wo ake taaraa (by vb)

by vb on September 12, 2011, 08:56:05 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 652 times)
vb
Guest
Reply with quote


Ujaar basti k aasmaan par
Wo ake taara chamak raha hay
Thakaa nahi raat ka musaafir
Na-jaanay kab say bhatak raha hay

Na-jaanay kitnay he saal beetay
Makeen yahan k chalay gayay hain
Hava k rukh par ye urtay patay
Kai dinon say thakay huvay hain

Shikasta yaadon k kaaghzon par
Sufaid lamhon main rang bharta
Khumaar-e-hasrat men geet likh kar
Ghubaar-e-furqat k naam karta
Bus ake tanhaa sa ajnabi sa
Udaas shaair gaya nahi tha
Magar ye tay hay k qaafly men
Koi tu tha jo rukaa nahi tha

Gali gali ab sadaain day kar
Pukaarta hay gayay dinon ko
Wo kaafla kab ka ja chukaa hay
Sadaaen deta hay raaston ko

Udaasiyon ki rafaaqaton say
Har ake gosha mehek raha hay
Ujaar basti k aasmaan par
Wo ake taara chamak raha hay


*-----------------*

Logged
sbechain
Guest
«Reply #1 on: November 20, 2011, 09:50:48 AM »
Reply with quote


Ujaar basti k aasmaan par
Wo ake taara chamak raha hay
Thakaa nahi raat ka musaafir
Na-jaanay kab say bhatak raha hay

Na-jaanay kitnay he saal beetay
Makeen yahan k chalay gayay hain
Hava k rukh par ye urtay patay
Kai dinon say thakay huvay hain

Shikasta yaadon k kaaghzon par
Sufaid lamhon main rang bharta
Khumaar-e-hasrat men geet likh kar
Ghubaar-e-furqat k naam karta
Bus ake tanhaa sa ajnabi sa
Udaas shaair gaya nahi tha
Magar ye tay hay k qaafly men
Koi tu tha jo rukaa nahi tha

Gali gali ab sadaain day kar
Pukaarta hay gayay dinon ko
Wo kaafla kab ka ja chukaa hay
Sadaaen deta hay raaston ko

Udaasiyon ki rafaaqaton say
Har ake gosha mehek raha hay
Ujaar basti k aasmaan par
Wo ake taara chamak raha hay


*-----------------*



bahut bahut bahut khoob VB JI
. EK GHUZARISH HAI. AAP LIKHTE BAHUT ACHCHA HAI SIRF APNE FONT KO CHOTA KAR LEIN TO PADHNE MEIN ASAANI HOGI
Logged
vb
Guest
«Reply #2 on: November 21, 2011, 06:42:45 AM »
Reply with quote
Sheba jee!

aap ki bay-jaa taareef aur ba-jaa comments ka shukriya...

baray font say yaqeenan hamaari aur hamaray naam-nihaad geeton ki auqaat bari nahi ho jaati... faqat is liyay bara font use kartay rahay k is ujaar basti say kisi ka guzar ho, to usay koi mushkil na uthaani paray... parhnay men aasaani ho...

apnay likhay ko, apni aur in ki auqat jitna chhota tu nahi kar paain gay... k itna chhota parha nahi jaa sakay ga... lekin aap k mashvaray k baad default font istemaal karen gay...

aap ki comments ka ake baar phir.. shukriya...

vb
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: June 05, 2012, 01:54:20 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause  bahut bahut khoob likha hai aapne Vb ji....!!!
Logged
malli
Guest
«Reply #4 on: June 05, 2012, 11:15:42 PM »
Reply with quote
Quote

Ujaar basti k aasmaan par
Wo ake taara chamak raha hay
Thakaa nahi raat ka musaafir
Na-jaanay kab say bhatak raha hay

Na-jaanay kitnay he saal beetay
Makeen yahan k chalay gayay hain
Hava k rukh par ye urtay patay
Kai dinon say thakay huvay hain]

Bahut khoob.. esp about lines very very good. Keep coming... VB ji
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #5 on: June 06, 2012, 05:01:45 AM »
Reply with quote
wahhhhhhhhhhhh aaj kitne din baad VB ji ka likha padhne ka naseeb hua....... bhttttttttttt mastam mast likha hai aapne vb ji.....
Logged
vb
Guest
«Reply #6 on: June 08, 2012, 08:51:53 AM »
Reply with quote
sarahnay ka shukriya...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:34:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer