Mamtaa Jee Aadaab!
Badi rawaaN DawaaN Gazal kahi hai aapne is dafaa..
Khayaal aur bayani behad khoob lai hume...
Ahsaas O khayaal per aate hai..... Hai sunaa humne kaheeN khwaab bikaa karte haiN
Saath me aah o fugaaN muft milaa karte haiN
Waah Mamtaa je kia baat hai misraa e ulaa behad khoob kaha hai aapne daad... Matla achcha hai daad Ho talab dard kee to chaliyegaa waheeN chalte haiN
Log jee bhar ke wahaaN aah o bukaa karte haiN
Gazab ki rawaani hai is sher meiN Mamtaa jee daad Dil se daad...... par misra e uaa meiN aapne "waheeN" Kaha hai to misra e sani meiN bhi uska khulasa nahi kiya wagerna sher behad khoob banta...... Kaam kee baat karo waqt ko zaaye na karo
Aur bhee haiN jo meree raah taka karte haiN
Bada pyaara sher hai daad ... Sachche ahbab parakhne kee to quvvat rakkho
Peeth ke peechhe tumhe log bakaa karte haiN
Waah jee waah kia kahne hai waah daad daad daad .... behad khoob behad umdaa ... Jab azeezoN kee tadap aaNkh me aaNsoo laaye
Aise haalaat me kai log bikaa karte haiN
Waah kia kahne jee behad sahiN farmaya aapne daad ... Hai abhee umr e nou aur samajh bhee kam hai
Waqt se pahle kahaaN phal bhee pakaa karte haiN
Oye hoye kia baat hai jee waah waah behad umdaa khayaal behad khoob bayaani daad daad daad.... Ugte sooraj saa hooN sab mujhko salaamee deNge
Dhalte sooraj pe kahaaN log jhukaa karte haiN
Mamtaa jee pahelaa misra to achcha hai per khayaal ke taur per dujaa misra dekheN to hume duje misre ki baat simple si lagi... yaa youN kahiye ke kuch asar chhodta nazar nahi aaya... Mai koi ‘aam’ naheeN ‘khaas’hooN gul gulshan kaa
Mere deedaar ko sab log rukaa karte haiN
Kia baat hai jee achcha sher hai daad... Mamta bajpai
Mamtaa jee waqai behad rawaaN Gazal se nawaaza hai aapne dil se daad kabool kijye.....
Khush O aabad rahiye...
Khuda Hafez......