Tumhare Liye..........................Nikhaar

by Nikhaar on December 14, 2012, 12:07:20 PM
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 4458 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #30 on: December 22, 2012, 07:01:31 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa Mukesh ji....!!!

Bahut sundar likha hai aap dono ne.
ek film ke geet ka bol yaad aa raha hai..
Aaina vahee rahta hai..
chehre badal jaate haiN
keep it up..likhte rahiye

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tumhare liye by aryan_mantri in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
tumhare liye by gstyagi in Shayri for Dard -e- Judai
~!~.Tumhare Liye.~!~ by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
Likho uske liye jo tumhare liye khas hai by deepika_divya in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 ... 25 26 »
Tumhare Liye by dashing_agarwal in SMS , mobile & JOKES
poppoetry
Guest
«Reply #31 on: December 23, 2012, 06:14:27 PM »
Reply with quote

Baat beshak puraani ho chuki hai, par unka asar taaza aaj bhi hai
Mil paayege dobara ya nahi,ye toh nahi malum mujhe
Par galatfehmiyon ko door karne ka haq hum dono ko aaj bhi hai

Tum nikal aaye ho uss mod se aage,chal rahe ho ek nayi raah par
Maine bhi koshish bahut ki aage badhne ki
Par nakaamiya hi hai haasil mujhe, Meri zindagi ruki huyi aaj bhi hai

Koi nahi hai saathi mera, par nazre har pal usse dhoondti hai
Kal bhi banjar hi tha mera aashiyaan, veraan har raah meri aaj bhi hai

Sach hai k koi aaya tha meri zindagi mein tumhare jane k baad
Par wo mera nahi kisi aur ka tha, iss baat ka aehsaas mujhe aaj bhi hai

Chale jaayege abhi yahi se lautkar, phir kabhi vaapas na aane k
Par bhare paimaane mein jaam aur aa nahi sakta
Aur mera dil tere har dard se bhara aaj bhi hai

Jo chahte ho khush rahu mai, apni duniya mein hi kho jaau mai
Toh khaali karo iss paimaane ko , mere dil k sabhi armaano ko
Khol do wo kisse puraane, btao mujhe zaffa k taraane
Gar phir bhi na chaho toh kabhi na dena dua khush rehne ki
Qunki sach se anjaan mai aaj bhi hu

Ab faisla tumhare haath mein hai, ya de jao ek nayi zindagi mujhe
Ya de jao zindagi bhar ki sabke beech rehne ki tanhaayi mujhe...
Faisla tumhare haat mein hai.......

 
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #32 on: December 23, 2012, 06:28:34 PM »
Reply with quote
to suno... main apni kahaani tumhe sunaataa hoon
kyun nikla main bewafaa tumhe batataa hoon...
haan main bewafaa hoon, bewafaai ki hai maine
tumhaare saath, apne saath
magar shaayad kisi aur se nahi kar saktaa thaa
main kisi ko chot pahuchaa ke gunehgaar nahi ban saktaa thaa
haan yahi wajah thi ki maine dil todaa tumhaaraa
paththar rakh ke apne dil pe maine muh modaa tumse

wo saheli tumhari, jo tumhaari apni thi
kyaa sach me tumhaari bahut pyaari thi?
kyaa wo dost tumhaari tumhaare dil e bahut kareeb thi?
shaayad nahi, kyunki tum nahi jaanti thi ki
wo lad rahi thi apni zindagi aur maut se
pal pal ghut rahi thi
naa jee paa rahi thi naa mar paa rahi thi
ek aise rog ne use pakdaa huwaa thaa
jisme maut to nishchit thi magar kab ye maloom nahi

wo ghut ghut ke roz suraj ko dekhti muskuraati
fir wo udaas ho jaati thi... ki kab tak?
kab tak yunhi main jhoote dilaase deti rahungi apne dil ko
bas kahin se ye baat mere saamne aa gayi
kaun kartaa bhalaa shaadi kisi marne waale se

wo tumhaari saheli thi ye maoom thaa mujhe
aur milaa kai kai baar thaa main tumhaare saamne
uske sangh mere hasee mazaakh ko tumne dekhaa
kabhi jhaank ke uske dard ko dekhne ki koshish nahi ki

bas usko jaate jaate kuch palon ki khushi denaa chaahta thaa
main use kuch dino me duniyaa kaa har sukh denaa chaahtaa thaa
yahi wajah thi, maine tumhaaraa dil tod diyaa
kyunki main maut ke kareeb kisi ko zindagi dikhaanaa chaahtaa thaa

ho sake to maaf kar denaa mujhe meri bewafaai ke liye
maaf kar denaa mujhe mere har gunaah ke liye...

ho sake to mujhe maaf kar denaa....
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #33 on: December 24, 2012, 06:33:36 PM »
Reply with quote
Ek marte huye insaan ko zindagi dena, sach mein bahut khoob hai
Aur ek zindagi ko har roj maut dena,
Waah...kya khoob tere sheher ka dastoor hai

Ek marte huye insaan k aansuon ko khushi mein tabdeel karna, bahut khoob hai
Aur ek zindagi ko hamesha k liye ashqon mein dubona,
Waah....kya khoob tere sheher ka dastoor hai

Ab aur kya kahu mai tujhse , ab koi waada nahi, jo adhoora hai
Ye sach bhi nahi abhi poora hai

Jo tujhe sahi lagaa, tune kiya,
Aaj tasalli huyi mujhe bhi jaankar k pyaar tune na mujhse kiya
Maaf mai kya karugi tujhe, tune khuch na galat kiya
Ye toh sab apna hi dosh hai jo, jo bhi kiya, iss dil ne kiya

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #34 on: December 25, 2012, 03:42:16 AM »
Reply with quote
is tarhaa se naaraaazgi dikhaaogi to
main kabhi khud ko maaf naa kar paaungaa
kiyaa thaa mohabbat tumse is janam me
fir kabhi kisi se main naa kar paaungaa

bardaasht kar saktaa hoon har dard me
magar tumhaare aansoo bardaasht naa kar paungaa
tumhaari tadap se tadaptaa rahungaa main
aur ek din is aag me jalkar mar jaaungaa

maine to insaaniyat ke naate hi kiyaa thaa sab
ab kabhi chaah ke bhi insaan naa ban paaungaa
ye samjhungaa ki jo kiyaa galat kiyaa maine
aur kabhi us raah pe naa main chal paaungaa

kadar kisi ke aansuon ki main karunga nahi
aur dard me koi ho to aur dard de jaaungaa
aur kisi ko martaa huwaa dekh ke kuch na karungaa
bas paas khade reh ke main muskuraungaa...
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #35 on: December 25, 2012, 06:12:49 PM »
Reply with quote

Jo hua so hua, ab baaton ko badhaane mein khuch nahi hai
Gila tujhse nahi, shikwa khud se hai
K kyu maine samjha, dgaa k peeche majburi khuch nahi hai

Insaaniyat k liye apne pyaar ka dil toda tumne,
Mujhe toh koi bhi apna lega, par usse kaun apnaayega,ye socha tumne
Aur Iss se badhkar kahi khuch nahi hai

Maine kab kha kisi aur k dard par tumhe muskuraane k liye
Jo khoya hai maine bahut khuch, toh paaya tumne bhi khuch nahi hai

Takleef hai toh bas itni si, k mujhe apna dil se kyu nahi maan paaye
Jo maan paate, toh bol kar, sab bta kar mujhse alvida kehkar jaate
Takleef hai toh bas itni si , k kyu mai iss layak nahi ban aayi
K tum sab mujhe bta paate....

Jaise ho tum waise hi rehna, rote ko hasaana ,begaane ko apna bnaana
Ab mai bhi tumse vidaa leti hu , khush rehna hamesha
Kisi ki zindagi teri khushi k bagair khuch nahi hai . Alvida
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #36 on: December 25, 2012, 06:33:52 PM »
Reply with quote


jaa rahe ho kehke alvidaa to chale jaao tum
dhadkano ko, meri saanson ko chhod jaao tum
ummeed jagne lagi thi dil me fir se jeene ki
mere ummeedon ka mahal ko firse tod jaao tum

aadat ho chuki hai ab to tutne ki baar baar
is dil ko kaanch ki tarha firse tod jaao tum
main tanhaa hi thaa tumhaare aane se pehle bhi
mujhe mere ghum ke saath tanhaa chhod jaao tum

is baar bhi tumne koshish nahi ki rokne ki mujhe
keh diyaa badi aasaani se 'mujhe chhod jaao tum'
chalo koi baat nahi, ab main kehtaa hoon tumse
mujhe tumhaari zarurat hai, naa chhod jaao tum

main tum bin kuch nahi, koi astitva nahi meraa
de lo gaaliyaan, dil me jo aaye mujhe keh jaao tum
jod ke haath main bheek ye maangtaa hoon tumse
aaye ho to hameshaa ke liye mere saath reh jaao tum

na koi bandhan tumhe rokaa huwaa hai, naa koi waadaa hai
tum meri thi pehle bhi, aaj fir se meri hi ban jaao tum
waadaa hai, jo naa de paayaa pehle tumhe wo sab ab dungaa
pehen lo laal jodaa mere naam kaa, meri dulhan ban jaao tum...
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #37 on: December 26, 2012, 06:28:02 PM »
Reply with quote

Ye kya keh diya tumne, mujhe thaamne k liye apna haath bdha diya tumne
Ye kaise ho gyaa , Tumne toh kha tha k tum band chuke ho ab bandhan mein
Tum ho chuke ho kisi aur k,
Tumhara parivaar nahi kabulega mujhe, kha tumne
Phir aaj...aaj ye kya ho gya , ye kaise ho gya

Jis pal ko dil mein sajaa uss beete lanhe mein mai tumhare paas aayi thi
Wo baatein jo mai tumse kehna chahti thi, Wo sab aaj tum keh rahe ho
Ab tak mai tumhara saath chahti thi aur aaj mera haath khud maanga tumne

Khush hoke muskuraa du ya dil k dar ko soch k ro du
Kar lo tum par vishwaas ya khud apna dil tod du
Zarurat toh mujhe bhi hai ek sacche humsafar ki
Par dar rahi hu....
Dar rahi hu k kahi phir se kisi aur k liye mera dil na toote
Phir se saath , Phir se rishta na chhotte....
Tum hi btao mai kya karu.....kya karu
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #38 on: December 26, 2012, 06:45:32 PM »
Reply with quote

aadhaa sach shaayad tumhe ab bhi nahi maaloom hai
kahaan hoon main aajkal ye shaayad nahi maaloom hai

jaanke dukhi hoge, yaa shaayad khush bhi ho jaao tum
mere gharwaalo ne mujhe bahut pehle khud se alag kar diyaa tha
wajah, bas itni si thi ki maine unse baat ki thi pehle
ki tumhe apne ghar ki dulhan main banaaungaa

magar unse baat karke unko manaane ke baad
maine tumhe thukraa diyaa thaa
tumse duur bahut duur chalaa gaya thaa
wo naraz the mujhse ki maine tumhaaraa dil todaa thaa
wo tumhe apni beti maan chuke the aur maine
tumhaare saath aisaa dhokhaa kiyaa thaa

ab jaanke wo khush honge ki tum fir se meri banne ko tayyar ho
jisko unhone bahut pehle hi bahu maanaa thaa wo aayegi
unke bete ko fir se zindagi jeene ke sahi tarike sikhaayegi
bahut khush honge sab tumhaari waapasi ke baare me jaanke

jaante nahi ho tum kitnaa khush hoon main aaj
tumhe paake jaise maine saaraa jahaan paa liyaa ho aaj
naa daro, karlo bharosaa ek aakhri baar mujhpe
waada hai, tumhe itni khushiyaan dungaa
ki ek zindagi kam pad jaayegi
na daro, tumhaaraa dil tutne naa dungaa main is baar...
ye waadaa hai... haan ye mera sachcha waada hai....
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #39 on: December 27, 2012, 06:04:32 AM »
Reply with quote

aadhaa sach shaayad tumhe ab bhi nahi maaloom hai
kahaan hoon main aajkal ye shaayad nahi maaloom hai

jaanke dukhi hoge, yaa shaayad khush bhi ho jaao tum
mere gharwaalo ne mujhe bahut pehle khud se alag kar diyaa tha
wajah, bas itni si thi ki maine unse baat ki thi pehle
ki tumhe apne ghar ki dulhan main banaaungaa

magar unse baat karke unko manaane ke baad
maine tumhe thukraa diyaa thaa
tumse duur bahut duur chalaa gaya thaa
wo naraz the mujhse ki maine tumhaaraa dil todaa thaa
wo tumhe apni beti maan chuke the aur maine
tumhaare saath aisaa dhokhaa kiyaa thaa

ab jaanke wo khush honge ki tum fir se meri banne ko tayyar ho
jisko unhone bahut pehle hi bahu maanaa thaa wo aayegi
unke bete ko fir se zindagi jeene ke sahi tarike sikhaayegi
bahut khush honge sab tumhaari waapasi ke baare me jaanke

jaante nahi ho tum kitnaa khush hoon main aaj
tumhe paake jaise maine saaraa jahaan paa liyaa ho aaj
naa daro, karlo bharosaa ek aakhri baar mujhpe
waada hai, tumhe itni khushiyaan dungaa
ki ek zindagi kam pad jaayegi
na daro, tumhaaraa dil tutne naa dungaa main is baar...
ye waadaa hai... haan ye mera sachcha waada hai....


Tere waade par aitbaar karte hai
Hum ye khataa har baar karte hai

Palkein bheegi huyi hai iss waqt ye jaankar
K tere apne mujhse bhi pyaar karte hai

Ab nahi hai alfaaz khuch bhi kehne k liye
Samajh jao tum inn khaamoshiyon ki zubaan
Abhi hum chalte hai aur tere aane ka intzaar karte hai


Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #40 on: December 27, 2012, 06:11:12 AM »
Reply with quote


main tumhe dulhan banaa ke laaungaa, ye waadaa rahaa
apne haathon se tumhe main sajaaungaa, ye waadaa rahaa
laal jode ki jo khwaaish thi tumhaari,
us khwaaish ko main pooraa kar jaaungaa, ye waadaa rahaa

tum is chand ke chhip jaane kaa intezaar karnaa
agle chaand ke nikalne se pehle main aaungaa, waadaa rahaa
baaje bhi honge, baraati honge, un sab ke saath main aaungaa
tumhe tumhaare ghar se apne ghar le aaungaa, ye waadaa rahaa
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #41 on: December 27, 2012, 06:59:00 AM »
Reply with quote
bahut vadhiya Hriday ji...Bahut hi khoobsurat mod diya aapne.... isse hi kehte h ki movie end mein sab accha hota hai aur na ho toh picture abhi baaki hai dost...aur yahi hoti hai ek nahyi shuruaat...bahut khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley......

Ye pal hai khoobsurat, ye zazbaat hai anmol
Inhe palkon mein smaa lete hai
Ek nayi zindagi ki shuraat k liye
Hum abhi ek-duje se vidaa lete hai

Iss waade k saath,  iss ummid k saath K
ab dooriyan nahi rahegi darmiyaan
 Ek-duje ko hum apni zindagi, apni saansein bna lete hai

Na lage ab koi bhi nazar apne rishte ko
Rab se aur sabse aashirwaad le ,
 hum iss rishte ki nazar utaar lete hai
Chalon abhi hum ek duje se vidaa lete hai


Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #42 on: December 27, 2012, 07:41:16 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa Poojaa ji meraa saath dene ke liye.... bahut achcha lagaa aapke saath likh ke.. is kahaani ko yahin anjaam dete hain.... fir kabhi likhenge ek nayi kahaani aapke saath....aaate rahiye... likhte rahiye...!!!

Take care
Hriday
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #43 on: January 03, 2013, 02:55:41 PM »
Reply with quote
Wah Wah Wah Wah.. Kya Baat Hai Poooja Ji.. ek ek lafz Behad khubsoorati se Piroya hai aapne.. Ehasaason se Bhari aapki yeh Rachna dil ko chhoo gai.. Bahut Bahut Khoooob.. Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #44 on: January 05, 2013, 09:11:56 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


Uff kia kahne jee aik umda mehfil sajaa rakhi hai
aap dono ne.. behad khoobsurat khayaaloN bhare kalaam padhkar dili
khushi mehsus huyi.... Usual Smile


Aik baar fir se aap dono ko hazaaroN daad o mubbarakbad kabul kijiye.

Aur yeH woH mehfil hai janab jiska anjaam hum nahi tay kar sakte... Usual Smile
Isliye ummid qayam rakhiye... Usual Smile

Likhate rahiye... shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:48:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer