Ummid-e-wafa

by Tasleem ahmad Tasleem on March 30, 2010, 05:15:14 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 909 times)
Tasleem ahmad Tasleem
Guest
Reply with quote
saba le ja payaam us be khabar tak
jo louta hi nahi ja ke idhar tak

shab-e-gham roshni hi roshni thi
diya jalta raha gham ka seher tak

hazaaron gham gusaar aye hien lekin
he mera dard bas mere jigar tak

mujhe janat dikhai de rahi thi
jab aaya hath maan ka mere sar tak


bas ek unki jhalak dekhi thi tasleem
rahi na phir mujhe apni khabar tak
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ummid by Raj in Shayri-E-Dard
<<<UMMID HAI>>> by Ravinder in Shayri for Dard -e- Judai
ummid by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
usne kaha ummid se hoon by raahgir in Share:Funny Poetry
Ummid....... S@M@N by Saman Firdaus in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: March 30, 2010, 06:02:48 AM »
Reply with quote
Bahut hi khoob Tasleem ji,great creation.excellent. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #2 on: March 30, 2010, 06:27:57 AM »
Reply with quote
Welcome to Yoindia Tasleem sahab. Aapki ye pahli ghazal bataur tarruf bahut achhi lagi. Bahut purkashish aur lutfandoz takhleeq hai ye aapki. Tarruf ke liye apne mutalliq kuchh aur bhi batayen to achha lagega.

mujhe janat dikhai de rahi thi
jab aaya hath maan ka mere sar tak

Ye sher bahut behtreen aur lajawab hai. Aage bhi aapki ghazals padhne ki tamnna rahegi. Meri bhi ek koshish dekhen-

Ho kitni bhi wasee duniya,mujhe kya
Mera to har safar hai tere ghar tak
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: March 30, 2010, 06:34:37 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Tasleemji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Tasleem ahmad Tasleem
Guest
«Reply #4 on: March 30, 2010, 07:23:46 AM »
Reply with quote
 hello2 Aap sabhi hazraat ka behad shukr guzaar hun ke is nacheez ki ghazal par aapne nazr-e-saani daali allah se dua go hun aage bhi aap ki khidmat kar sakun jahan tak taaruff ki baat he to is bande ko Tasleem kehte hein.

shayri ke asatza mein awwal naam Tanveer khatolvi he jinki barkat se qalam ko pakadna sikha. hazrat aabpashi mehakma mein mulazim the aur behtreen shayer bhi

filwaqt Dr.mukarram adna ishqaabadi sahab darsgah se juda hun jo meerut mein mukeem hein.

apne baare mein bata raha hun ke nachees ek telecom company mein bator Warehouse Manager kaam karta hun wo bhi Ghalib sahab ki Dilli mein.

Shukraan
Tasleem Ahmad Tasleem

 
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #5 on: March 30, 2010, 07:37:30 AM »
Reply with quote
Tarruf dene ke liye bahut bahut shukriya Tasleem sahab. Ummeed karta hun ke aapki takhleeqat ko padhne ka sarf haasil hota rahega.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:20:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer