tum sitam aur karo

by bekarar on October 19, 2005, 05:30:51 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Author  (Read 5000 times)
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #45 on: July 22, 2008, 06:36:10 AM »
Reply with quote
jis daaman ne bachaya hawaon se usake wazood ko,
chirag ne usi daman ko khaak kar daala,

armano ke mahal dhahaye,umeedon ko kuchla,
khwabon ko mere sab raakh kar daala,

kurede jakhm wo saare jo bharne lage the ab,
dil me jagah bana ke zigar chaak kar dala,

rone ke kai bahane diye, hansne ke sabhi cheene,
ye mere saath kaisa vyapaar kar daala,

ab na ranj hai koi na, khushi hi bachi hai,
tumne ek aur paththar taiyaar kar dala

bekarar ji itna dard
bohut khoob likha hai aapne agar kuch ban saka to jarur post karenge
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Lolzzzzzz ka koi hal karo ya halal karo :) by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
ha.Ns ke bolaa karo bulaayaa karo by DJ Goher in Shayari -e- Husn
Ghazal - Sitam ke baad ab ik aur he sitam aage by khalidrawat in Ghazals
sitam(gul) by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shikha12
Guest
«Reply #46 on: July 22, 2008, 06:42:06 AM »
Reply with quote
Wade ke liye mit jaane ka housla tha kabhi,
Aaj kai jhoothe waadon ka mai gunahgaar hun,
Phle kisi ki aankh me aansoo na dekhe jaate the,
Ab to kai nam aankhon ka mai jimmedaar hun,
Aaj laga hun sochne,
kya ab bhi mai insaan hun,

chalaki makkari sikhi, bholapan ganwaya,
us kho chuki masoomiyat ka intzaar hun,
Jin buri aadaton ke mai khilaaf tha,
Aaj unhi sab buraiyon ka mai shikaar hun,
Aaj laga hun sochne,
kya ab bhi mai insaan hun,

Pahle dhadhak jaati thi jo kisi shokh ko dekhkar,
Ab uski sirf chingaari ka, mai talabagaar hun,
sab paane ki chah me sab kuch luta gaya,
unhi gumon ka bawandar hun, ek goobar hun
Aaj laga hun sochne
kya ab bhi mai insaan hun,

jis daaman ne bachaya hawaon se usake wazood ko,
chirag ne usi daman ko khaak kar daala,

armano ke mahal dhahaye,umeedon ko kuchla,
khwabon ko mere sab raakh kar daala,

kurede jakhm wo saare jo bharne lage the ab,
dil me jagah bana ke zigar chaak kar dala,

rone ke kai bahane diye, hansne ke sabhi cheene,
ye mere saath kaisa vyapaar kar daala,

ab na ranj hai koi na, khushi hi bachi hai,
tumne ek aur paththar taiyaar kar dala

Waah.. Bahut hi khoob... Sanjeev.. Applause

Very Nice Replies, Pooja di, Kaushikbhawna and Prateek..

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #47 on: July 22, 2008, 07:13:34 AM »
Reply with quote
shukriya shikha

 Thankyou !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #48 on: July 22, 2008, 02:08:37 PM »
Reply with quote
bohut khooob bekarar ji and nice reply pooja and harsh ji

sitamgar hai wo par apna hai wo
jhoota sahi par apna sapna hai wo
karein chahe dillagi wo jamane se umrabhar
haq hai ab bhi ye uska jo mera dil dukhata hai wo
baarish ki bundein jab padti hain tan par
mujhe ab bhi yaad aa jaata hai wo
dur hokar bhi wo mujhse juda ho na saka
har lamha apni maujudgi ka ehsaas dilata hai wo

bahoot khoob bhawna!! Nice lines!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #49 on: July 22, 2008, 02:09:53 PM »
Reply with quote
jis daaman ne bachaya hawaon se usake wazood ko,
chirag ne usi daman ko khaak kar daala,

armano ke mahal dhahaye,umeedon ko kuchla,
khwabon ko mere sab raakh kar daala,

kurede jakhm wo saare jo bharne lage the ab,
dil me jagah bana ke zigar chaak kar dala,

rone ke kai bahane diye, hansne ke sabhi cheene,
ye mere saath kaisa vyapaar kar daala,

ab na ranj hai koi na, khushi hi bachi hai,
tumne ek aur paththar taiyaar kar dala

kamal@dhamal.good work... Bekarar ji ek se bad kar ek kavitaye likhi hai apne is thread main... bahoot khoob!!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #50 on: July 26, 2008, 01:16:02 PM »
Reply with quote
ye sab aapki housala afzai ka nateeza hai..pooja ji .....

Baat Jo ab tak raaz thi, chalo mai aam karta hun,
Bahoot kamaya naam, ab khud ko badnaam karta hun,

Khud hi se darta hun mai, khud se nazar churata hun
Ab suraj dhala mera, mai élan-e-shaam karta hun,

Ab tak jhoothe ashq bahaye, jhoothi baaten karta aaya
Ab mere ye sachche aansoo, tere hain tere naam karta hun,

Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #51 on: July 28, 2008, 09:32:07 AM »
Reply with quote
bohut khoob bekarar ji

kar dia aaj unko unke hawale
aaj har rishta tod aayi hoon mein

daag daaman pe tha jo laga mere
usi k kuche mei wo daaman chod aayi hoon mein

rahe mashroof chahe ta-umra rahe wo tanha
ye faisla khud us par chod aayi hoon mein

hasaya tha jis shaqs ne mujhe beinthaan kabhi
aaj uske aankho mei aansu chod aayi hoon mein

bana maanjhi tha wo meri zindgi ki kashti ka kabhi
ab gamo k tufaano mei use chod aayi hoon mein

shayad yahi saza bhi hai meri k rahoon mei uske bin
jise apni yaadon k hawale chod aayi hoon mein

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #52 on: July 29, 2008, 03:04:28 AM »

kamal likha hai bhawna ji aapne.......thoda intazaar jaroor karwaya aapne...lekin...ek bemisal kavita rachne me aapka jawab nahi....

rahe mashroof chahe ta-umra rahe wo tanha
ye faisla khud us par chod aayi hoon mein

hasaya tha jis shaqs ne mujhe beinthaan kabhi
aaj uske aankho mei aansu chod aayi hoon mein

bahoot behtreen
ek sher yaad aa gaya...

yun hi tanhaai me is dil ko saza dete hain,
naam likhte hain tera likh ke mita dete hain

NM
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #53 on: July 29, 2008, 06:28:00 AM »
Reply with quote
shukriya sanjeev ji........last mei aap ne jo 2 lines likhi hai bas unhi par kuch likhne ki koshish kar rahi hoon umeed hai aapko pasand aayega

likhte hain aur likhkar mita dete hain
ham apne hi dil ko dagaa dete hain

yaad aata hai jab bhi wo muskura dete hain
khushk aankhon ki nami ko hasi mei chupa lete hain

koi na puch le kyu tanha tanha ab rehte hain
isliye mehfilon mei ham ab aa jaya karte hain

koi unko na keh dei be-wafaa isliye
ham har gam ko sine mei hi chupa lete hain
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #54 on: July 29, 2008, 09:11:26 AM »
Reply with quote
shukriya sanjeev ji........last mei aap ne jo 2 lines likhi hai bas unhi par kuch likhne ki koshish kar rahi hoon umeed hai aapko pasand aayega

likhte hain aur likhkar mita dete hain
ham apne hi dil ko dagaa dete hain

yaad aata hai jab bhi wo muskura dete hain
khushk aankhon ki nami ko hasi mei chupa lete hain

koi na puch le kyu tanha tanha ab rehte hain
isliye mehfilon mei ham ab aa jaya karte hain

koi unko na keh dei be-wafaa isliye
ham har gam ko sine mei hi chupa lete hain

bahoo khoob bhawna ji...bahoot pasand aaya aapka likha khass tour se ye chaar lines...

bebasi jurm hai housala jurm hai,
jindagi teri ek ek ada jurm hai,

aye sanam tere baare me kuch sochkar,
apne baare me kuch sochna jurm hai,

yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha,
bhool jaana tujhe dusara jurm hai

nm
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #55 on: July 29, 2008, 11:21:51 AM »
Reply with quote
ye sab aapki housala afzai ka nateeza hai..pooja ji .....

Baat Jo ab tak raaz thi, chalo mai aam karta hun,
Bahoot kamaya naam, ab khud ko badnaam karta hun,

Khud hi se darta hun mai, khud se nazar churata hun
Ab suraj dhala mera, mai élan-e-shaam karta hun,

Ab tak jhoothe ashq bahaye, jhoothi baaten karta aaya
Ab mere ye sachche aansoo, tere hain tere naam karta hun,

 Applause  Applause

Bahut khoobsurat... Bahut hi achha likha hai Sanjeev..

Logged
Shikha12
Guest
«Reply #56 on: July 29, 2008, 11:23:25 AM »
Reply with quote
bohut khoob bekarar ji

kar dia aaj unko unke hawale
aaj har rishta tod aayi hoon mein

daag daaman pe tha jo laga mere
usi k kuche mei wo daaman chod aayi hoon mein

rahe mashroof chahe ta-umra rahe wo tanha
ye faisla khud us par chod aayi hoon mein

hasaya tha jis shaqs ne mujhe beinthaan kabhi
aaj uske aankho mei aansu chod aayi hoon mein

bana maanjhi tha wo meri zindgi ki kashti ka kabhi
ab gamo k tufaano mei use chod aayi hoon mein

shayad yahi saza bhi hai meri k rahoon mei uske bin
jise apni yaadon k hawale chod aayi hoon mein

Good Work Bhawna... Applause

shukriya sanjeev ji........last mei aap ne jo 2 lines likhi hai bas unhi par kuch likhne ki koshish kar rahi hoon umeed hai aapko pasand aayega

likhte hain aur likhkar mita dete hain
ham apne hi dil ko dagaa dete hain

yaad aata hai jab bhi wo muskura dete hain
khushk aankhon ki nami ko hasi mei chupa lete hain

koi na puch le kyu tanha tanha ab rehte hain
isliye mehfilon mei ham ab aa jaya karte hain

koi unko na keh dei be-wafaa isliye
ham har gam ko sine mei hi chupa lete hain

Very Nice Again...  Clapping Smiley
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #57 on: July 29, 2008, 11:30:02 AM »
Reply with quote
bahoo khoob bhawna ji...bahoot pasand aaya aapka likha khass tour se ye chaar lines...

yaad aata hai jab bhi wo muskura dete hain
khushk aankhon ki nami ko hasi mei chupa lete hain

koi na puch le kyu tanha tanha ab rehte hain
isliye mehfilon mei ham ab aa jaya karte hain

bebasi jurm hai housala jurm hai,
jindagi teri ek ek ada jurm hai,

aye sanam tere baare me kuch sochkar,
apne baare me kuch sochna jurm hai,

yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha,
bhool jaana tujhe dusara jurm hai

nm

One of my favorites.. Usual Smile
"Bebasi jurm hai, hausla jurm hai,
Zindagi teri ek ek ada jurm hai.."

Bahut sahi baat.. bahut bada sach... Usual Smile
Thanks for reminding....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #58 on: July 30, 2008, 02:33:19 PM »
Reply with quote
ye sab aapki housala afzai ka nateeza hai..pooja ji .....

Baat Jo ab tak raaz thi, chalo mai aam karta hun,
Bahoot kamaya naam, ab khud ko badnaam karta hun,

Khud hi se darta hun mai, khud se nazar churata hun
Ab suraj dhala mera, mai élan-e-shaam karta hun,

Ab tak jhoothe ashq bahaye, jhoothi baaten karta aaya
Ab mere ye sachche aansoo, tere hain tere naam karta hun,

bahoot khoob Sanjeev ji,.. ek ek line achi likhi hai... magar yah do line.. jaise ansoo barso se ander chupe hue the.. jo ajj barsaat ka roop le gaye.. bahoot khob dil ko chu gai hai yah lines!!

Ab tak jhoothe ashq bahaye, jhoothi baaten karta aaya
Ab mere ye sachche aansoo, tere hain tere naam karta hun,
Logged
Roja
Guest
«Reply #59 on: July 30, 2008, 02:36:21 PM »
Reply with quote
Wade ke liye mit jaane ka housla tha kabhi,
Aaj kai jhoothe waadon ka mai gunahgaar hun,
Phle kisi ki aankh me aansoo na dekhe jaate the,
Ab to kai nam aankhon ka mai jimmedaar hun,
Aaj laga hun sochne,
kya ab bhi mai insaan hun,

chalaki makkari sikhi, bholapan ganwaya,
us kho chuki masoomiyat ka intzaar hun,
Jin buri aadaton ke mai khilaaf tha,
Aaj unhi sab buraiyon ka mai shikaar hun,
Aaj laga hun sochne,
kya ab bhi mai insaan hun,

Pahle dhadhak jaati thi jo kisi shokh ko dekhkar,
Ab uski sirf chingaari ka, mai talabagaar hun,
sab paane ki chah me sab kuch luta gaya,
unhi gumon ka bawandar hun, ek goobar hun
Aaj laga hun sochne
kya ab bhi mai insaan hun,

Bahut khoob bekarar ji bahut accha likha hai..
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 01:06:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer