tu kisi aur ki ho gi (NM)

by vb on March 14, 2011, 05:12:46 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3042 times)
vb
Guest
Reply with quote


Monitors are requested to please delete...

*---------------------------*
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khuda kisi ko kisi pe fida na kare by urs4evasomdev in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
mahobat kisi kisi ko milti hai by jochahohojayein in Shayri-E-Dard
Dil kya kare...jab kisi ko kisi se pyar ho jaaye. by bauljee in Shayri-E-Dard
Zindagi Mein Sabse Mushkil Hai Kisi Ka Kisi Par Aitbaar Karna.. by khwahish in Ghazals « 1 2 3 4  All »
aati he bu-e-dilkash lekin kisi kisi mein by Tasleem ahmad Tasleem in Miscellaneous Shayri
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: March 14, 2011, 05:39:49 PM »
Reply with quote
Bahoot Bahoot Bahoot Umda Vb ji.. Kya kamaal ke Ehsaash ko dard se Piroya hai.. bahoot Umda !!!
Logged
manjum
Guest
«Reply #2 on: March 15, 2011, 04:15:35 AM »
Reply with quote
kamal vbji....... bahut khub.... bahut badiya...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
A.sam khan
Guest
«Reply #3 on: March 15, 2011, 04:39:50 AM »
Reply with quote
Bahut Khub likha hai
Logged
Tamnna
Guest
«Reply #4 on: March 15, 2011, 06:38:56 AM »
Reply with quote
nice...one... vbji......

 Applause Applause Applause
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #5 on: March 15, 2011, 02:50:49 PM »
Reply with quote


Dil ne ye dard ka pehloo kabhi jaanaa he na thaa
Tu kisi aur ki ho gi, kabhi maanaa he na thaa

Sochtaa hoon teray dil ki haseen duniyaa ko
Ab koi aur bhalaa kaisay samajh sakta hay
Gham-e-hayaat aur ye talkh haqaaiq ki zubaan
Ab bhalaa kon zamaanay main sunaa karta hay

Ye haseen aariz-o-gesoo ye nigaahon ki hayaa
Jaanay kis haath main ubhray hain lakeeren ban kar
Jaanay kis shakhs kay khush-bakht baazuon kay hasaar
Kharay hain raah-e-mohabbat main faseelen ban kar

Aye meri jaan ye yaaqoot taraashay huvay lub
Kay jin pay dil ko yaqeen tha kay faqat meray hain
Wo sarzameen jahaan khushbuon kay pehray thay
Ab us pay kargison kay bheriyon kay deray hain

Dakhe, kya rang hain taqdeer kay is duniya main
Main bhe baazaar main har roze bikaa kartaa hoon
Noche letaa hay meri raat ko qismat ka junoon
Tassavuraat ki baanhon main chhupaa rehtaa hoon

Magar aye jaan say pyaari meri jaanaan ye bataa
Yun kab talak hum apnay dil main zakham paalen gay?
Hum apnay jism tu duniyaan main haar bethay hain
Kya apni rooh bhe duniyaan main bech daalen gay?

Sochtaa hoon teray wajood kay haseen paikar
Meray nahi tu kisi aur kay bhe ku aakhir?
Mera lahoo, meri baanhon kay sahaaray, ye wafa
Teray nahi tu kisi aur kay bhe ku aakhir?

Teray labon pay mera haq tu nahi hay lakin
Teri zubaan kay fasaanay tu samajh saktaa hoon
Meray nahi teray jalvay, magar tassavur men
Main in ko apnay khazaanay tu samajh sakhta hoon

*---------------------------*


Good One ..... Vb Ji !

dil se daad ... !!!
Logged
vb
Guest
«Reply #6 on: March 16, 2011, 08:06:39 AM »
Reply with quote
......
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #7 on: March 16, 2011, 09:17:25 AM »
Reply with quote
Mast poem....darde dil k ehsaas bakhoobi ujaagar huye hain VB ji.... Applause Applause Applause Applause Applause

Ye naa thee hamaari kismat k vissaale yaar hota......
Logged
vb
Guest
«Reply #8 on: March 19, 2011, 08:36:06 AM »
Reply with quote
....
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 23, 2024, 12:01:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer