Teri Yaadon Mein Main Hurdum Muskurana Chaahta Hoon "Khwaish"

by khwaish on September 29, 2010, 08:00:39 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 6186 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Khud Ke Liye Ek Aisi Saza Chaahta Hoon
Main Aaj Phir Se Tanha Rehna Chaahta Hoon

Na Koi manzil Na Koi Raah Ka Suraag
Khud Ko Har Mod par Aazmaana Chaahta Hoon

Dil Ki Hasratein Dil mein Hi Dabi reh Gayi!!!
Ab Ek Nayi Khwaish Jagaana Chaahta Hoon

Apni Khaamiyon Par Bhi Main Itraata Raha
Main Ab Khud Ke Liye Ek Aaena Chahta Hoon

Hoon Musafir main Bhi Hai Musafir Tu Bhi
Zindagi Ke Har Mod Par Tera Saath Nibhaana Chaahta Hoon

Khel Mukaddar Ka Hi Hai Ke Hum Milkar bhi Naa Mile
Par Teri Yaadon Mein Main Hardum Muskurana Chaahta Hoon

"Khwaish" Insaan Ki Khwaishe Kabhi Khatam Hi nahi Hoti!!!
Itni Si Zindagi mein Main Naa Jaane Kya-Kya Chaahta Hoon

                  ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: September 29, 2010, 08:04:52 AM »
Reply with quote
wowwwwwww khwaish ji kya khubb kaha hai aapne...
ispe kuch likhna hai kuch der me likhungi..mastam poem hai ji ye to aapki
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: September 29, 2010, 08:09:49 AM »
Reply with quote
wowwwwwww khwaish ji kya khubb kaha hai aapne...
ispe kuch likhna hai kuch der me likhungi..mastam poem hai ji ye to aapki
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause



Bahut bahut Shukriya Anuji Jo Aapne Pasand Farmaya.. icon_flower

Mujhe Intezaar Rahega Iss Topic Par Aakpki Poetry Ka & i m Sure Aapki Woh poetry Mastam Hi Hogi.. tongue3
Logged
aiina
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 10 hours and 29 minutes.

''aiina707''

Posts: 72
Member Since: Aug 2010


View Profile
«Reply #3 on: September 29, 2010, 08:16:52 AM »
Reply with quote
wah..wah.. khwaishji ..aapki nazm mein ek maturity nazaar aati hai.lagta hai aap kai saaloon se likhtey rahe hain..daad  Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #4 on: September 29, 2010, 08:18:04 AM »
Reply with quote
ye lijiye khwaish ji aapka reply..pata nahin kaisa bana hai.hope aapko pasand aayega

Muskurai thi main kuch pal k liye kal
Aaj fir wahi dard wahi gum ki bearish hai

Har taraf hai andhera aur sannata mere ass paas
Na kahin bhi koi thodisi roshni ki gunjaish hai

Har armaan mere dil k ab to bikhar gaye
Ab na koi tamanna hai na hi koi khwaish hai

Apne hi karmon ki sazaa pai hai maine sbhi
Aur de saza mujhe rub se ye hi guzarish hai

Bht lamba hai safar aur bht hi kadi dhuup hai
Lekin chhanw milne kin a kahin bhi koi gunjaish hai

Jo likha hai mere naseeb me uss kanha ne
Mujhe manzuur uski hare k farmaish hai

Sare baazarr mujhe neelaam karwana chahta hai wo
To thik hai *kasak* mujhe manzur teri ye numaish hai….
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: September 29, 2010, 08:33:30 AM »
Reply with quote
ye lijiye khwaish ji aapka reply..pata nahin kaisa bana hai.hope aapko pasand aayega

Muskurai thi main kuch pal k liye kal
Aaj fir wahi dard wahi gum ki bearish hai

Har taraf hai andhera aur sannata mere ass paas
Na kahin bhi koi thodisi roshni ki gunjaish hai

Har armaan mere dil k ab to bikhar gaye
Ab na koi tamanna hai na hi koi khwaish hai

Apne hi karmon ki sazaa pai hai maine sbhi
Aur de saza mujhe rub se ye hi guzarish hai

Bht lamba hai safar aur bht hi kadi dhuup hai
Lekin chhanw milne kin a kahin bhi koi gunjaish hai

Jo likha hai mere naseeb me uss kanha ne
Mujhe manzuur uski hare k farmaish hai

Sare baazarr mujhe neelaam karwana chahta hai wo
To thik hai *kasak* mujhe manzur teri ye numaish hai….



Bahut bahut Aur bahut Khoob Anuji..bahut Hi khoobsurat Jazbaat..Kayi baaton ne Dil Ko Chua..Bhaut AChe.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Sabak Mohabbat Ka Mujhe Aaj Bhi Yaad Hai
Tujhse mil nahi sakte jaanta hoon par phir bhi honto par fariyaad hai

Ashkon Ko Behne deta hoon ke ab yehi behtar hai
Shukar hai Yaadon Ki Duniya Aj bhi mere Dil Mein Abaad hai...

Uss Shaks Ko kya Saza De Jo Aaj bhi bahut Aziz hai
Kabhi Dekh Meri Aankhon mein,Qaid inme Ashqo Ki barsaat hai

Mohabbat karne Wale To Har Haal mein Mohabbat Karenge
Duniya Ke Jhoote Rasm-o-riwaazo Se Woh Azaad Hai...

"Khwaish" Ishq Kar Par Kuch haasil karne Ki Ummed Naa Rakh!!!
Jo Sirf Haasil karna Jaane, Woh Ishq Mein Barbaad Hai...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #6 on: September 29, 2010, 09:18:45 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Kehne ko hain mehfilein saji mere naam se
Lekin jab bhi dekha to khudko tanha hi paya

Anjane logon me dhudndhti rahi main dil ka sukuun
Apno me to khud ko sirf saza ka haqdaar hi paya

Lakeeron me hathon ki dhundhti rahi khushi ka ek lamha
Khudko jhuti umeedon pe hamesha sisakta hi paya

Kehti rahi khudse kai jhut k dil behla rahe khwaishon se
Lekin fir bhi dil ki *kasak* ko har baar aur bhi tez hi paaya
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #7 on: September 29, 2010, 09:39:42 AM »
Reply with quote
yaar khud ke liye muskurana hi sabse badi kala he baki sab to vigyaan he mere dost...

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: September 29, 2010, 10:54:11 AM »
Reply with quote
wah..wah.. khwaishji ..aapki nazm mein ek maturity nazaar aati hai.lagta hai aap kai saaloon se likhtey rahe hain..daad  Clapping Smiley Clapping Smiley


Teh Dil Se shukriya Aiina ji..

Aapne itna saraha, yeh jaankar bahut khushi hui hai aur umeed karta hoon ke aap yuhi humesha saath doge..Shukriya icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: September 29, 2010, 11:14:23 AM »
Reply with quote
yaar khud ke liye muskurana hi sabse badi kala he baki sab to vigyaan he mere dost...



Hahaha..Bilkul sach mere bhai..
Logged
Rahi2001
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 19 hours and 8 minutes.

ミ★яαнι★彡¤ℓσνє¤ ●๋•кιηg σƒ ωαソ●๋•

Posts: 745
Member Since: Nov 2008


View Profile WWW
«Reply #10 on: September 29, 2010, 11:29:29 AM »
Reply with quote
aap sabko koi tod nahi paaayega

mai hamesha aap logon ke bich kayam is rishty ke liye god se pray karunga

anu di , kapil ji , khwaish ji , neel ji , kalskar ji , aur abhi bhai aap sab bhut achi jugal bandi banaty hai

bhut maja aaya inhen padh kar sach me bhut din baad itna maja aaya hai
\
aap sabka

"Raahi"

mujhe mat bhulnaa
Logged
cara
Guest
«Reply #11 on: September 29, 2010, 12:10:08 PM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI     KHWAISH JI......

YEH SACH HAI DIL-O-JAAN SE MAIN TUJHKO CHAHATA HOON
TAQDEER MEIN KYA LIKHA HAI MAIN YE NAHI JAANTA HOON
TU MILI TOH JEEVAN BAR TERA SAATH NIBHANA CHAHTA HOON
N MILI TOH "TERI YAADON MEIN HARDUM MUSKURANA CHAHTA HOON"....
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #12 on: September 29, 2010, 03:22:20 PM »
Reply with quote
Khawahish Jee Aadaab!

Kafi achchi koshish rahi hai aapki .... ahsaas o khayaal behad umda hai daad janab...... koshish jari rakhiye....

Likhate rahiye.......
Khush rahiye.......
Khuda Hafez....... Usual Smile         

Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: September 29, 2010, 04:15:51 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut khoob Khwaish Dost aur Anamika di..!
Dono ne kamal ka likha hai..! Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: September 29, 2010, 04:19:06 PM »
Reply with quote
aap sabko koi tod nahi paaayega

mai hamesha aap logon ke bich kayam is rishty ke liye god se pray karunga

anu di , kapil ji , khwaish ji , neel ji , kalskar ji , aur abhi bhai aap sab bhut achi jugal bandi banaty hai

bhut maja aaya inhen padh kar sach me bhut din baad itna maja aaya hai
\
aap sabka

"Raahi"

mujhe mat bhulnaa

Raahiji,Aapka Teh Dil Se Shukriya .. icon_flower
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 12:53:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer