Tumhare Liye..........................Nikhaar

by Nikhaar on December 14, 2012, 12:07:20 PM
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 4416 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #15 on: December 16, 2012, 07:48:32 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa Pooja ji.. main aapka tahe dil se shukriyaa adaa karta hoon.... aapki rachna thi hi itni khoobsurat ki jawaab diye bina raha nahi gayaa.... aur aapne bhi bahut khoobsurat jawaab diyaa hai... bahut sundar....!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause


naasamjhi thi meri jo naa samajh paayaa main us pal
ki kaun apna hai kaun parayaa hai meraa
bas ek chhoti si kharonch ke dard se bachne ke liye
khud ko zamaane bhar ka maine dard de diyaa

naa jaan paayaa thaa main us pal ki tum kyaa ho mere liye
huwaa judaa tumse to jaanaa ki meri saanse tumse hi thi
saath har lamhaa haste huye guzraa to naa samajh paayaa thaa
jab duur huwaa to jaanaa meri muskuraahat tum se hi thi

maantaa hoon ki har gunaah meraa hi thaa
maantaa hoon faisla wo galat meraa hi thaa
samajh paataa agar us pal is baat ko main
to aaj tum meri aur main tumhaaraa hotaa

ho sake to maaf kar denaa mujhe tum
anjaane me tumhe maine dard ka samundar de diyaa
tumne samjhaa thaa ki saahil tak saath dungaa main
lekin maine majdhaar me hi tumhe dubo diyaa

khush to naa main rahunga na tum reh paaoge
judaa ho ke tum mujhe bahut yaad aaoge
mil tumhe paaungaa nahi main shayad fir kabhi
bas meri yadaon me aa aa ke mujhe tadpaaoge...

*****HRIDAY*****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tumhare liye by aryan_mantri in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
tumhare liye by gstyagi in Shayri for Dard -e- Judai
~!~.Tumhare Liye.~!~ by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
Likho uske liye jo tumhare liye khas hai by deepika_divya in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 ... 25 26 »
Tumhare Liye by dashing_agarwal in SMS , mobile & JOKES
ayushmaan19
Guest
«Reply #16 on: December 17, 2012, 12:00:10 PM »
Reply with quote
 Applause awesome
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #17 on: December 17, 2012, 05:53:45 PM »
Reply with quote
shukriYA Ashq ji

Aur khwaish ji pic di kudi di taarif layi bahut bahut shukrana ji...hamari rachna ko aapne pasand kiya aur pic ko itne pyar se nihara ki kya kahe... icon_flower
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #18 on: December 17, 2012, 06:48:30 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa Pooja ji.. main aapka tahe dil se shukriyaa adaa karta hoon.... aapki rachna thi hi itni khoobsurat ki jawaab diye bina raha nahi gayaa.... aur aapne bhi bahut khoobsurat jawaab diyaa hai... bahut sundar....!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause


naasamjhi thi meri jo naa samajh paayaa main us pal
ki kaun apna hai kaun parayaa hai meraa
bas ek chhoti si kharonch ke dard se bachne ke liye
khud ko zamaane bhar ka maine dard de diyaa

naa jaan paayaa thaa main us pal ki tum kyaa ho mere liye
huwaa judaa tumse to jaanaa ki meri saanse tumse hi thi
saath har lamhaa haste huye guzraa to naa samajh paayaa thaa
jab duur huwaa to jaanaa meri muskuraahat tum se hi thi

maantaa hoon ki har gunaah meraa hi thaa
maantaa hoon faisla wo galat meraa hi thaa
samajh paataa agar us pal is baat ko main
to aaj tum meri aur main tumhaaraa hotaa

ho sake to maaf kar denaa mujhe tum
anjaane me tumhe maine dard ka samundar de diyaa
tumne samjhaa thaa ki saahil tak saath dungaa main
lekin maine majdhaar me hi tumhe dubo diyaa

khush to naa main rahunga na tum reh paaoge
judaa ho ke tum mujhe bahut yaad aaoge
mil tumhe paaungaa nahi main shayad fir kabhi
bas meri yadaon me aa aa ke mujhe tadpaaoge...

*****HRIDAY*****


Nasamjhi........Nasamjhi wo nahi thi, k tum khuch jaan na paaye
Nasamjhi wo bhi na thi, k phoolon ka samajh,
kaanton ka taaj tum utha laaye

Nasamjhi toh ye hai, jo ab tum mujhse keh rahe ho
Apne Ashqon ko rok kar palkon mein,
mere aansuon ko rukne ko keh rahe ho

Jaante na hote tum, toh hum bhi khuch na samjhaate tumhein
Khush na reh paoge mere bina,
Jaante huye bhi alvida keh rahe ho

Hairaan kiya tumhare alfaazon ne,
Jo sirf alvida bol rahe hai baatoh-baatoh mein
Na rukna hai , Na rokna hai
Kaisa hai ye tumhara pyar, Jis panne mein likh sakte hai milkar hum
Uss panne ko tumhe jald se jald modna hai

Kya mil rha hai tumhein barbaad kar chaar zindgiyaa
Nasamjhi hai ye sabse badi....
Puchna khud apne aap se tum...
Kya pahucha paoge kinaare par tum ye kashtiyaan Huh?Huh?

Logged
mkv
Guest
«Reply #19 on: December 17, 2012, 06:57:40 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause kyaa kahun, kahaan se shuru karun samajh nahi paa raha hoon..... aapke is rachna ki jitni taarif ki jaaye kam hain... bahut bahut bahut bahut khoob likha hai aapne Pooja ji... padhte hi lagaa ki mere dil ke bahut kareeb hai.. chhuuu gayi mere dil ko aapki ye khoobsurat rachnaa.... aur kuch likhe binaa reh nahi payaaa... ummeed karta hoon aapko buraa nahi lagaa hogaa....


sach kehti ho tum shaayad ki mujhse hi tum ho
par kaise bataaun tumhe ki tum bin main kuch nahi
haan main hi thaa jo muskaan laataa thaa tumhaare hothon pe
haan main hi thaa jo tumse geet likhwaataa thaa, magar

kyaa tumhe maloom hai ki,  wo tum hi thi
jisse maine sikhaa pyaar karnaa,  wo tum hi thi
maaloom na thaa ki kyaa hotaa hai kho jaanaa bheed me
maaloom na thaa ki kyaa hotaa hai ehsaas chaahat kaa

mila tumse pehli baar to naa jaan paayaa thaa magar
miltaa rahaa tumse to ye sach jaanaa maine
ki mumkin nahi kuch bhi keh paanaa tumsse judaa hoke
mumkin nahi muskuraanaa tum bin ye jaanaa maine
koshish to bahut ki maine aa ke mil loon tumse magar
yeh kadam mere jo uth_te hain fir ruk jaate hain

jaane wo kaunsaa bandhan hai jisne rok rakhaa hai mujhe
main chaah ke bhi kadam badhaa paataa nahi
main, chaahtaa bahut hoon par muskuraa paataa nahi
judaa ho ke tumse kisi se saath nibhaa paayaa to tumhaari yaadein hain
yaad aate hain aajkal har lamha tumse kiye mere wo saare vaadein hain

ab bhi kabhi tanhaa baithe apne kamre me
sochtaa hoon kyaa wajah thi
kyaa kasoor thaa meraa tumhaaraa
ki judaa ho gaye hum ek dusre se
tut ke bikhar gaye hamaare wo kasmein vaadein

ye dil jo thaa kaanch ke aaine ki tarhaa
ab bikhar ke jaane kyun tukdo me badal gayaa
kyun hamaari haath ki rekhaaye dhokaa de gayi
kyun ye hamaaraa pyaar bharaa jahaan badal gayaa

aaj bhi sochtaa hoon main ki kaash tum aajaao laut ke ek baar
aake lag jaao mere seene se aur kaho mere kaano me dheere se

'jaanu, mujhe tumse mohabbat hai, aaj bhi mujhe sirf tumse mohabbat hai'

kaash.... tum laut aao....
kaash.... tum laut aao....


*****HRIDAY*****
Itna accha likha hai aapne Hriday ji k bas...bas gamgeen hi kar diya....
itni gehraayi se samjha hai aapne k kya kahe......



Na gaye the teri zindagi se kabhi
Ye toh bas waqt ne tumse praya kar diya
Ta_umar tere saath rehne ki tammana ko,
Tumne khud apne hi haathon nakaam kar diya

Teri har khata ko sahi kehne ka bahana dhoond lete the hum
Par apno k kiye dhoke ko seh nahi paaye
Isliye tujhse, jo mumkin na tha, wo kinara kar diya

Tu kya jaane , jo jaanta toh yu na jaata
Ek mauka bhi na diya khuch smjhaane ka,
Chaar lafjon mein hi mujhe tanhaayi k hawaale kar diya

Aansu teri palko mein bhi hai ,
Ashq tahaayi mein mai bhi bahati hu
Kabhi aaye tu iss raah par chalte chalte
Yahi sochkar, apna har lamha yha likh jaati hu

Ab chahu bhi toh kaise aau tere aashiyaane mein krne do baatein
Ada kar sagaayi ki rasm, tumne mujhe praya kar diya
Bas dua hai k khush raho tum hamesha,
Khud ko dard k naam aur tujhe khushiyon k naam kar diya...


Bahut sundar likha hai aap dono ne.
ek film ke geet ka bol yaad aa raha hai..
Aaina vahee rahta hai..
chehre badal jaate haiN
keep it up..likhte rahiye
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #20 on: December 17, 2012, 07:12:48 PM »
Reply with quote


Nasamjhi........Nasamjhi wo nahi thi, k tum khuch jaan na paaye
Nasamjhi wo bhi na thi, k phoolon ka samajh,
kaanton ka taaj tum utha laaye

Nasamjhi toh ye hai, jo ab tum mujhse keh rahe ho
Apne Ashqon ko rok kar palkon mein,
mere aansuon ko rukne ko keh rahe ho

Jaante na hote tum, toh hum bhi khuch na samjhaate tumhein
Khush na reh paoge mere bina,
Jaante huye bhi alvida keh rahe ho

Hairaan kiya tumhare alfaazon ne,
Jo sirf alvida bol rahe hai baatoh-baatoh mein
Na rukna hai , Na rokna hai
Kaisa hai ye tumhara pyar, Jis panne mein likh sakte hai milkar hum
Uss panne ko tumhe jald se jald modna hai

Kya mil rha hai tumhein barbaad kar chaar zindgiyaa
Nasamjhi hai ye sabse badi....
Puchna khud apne aap se tum...
Kya pahucha paoge kinaare par tum ye kashtiyaan Huh?Huh?



kashtiyon se to apna bahut puraanaa naataa hai
har baar hum bachaane ki koshish karte hain
aur ye har baar humein dubo jaatein hai

dikhaake saahil, jagaake aas dil me zindagi ki
ye bich raah me hi zindagi se duur le jaatein hain
haan ye kashtiyaan hi hain meri dushman

ab bhi main kashti par hi sawaar hoon
ek nahi do kashtiyon pe saath sawaar hoon
ek paaon idhar hai, ek udhar hai meraa
koshish kar ke bhi main kahin kaa nahi hoon

maloom nahi mujhe ki aage kyaa hogaaa
badhaa chukaa hoon kadam ab to bas chalnaa hogaa
mumkin nahi ki mud ke dekhlun pichhe kyaa hai
chhod diyaa hai kismat pe, hogaa jo bhi honaa hogaa....
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #21 on: December 18, 2012, 06:16:54 PM »
Reply with quote
kashtiyon se to apna bahut puraanaa naataa hai
har baar hum bachaane ki koshish karte hain
aur ye har baar humein dubo jaatein hai

dikhaake saahil, jagaake aas dil me zindagi ki
ye bich raah me hi zindagi se duur le jaatein hain
haan ye kashtiyaan hi hain meri dushman

ab bhi main kashti par hi sawaar hoon
ek nahi do kashtiyon pe saath sawaar hoon
ek paaon idhar hai, ek udhar hai meraa
koshish kar ke bhi main kahin kaa nahi hoon

maloom nahi mujhe ki aage kyaa hogaaa
badhaa chukaa hoon kadam ab to bas chalnaa hogaa
mumkin nahi ki mud ke dekhlun pichhe kyaa hai
chhod diyaa hai kismat pe, hogaa jo bhi honaa hogaa....



Aana nahi hai tumne ab yha,Phir bhi tera intzaar karte hai
Ab tak na samjh paaye hum,
Kyu hum paani ko mutthi mein qaid karne ka vichaar karte hai

Paani toh paani hai beh hi jaayega
Jis taraf hoga jhukaav, uss taraf hi aayega

Par tumhari fitrat toh na thi paani jaisi,
Tum toh roshni the meri raahon mein,
Kabhi roothte the mujhse toh kabhi manaate the
Meri galtiyon par mujhe samjhaate the

Mujhse zyada mujhe tum jaante the
Mere kahe bina hi sab jaan lete the
Phir kaise bhool gaye tum.....
Kaise bhool gaye rishton ki maryaada ko
Kaise kar diya andekha, mere sab zazbaaton ko

Keh diye jo chand alfaaz maine bebas ho tumhe
Kyu maan baithe unhe sach....kyu sab khuch tod diya
To dkar mujhse rishta, mere apne se hi jod liya

Kya gila karu ab kis se mai
Phir se kar vishwaas tum par,
Khud hi khud ko maine tanhaayi ki lapton mein jhakjhor diya


Logged
poppoetry
Guest
«Reply #22 on: December 18, 2012, 06:25:39 PM »
Reply with quote
Bahut sundar likha hai aap dono ne.
ek film ke geet ka bol yaad aa raha hai..
Aaina vahee rahta hai..
chehre badal jaate haiN
keep it up..likhte rahiye


shukriya mkv ji...lekin ye song aapko yaad aaya....aisa kyu  icon_scratch
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #23 on: December 18, 2012, 06:56:41 PM »
Reply with quote

Aana nahi hai tumne ab yha,Phir bhi tera intzaar karte hai
Ab tak na samjh paaye hum,
Kyu hum paani ko mutthi mein qaid karne ka vichaar karte hai

Paani toh paani hai beh hi jaayega
Jis taraf hoga jhukaav, uss taraf hi aayega

Par tumhari fitrat toh na thi paani jaisi,
Tum toh roshni the meri raahon mein,
Kabhi roothte the mujhse toh kabhi manaate the
Meri galtiyon par mujhe samjhaate the

Mujhse zyada mujhe tum jaante the
Mere kahe bina hi sab jaan lete the
Phir kaise bhool gaye tum.....
Kaise bhool gaye rishton ki maryaada ko
Kaise kar diya andekha, mere sab zazbaaton ko

Keh diye jo chand alfaaz maine bebas ho tumhe
Kyu maan baithe unhe sach....kyu sab khuch tod diya
To dkar mujhse rishta, mere apne se hi jod liya

Kya gila karu ab kis se mai
Phir se kar vishwaas tum par,
Khud hi khud ko maine tanhaayi ki lapton mein jhakjhor diya




bahut bahut khoob likha hai aapne...  bahut sundar, bahut bahut khoob... !!!
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause



kyaa kahoon tumse main ki kyun chhodaa haath tumhaaraa
nibhaake saath kuch pal kaa kyun chhodaa saath tumhaaraa
yaad karo wo din jab milaa thaa tumse aakhri baar main
wo din jab tumne wo baat kahi thi mujhse, apni sagaai ki

maine dekhaa thaa tumhaari aankhon me kuch khaas us din
shaaayad haar chuki thi lad lad ke sabse tum
shayad yahi wajah thi ki tumne bulaayaa thaa mujhe aakhri baar milne

badi aasaani se tumne keh diyaa thaa
'kal aa rahe hain mujhe dekhne ladke waale
agar pasand aa gayi unhe to sagaai bhi pakki hogi
yaad hai tumhe? poochh rahi thi mujhse karun ya naa karun haan?'

yaad karo wo pal, wo chehraa meraa...
maine binaa kuch soche samjhe tumse kahaa thaa
'keh denaa tum haan unse, maan lenaa tum baat unki'
kyaa karta bhalaa main bhi kaho
maang rahi thi tum kuch mujhse
naa dun tumhe kuch maangaa huwaa ye mumkin hai kyaa?

haan jaantaa hoon us din maine zindagi ki sabse badi bhool ki thi
tumhe judaa kar ke khudse khudko zindagi se bhi duur kiyaa thaa

ab tak samajh nahi paayaa hoon wo naraazgi thi ya zidd meri
jo chaah ke bhi tumse judne ki kabhi koshish nahi ki
jod liyaa rishtaa tumhaare hi kisi apne se
ye sochke ki saamne rahun nazron ke tumhaare main har pal

haan ye sach hai ki main tumhe sataanaa chaahtaa thaaa
jitnaa jalaa hoon main tumhe bhi jalaanaa chaahtaa thaa
maloom thaa ki khush to koi bhi nahi hogaaa
par tadap kyaa hoti hai ye tumhe samjhaanaa chaahtaa thaa

par maloom naa tha ki mumkin nahi dard denaa apno ko
yahi wajaa hai ki aaj bhi tumse chhip rahaa hoon
hoon tumhaare paas hi magar main kaise kahun tumse
khud ki nazron se gir chukaa hoon, khud ko tumse chhipaa rahaa hoon...
haan sach hai, main aaj bhi khud ko tumse chhipaa rahaa hoon....

Logged
poppoetry
Guest
«Reply #24 on: December 20, 2012, 06:49:52 PM »
Reply with quote
aapne toh kahani ko ek naya hi mod de diya....bahut khoob...

Jab milenge dobara toh na karege koi gila-shikwa
Kaash maine ye kha hota...
Tera hi banne ki ummid hai, tere sang hone ki khwaish hai
Kaash maine ye kha hota...

Yaad hai mujhe jab dekhne aaye the mujhe
Ek chota sa swaal kiya tha maine ladke se
Pucha tha uss se...Kya hai shaadi,
Kya hai saath, kya hai rishta ki jod
Jwaab mein ek hi lafz kha usne...Pyaar

Pyaar...wo bandhan jo tumse baandha tha
Pyaar...wo rishta tera-mera, jise dil se apna maana tha

Yahi btaane mai tumhein, milne tumse aayi thi
Aur milte hi tumne ,
ye swaal phir dobara na karne ki sehmati jtaayi thi

Socha tha khush hoge tum ye jaankar,
k kisi aur se rishta maine nahi joda
Par ye kehkar, K ab jis ladkse se milo
Usse mat karna ye swaal, tumne khud se mera rishta toda

Tum door hona chahte the mujhse,Aankhein tumhari keh rahi thi
Par labon se khuch na keh paane ki himaat, mushkil tumhari keh rahi thi
Isliye sagaai ka juth bolkar tumhari mushkil ko aasaa maine kar diya
Aankhiri alvida kehkar, tere dil ko aazaad maine kar diya

Na jaane wo mazboori thi teri, ya taqdeer thi meri
Par wo ek faisla alag raah par le gya zindagi meri-teri
Armaan lekar aayi thi k tu thaamega haath mera
Aaj ho jaayega naseeb har lamhe k liye mujhe saath tera
Par uss lamhe ko toh khuch aur hi manzoor tha
Mujhe har haal mein hona tujhse door tha

Ye kya kam tha, k uss par tu meri nazron k saamne aa gya
Mujhse hi jude rishte k saath tu jud gya
Chaha kar bhi na rakh paayi kaabu khud par
aur gusse mein tujhe bura hi bura keh diya
Bas ek baat bta mujhe aaj dil se...
Inn dooriyon ko badhane mein kya sirf mera hi kasoor tha...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #25 on: December 21, 2012, 06:56:14 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause  bahut bahut khoob likha hai aapne.... too good....!!!


chhoti chhoti baatein hi hoti hain
jo atoot rishton ko bhi tod jaati hain
samajhne ko kabhi ek nahi samajhtaa hai
samajhne ko kabhi koi aur nahi samajhtaa

bas ek bhool, ek bhool bahut ho jaataa hai
aur koi apna sab kuch chhod ke duur chalaa jaataa hai
agar rishtaa itnaa pyaaraa hota hai to kyun??
bhalaa kyun hum koshish nahi karte ki use rok len?

maanaa ki krodh me, yaa chaahe dard se
humne kisi ko kuch keh diyaa ho
lekin, kam hone pe wo krodh yaa dard
hum kyun koshish nahi karte fir milne ki
kyun har baar hum duriyon ko aur dur karte hain
jo rishton me daraarein aa jaati hain
un daraaron ko aur failaate kyun hai

kyaa yahi hoti hai mohabbat ?
ki jab ek saathi bhatak jaaye raah se
to dusraa koshish na kare sambhaalne ki?
kabhi ek saathi chhod jaaye haath to
dusraa naa roke use.. naa koshish kare...

ye kaisi mohabbat hai tum hi kaho..
tumne bhi to kasme khaayi thi
leke haath mera apne haathon me kahaa thaa kai baar
'main tumhaari hoon, sadaa tumhaari rahungi,
chhod jaane ki agar tum koshish karo kabhi,
main apni mohabbat se tumhe rok lungi,
naa jaane dungi kabhi tumhe mujhse duur jaanaa,
naa hone dungi tumhe kisi aur kaa,
chaahe laakh pareshaaniyaan hon,
jaan bhi chaahe chali jaaye meri,
main tumhaari hoon.... sadaa tumhaari rahungi'

kyaa huwaa us waade ka...
maantaa hoon bhatak gayaa thaa main kuch pal ke liye
maantaa hoon hosh nahi thaa mujhe kuch pal ke liye
tum to hosh me thi naa.. tumhe rok lenaa thaa mujhe
thaam ke meraa haath apne haathon me kehnaa thaa
'dekho, meri aankhon mein, main tumhaari hoon,
tumhi ko chaahti hoon, chhod ke meraa saath,
naa jaane dungi tumhe main, tum mere ho'

shaayad main ruk jataa, koshish to karte ek baar
maantaa hoon main nahi maanaa, maine koshish nahi ki
magar ek taraf se koshish to kar ke dekhte tum
hamaare saath kuch ajeeb saa hi kissaa huwaa
dono chaahte the ki hum rahe ek dusre ke
magar ek dusre ko hum peeth dikhaaye khade the

yahi wajah thi shayad ki hum duur ho gaye
kasoor sirf tumhaaraa nahi, hum dono kaa thaa
na koshish tumne ki paas aane ki, naa maine ki
dil hi dil to pyar karte rahe magar
shayaad ahankaar thaa hum dono ko kisi baat kaa, zidd thi
ki kyun main jaaun pehle, kyun main haar maanu
usne todaa hai rishtaa, wo manaaye aake
bas isi intezaar me duriyaan bahut badh gayi
aur humein ek dusre se duur, bahut duur kar gayi....
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #26 on: December 21, 2012, 08:06:05 PM »
Reply with quote
Khuch baatein hi aisi thi k na lga munaasib rokna tumhe
Doraahe par khade khud se lad rahe the tum,
Ek raah ko band karne mein hi dikha tumhare iss dard ka marham hamein

Na karte yaad aaj jo tum vaade ko mere
Toh sach mai bhi tumhe btaati nahi,
Aur bta paati jo,toh yu nafrat tumse nibhaati nahi

Jo khat likh k bheje the tumne mujhe,
Unka har alfaaz kisi aur ko bhi kha tha
Dulhan ka libaas jo sza k bheja tha mere liye
Wahi tumne kisi aur ko bhi pehnaaya tha
Likh k jo geet bheja tha mujhe
Wo uske liye bhi tumne gaaya tha

Kyu kiya aisa ,ye puchne ki himmat mujhme thi nahi
Kar paati tumse koi bhi swaal, itni zehmat mujhme  thi nahi

Juda hokar tujhse, deker takleef tujhe,
Maafiya maangkar teri zindagi mein aayi thi
Tera saathi hone ka haq mai saath na apne laayi thi
Tumhara aaj tumhare saamne tha aur mai beete kal ko saath laayi thi

Haan ye sach hai k sab jaan gayi thi mai
Isliye tujhse doori maine badhaayi thi,
Ab na chahti thi koi dard dena tujhe
Apni khataon par mai itna pachhtaayi thi

Ab na jaane tum kha ho aur zindagi meri hai kha
Koshish karu bhi toh nahi aa sakte hum-tum yha
Ek baat aur tumhein btaati hu, has doge jo jaanoge...
K tumhein jeevansaathi banaane ki chaah apne bado k saamne rakhi thi
Bas usme tumhari manzuri hi baaki thi
Gar haa keh dete tum toh sabke aashirwaad se hum saath hote
Par iss se pehle k tumhein khuch btaati mai
Tumhari doraahi zindagi se ru-b-ru ho gayi thi mai....
Tujhe iss dard se bachaane k liye anjaan raaston par chal rahi hu mai....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #27 on: December 22, 2012, 07:53:09 AM »
Reply with quote

kaash ek baar tumne ye baat pehle mujhse kahaa hotaa
kaash jitnaa bharosaa maine tumpe kiyaa tumne bhi kiyaa hota
sach kehte hain zamaane waale aaj samajh aaayaa mujhe
yeh ladkiyaan kisi pe bharosa nahi kar sakti

wo chaahe unki khud ki parchhayi hi kyun na ho
chaahe kitnaa bhi chaah le wo kisi ko
bhulaa dete hain ek jhatke me, rishtaa chaahe atoot kyun na ho
wo waade, wo kasme, wo saath bitaaye lamhe saare
khushi ke din, ghum ke din, wo haseen mulaquaatein saare
bas ek shaq kaafi hotaa hai, wo sab bhulaa dete hain...

tumne sirf ye dekhaa ki jo khat tumhe bhejaa kisi aur ke naam ki thi
jo geet tumhaare liye likhe, kisi aur ke naam se bhi sunaayaa
jo dulhan ka jodaa tumhaare liye thaa kisi aur ko bhi pehnaayaa thaa
par wajah kyaa thi... ye tumne kabhi nahi poochaa
kabhi poochhna bhi nahi chaahaa tumne... zaruri nahi samjhaa...
par zaruri tha shaayad....

jo aankhon dekhaa yaa kaano sunaa milaa tumko
bharosaa sirf usi pe kiya
kaash iskaa ek pratishat bhi mujhpe bharosaa kiyaa hota
aake poochhaa hotaa mujhse ki ..kyun.. bhalaa kyun??
jaan jaate tum haqeeqat saari
maan jaate ki main bewafaa nahi thaa

khair chhodo ab in baaton ka koi matlab nahi rahaa
khush raho tum apni duniyaa me jahaan ho tum
aur main bhi khush hoon apne barbaadiyon ke jahaan me
khush hoon main bas ye sochke ki saath tumhaaraa thaa
chaahe kuch pal kaa hi ho, par saath to thaa naa

zaruri to nahi ki jise hum chaahe, wo bhi humein chaahe
zaruri to nahi ki jispe hum bharosa kare, wo bhi humpe kare
kisi ne khob hi kahaa hai,
har kisi ko yahaan mann chaahaa jahan nahi miltaa
kisi ko zameen to kisi ko aasmaan nahi miltaa....

meraa jahaan bhi adhuraa hi rahaa, adhuraa rahegaa
tum nahi ho mere saath, ye kabhi bhi naa poora rahegaa
yaadon me tum rahoge sadaa mohabbat bankar, aur
khwaabon me tumhaaraa chehraa, aur hothon pe tumharaa naam rahegaa...
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #28 on: December 22, 2012, 06:13:40 PM »
Reply with quote

Galti toh hai meri,k maine khuch na poochhaa
Gar puchh bhi leti tab bhi vishwaas ki baat aati
Jaise aaj kha hai tumne, Tab bhi yahi kehte k bharosa karo
Yahi sochkar maine khuch nahi poochhaa,zarurat nahi samjhi swaalon ki

Socha tha ek muskaan se hi har gila door ho jaayega
Rishta tera-mera pehle jaisa ho jaayega
Shaq na tha tujh par na apni azeez dost par tha
Par waqt ne yu hawaaon ka rukh moda,
k parat-dar-parat sab khulta chala gaya

Wo hans-hans kar karna tera baatein uss se
Wo uska har pal juth bolna
Yahi se huyi shaq ki shuruaat aur ye shaq gehraata chala gaya

Das baar bulaaya uss waqt tujhe aur aaya tu uske hi kehne par
Mere bina tu uss se kabhi milta na tha
Mila to mila, koi gila nahi ,
par juth kyu har koi mujhse kehta chala  gaya

Kami mujhme hi yakeenan rahi hogi khuch
Jo tera aur uska pyara rishta, mujhse door hota chala gaya

Khush rehne ki dua dene mein der tumne kar di
Jabse chhuta hai haath tumhara, har gham hamein hai choota chala gaya

Iltazza hai tumse ab haqeqqat mujhe bta do
Yu andheron mein rehne ki mujhko na sazaa do
Wo khat , wo geet , wo dulhan ka joda kiska tha
Kaun si majbooriyan thi wo jin sabka ye hissaa tha

Gustaakhi aur karti hu pucchne ki mai ye tumse
Ki aaj jo juda hua hai mere apne se tumhara rishta
Iske peeche kya hai vajah , kyu hai ban gya mere dardka ye kissaa
Qunki tera rishta toh paaya nahi,
aur kho diya maine apna ek aur azeez rishta...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #29 on: December 22, 2012, 06:59:08 PM »
Reply with quote


jaane do ab wo baat puraani ho chuki
wo mulaaquaatein , wo yaadein puraani ho chuki
kyaa faaidaa ab un puraane panno ko palatke
wo kahaani, ab bahut puraani ho chuki....

chaahte ho fir se kholnaa un panno ko jo band pade hain
kuch raaz dil ke jo ab bhi dil me dabe pade hain
jo honaa thaa ho chukaa, ab kyaa faidaa un baaton kaa
kyaa unn baton se ab hum ek ho paayenge?
kyaa sab jaan lene se wo khushi ke dil laut aayenge?

nahi aisa mumkin nahi hai
wo beetaa huwaa waqt beet chukaa hai
ab jo waqt hai wo naa hamaaraa hai, naa tumhaaraa hai
achche the hum pehle, jab saath the
ab judaa ho ke ek dusre se hum hum nahi rahe

bandh chuke hain kisi aur bandhan me hum dono
tum kisi aur ki ho, main kisi aur kaa hoon
jaane do, ab un baaton ko leke naa socho tum
khush raho apni duniyaa me, koi tumhaaraa hai

maaloom hai ki ye baat chubhti rahegi tumhe har baar
ki maine batayaa nahi, tumne jaannaa chaahaa magar
us baat ko main ab zubaan pe laayaa nahi
jaante tum bhi ho, samajhte bhi ho
ki sunoge kissa fir bhi kuch naa kar paaoge
tum kisi aur ke ho, usi ke reh jaaoge...

ab saath hamaaraa ho nahi saktaa ek dusre kaa
isliye bas yahi kahungaa, ki bhool jaao sab
chale jaao duur mujhse itnaa ki chaahu bhi to
chhoo naa paaun main tumhe, tumhaari khushi ko
duur itnaa ki main mehsoos bhi naa kar sakun tumhaare saaye ko
chaahun kabhi agar milnaa tumse, dhundne se bhi naa milo mujhe tum

yaa fir main hi chalaa jata hoon, duur kahin duur
itni duur tumhaari duniyaa se ki nazar naa aaun
chilla chilla ke tumhaaraa naam le loon magar
tum naa suno, aur tumhe dhund naa paaun main....

milenge hum, agle janam me, ye vaadaa rahaa
ek vaadaa aur sahi in janam me meraa tumse
yakeen hai mujhe, naa kar paayaa koi waadaa pooraa main
par ye waadaaa, sirf waadaa banke naa reh jayegaa
hogi saath tum mere, aur ye waadaa pooraa ho jaayegaa
yakeen hai mujhe, meraa ye waadaa pooraa ho jaayegaa....
Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:48:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer