<>*Uljhe uljhe se kuch sawaal*<>

by *KasaK*....Dil Ki on October 04, 2010, 02:14:00 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1989 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
Reply with quote
<>*Uljhe uljhe se kuch sawaal*<>



Uljhe uljhe se kuch ankahe se sawal hain mere
Bachpan  se jo mere dil me palte rehte hain
Pehle bhi aksar main khudse pucha karti thi
Jawab kabhi nahin mujhe magar mil pate hain..??

Maa paa ki main laadli rahi dil ki rani bani rahi
Har pal unke pyaar k chhaon me hi to main pali
Bhaiya bada shararati tha satata rehta tha sabko
Lekin fir bhi kyun usko kabhi kisiki dant nahin padi..??

Raat raat bhar bahar ghumta doston sang batiyata
Mobile k bill se uske papa ka sir ghum ghum jata
Lekin mere sirf mahine me ek bar picture chale jane se
Fizul kharchi kaise ho jati… ye main kabhi samjh nahin pati..??


Bhaia to jo chaahe khaye uski pasand ka bane sab kuch
Mujhe sabji na bhaaye to kyun mujhe sasural me mushkil hogi
Bhaiya to tha padhai me dabbu fir bhi usko the milte gift
Main to har bar hi awwal aati fir bhi kyun kabhi shabashi milii nahin..??


Mera bhi dil karta main bhi padhun aur sikhun kuch alag
Lekin keh diya gaya teri shaadi me karenge sab kharch
Bhaiya ki ichcha na thi fir bhi use bheja padhne London
Uski iss naakami pe bhi dosh meri kundli me hi aaya nazar..??

Bhai pe bhari hai ye kehke mujhe hamesha tana diya
Daadi ne na kabhi mujhe bhaiya jitna ek bar bhi sneeh diya
Dadaji hi the jo mujhe chahte, karte the wo meri badaai
Lekin yahan bhi dadi meri unko kehti na bigado ise
Aakhir  to ye apni nahin.. hai ye to hamesha se parai..!!


Jana hai ise duje ghar aur sikhne hain unke reeti riwaaz
Rehne do ise aise hi na chadhao ise apne sir pe sarkaar
Par uss pal to main thi na unki apni.. chhoti si nanhi si jaan
Fir kyun shaadi k pehle hi paraya kar diya tha tumne mujhe maa..??


Ye hi kuch sawaal hain mere man me jo kai saalon se uthte hain
Nahin inka matlab koi par fir bhi dil me bht ye chubhte hain
Koi na de sakega inn sawalon ka mujhko jawab ye janti hun main
Fir bhi maa paa main aapse ek bar  puchhna chahti hun main....


Kyun hun main aapke liye paraayee
jab aapke hi khun se bani hun main…?Huh?



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Sawaal..... by Style_guru in Shayri-E-Dard
KUCH SAWAAL......... by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 10 11 »
sawaal... by mrkotians in Shayari-e-Parastish
*****************kuch sawaal****************** by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
uljhe se haiN sawaal...........Mamta Bajpai by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: October 04, 2010, 02:55:05 PM »
Reply with quote
Kasak Jee Aadaab!

Aap instantly kaise likh leti hai.... Kamaal hai
Hum se to koi aik nazm bhi aik din meiN puri nahi hoti...

Wel aapki is post meiN hume aapki sirf shikayateN nazar aayi...
Shayad aisa hai aur shayad aisa nahi bhi hai... Par pata nahi jis per guzarti hai wohi jaane.....

Achcha likha hai aapne aapke ahsaas achche raheN.. Daad hazir hai.....

Likhate samay kisi song ki tune meiN likhne ki koshish rakhiye.... jisse padhne meiN aur bhi mazaa aa jata hai..

Likhati rahiye....
Khush rahiye.......
Khuda Hafez........ Usual Smile         

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: October 04, 2010, 03:10:05 PM »
Reply with quote
parwaz ji..mujhe aisi koi shikayat nahin rahi hai apne maa pa se....lekin bas khwaish ji ki poem padhke ye sab likh diya...

han shayad mere bahi ko ye shikayat bht hai mere mom dad se k mujhe zyada pyaar mila hamesha aur use kum ..bas use hi soch k likh diya...

aapne pasand kiya iske liye bht bht shukriya jiiiiiii
Logged
yasmeen khan
Guest
«Reply #3 on: October 04, 2010, 03:11:20 PM »
Reply with quote
 hello2 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Intezar
Guest
«Reply #4 on: October 04, 2010, 04:23:29 PM »
Reply with quote
ye sawaal aise hain jinpar har koi gaur nahin karta... Sabki nazar mein laane ke liye Shukriya Kasak Ji... !

Intezar
Logged
cara
Guest
«Reply #5 on: October 05, 2010, 07:47:41 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI         KASAK...DIL KI JI...


ULJHE ULJHE SE KUCH SAWAL
KE HAI ULJHE ULJHE SE JAWAB

JO AAJ TERE MANN ME SAWAL HAIN
SADIYON SE CHALTE AAYE HAI HAR NARIYON KE MANN ME YE SAWAL
SHAYAD TERE MAA JI KE MANN ME BHI KABHI HOGE YE SAWAL
TERI NANI KE MANN ME BHI IN SAWALON NE  KABHI GERA HOGA
PAR SHAYAD KISINE BHI HIMMAT NAHI KI HOGI DUNDNE KI IN SAWALON KE JAWABON KO
CHUP CHAP SE SAHETI AAYI HOGI SADIYON SE HAR NARI IN AJEEB REET-RIWAZON KO
KI AAJ TAK KISI KE PAAS NAHI HAI KOI JAWAB
JO DE IN ULJHE ULJHE SE KUCH SAWALON KO
YUN TOH KOI SHAK NAHI HAI NARI KE SHAKTI PAR KISI KO
BAS KOI AAYE SAAMNE BADAL DE IN BEKAR KE REET-RIWAZON KO
NAHI TOH YE "ULJHE ULJHE SE KUCH SAWAL"RAHE JAAYENGE
YUNHI BIN PAAYE KOI JAWAB SADA KE LIYE......
 
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #6 on: October 05, 2010, 08:36:31 AM »
Reply with quote
haan yar mujhe bhi batao aap instantly kaise likh leti heee....hihihhi

achha likha he bahut achha likha he ..

eisa laga jaise koi apni aapbeeti khdu suna raha hoo..
dhyan se padha to rula ke rahoge aap too..

topic achha he...
or apne likhne layak kuchh chhoda nahi..

ek bat kahu shayad yahan kisi ki samajh me aaye jo kehene ki koshish karna chahta hun me..kyuki topic eisa he ki maa baap shayad isse jyada or kuchh soch nahi sakte...ye mene feel kiya so keh raahy hun..

[ek bar me bahut dipress ho gaya bas kahin koi roshni nahi thi tab eisa kuchh dimag me ayaa or fir achanak iska jawaab bhi samajh aya ]

I asked to god "Tell me wat do u want me to do; wat u r doing wid me c'mmn tell me or m not interested in this life "
He said: "Dear I just wanted to Create one of my best designs"


maa-baap God se kam to nahi hote wo bhi shayad God jaisa sochte ho~

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: October 05, 2010, 10:05:58 AM »
Reply with quote
bahut bahut dard bhari kavita likhi hai aapne.. ye dard sach me rula dene laayak hai... thanks to god ki ye kahaani aapki apni nahi hai aur na hi ye kisi ki ho.... bahut khoobsurti se aapne is dard ko bayaan kiya hai... too good hai ji... kuch koshish ki hai maine bhi likhne ki...


ye kahaani na meri hai na mere kisi apne ki hai,
ye to kisi ka fasaana hai jo suni uski zubaani hai,
ye kahaani us ladki ki hai jo papa ki rani hai,
ye kahaani us ladki se suni uski zindagaani hai,

wo ladki jiske paida hote hi kahaa gaya ye lakshmi hai,
wo ladki jise itna laad diya gaya ki wo kho gayi usme,
wo ladki jise pyaar to mila par maa papa ka nahi,
baai ne, aaya ne itna pyaar diya ki wo kho gayi usme,

vyast rahe hamesha uske maa papa kaam me, paise me,
to bhala kaise wo pyaar mehsoos kar paati aise me,
usko to laga ki baai hi sab kuch hai, uski zindagi hai,
aur dheere dheere kho diya ma baap ne beti ko paise me,

roti hai wo beti aaj bhi paane ko maa papa ka pyaar,
par khush hai wo sasuraal me paake naye ghar ka pyaar,
ek ma hai uski, ek papa hai uske, ek ghar hai apna sa,
na mil paaya jo apno se ab mil paya hai use waisa pyaar,

kya betiyaan isliye hoti hai ki unhe ladko se alag samjha jaaye,
kya betiyaan isiliye hoti hai ki unhe paise ke liye chhoda jaaye,
wo bhi usi maa ke sharir ka hi hissa hai, jisse wo aayi hai,
kya sahi hai is tarha apne hi sharir ke tukre ko chhoda jaaye?Huh?Huh???
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: October 10, 2010, 03:19:39 PM »
Reply with quote
<>*Uljhe uljhe se kuch sawaal*<>



Uljhe uljhe se kuch ankahe se sawal hain mere
Bachpan  se jo mere dil me palte rehte hain
Pehle bhi aksar main khudse pucha karti thi
Jawab kabhi nahin mujhe magar mil pate hain..??

Maa paa ki main laadli rahi dil ki rani bani rahi
Har pal unke pyaar k chhaon me hi to main pali
Bhaiya bada shararati tha satata rehta tha sabko
Lekin fir bhi kyun usko kabhi kisiki dant nahin padi..??

Raat raat bhar bahar ghumta doston sang batiyata
Mobile k bill se uske papa ka sir ghum ghum jata
Lekin mere sirf mahine me ek bar picture chale jane se
Fizul kharchi kaise ho jati… ye main kabhi samjh nahin pati..??


Bhaia to jo chaahe khaye uski pasand ka bane sab kuch
Mujhe sabji na bhaaye to kyun mujhe sasural me mushkil hogi
Bhaiya to tha padhai me dabbu fir bhi usko the milte gift
Main to har bar hi awwal aati fir bhi kyun kabhi shabashi milii nahin..??


Mera bhi dil karta main bhi padhun aur sikhun kuch alag
Lekin keh diya gaya teri shaadi me karenge sab kharch
Bhaiya ki ichcha na thi fir bhi use bheja padhne London
Uski iss naakami pe bhi dosh meri kundli me hi aaya nazar..??

Bhai pe bhari hai ye kehke mujhe hamesha tana diya
Daadi ne na kabhi mujhe bhaiya jitna ek bar bhi sneeh diya
Dadaji hi the jo mujhe chahte, karte the wo meri badaai
Lekin yahan bhi dadi meri unko kehti na bigado ise
Aakhir  to ye apni nahin.. hai ye to hamesha se parai..!!


Jana hai ise duje ghar aur sikhne hain unke reeti riwaaz
Rehne do ise aise hi na chadhao ise apne sir pe sarkaar
Par uss pal to main thi na unki apni.. chhoti si nanhi si jaan
Fir kyun shaadi k pehle hi paraya kar diya tha tumne mujhe maa..??


Ye hi kuch sawaal hain mere man me jo kai saalon se uthte hain
Nahin inka matlab koi par fir bhi dil me bht ye chubhte hain
Koi na de sakega inn sawalon ka mujhko jawab ye janti hun main
Fir bhi maa paa main aapse ek bar  puchhna chahti hun main....


Kyun hun main aapke liye paraayee
jab aapke hi khun se bani hun main…?Huh?




Wah! Kya peshkash hai Ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:58:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer