tum sitam aur karo

by bekarar on October 19, 2005, 05:30:51 AM
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 4976 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
Reply with quote
wo khush hai, wo aisa jatata to hai,
wo mahafil me sabako hansata to hai,
hansi mere hisse me aaye na aaye,
wo kam se kam mujhako, rulata to hai,


wo gairon ki mahfil sajata to hai,
wo mahfil me peeta-pilataa to hai,
jam mere hisse me aaya na aaye,
zahar apane hisse me aata to hai,

wo mahfil me sabako lubhata to hai,
jamane se milata-milata to hai,
wo dar pe mere aur aaye na aaye,
khwabon me aake jalata to hai,

meri bewafai ke jhute ye kisse,
suna hai jamane me sunata to hai,
mai khush hoon ke ab tak teri mahfilon me
mera nam tere lab pe aata to hai,
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Lolzzzzzz ka koi hal karo ya halal karo :) by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
ha.Ns ke bolaa karo bulaayaa karo by DJ Goher in Shayari -e- Husn
Ghazal - Sitam ke baad ab ik aur he sitam aage by khalidrawat in Ghazals
sitam(gul) by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: October 19, 2005, 11:08:34 AM »
Reply with quote
wo shikave, shikayat, hai kal ki baaten,
wo ishq, mohabbat, hai kal ki baaten,
galiyon ke sajade tumhe hi mubarak
mai unka deewana tha, hai kal ki baaten

wo khwabon ko bunana, hai kal ki baaten,
wo sapano ko chunana, hai kal ki baaten,
kharido to khuda bhi bikata yahan hai,
ishq khuda hai, hai kal ki baaten,

bikhara tha mai bhi, hai kal ki baaten,
toota tha mai bhi, hai kal ki baaten,
teri bewafai ne jeena sikha diya,
barbaadee hai ishq me, hai kal ki baaten,
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: October 19, 2005, 02:58:31 PM »
Reply with quote
Dono hi posts bahoot hi khoobsoorat likhi hai apne!!

Wah kaya baat hai!!!

kharido to khuda bhi bikata yahan hai,
ishq khuda hai, hai kal ki baaten,
teri bewafai ne jeena sikha diya,
barbaadee hai ishq me, hai kal ki baaten,
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #3 on: October 19, 2005, 08:25:00 PM »
Reply with quote
ati sunder bekerar ji...


meri adheer aankhe hain sagar piye hue,
beh rahi, ik umra  se aansoo  liye hue.

Ik waqt tha woh shaid the mere shabab ke,
aaj woh Gairon se hain, shirkat kiye hue.

mera junoo tha unka mein sizda karoon ta-umra,
ab kya kahein ham chot hain dil per liye hue.

bulandiyon ko chhoo rahi hain aanhe dil ki 'harsh'
our ham hain ke, khud hi dil, pathher kiye hue.


'harsh'©
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #4 on: October 20, 2005, 12:38:18 PM »
Reply with quote
thanx pujaji aur harshji,
hosalaafazai ka shukriya, main ek baat yahan kahana chahunga harsh ji aapake liye jo maine aapaki shayari me mahsus ki hai. wo ye ke mai jab bhi aapako padata hoon kabhi bhi aisa nahi lagata ke ye gazal ya shayari likhi gayi hai bas yoon lagata hai ke dil se nikali hai aur khud ba khud bina kat chant ke screen par aa gayi hai, shayad isiliye apaki shayari ki sabhi lines bahoot strong hoti hai aur zabardasti thoons di gai hai aisa kabhi bhi nahi lagata. doosara shabdon ka aapaka chayan itana satik hai ke maana padega aap alfazon ke khiladi hai,
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: October 20, 2005, 03:59:10 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai!! kaya zazbaat hai!! bahoot hi khoobsoorat likha hai apne harashmahajan ji!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: October 20, 2005, 05:26:01 PM »
Reply with quote
very nice  work.............harsh...........Pooja.........

kyon main alfaz ka sahaara loon
jab nigahon se baat hoti hai
ye mohabbat ka khel bhi hai ajeeb
jeet jao to maat hoti hai......................
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #7 on: October 20, 2005, 06:02:40 PM »
Reply with quote
bekrara ,pooja and waahid ji....aap yahaan per bahoot muddat se shareek hote rahein hain...main aapka hamesha teh dil se shuker guzaar hoon ki aapne mere  zehen ke shabdon ko wazen diya...bekerar ji...aapki screen pe paker itni mazboot hai ki hame bhi ab soch ker hi kalam ko karam dena hoga....kabhi kabhi der sa lagta hai mere tareen dosto ki kahin hamaari hamdam our hamaari dost kabhi hamein hi daga na de jaaye...jee haan mein apni kala ke baare mein hi keh raha hoon....

jab dekhta hoon sochta hoon, dam sa ghut-ta hai,
ye mere apne hain apno se der sa lagta hai.
dushman toh honge dushmani bhi kerenge beshaq,
na jaane apno se dushmani ka der sa lagta hai.


aapne thek pehchana bekrara ji ek-ek alfaaz jab seene se utarta hai toh khuda kasam seena fat-ta mesoos sa hota hai....pata nahi mujhe logon ko kaisa mehsoos hota hai...per mujhe khud ko bahoot sakoon sa lagta hai....aage aapke lafz jo lafzon ke khilaadi ki upaadi de gaye...aisa kabhi nahi socha hamne ...hum hameshaan khuda se yahi dua kerte hain jab bhi hamaari kalam ki is kagaz ko chhue toh is tarah chhue ki woh bhi tarse kalam-e-lahoo ko.....again bahoot bahoot shukriya......

'harsh'
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #8 on: October 21, 2005, 05:31:58 PM »
Reply with quote
Wah kya baat hai,kya khoob shayri chal rahi hai yahan Usual Smile .Bohat khoob bekaraar and harsh ji,and waheed always good.

"Tum na karna ab aur sitam mujhpe ki seh na sakungi,
      is toote dil ko thhaame kab tak aur main jee sakungi,

     muddatein yun hi guzar gayin,tumne ek nazar ne dekha mujhe,
     kab tak ise nazron ka dhoka samajh andekha main karti rahungi.
   
    main bhi chaahti hun is zindagi ka lutf uthaana,
    meri zindagi tum ho,kaise tumhe main bhula sakungi."
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #9 on: October 21, 2005, 05:45:25 PM »
Reply with quote
achha likha hai nidhi ji....
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #10 on: October 21, 2005, 05:51:57 PM »
Reply with quote
Thank u harsh ji.
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #11 on: October 22, 2005, 06:46:42 AM »
Reply with quote
very nice all of you

bhulau chahe lakh, khyalon me mere wo aa hi jate hain,
kabhi wo paas aate hain kabhi wo door jaate hain,
kuch to khas hai us bewafa sitamgar me,
dard seene me liye hum bhi bas muskara hi jaate hain
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #12 on: October 24, 2005, 07:16:21 PM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"
Wah kya baat hai,kya khoob shayri chal rahi hai yahan Usual Smile .Bohat khoob bekaraar and harsh ji,and waheed always good.

"Tum na karna ab aur sitam mujhpe ki seh na sakungi,
      is toote dil ko thhaame kab tak aur main jee sakungi,

     muddatein yun hi guzar gayin,tumne ek nazar ne dekha mujhe,
     kab tak ise nazron ka dhoka samajh andekha main karti rahungi.
   
    main bhi chaahti hun is zindagi ka lutf uthaana,
    meri zindagi tum ho,kaise tumhe main bhula sakungi."


Thanxxxxx  Nidhi.........&  all...............  nice  Nidhi.........&  All.......

wonderfull..............
Tumhein basne nahi deta barbaadi ka dhadka
Humein abaad rakhti hai ujar jaane ki khwahish............
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #13 on: October 25, 2005, 06:37:16 AM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "nidhi_yadein"
Wah kya baat hai,kya khoob shayri chal rahi hai yahan Usual Smile .Bohat khoob bekaraar and harsh ji,and waheed always good.

"Tum na karna ab aur sitam mujhpe ki seh na sakungi,
      is toote dil ko thhaame kab tak aur main jee sakungi,

     muddatein yun hi guzar gayin,tumne ek nazar ne dekha mujhe,
     kab tak ise nazron ka dhoka samajh andekha main karti rahungi.
   
    main bhi chaahti hun is zindagi ka lutf uthaana,
    meri zindagi tum ho,kaise tumhe main bhula sakungi."


Thanxxxxx  Nidhi.........&  all...............  nice  Nidhi.........&  All.......




wonderfull..............
Tumhein basne nahi deta barbaadi ka dhadka
Humein abaad rakhti hai ujar jaane ki khwahish............




uff............... kya gahari baat kahi hai aapane. . . . . . .realyyyyy  goooood one. . . .
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: June 27, 2008, 06:23:30 PM »
Reply with quote
very nice all of you

bhulau chahe lakh, khyalon me mere wo aa hi jate hain,
kabhi wo paas aate hain kabhi wo door jaate hain,
kuch to khas hai us bewafa sitamgar me,
dard seene me liye hum bhi bas muskara hi jaate hain
  Applause Applause

Nice Thread Bekarar jee
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:09:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer