN EK PHONE HUAA KARTAA THAA... KISI KAA TRUNK CALL AAYAA TO HAFTEY BHAR CHARCHAA THAA. EK KI MAUT HOTI THI TO SAARAA MOHALLAH MAHINON GHAMGHI RAHTAA... AUR AAJ EHSAAS KHATAM HOTAA JAA RAHAA HAI. APNEY BACHPAN MAIN MAINEY MOHALLEY MAIN EK JANAB KEY PAAS LAMRETTA SCOOTER DEKHAA THAA ...TANHAA AUR AKELAA ...KYAA KAHNEY THEY USKEY ...JAB BHI WOH SAHAB USEY JALAATEY HUM SABHI BACHCHEY TAMAASHAA DEKHTEY ...AUR AAJ NANO ...KOI BHI LEY SAKTAA HAI

Bohot bohot shukriya, Khamosh Ji...Sach kaha aapne..ek daur shayad waisa bhi raha hoga.....aur aaj kitna sab kuch badal gaya......!
Logged
Talat
Guest
«Reply #62 on: May 11, 2009, 09:52:00 AM »
Reply with quote
celmira ji very nice,very very good one.

Thanks so much Madhu Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #63 on: May 11, 2009, 09:58:06 AM »
Reply with quote
yeh thread maine aaj phir padhi..sach kahoon to aankhein Nam ho gayi..Sabse Pehle Teh Dil se Shukriya Talat,aapka Jo Aapne Iss Kavita Ke Zariye Mujhe Mauka Diya Ke main Woh pal Ko Phir Yaad Kar Sakoon..Sach mein,kabhi sochta hoon ke Kaash Main Woh Bachpan ke Palo Phir Se Jee Jaata ..
Ek Bhare Hue Dil Ke Saath Kuch Likh Raha Hoon...Yeh Kuch Jazbaat Hai Mere Jinhe Main Alfaazo Mein Dhaal Raha Hoon..

Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye..

Woh Kadi Dhoop Mein Jaakar Maidaano Mein Khelna,
Jo Dil Mein Hai,Woh Har Ek Baat Ka Kehna,
Papa Ke Naa Padhne Par, Woh Daant Ka Sehna,
Doston Ke Ghar Ki Galiyon Mein Woh Saari-Saari  Raat Ka Rehna...

Roke Kabhi nahi Rukhte Yeh pal Jo Beet Jaaye,
Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye....

Aaj Sochta Hoon to Muskura Jaata Hoon,
Doston Ke Saath Woh Katti-Batti ke khel Ko Yaad Karte Reh Jaata Hoon,
Aaj Gile-Shikwo Ko Dil mein paalta Hoon,
Chaah Kar Bhi Mere Yaar Se Baat Kar ke Dil Saaf Naa Rakh Paata Hoon,

Bhai-Behan Ke Saath Choti-Choti Baaton par Ladna-Jhagdna,
Cricket Mein Out Hote Hi BAT Lekar Seedha Ghar Ko Chalna..

Aaj Bhi Car Ke Aaene Se Dekhta Hoon,
Bacho Ko Saath Mein Khelte Jhagadte Hue,
Sochta Hoon,"Khwaish" Aakhir Hum Hi Kyon??
Iss Duniya Ke Mele Mein Itne Akele Hue!!!!

Kaash Woh Bachpan Ke Din Main Phir Se Jee Jaau,
Iss Mashrufiyat Ki Zindagi Mein Vaapas Naa Aau,

Yeh Woh Yaadein Hai Jo Dil Se Kabhi Naa Mit Paaye,
Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye....

Aaj Ke Daur Mein Humein Kuch Bhi Mil Jaaye,
Hum Khush Nahi Hote,
Duniyadari Aur Zimmedari Ke Jhamelo Mein Hai,
Hum Apne Aap Ko Hai Khote,
Pehle Fursat Ki Neend Thi,
Aaj Khuli Aankhon se Bhi Hai Hum Sote,
Kabhi To Dil Hi Dil Mein Hai Hum Rote,

Kabhi To Unn Bhoole-Bhichde Hue Doston Se Meri Baat Ho Jaaye,
Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye...

            ~~~~~Khwaish~~~~~~~


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot bohot bohot achcha laga Khwaish Dost ...Aapne ek bara phir wo yaadain taaza kar deen....."Cricket Mein Out Hote Hi BAT Lekar Seedha Ghar Ko Chalna" ye padh ke to muskuraye bina na raha gaya......Magar dil bhar bhi aaya...Bohot achcha likha aapne Dost !
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #64 on: May 11, 2009, 07:43:29 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot bohot bohot achcha laga Khwaish Dost ...Aapne ek bara phir wo yaadain taaza kar deen....."Cricket Mein Out Hote Hi BAT Lekar Seedha Ghar Ko Chalna" ye padh ke to muskuraye bina na raha gaya......Magar dil bhar bhi aaya...Bohot achcha likha aapne Dost !

Bahut Bahut Shukriya Dost!!!

Yehi Zindagi ki Haqeeqat Hai..Bahut Kuch Khote Hai,Aur Bhaut kuch Paate Hai..

Shukriya aapka aur baak  sab ka jisne yahan par apne Bachpan,APni Soch,Apne Dil Ki Baatein likhi Hai..main Isse Yakeenen Keh sakta Hoon ki..

THIS IS ONE OF THE MOST FINEST THREAD OF YOINDIA!!!!

Logged
Pooja
Guest
«Reply #65 on: May 11, 2009, 08:26:17 PM »
Reply with quote
Bahoot he dil se apne apni kavita likhihai Khwaish ji!! Good work!!
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #66 on: July 06, 2009, 08:02:15 AM »
Reply with quote

 EK BADI HAQEEQAT LIKHAA HAI AAPNE CERMIRA JI...BAHUT KHOOB Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #67 on: July 09, 2009, 08:46:15 PM »
Reply with quote
Tah-e-dil se shukriya MB Ji Usual Smile
Logged
smardia
Guest
«Reply #68 on: August 29, 2009, 11:48:18 AM »
Reply with quote
Talatji bahut sunder chitran kiya hai aapne tab aur ab ka....Suvidhaon ki evaj mai kya kya kho diya hai hamne.....achha lika hai aapne.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kabhi ek kavita padhi thee us ki pankti yaad aa rahi hai...

"O duurbhaas ki suvidhaon....mujhe meri chithee lauta do.."




Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #69 on: August 30, 2010, 06:05:38 PM »
Reply with quote



Yeh Poetry Phir mere nazron ke Saamne Aa Gayi Aur Bin Tareef kare mujhse raha na gaya..

Bahut bahut Aur bahut Khoob Talat Dost!!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Missing You In Yoindia.. icon_flower
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #70 on: August 31, 2010, 01:05:06 AM »
Reply with quote
yeh thread maine aaj phir padhi..sach kahoon to aankhein Nam ho gayi..Sabse Pehle Teh Dil se Shukriya Talat,aapka Jo Aapne Iss Kavita Ke Zariye Mujhe Mauka Diya Ke main Woh pal Ko Phir Yaad Kar Sakoon..Sach mein,kabhi sochta hoon ke Kaash Main Woh Bachpan ke Palo Phir Se Jee Jaata ..
Ek Bhare Hue Dil Ke Saath Kuch Likh Raha Hoon...Yeh Kuch Jazbaat Hai Mere Jinhe Main Alfaazo Mein Dhaal Raha Hoon..

Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye..

Woh Kadi Dhoop Mein Jaakar Maidaano Mein Khelna,
Jo Dil Mein Hai,Woh Har Ek Baat Ka Kehna,
Papa Ke Naa Padhne Par, Woh Daant Ka Sehna,
Doston Ke Ghar Ki Galiyon Mein Woh Saari-Saari  Raat Ka Rehna...

Roke Kabhi nahi Rukhte Yeh pal Jo Beet Jaaye,
Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye....

Aaj Sochta Hoon to Muskura Jaata Hoon,
Doston Ke Saath Woh Katti-Batti ke khel Ko Yaad Karte Reh Jaata Hoon,
Aaj Gile-Shikwo Ko Dil mein paalta Hoon,
Chaah Kar Bhi Mere Yaar Se Baat Kar ke Dil Saaf Naa Rakh Paata Hoon,

Bhai-Behan Ke Saath Choti-Choti Baaton par Ladna-Jhagdna,
Cricket Mein Out Hote Hi BAT Lekar Seedha Ghar Ko Chalna..

Aaj Bhi Car Ke Aaene Se Dekhta Hoon,
Bacho Ko Saath Mein Khelte Jhagadte Hue,
Sochta Hoon,"Khwaish" Aakhir Hum Hi Kyon??
Iss Duniya Ke Mele Mein Itne Akele Hue!!!!

Kaash Woh Bachpan Ke Din Main Phir Se Jee Jaau,
Iss Mashrufiyat Ki Zindagi Mein Vaapas Naa Aau,

Yeh Woh Yaadein Hai Jo Dil Se Kabhi Naa Mit Paaye,
Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye....

Aaj Ke Daur Mein Humein Kuch Bhi Mil Jaaye,
Hum Khush Nahi Hote,
Duniyadari Aur Zimmedari Ke Jhamelo Mein Hai,
Hum Apne Aap Ko Hai Khote,
Pehle Fursat Ki Neend Thi,
Aaj Khuli Aankhon se Bhi Hai Hum Sote,
Kabhi To Dil Hi Dil Mein Hai Hum Rote,

Kabhi To Unn Bhoole-Bhichde Hue Doston Se Meri Baat Ho Jaaye,
Woh Bachpan Ke Din Bahut Yaad Aaye...

            ~~~~~Khwaish~~~~~~~


Good one Khwaish Ji
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:09:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer