Tera Bojh

by Pooja on February 12, 2008, 06:40:28 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1195 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Jhuki ankhon mai Ansoo lekar
jab bhi sir tere seene lagaya hai
nahi mila koi skoon mujhko
dil aor dard se he bhar aayya hai

na hai koi zazbaat, na he wo garmahat
na jaane kyun, phir bhi umeend ka diya jalaya hai
unhi jab hai chalte jaana tanha zindagi sung
phir kyun tere sath hone ka bojh, apne sung uthaya hai
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #1 on: February 13, 2008, 01:05:05 PM »
Reply with quote
dil ka bojh dimaag sey oothaya na gaya
ulfatey haalat chaah ke bhi bataya na gaya
ashq toh taiyaar baithey they Dariya banane ke liye
jajbaaton ki baarish mein bas khud ko bhigaya na gaya....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: February 13, 2008, 03:59:48 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai!!!bahoot khoob zakhmola ji!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: February 13, 2008, 05:04:26 PM »
Reply with quote
Jhuki ankhon mai Ansoo lekar
jab bhi sir tere seene lagaya hai
nahi mila koi skoon mujhko
dil aor dard se he bhar aayya hai

na hai koi zazbaat, na he wo garmahat
na jaane kyun, phir bhi umeend ka diya jalaya hai
unhi jab hai chalte jaana tanha zindagi sung
phir kyun tere sath hone ka bojh, apne sung uthaya hai

bahut accha likha hai padne k baad dil main bojh sa laga.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: February 13, 2008, 05:09:03 PM »
Reply with quote
dil ke dard mai, khud se batiyaate hai
kaya kare, kaya na kare, khud, khud ko samjhate hai
kabhi idher, kabhi udher, bas yahi soche jaate hai
issi bojh tale, din per din, guzarate jaate hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: February 19, 2008, 07:33:51 PM »
Reply with quote
tere ansuo ka bhojh uthaya nahi jaata
humse wo hi safar phir dohraya nahi jaata
puchte rahte the ro ro kar, apni khayalo mai tujhse hazaro sawal
unhi sawalo ko ab aor dil mai dohraya nahi jaata!!

Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: November 25, 2008, 06:26:22 PM »
Reply with quote
Jhuki ankhon mai Ansoo lekar
jab bhi sir tere seene lagaya hai
nahi mila koi skoon mujhko
dil aor dard se he bhar aayya hai

na hai koi zazbaat, na he wo garmahat
na jaane kyun, phir bhi umeend ka diya jalaya hai
unhi jab hai chalte jaana tanha zindagi sung
phir kyun tere sath hone ka bojh, apne sung uthaya hai

Ab tere seene per yah sir nahi hoga
ansoo to hoge ab bhi, per tera kandha na hoga
na hoga sakoon koi, per tera koi sitam bhi na hoga
dard hoga magar, najar ke samne ab tu na hoga

khokhle zajbaato ki ab wo numaish ka drama na hoga
umeendein kab ki ho gai dafan, ab wo afsaana na hoga
Bojh rahega dil per mere, per rooh ko tadpana na hoga
lo ho gaye tum azad, tere un kasmo-waadon per, na mera koi tana hoga
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 01:11:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer