----- /// Teri Aadat Buri Hai Sanam /// -----

by klaskar on July 30, 2010, 07:16:13 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3641 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote


tujhse bas itni si shikaayat karte hain hum,
ki humein sataane ki teri aadat buri hai sanam,

dur ho hum to humein kareeb bulaati hai tu,
aur paas ho to na milne ke bahane banaati hai tu,
din to guzar jaate hain tanhaai mein,
par raaton ko humein jagaati hai tu,
tujhse bas itni si shikaayat karte hain hum,
ki humein sataane ki teri aadat buri hai sanam,

sach to ye hai humein chaahti hai tu,
par poochhe jo hum to inkaar karti hai tu,
jaan ke sab anjaan ban jaati hai tu,
aur mann hi mann fir muskuraati hai tu,
tujhse bas itni si shikaayat karte hain hum,
ki humein sataane ki teri aadat buri hai sanam,


kab tak aankh michouni yun khelenge hum,
ab sahi nahi jaati ye doori sanam,
thaam ke mera haath banaale apna mujhe,
chaahte hain hum bas ek ho jaaye sanam,
tujhse bas itni si shikaayat karte hain hum,
ki humein sataane ki teri aadat buri hai sanam,

ab to humein tu yun na sataa,
lag jaa gale mere aake sanam,
kar chuki hai tu nakhre bahut,
ab dil na jalaa mere bhole sanam,
tujhse bas itni si shikaayat karte hain hum,
ki humein sataane ki teri aadat buri hai sanam...



*****HRIDAY*****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Buri aadat ko ... by tamanna.pt in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
teri aadat si by saahill in Share: Poetry of Pain
mein teri aadat ho jaun. by SURESH SANGWAN in Miscellaneous Shayri
Teri wo Aadat by Ameer Hasan Malik in Shairi - E - Zindagi
Mujh mein aadat he ik bahut hee buri,,,,(mazHur) by mazHur in Ghazals
brokenbyluv
Guest
«Reply #1 on: July 30, 2010, 07:15:34 PM »
Reply with quote
bahut khoob kapil ji...haal-e-dil bahut khubsurati se bayan kiya hai apne..loved it...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: July 31, 2010, 04:29:59 AM »
Reply with quote
main tahe dil se aapka shukriya adaa karta hoon Geet ji... bahut bahut shukriya... Thanx a lot mam...!!!

bahut khoob kapil ji...haal-e-dil bahut khubsurati se bayan kiya hai apne..loved it...
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #3 on: August 01, 2010, 01:24:32 PM »
Reply with quote
labz nahi he tarif karne k liye klaskar ji....
 Clapping Smiley  Applause Applause  Applause  Applause  Applause  Applause
 icon_thumleft
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #4 on: August 03, 2010, 04:53:35 AM »
Reply with quote
bht pyari rachna hai klaskar ji...kuch shikayat humne bhi kar di aapke andaaz me...

tujhse bas itni si shikayat hai sanam
mujhe yun satane ki aadat tumhari buri hai sanam

har roz mujhe raste me rok lete ho
aate jaate na jane kitni batein kahte ho
kabhi to yun mera aanchal thaam lete ho
sharm se laal ho jate hain mere rushsar sanam
mujhe yun satane ki teri aadat buri hai sanam

kabhi jab main kuch kehne aaun
na sunte ho bas apni hi kehte ho tum
jab gussa ho jati hun main bebasi me
tab sharart se muh chhupa ke muskurate ho tum
tilmilake tab reh jate hain hum
mujhe yun satane ki teri aadat buri hai sanam

kcuh farmaish kar dun gar bhule se
kabhi bhi pura nahin karte ho tum
jab main ruthh jati hun tumse
bade pyaar se fir hume manate ho tum
kehte ho pehle ikraar karo mahobbat ka tum
mujhe yun satane ki aadat tumhari badi buri hai sanam

aaj jab bewajah durr hain hum tum sanam
yad aati hain teri har baat sanam
kyun nahin aajate ho paas mere tum
main tadap rahi hun kabse tere intezar me sanam
khudko tadpakar mujhe tadpane ki aadat teri bht buri hai sanam
mujhe yun satane ki aadat teri bht buri hai sanam
Logged
ANAAMIKA
Guest
«Reply #5 on: August 03, 2010, 05:32:12 AM »
Reply with quote
Wah wah wah kya andaaz hai ek dusre ki tariff(vyangatmak)karne ka.... Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: August 05, 2010, 09:33:53 AM »
Reply with quote
bahu bahut shukriya Devangi ji jo aapne ise padha aur pasand kiya...!!!

labz nahi he tarif karne k liye klaskar ji....
 Clapping Smiley  Applause Applause  Applause  Applause  Applause  Applause
 icon_thumleft
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: August 05, 2010, 12:27:45 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Anaamika ji....!!!

Wah wah wah kya andaaz hai ek dusre ki tariff(vyangatmak)karne ka.... Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: August 05, 2010, 12:28:22 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Kasak ji.... aur aapne bahut bahut khoob likha hai... bahut hi pyaara...!!!

 Applause Applause Applause

Ye lijiye haazir hai hamaara jawaab... maafi chaaahenge deri ke liye...!!!



tum ho hi itni pyaari ki khud ko nahi rok paate hain hum,
ye hamaari aadat nahi, ye to hamaari chahat hai mere sanam,

tumhe rok do pal tumhe dekh na lu to chain nahi milta,
raahat nahi milti jab tak tumse hamaara nain nahi milta,
tumhaare aanchal ki yun aadat si ho gayi hai humein,
jab tak usse hum khel na le hume sukoon nahi milta,
tumhaari adaaon se paagal ho ke ye sab karte hain hum,
ye hamaari aadat nahi, ye to hamaari chahat hai mere sanam,

tumhaari baatein bahut pyaari lagti hain hume,
par apni hi baatein hum sunaate hain tumhe,
achcha lagta hai tumhaara gusse se tilmilaana,
gusse me tum aur khoobsurat lagti ho hume,
bas yahi wajah hai ki tumhe sataate hain hum,
ye to bas hamaari chahat hai mere sanam,

tumhe sataane me kya mazaa hai kya batayein tumhe,
gusse me kya khoob lagti ho ye kaise samjhaayein tumhe,
mazaa aata hai humein tumko tab manaane me,
maan ke fir kitna pyaar karti ho kaise batayein tumhe,
tumhaara pyaar paane ke liye hi tumhe gussa dilaate hain hum,
ye hamaari aadat nahi, ye to hamaari chahat hai mere sanam,

paas hain hum tumhaare dur tumse hain nahi,
haqeeqat hain hum, tumhaara sapna koi hain nahi,
chaaha hai humne tumhe mohabbat se badh ke sanam,
tadap kyun rahi ho tum pyaar ka izhaar kyun karti nahi,
dur tumse hoke bhi hum dil me tumhaare hain sanam,
ye kaise yakeen dilayen tumhe tumhi ho hamaari chaahat sanam....


bht pyari rachna hai klaskar ji...kuch shikayat humne bhi kar di aapke andaaz me...

tujhse bas itni si shikayat hai sanam
mujhe yun satane ki aadat tumhari buri hai sanam

har roz mujhe raste me rok lete ho
aate jaate na jane kitni batein kahte ho
kabhi to yun mera aanchal thaam lete ho
sharm se laal ho jate hain mere rushsar sanam
mujhe yun satane ki teri aadat buri hai sanam

kabhi jab main kuch kehne aaun
na sunte ho bas apni hi kehte ho tum
jab gussa ho jati hun main bebasi me
tab sharart se muh chhupa ke muskurate ho tum
tilmilake tab reh jate hain hum
mujhe yun satane ki teri aadat buri hai sanam

kcuh farmaish kar dun gar bhule se
kabhi bhi pura nahin karte ho tum
jab main ruthh jati hun tumse
bade pyaar se fir hume manate ho tum
kehte ho pehle ikraar karo mahobbat ka tum
mujhe yun satane ki aadat tumhari badi buri hai sanam

aaj jab bewajah durr hain hum tum sanam
yad aati hain teri har baat sanam
kyun nahin aajate ho paas mere tum
main tadap rahi hun kabse tere intezar me sanam
khudko tadpakar mujhe tadpane ki aadat teri bht buri hai sanam
mujhe yun satane ki aadat teri bht buri hai sanam
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: August 05, 2010, 12:36:13 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Kasak ji.... aur aapne bahut bahut khoob likha hai... bahut hi pyaara...!!!

 Applause Applause Applause

Ye lijiye haazir hai hamaara jawaab... maafi chaaahenge deri ke liye...!!!



tum ho hi itni pyaari ki khud ko nahi rok paate hain hum,
ye hamaari aadat nahi, ye to hamaari chahat hai mere sanam,

tumhe rok do pal tumhe dekh na lu to chain nahi milta,
raahat nahi milti jab tak tumse hamaara nain nahi milta,
tumhaare aanchal ki yun aadat si ho gayi hai humein,
jab tak usse hum khel na le hume sukoon nahi milta,
tumhaari adaaon se paagal ho ke ye sab karte hain hum,
ye hamaari aadat nahi, ye to hamaari chahat hai mere sanam,

tumhaari baatein bahut pyaari lagti hain hume,
par apni hi baatein hum sunaate hain tumhe,
achcha lagta hai tumhaara gusse se tilmilaana,
gusse me tum aur khoobsurat lagti ho hume,
bas yahi wajah hai ki tumhe sataate hain hum,
ye to bas hamaari chahat hai mere sanam,

tumhe sataane me kya mazaa hai kya batayein tumhe,
gusse me kya khoob lagti ho ye kaise samjhaayein tumhe,
mazaa aata hai humein tumko tab manaane me,
maan ke fir kitna pyaar karti ho kaise batayein tumhe,
tumhaara pyaar paane ke liye hi tumhe gussa dilaate hain hum,
ye hamaari aadat nahi, ye to hamaari chahat hai mere sanam,

paas hain hum tumhaare dur tumse hain nahi,
haqeeqat hain hum, tumhaara sapna koi hain nahi,
chaaha hai humne tumhe mohabbat se badh ke sanam,
tadap kyun rahi ho tum pyaar ka izhaar kyun karti nahi,
dur tumse hoke bhi hum dil me tumhaare hain sanam,
ye kaise yakeen dilayen tumhe tumhi ho hamaari chaahat sanam....



beautifulllllllllll  explanation klaskar ji.....
ab samjh aaya aap aisa kyun karte hain....
ab hamari bari hai satane ki.... wait kijiye ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: August 05, 2010, 12:45:26 PM »
Reply with quote
thanks a lot Kasak ji... chaliye aapko bhi hum mauka de hi dete hain hume sataane ki... !!!! Usual Smile

beautifulllllllllll  explanation klaskar ji.....
ab samjh aaya aap aisa kyun karte hain....
ab hamari bari hai satane ki.... wait kijiye ji

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
October 31, 2024, 04:17:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]

[October 29, 2024, 06:05:52 AM]

[October 27, 2024, 11:20:13 AM]

[October 27, 2024, 11:11:07 AM]

[October 27, 2024, 10:00:45 AM]

[October 27, 2024, 09:34:15 AM]

[October 19, 2024, 08:53:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8504 Real Poets and poetry admirer