Waqt Nahi..........

by poppoetry on August 09, 2009, 05:41:49 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2875 times)
poppoetry
Guest
Reply with quote
Ek amir maa-baap k bete ko bigdaa kha sabne
Koi kya jaane bete k liye maa-baap k paas tha waqt nahi

Jis ghar ko usne apna har pal diya,
Aaj usi ghar k kone me gumsum bethi hai
Bache to kya pati k paas bhi hai uske liye waqt nahi

Maasum sa bacha chahta tha khelna apne pita k saath
Pita ne chaar khilone dekar behla diya,kha mere paas waqt nahi

Har roj niharti thi maa ki aankhe raah apne bete ki
Dil me aarju liye chali gayi duniya se,
Kya karti wo bechaari,bete k paas usse milne ka tha waqt nahi

Aaj waqt ki ye kahaani har mod par mil jaati hai
Kya maut ko bhi kahege log...jao abhi hai waqt nahi.......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
waqt nahi hai by aryan_mantri in Occassion Specific Poetry
~Waqt Rkhta Nahi~ by Sonia01 in Shairi - E - Zindagi
~~~Waqt Nahi hai ab~~~ by pankshivam in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Waqt Nahi... by majid in Share:Miscellaneous Shayari
Shart e Mohabbat ye nahi k har waqt by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
thegrimreaper
Guest
«Reply #1 on: August 09, 2009, 06:27:25 PM »
Reply with quote
bahut khoob popppoetry Applause
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: August 10, 2009, 06:14:43 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Popp ji,really touching and wonderful creation. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:excellent
Logged
cara
Guest
«Reply #3 on: August 10, 2009, 06:30:23 AM »
Reply with quote
kya baat hai   poppoetry ji.....

DUNIYA KI HAR CHEEZ HAI MERE PAAS,GHAADI,BANGLA DAULAT SAB KUJH HAI MERE PAAS,
NAHIN HAI TO MERE MAA-BAAP MERE SAATH,KYUN KI UN KE PAAS MERE
LIYE WAQAT HI NAHIN HAI.

DUNIYA KAHETI HAI,MEH APNI MAA-BAAP KI KHUSH NASEEB AULAAD HUN,
DUNIYA KO KYA MALUM,MAA-BAAP HOTEY HUEY BHI SAATH NAHIN HAI,MEH WOH  BADNASEEB AULAAD HUN.

MEREY LIYE BANGLA NA HOKE,MAA-BAAP KA GHOD HOTA TOH ACHAH HOTA,
GHAADI NA HOKE,MAA- BAAP KE HAATHON MAIN HAATH DAAL KE CHALTA TOH ACHAH HOTA,
AISI DULAT KIS KAAM KI,JO NAHIN BANAATI MAA-BAAP KO APNE AULAAD KI.

WAQAT HI HAI--JO BIN MAA-BAAP KE BACHHON KO RULAATA HAI,
WAQAT HI HAI--JO BACHHA, MAA-BAAP KA CHAHATA HAI.
WAQAT HI HAI--JO  MAA-BAAP SAMAJHTA HI NAHIN.
WAQAT HI HAI--JO MAA-BAAP KE PAAS HOTA HI NAHIN.

           SAMJHO WAQAT KO------TOH HI SAMJHO GEY ZINDAGI.




 
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: August 10, 2009, 06:45:53 AM »
Reply with quote
very nice and wonderful creation Cara ji, icon_thumleft Applause Applause Applause
excellent
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: August 10, 2009, 08:30:00 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Pop Ji
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #6 on: August 10, 2009, 11:07:24 AM »
Reply with quote
bahut khoob popppoetry Applause
Bahut khoob Popp ji,really touching and wonderful creation. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:excellent
Bahut khoob Pop Ji
thegrimreaper ji,madhu ji ,rajesh ji aap sabka bahut bahut shukriya....aapne in alfaazon ko padha aur pasand kiya.
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #7 on: August 10, 2009, 11:55:28 AM »
Reply with quote
kya baat hai   poppoetry ji.....

DUNIYA KI HAR CHEEZ HAI MERE PAAS,GHAADI,BANGLA DAULAT SAB KUJH HAI MERE PAAS,
NAHIN HAI TO MERE MAA-BAAP MERE SAATH,KYUN KI UN KE PAAS MERE
LIYE WAQAT HI NAHIN HAI.

DUNIYA KAHETI HAI,MEH APNI MAA-BAAP KI KHUSH NASEEB AULAAD HUN,
DUNIYA KO KYA MALUM,MAA-BAAP HOTEY HUEY BHI SAATH NAHIN HAI,MEH WOH  BADNASEEB AULAAD HUN.

MEREY LIYE BANGLA NA HOKE,MAA-BAAP KA GHOD HOTA TOH ACHAH HOTA,
GHAADI NA HOKE,MAA- BAAP KE HAATHON MAIN HAATH DAAL KE CHALTA TOH ACHAH HOTA,
AISI DULAT KIS KAAM KI,JO NAHIN BANAATI MAA-BAAP KO APNE AULAAD KI.

WAQAT HI HAI--JO BIN MAA-BAAP KE BACHHON KO RULAATA HAI,
WAQAT HI HAI--JO BACHHA, MAA-BAAP KA CHAHATA HAI.
WAQAT HI HAI--JO  MAA-BAAP SAMAJHTA HI NAHIN.
WAQAT HI HAI--JO MAA-BAAP KE PAAS HOTA HI NAHIN.

           SAMJHO WAQAT KO------TOH HI SAMJHO GEY ZINDAGI.




 
bahut dil se likha hai aapne cara ji......dard k saath...bahut accha likha hai....aapke likhe gaye lafjon par khuch likh rahi hu...


Dhan-daulat kamaane ki chah me shaayad usne unhe bhula diya
Amir hote hue bhi garib hua wo,pyar ki daulat ko usne gawa diya
Waqt rehte waqt na nikaal paaya,
Aaj aaya to waqt ne kha usse ab wo waqt nahi
Shayad aaj wo waqt aur apno ki aehmiyat ko samajh paaya hai
Logged
Wass
Guest
«Reply #8 on: June 15, 2014, 03:36:19 AM »
Reply with quote
 :tearyeyed:I wish men can understand the pain of women and value of children..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 04:27:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer