**Tere bin yeh dil kahin kho raha hai** by Rahim

by dead heart on September 20, 2009, 04:59:31 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2312 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Yeh ghazal aap ek aise ladke ki kahani samaj lijiye jiski mehbooba margayi hai ya usse juda hogayi hai...Umeed hai pasand ayega...Kisi ko koi baat mere iss kalam main pasand na aye toh advance main maafi mangna chahunga...

**Tere bin yeh dil kahin kho raha hai**

Tujh bin aaj kal yeh mann kahan lag raha hai,
Teri yaad main bas yeh dil ro raha hai,
Ke tu hoti toh aisa hota;tu hoti toh waisa hota,
Tere bin yeh dil kahin kho raha hai...

Najane tu kab aake mere labon ki pyaas bhujaegi,
Thamke mera haath mujhe tu apna batlaegi,
Bhujake tanhai ke andheron ko;dil main mere mohobat ki aag lagaegi,
Tere bin yeh dil kahin kho raha hai...

Tu thi jab tak saath;tab tak meri zindagi ka sahara hua karti thi,
Dant dant kar mujhe tu zindagi ke salikhe seekhaya karti thi,
Chandni raaton ke neeche baith tu mujhe mohobat ki kahaniyan sunaya karti thi,
Tere bin yeh dil kahin kho raha hai...

Teri baahon main lipat kar hum bhi kabhi ro liya karte the,
Apni rooh aur dil ko tere askhon se jaise do lia karte the,
Choti ho ya badi;har pareshani ko teri aagosh main bhuladia karte the,
Tere bin yeh dil kahin kho raha hai...

Aaj tu nahin hai yeh baat maine maan li hai,
Tere bina jeene ki aadat maine dal li hai,
Fizaen bhi baahon ko chooti hai toh baahein ro kar kehti hai 'uss ke jaisa maaza nahin aya',
Naya chand dekh ankhein kehti hai tadap kar 'tu bhi uske jitni khubsoorati nahin la paya',
Ab zindagi main bas tanhaion ka andhera hai,
Dil main teri yaadon ka bahaut bada basera hai,
Ab toh jee raha hoon bas ek umeed ke saath,
Ke tu ayegi Qayamat ke dinn aur thamlegi mera haath,
Phir hum dono ka Khuda ke darbar main fesla kiya jaega,
InshAllah humari mohobat ko Jannat se nawaza jaega,
Tamam Jannation, Farishton aur Paighambaron ko teri aur meri shaadi main bulwaenge,
Hum dono Jannat ke premi kehlaenge,
Phir InshAllah woh hume duaon se nehlaenge,
Phir hum apna hi ek baag banwaenge,
Aur puri zindagi wahin guzarjaenge,
InshAllah aisi hi hogi teri aur Rahim ki prem kahani,
Filhaal toh yeh dil teri yaad main tadap raha hai,
Sach bolta hoon tere bin yeh dil kahin kho raha hai...

~Rahim~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai by ishu_singh10 in Shayri for Khumar -e- Ishq
~Zindagi bhar khudko zinda dikhata raha~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
~*~ Kahin koi dildaar toh hoga ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~*~ Ruk gaya kahin ~*~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Mein Kahin Ek Alag Hi Jahan Dhoondhta Raha. by Rajnish.raaj in Shairi - E - Zindagi
Talat
Guest
«Reply #1 on: September 20, 2009, 08:38:33 PM »
Reply with quote
Yeh ghazal aap ek aise ladke ki kahani samaj lijiye jiski mehbooba margayi hai ya usse juda hogayi hai...Umeed hai pasand ayega...Kisi ko koi baat mere iss kalam main pasand na aye toh advance main maafi mangna chahunga...

**Tere bin yeh dil kahin kho raha hai**

Tujh bin aaj kal yeh mann kahan lag raha hai,
Teri yaad main bas yeh dil ro raha hai,
Ke tu hoti toh aisa hota;tu hoti toh waisa hota,
Tere bin yeh dil kahin kho raha hai...

Najane tu kab aake mere labon ki pyaas bhujaegi,
Thamke mera haath mujhe tu apna batlaegi,
Bhujake tanhai ke andheron ko;dil main mere mohobat ki aag lagaegi,
Tere bin yeh dil kahin kho raha hai...

Tu thi jab tak saath;tab tak meri zindagi ka sahara hua karti thi,
Dant dant kar mujhe tu zindagi ke salikhe seekhaya karti thi,
Chandni raaton ke neeche baith tu mujhe mohobat ki kahaniyan sunaya karti thi,
Tere bin yeh dil kahin kho raha hai...

Teri baahon main lipat kar hum bhi kabhi ro liya karte the,
Apni rooh aur dil ko tere askhon se jaise do lia karte the,
Choti ho ya badi;har pareshani ko teri aagosh main bhuladia karte the,
Tere bin yeh dil kahin kho raha hai...

Aaj tu nahin hai yeh baat maine maan li hai,
Tere bina jeene ki aadat maine dal li hai,
Fizaen bhi baahon ko chooti hai toh baahein ro kar kehti hai 'uss ke jaisa maaza nahin aya',
Naya chand dekh ankhein kehti hai tadap kar 'tu bhi uske jitni khubsoorati nahin la paya',


Nicely written Rahim
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: September 21, 2009, 09:18:37 AM »
Reply with quote
Really touching gazal Rahim bhai,bahut khoob,kamaal ki creation hai,too good. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:excellent
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: September 21, 2009, 07:47:48 PM »
Reply with quote
Shukriya Talat di aur Madhu di...
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #4 on: September 29, 2009, 02:02:40 AM »
Reply with quote
Bahoot khoob Rahim Bro.. bahoot hi khoobsoorat  aur pyaara khayal hai... Bahoot Khoob!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: September 29, 2009, 09:29:54 AM »
Reply with quote
Shukriya Divya di
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #6 on: September 29, 2009, 09:43:14 AM »
Reply with quote
aap ki abhi tak ki padhi hui sabhi gazal bahot hi aa6i he.
ek dam 6u jati he dil ko..

 Clapping Smiley
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #7 on: September 29, 2009, 10:42:03 AM »
Reply with quote
Yeh ghazal aap ek aise ladke ki kahani samaj lijiye jiski mehbooba margayi hai ya usse juda hogayi hai...Umeed hai pasand ayega...Kisi ko koi baat mere iss kalam main pasand na aye toh advance main maafi mangna chahunga...

**Tere bin yeh dil kahin kho raha hai**

Tujh bin aaj kal yeh mann kahan lag raha hai,
Teri yaad main bas yeh dil ro raha hai,
Ke tu hoti toh aisa hota;tu hoti toh waisa hota,
Tere bin yeh dil kahin kho raha hai...

Najane tu kab aake mere labon ki pyaas bhujaegi,
Thamke mera haath mujhe tu apna batlaegi,
Bhujake tanhai ke andheron ko;dil main mere mohobat ki aag lagaegi,
Tere bin yeh dil kahin kho raha hai...

Tu thi jab tak saath;tab tak meri zindagi ka sahara hua karti thi,
Dant dant kar mujhe tu zindagi ke salikhe seekhaya karti thi,
Chandni raaton ke neeche baith tu mujhe mohobat ki kahaniyan sunaya karti thi,
Tere bin yeh dil kahin kho raha hai...

Teri baahon main lipat kar hum bhi kabhi ro liya karte the,
Apni rooh aur dil ko tere askhon se jaise do lia karte the,
Choti ho ya badi;har pareshani ko teri aagosh main bhuladia karte the,
Tere bin yeh dil kahin kho raha hai...

Aaj tu nahin hai yeh baat maine maan li hai,
Tere bina jeene ki aadat maine dal li hai,
Fizaen bhi baahon ko chooti hai toh baahein ro kar kehti hai 'uss ke jaisa maaza nahin aya',
Naya chand dekh ankhein kehti hai tadap kar 'tu bhi uske jitni khubsoorati nahin la paya',
Ab zindagi main bas tanhaion ka andhera hai,
Dil main teri yaadon ka bahaut bada basera hai,
Ab toh jee raha hoon bas ek umeed ke saath,
Ke tu ayegi Qayamat ke dinn aur thamlegi mera haath,
Phir hum dono ka Khuda ke darbar main fesla kiya jaega,
InshAllah humari mohobat ko Jannat se nawaza jaega,
Tamam Jannation, Farishton aur Paighambaron ko teri aur meri shaadi main bulwaenge,
Hum dono Jannat ke premi kehlaenge,
Phir InshAllah woh hume duaon se nehlaenge,
Phir hum apna hi ek baag banwaenge,
Aur puri zindagi wahin guzarjaenge,
InshAllah aisi hi hogi teri aur Rahim ki prem kahani,
Filhaal toh yeh dil teri yaad main tadap raha hai,
Sach bolta hoon tere bin yeh dil kahin kho raha hai...

~Rahim~

Rahim ji kya khub likha h aapne dil ko chu gai ye to
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: September 29, 2009, 04:43:21 PM »
Reply with quote
Shukriya Rishi jee aur thinkhattk jee
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:30:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer