Taish- SISKI qahqahoN ke darmiyaaN...!!

by ghayal_shayar on May 10, 2013, 10:18:51 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 989 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Serial bomb blasts meN mmaine bhi ek baar apna ek bahut jigri dost khoya tha, ab bhi kahiN bom blast ka sunta huN to uska chehra saamne aa jata hai, us waqt 2008 meN maine chand panktiyaaN likhi thi, usi aakrosh meN tab mera thakhallus bhi "ghayal" tha... be'beh'r hai hai, par maine isme fer badal nahiN kiye haiN, jaisa us din likha tha theek waisa hi aap logoN ke saamne pesh kar raha huN...!! umeed karta huN mere jazbata aap sabhi tak pahuNch paayeNge...

DhamaakoN ke baad bhi hoti hai chuppi yahaaN,
Aakhir kaun sune siskii qahqahoN ke darmiyaaN.

Naaz jis zameeN pe karta tha ye saara jahaaaN,
Kal vahaaN dikhi mujhe bas chand ujri bastiyaaN.

Muskura ke chal raha jo har musafir is safar me,
Hai ab bhi yaad use un dhamaakoN ki kahaaniyaaN.

Dhahak uth.ta hai ye dil, jab dekhta hooN kabhi,
Lahoo ke sailaab pe lehraati noteoN ki kashtiyaaN.

Kuch aisi ho chali hai reet apne vatan ki yaaroN,
Bana rahe hum apnoN ke cheetharoN ke bostaaN.

Har murde me dikhne laga hai ab apna aks mujhe,
Har insaan ka jism-o-dil ho chuka ab “ghayal” yahaaN.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #1 on: May 11, 2013, 02:25:08 AM »

bahut bahuy acha hai ghayal-shayar yani taish aap ki peshkash....!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #2 on: May 11, 2013, 04:13:10 AM »
Reply with quote
sheba ji, baaNki baateN to sahi hai, par aakhir aapko ye ghayal_shayar waali baat kahaaN se pata chali ji...?? Winking waise aapki tareef ke liye bahut bahut shukriya ji...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:32:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.086 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer