tasweer boltee hai,..........

by laaiba on April 27, 2013, 11:22:41 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 21
ReplyPrint
Author  (Read 28666 times)
laaiba
Guest
Reply with quote
aaj main kuch alag likhne ke liye aik naya topic start kar rahee hun,...
aap iss tasweer ko kis rukh se dekhte hain phir koi sher ya nazm ya ghazal share
karen agar aap sab ko acha lage to aap b pic share karen




khu.l nahin paayegaa ab zindagee mein dard kaa baab,
laf.z pheeke pad gaye be rang ho gayee dil ki kitab


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tasweer by mateen govindvi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
tasweer by ishika gautam in SMS , mobile & JOKES
***~tasweer se nikal k~*** by anjaan dharkan in Shayri for Dard -e- Judai
badlti tasweer.........(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Tasweer by wishartist in Share: Poetry of Pain
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #1 on: April 28, 2013, 01:13:13 AM »
Reply with quote
aaj main kuch alag likhne ke liye aik naya topic start kar rahee hun,...
aap iss tasweer ko kis rukh se dekhte hain phir koi sher ya nazm ya ghazal share
karen agar aap sab ko acha lage to aap b pic share karen




khu.l nahin paayegaa ab zindagee mein dard kaa baab,
laf.z pheeke pad gaye be rang ho gayee dil ki kitab




        AAJ HUM ROYE BAHUT DEKHKAR TASVEER E SHABAB
        YAAD TAAZA HUI BHOULEY  HUE  AFSANO'N  KI
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #2 on: April 28, 2013, 02:24:17 AM »
Reply with quote
waah .... kya tasveer post ki aapne laaiba ji ...

urdu ke do sabse bade shayaron ke sher yaad aate hain ....


meer ka ....
mere rone ki haqeeqat jis mein thi
ek muddat tak wo kaagaz nam raha


aur ghalib ka ...
joo-e-khooN aaNkhoN se behne do ke hai shaam-e-firaaq
maiN ye samjhooNga ki shammeiN do farozaaN ho gayeeN

Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #3 on: April 28, 2013, 02:53:24 AM »
Reply with quote
aaj main kuch alag likhne ke liye aik naya topic start kar rahee hun,...
aap iss tasweer ko kis rukh se dekhte hain phir koi sher ya nazm ya ghazal share
karen agar aap sab ko acha lage to aap b pic share karen




khu.l nahin paayegaa ab zindagee mein dard kaa baab,
laf.z pheeke pad gaye be rang ho gayee dil ki kitab



Bahut Khoob,Like It.
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #4 on: April 28, 2013, 03:03:53 PM »
Reply with quote
very nice
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: April 28, 2013, 04:23:04 PM »
Reply with quote
Laaibaa Sahibaa Aadaab...!


Badi hi achchi thread shuru ki hai jee... lafzoN meiN maNzar kashi toH bahut hoti hai, par jinki kalam ruk gayi ho unke liye aapki yeH thread behad kargar sabit hoNgi... Usual Smile

Bahut bahut mubbarak ho jee...
Aik sher hum bhi arz karte chaleN...



Likh kar tera naam hum ne kaii khat jalaa daale
Jab bhi likhte the tera naam tehreer tham jati thi


Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: April 28, 2013, 04:43:21 PM »
Reply with quote
Bahut khoob , laaiba saheba. Iss tasweer  ki badaulat kai ache sher parhne ko mile .
Logged
sbechain
Guest
«Reply #7 on: April 28, 2013, 05:03:25 PM »
Reply with quote
aaj main kuch alag likhne ke liye aik naya topic start kar rahee hun,...
aap iss tasweer ko kis rukh se dekhte hain phir koi sher ya nazm ya ghazal share
karen agar aap sab ko acha lage to aap b pic share karen




khu.l nahin paayegaa ab zindagee mein dard kaa baab,
laf.z pheeke pad gaye be rang ho gayee dil ki kitab




wah..........!
Logged
aru12
Guest
«Reply #8 on: April 28, 2013, 05:10:50 PM »
Reply with quote
kitab khuli padi thi mere saamne
main soch raha tha uske baare mein
padte padte pata nahin kab
aa gayee vo mere khyalon mein khyalon mein usse baatein karne laga
poochne laga usse uske baare mein
kahan hogi vi kaisi hogi vo
uljha pada tha inhi sawalon mein chera mujhe uska dikhne laga
kitaab par bane chitra mein
acchi lag rahi thi vo
apne khule hue baalon mein aisa hi ho raha hai
jab se usse mila hoon main
kab khatam hogi ye becheni
kab tak rahoonga aise haalon mein
Logged
soudagar
Guest
«Reply #9 on: April 28, 2013, 06:45:06 PM »
Reply with quote
KAISE UTARUN APNE DIL KE JAZBAAT KO KAGAZ PAR
HAR BAR UNKA NAAM LIKHTE HEE QALAM RUK JAATI HAI
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #10 on: April 28, 2013, 07:39:17 PM »
Reply with quote
Ek sher jo kaafee waqt pehle kaha tha ....

teree tehreer ke daaghoN ne kiya haal bayaaN
tere ashkoN se dhula khairiyat ka khat dekha

-zarraa
Logged
laaiba
Guest
«Reply #11 on: April 28, 2013, 11:22:50 PM »
Reply with quote
        AAJ HUM ROYE BAHUT DEKHKAR TASVEER E SHABAB
        YAAD TAAZA HUI BHOULEY  HUE  AFSANO'N  KI

nyc sher mazhar ji,............
Logged
laaiba
Guest
«Reply #12 on: April 28, 2013, 11:24:26 PM »
Reply with quote
waah .... kya tasveer post ki aapne laaiba ji ...

urdu ke do sabse bade shayaron ke sher yaad aate hain ....


meer ka ....
mere rone ki haqeeqat jis mein thi
ek muddat tak wo kaagaz nam raha


aur ghalib ka ...
joo-e-khooN aaNkhoN se behne do ke hai shaam-e-firaaq
maiN ye samjhooNga ki shammeiN do farozaaN ho gayeeN


bohat bohat shukria zarra ji aapkaa ,..........bohat ache ashaar share kiye aap ne waah ,............bohat shukria,...........
Logged
laaiba
Guest
«Reply #13 on: April 28, 2013, 11:25:31 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob,Like It.
shukria sagar ji,..........
Logged
laaiba
Guest
«Reply #14 on: April 28, 2013, 11:26:05 PM »
Reply with quote
very nice
bshukria anmol ji aapkaa,............
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 21
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:53:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer