ParwaZ sahab ! tasleemaat-o-adaab-bil-jawaab ...
aap ne phir kis maslay ko chher diya, muddat huvi hum tafaa'il ki girdaanon say jaan chhura chukay hen. aap ko agar is men kahin koi beher nazar nahi aa rahi tu yaqeenan durust ho ga, albata hum chaahen gay apna muda'aa aap tak puhuncha diya jaayay jo kuchh aisay hay...
pehli baat k ye nazm hay, jis ki zameen hamaari apni he hay
beher is ki "behr-e-mutaqaarib, mucamman, maqbooz, aslam, muzaa'if" kehlaati hay.
hum ne is ko kisi beher men mukamal taur par tolnay ki koshish nahi ki.... k hamaaray likhay ka urdu adab say koi taaluk nahi, lekin parhnay walay agar chaahen tu isay is beher k meezan men tole saktay hen...
is beher say mutalik kuchh tafseel agar chaahen tu hum ne ye link dhoondaa hay aap k liyay...
http://sarwarraz.com/adabipage_en.php?id=351&pageid=7&title=Nikaat-e-SuKhan#5:
Iqbal ka ye sher hay jo is beher men hay
maiN zulmat-e-shab, men lay k nikloon,gaa apne dar-maan.dah kaarvaan ko
sharer-fishaan ho, gee aah meree, nafas nafas sho,lah-baar hogaa
hum ne wakfay ki jaga par comma daal diya hay, taakay is ka muccaman honay ka saboot wazeh ho
ab ye parhiyay jo hamari is nazm ka hisaa hay:
tumhaari yaadon, ka zeher dil men, utaar len gay, hamaara kya hay?
ye chaar din ka, udaas jeevan, guzaar len gay, hamaaraa kya hay?
iqbal k sher ko and them hamari above lines ko parh kar dekhiyay may be kuchh beher-o-vazan maalom ho...
and still agar ye beher say bahir hay, tu bhe hum ghalati tasleem kartay hen aur itna he kahen gay k faqat likhtay hen... urdu adab k arooz say naa-balad...
vb