Ud chuke Parinde ki raah talashi nahi jati

by khumaar on May 22, 2011, 09:18:51 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2474 times)
khumaar
Guest
Reply with quote
ud chuke parinde ki raah talashi nahi jati
zabran dil ko gham ki saugaat di nahi jati

musafir hai har shakhs har vaqt kahta hai vaqt
musafir ko leke apni manzil se bhatkana hai ghalat

waqt ki shaakh par naye phool khilne dene chahiye
toote hue patte ko tootna tha use leke nahi rona chahiye


raat ki gaehraaiyan hon ya subah ki kirano ki angdaaiyaan
tanha hone ke liye kisi ke paas nahi hoti tanhaayiyaan
phir jee ko udaas kar ya dil ko peeda pahuncha kar kya milna
toote khilaune ko leke bachha bhi jaanta aakhir kab tak rona
phir dil ki khushyun ke phool ki mehek chehre par aane se kya rokna
hridayangam kyun na kare ujaale ko andheron se kyun aur kya ghirna

sochna ki khyaalon ko khyaal kya diye jane chahiye
khwaab me hi nahi inhe haqiqat me uda dene chahiye
tab jake poorna swatantrata ke chhitij par ye abhaas hota hai
ki insaan ke sabse zyada vo khud paas hota aur ho sakta hai

khud me shakti pehchaan khud ko aage badhana zindagi hai
zindagi me khushdili se aage badhne valon se khush hoti zindagi hai

dosti pyaar mohabbat ke ilawa bhi bahut kuch rakhti hai zindagi
insaan ke khud ke saath rishte ki zindagi bhi hoti hai zindagi

hamesha hi ujaalon ki baat karne vala kabhi andhere se nahi ghirta
zindagi ko hamesha ek savera maanne par har pal chamka karta

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ANKHON SY MERI IS LIYH LALI NAHI JATI..!!! by SADIQA JAWED in Shayri for Dard -e- Judai
nahi hoti raah aasan by tushki47 in Shayri-E-Dard
*_^ Ek pal bhi teri yaad dil se jati nahi *_^ by Rancho-D-Idiot in Shayri-E-Dard
kYUN NAHI AA JATI by saahill in Share:Love Poetry
raah mein mulaqaat ho jati hai by saahill in Miscellaneous Shayri
nirala
Guest
«Reply #1 on: May 22, 2011, 04:57:12 PM »
Reply with quote
wah bro wah…
kitna kuch sikha gaye aap…
dil ko sukoon deti hain aapki baate…

har bar aap bht kuch sikha jate hain mujhe…

badi khusi hoti hai jab aap pyar,dard,dukh,hus-ishq aur aashiki-deewangi se alag hat ka zindgi ko zindadili se jeene ki baate likhte hain…

thanx bro… Usual Smile
b happy alwej
Logged
manjum
Guest
«Reply #2 on: May 23, 2011, 05:04:34 AM »
Reply with quote
wah wah..  khub........

 Applause Applause Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: May 23, 2011, 03:15:53 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khooooob Bhai.. Lajawab peshkash hai.. Daad Hi Daad.. Applause Applause




**~** Mann **~**
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #4 on: June 27, 2011, 07:59:13 AM »
Reply with quote
ud chuke parinde ki raah talashi nahi jati
zabran dil ko gham ki saugaat di nahi jati

musafir hai har shakhs har vaqt kahta hai vaqt
musafir ko leke apni manzil se bhatkana hai ghalat

waqt ki shaakh par naye phool khilne dene chahiye
toote hue patte ko tootna tha use leke nahi rona chahiye


raat ki gaehraaiyan hon ya subah ki kirano ki angdaaiyaan
tanha hone ke liye kisi ke paas nahi hoti tanhaayiyaan
phir jee ko udaas kar ya dil ko peeda pahuncha kar kya milna
toote khilaune ko leke bachha bhi jaanta aakhir kab tak rona
phir dil ki khushyun ke phool ki mehek chehre par aane se kya rokna
hridayangam kyun na kare ujaale ko andheron se kyun aur kya ghirna

sochna ki khyaalon ko khyaal kya diye jane chahiye
khwaab me hi nahi inhe haqiqat me uda dene chahiye
tab jake poorna swatantrata ke chhitij par ye abhaas hota hai
ki insaan ke sabse zyada vo khud paas hota aur ho sakta hai

khud me shakti pehchaan khud ko aage badhana zindagi hai
zindagi me khushdili se aage badhne valon se khush hoti zindagi hai

dosti pyaar mohabbat ke ilawa bhi bahut kuch rakhti hai zindagi
insaan ke khud ke saath rishte ki zindagi bhi hoti hai zindagi

hamesha hi ujaalon ki baat karne vala kabhi andhere se nahi ghirta
zindagi ko hamesha ek savera maanne par har pal chamka karta



NICE
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:56:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer